SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdurrahman Momin(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaqin kaun karegaa gumaan pe aayaa huun main apne aap se chhup kar yahaan pe aayaa huun mujhe bhi aql pareshaan karti rahti hai nahin nahin se guzar kar main haan pe aayaa huun mujhe vo dekh ke hairaan kyuun nahin hogaa zamin oDh ke main aasmaan pe aayaa huun ye baat tu hi bataa kis tarah bataaun tujhe main dil ke raaste teri zabaan pe aayaa huun na jaane kab se nahin mil sakaa huun main khud se main khud se milne tire aastaan pe aayaa huun ye iztiraab haqiqat mein iztiraab nahin khushi khushi main is aah-o-fughaan pe aayaa huun mujhe talaash na kar tu yahaan vahaan 'momin' nazar uThaa ki tire khvaab-daan pe aayaa huun"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"mujhe kisi ne bataayaa khudaa hai mere saath main kyaa bataaun use aur kyaa hai mere saath tujhe yaqin nahin aaegaa par haqiqat hai ye tu nahin hai koi dusraa hai mere saath ye mushkilaat bhi ab mere saath rahti hain ye jaanti hain ki mushkil-kushaa hai mere saath main kyaa bataaun tujhe yaad kyaa dilaaun tujhe tu jaantaa hai jo tu ne kiyaa hai mere saath agar vafaa ko bataaun vafaa bhi chikh paDe vafaa ke naam pe jo kuchh huaa hai mere saath sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath kisi se koi shikaayat nahin mujhe 'momin' jo honaa chaahiye vo ho rahaa hai mere saath"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"zamaane ko zamaane ki paDi hