SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Ahad Saaz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"band fasilein shahr ki toDein zaat ki girhein kholein bargad niche nadi kinaare baiTh kahaani bolein dhire dhire khud ko nikaalein is bandhan jakDan se sang kisi aavaara manush ke haule haule ho lein fikr ki kis sarshaar Dagar par shaam Dhale ji chaahaa jhiil mein Thahre apne aks ko chumein honT bhigo lein haath lagaa baiThe to jivan bhar maqruz raheinge daam na puchhein dard ke saahab pahle jeb TaTolein naushaadar gandhak ki zabaan mein sher kahein is yug mein sach ke niile zahr ko lahje ke tezaab mein gholein apni nazar ke baaT na rakkhein 'saaz' ham ik palDe mein bojhal tanqidon se kyuun apne izhaar ko taulein"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aanaa jism mein Dhal ke miri ruh-e-ravaan mein aanaa kho na jaanaa miri jaan sarhad-e-jaan tak aa ke qurb kaa paas liye buad-e-karaan mein aanaa main tire husn ko raanaai-e-maani de duun tu kisi shab mire andaaz-e-bayaan mein aanaa saath chalne ko rafiq-e-rah-e-duniyaa hain bahut tu mire saath mire apne jahaan mein aanaa laa-makaan sher ki bandish mein simaTnaa pal bhar aasmaan aaina-e-aab-e-ravaan mein aanaa ishq ne dekh liye husn mein aafaaq tamaam ek sakte kaa vo umr-e-guzraan mein aanaa zinat-e-dast-e-hinaai hai yahi duzd-e-hinaa ghaib kaa maaraza-e-vaqt-o-makaan mein aanaa tishna-e-nur miri fikr ke mahtaab o nujum mire khurshid miri kaahkashaan mein aanaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"savaal be-amaan ban ke rah gae javaab imtihaan ban ke rah gae had-e-nigaah tak buland falsafe gharon ke saaebaan ban ke rah gae jo zehan, aagahi ki kaar-gaah the khayaal ki dukaan ban ke rah gae bayaaz par sambhal sake na tajrabe phisal paDe bayaan ban ke rah gae kiran kiran yaqin jaise raaste dhuaan dhuaan gumaan ban ke rah gae ziyaaein baanTte the, chaand the kabhi gahan lagaa to daan ban ke rah gae miraa vajud shahr shahr ho gayaa kahin kahin nishaan 'ban' ke rah gae kamar javaab de ke jhuk gai badan savaaliya nishaan ban ke rah gae main fan ki saaaton ko lab na de sakaa nuqush be-zabaan ban ke rah gae nafas nafas talab talab the 'saaz' ham qadam qadam takaan ban ke rah gae"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"yuun bhi dil ahbaab ke ham ne gaahe gaahe rakkhe the apne zakhm-e-nazar par khush-fahmi ke phaahe rakkhe the ham ne tazaad-e-dahr ko samjhaa do-raahe tartib diye aur baratne nikle to dekhaa sah-raahe rakkhe the raqs-kada ho bazm-e-sukhan ho koi kaargah-e-fan ho zardozon ne apni maa-tahti mein julaahe rakkhe the mohtasibon ki khaatir bhi apne izhaar mein kuchh pahlu rakh to liye the ham ne ab chaahe an-chaahe rakkhe the jo vajh-e-raahat bhi na the aur TuuT gae to gham na huaa aah vo rishte kyuun ham ne ik umr nibaahe rakkhe the kaahkashaan-bandi mein sukhan ki rah gai 'saaz' kasar kaisi lafz to ham ne chun ke najume mohre maahe rakkhe the"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"saamea lazzat-e-bayaan-zada zehn o dil sehr-e-daastaan-zada fikr o tahqiq rehn-e-mohr-o-sanad taalib-e-ilm imtihaan-zada zaat ki fikr hai qayaas-aalud zindagi kaa yaqin gumaan-zada raat pahchaan de gai sab ko subh chehre mile nishaan-zada taak mein hai na ki taaaqub mein tu shikaari hai par machaan-zada un ki fikr-e-rasaa falak-paimaa apni sochein hain aasamaan-zada khud se rishte nahin rahe lekin log ab bhi hain khaandaan-zada raat hai log ghar mein baiThe hain daftar-aaluda o dukaan-zada"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"lamha-e-takhliq bakhshaa us ne mujh ko bhiik mein main ne lauTaayaa use ik nazm ki taknik mein baam-o-dar ki raushni phir kyuun bulaati hai mujhe main nikal aayaa thaa ghar se ik shab-e-taarik mein faisle mahfuz hain aur faasle hain barqaraar gard uDti hai yaqin ki vaadi-e-tashkik mein si ke phailaa duun bisaat-e-fan pe main daamaan-e-chaak Dor to guzre nazar ki sozan-e-baarik mein main ziyaarat-gaah-e-aagaahi se lauT aayaa huun dost phuul laayaa huun alam ke hadiya-e-tabrik mein bol mere sur ko chhute chhute rah jaate hain 'saaz' aah ye kaisi kasar hai dard ki tahrik mein"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"jitne maarka-e-dil vo lagaataar gayaa jis ghaDi fath kaa e'laan huaa haar gayaa thak ke lauT aae alam-daar-e-masaavaat aakhir duur tak silsila-e-andak-o-bisyaar gayaa jis ko sab sahl-talab jaan ke karte the gurez ik vahi shakhs su-e-manzil-e-dushvaar gayaa in dinon zehn ki duniyaa mein hai masruf bashar dil ki tahzib gai dard kaa bevhaar gayaa ham gunahgaaron se baa-maani rahaa hashr kaa din varna ye saaraa hi mansuba thaa bekaar gayaa 'saaz' hai dil-zada ab bhi tire she'ron ke tufail ham to samjhe the ki ai miir ye aazaar gayaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"jo kuchh bhi ye jahaan ki zamaane ki ghar ki hai rudaad ek lamha-e-vahshat-asar ki hai phir dhaDkanon mein guzre huon ke qadam ki chaap saanson mein ik ajiib havaa phir udhar ki hai phir duur manzaron se nazar ko hai vaasta phir in dinon fazaa mein hikaayat safar ki hai pahli kiran ki dhaar se kaT jaaeinge ye par izhaar ki uDaan faqat raat bhar ki hai idraak ke ye dukh ye azaab aagahi ke dost! kis se kahein khataa nigah-e-khud-nigar ki hai vo an-kahi si baat sukhan ko jo pur kare 'saaz' apni shaaeri mein kami us kasar ki hai"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"hisaar-e-did mein jaagaa tilism-e-binaai zaraa jo lau tiri sham-e-badan ki tharraai na jaane kis se bichhaDne ke raag-rang hain sab ye zindagi hai ki furqat ki bazm-aaraai sukut-e-bahr mein kis gham kaa raaz pinhaan thaa bas ek mauj uThi aur aankh bhar aai ye samt samt takhaatub ufuq ufuq taqrir tiraa kalaam hai meraa rafiq-e-tanhaai khirad ki rah jo chalaa main to dil ne mujh se kahaa aziz-e-man ''ba-salaamat-ravi o baaz-aai'' uThaae suur saraafil dekhtaa hi rahaa bashar ke haath nizaam-e-qayaamat-aaraai kiyaa thaa ji kaa ziyaan ham ne ik ghazal bhar ko hazaar sher kahe ho saki na bharpaai"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"bajaa ki lutf hai duniyaa mein shor karne kaa nasha kuchh aur hai gum-naam maut marne kaa abas hai zoam samundar ke paar utarne kaa ye silsila hai faqat Dubne ubharne kaa ajab samaan thaa ki tazlil bhi thi kaif-angez vo meraa vaqt tiri siDhiyaan utarne kaa kafan mein paanv hilein pairahan mein laash chale hamaaraa ahd na jiine kaa hai na marne kaa ye aagahi kaa maraz laa-ilaaj hai baabaa bukhaar utarne kaa hai ye na zakhm bharne kaa yahi vo saaat-e-fan jis mein aap hon na mukhil yahi hai vaqt magar ham se baat karne kaa sabhi ne pyaar se sarf-e-nazar kiyaa ham ko na aayaa 'saaz' tariqa hamein akharne kaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"kharaab-e-dard hue gham-parastiyon mein rahe khushi ki khoj bahaana thi mastiyon mein rahe huaa husul-e-zar-e-fan baDi kashaakash se ham ek umr ajab tang-dastiyon mein rahe har ik se jhuk ke mile yuun ki sarfaraaz hue chaTaan jaise khamida si pastiyon mein rahe chubhan ki naav mein pur ki khalij rishton ki ajab mazaaq se ham ghar girhastiyon mein rahe kitaabein chehre manaazir tamaam baada-kade bataaein kyaa ki baDi mai-parastiyon mein rahe masaafatein thiin shab-e-fikr kin zamaanon ki kahaan kahaan gae ham kaisi hastiyon mein rahe khulus-e-fikr ki galiyon mein ghumte tanhaa ham apne sher ki aabaad bastiyon mein rahe"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"darakht ruuh ke jhume parind gaane lage hamein udhar ke manaazir nazar bhi aane lage khush-aamdid kaa manzar ghurub-e-shaam mein thaa dar-e-shafaq pe farishte se muskuraane lage firaaq o vasl ke maa-bain ye samaan jaise udaas lai mein koi hamd gungunaane lage main ek saaat-e-be-khud mein chhu gayaa thaa jise phir us ko lafz tak aate hue zamaane lage khabar ke moD pe sang-e-nishaan thi be-khabari Thikaane aae mire hosh yaa Thikaane lage muhib raaste sarhad ki samt jaate hue zaraa saa aur chale ham to vo suhaane lage ik apne-aap se milnaa thaa 'saaz' jis ke liye riqaabatein huiin darkaar dostaane lage"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"duur se shahr-e-fikr suhaanaa lagtaa hai daakhil hote hi harjaana lagtaa hai saans ki har aamad lauTaani paDti hai jiinaa bhi mahsul chukaanaa lagtaa hai roz palaT aataa hai lahu mein Duubaa tiir roz falak par ek nishaana lagtaa hai biich nagar din chaDhte vahshat baDhti hai shaam talak har-su viraana lagtaa hai umr zamaana shahr samundar ghar aakaash zehan ko ek jhaTkaa rozaana lagtaa hai be-haasil chalte rahnaa bhi sahl nahin qadam qadam par ek bahaana lagtaa hai kyaa uslub chunein kis Dhab izhaar karein Tiis nai hai dard puraanaa lagtaa hai honT ke kham se dil ke pech milaanaa 'saaz' kahte kahte baat zamaana lagtaa hai"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"hasrat-e-did nahin zauq-e-tamaashaa bhi nahin kaash patthar hon nigaahein magar aisaa bhi nahin jabr-e-dozakh nahin firdaus kaa nashsha bhi nahin khush hain aaraaf mein ham aur koi khaTkaa bhi nahin ab kisi huur mein baaqi nahin ehsaas-e-kashish mere sar par kisi aaseb kaa saaya bhi nahin vo to aisaa bhi hai vaisaa bhi hai kaisaa hai magar? kyaa ghazab hai koi us shokh ke jaisaa bhi nahin jis kaa haq thaa ki bane sang-e-malaamat kaa hadaf zahe tazhik vo ab shahr mein rusvaa bhi nahin DhunDh kuchh aur hi iblaagh ki surat ai 'saaz' sharh o tafsir nahin ramz o kinaaya bhi nahin"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"baatin se sadaf ke dur-e-naayaab khuleinge lekin ye manaazir bhi tah-e-aab khuleinge divaar nahin parda-e-fan band-e-qabaa hai ik jumbish-e-angusht ki mahtaab khuleinge kuchh nok-palak aur tahayyur ki sanvar jaae har jumbish-e-mizhgaan mein nae baab khuleinge aaina-dar-aaina khulegaa chaman-e-aks taabir ke dar khvaab pas-e-khvaab khuleinge ho jaaeinge jab gharq sadaaon ke safine sunte hain khamoshi ke ye girdaab khuleinge kyaa un se samaaat bhi guzar paaegi ai 'saaz' vo dar jo tah-e-jumbish-e-mizraab khuleinge"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"bajaa ki paaband-e-kucha-e-naaz ham hue the yahin se par le ke mahv-e-parvaaz ham hue the sukhan kaa aaghaaz pahle bose ki taazgi thaa azal-rubaa saaaton ke hamraaz ham hue the yahaan jo ik guunj daaere si banaa rahi hai isi khamoshi mein sang-e-aavaaz ham hue the ravaan-davaan inkishaaf-dar-inkishaaf the ham jo muD ke dekhaa to segha-e-raaz ham hue the ufuq thaa raushan na murtaish paaniyon pe kirnein ghalat jaziron pe langar-andaaz ham hue the kuredte phir rahe hain ab ret saahilon ki vahi jo ghota-zan-e-yam-raaz ham hue the jumud kaa ek daur guzraa thaa fikr-o-fan par tavil arse ke baad phir 'saaz' ham hue the"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"lafz kaa dariyaa utraa dasht-e-maaani phailaa misra-e-ulaa hi mein misra-e-saani phailaa kahin chhupaa hotaa hai davaam kisi lamhe mein yuun to hai sadiyon pe jahaan-e-faani phailaa daanaai ki duniyaa tang hai pechida hai yaa-rab kuchh aasaani kar naadaani phailaa daaman-e-tar hi mein to hai ashkon ki nami bhi rahne de dharti par yunhi paani phailaa manfaatein hi darj hain sab ki fard-e-amal mein varaq kushaada kar thoDi nuqsaani phailaa kirdaaron ki pahchaanein gum hone lagi hain mere lekhak itnaa bhi na kahaani phailaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"jab tak shabd ke diip jaleinge sab aaeinge tab tak yaar kaun utregaa dil ke andhe bhaaon ke matlab tak yaar chand baras ki raah mein kitne saathi jivan chhoD gae jaane kitne ghaav lageinge umr kaTegi jab tak yaar puchh na kyaa thi pichhle pahar ki dard bhari an-jaani chikh jo man ke paataal se uTThi rah gai aa ke lab tak yaar kab baajegaa gaanv ke marghaT ke pare mandir ke sankh kab kaalaa jaadu TuTegaa raat Dhalegi kab tak yaar 'saaz' ye sheron ki sargoshi tiri miri andar ki baat rusvaa ho kar rah jaaegi pahunch gai gar sab tak yaar"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"bahut malul baDe shaadmaan gae hue hain ham aaj ham-rah-e-gum-gashtagaan gae hue hain agarche aae huon hi ke saath hain ham bhi magar gae huon ke darmiyaan gae hue hain nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar ye ghar ke log na jaane kahaan gae hue hain sahar ko ham se milo go ki shab mein bhi hain yahin ye koi Thiik nahin kab kahaan gae hue hain kahin se lauT ke qisse sunaaeinge tum ko kahin sunaane ko ham daastaan gae hue hain talaashiye phir inhin mein taraashiye phir inhein yahi vasile ki jo raaegaan gae hote hain abhi taayyun-e-sath-e-kalaam kyaa puchho abhi to ham tah-e-ijz-e-bayaan gae hue hain bajaa ki raaz ki baatein bataaeinge tumhein 'saaz' magar sambhal hi ke sunnaa miyaan gae hue hain"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"jaane qalam ki aankh mein kis kaa zuhur thaa kal raat mere giit ke mukhDe pe nuur thaa naghma saa chheDti thiin tajalli ki ungliyaan tauret kaa nuzul ba-lahn-e-zabur thaa vo saath saath aur pahunchnaa thaa us talak har aan ek marhala nazdik o duur thaa haibat ke baam par thi bulaave ki raushni thi vasvason ki shaam pa jaanaa zarur thaa har pech koi vaaqia har moD koi yaad us ke badan ke saath miraa laa-shuur thaa ik bhiiD mujh se muntazir-e-inkishaaf thi main thaa muraaqabe mein magar be-huzur thaa"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"manzar shamshaan ho gayaa hai dil qabristaan ho gayaa hai ik saans ke baa'd dusri saans jiinaa bhugtaan ho gayaa hai chhu aae hain ham yaqin ki sarhad jis vaqt gumaan ho gayaa hai sargoshiyon ki dhamak hai har-su ghul kaanon-kaan ho gayaa hai vo lamha huun main ki ik zamaana mere dauraan ho gayaa hai sau nok-palak palak-jhapak mein uqda aasaan ho gayaa hai manzil vo kham-e-safar hai jis par chori saamaan ho gayaa hai ik marhala-e-kashaakash-e-fan vajh-e-imkaan ho gayaa hai kaaghaz pe qalam zaraa jo phislaa izhaar-e-bayaan ho gayaa hai paidaa hote hi aadmi ko laahaq nisyaan ho gayaa hai piili aankhon mein zard sapne shab ko yarqaan ho gayaa hai saude mein ghazal ke faaeda 'saaz' kaisaa nuqsaan ho gayaa hai"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz
Quote
"lafzon ke sahraa mein kyaa maani ke saraab dikhaanaa bhi koi sukhan sahaabi koi naghma nakhlistaana bhi ik muddat se hosh-o-khabar ki khaamoshi raaij hai yahaan kaash dayaar-e-asr mein gunje koi sadaa mastaana bhi nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karein koi dhun divaani koi harakat majnunaanaa bhi shahr se baahar kohsaaron ke biich ye Thahraa Thahraa din kitnaa apnaa saa lagtaa hai aaj dil-e-begaana bhi ek tilismi raah fasil-e-tan se navaah-e-jaan tak hai jis ki khoj mein kho jaao to mumkin hai paa jaanaa bhi aagaahi maakus safar hai daanish-gaah ke raste kaa jis kaa har jaanaa-pahchaanaa manzar hai an-jaanaa bhi bol vahi hain sur bhi vahi mizraab ki jumbish badle to yaas-o-alam ke taaron mein muzmar hai ek taraana bhi haasil aur laa-haasil par ab vaise bhi kiyaa ghaur karein aur chhalakne vaalaa ho jab saanson kaa paimaana bhi kitni aag kashaakash kitni kitnaa tahammul hai darkaar 'saaz' koi aasaan nahin hai lafzon ko pighlaanaa bhi"
Abdul Ahad SaazAbdul Ahad Saaz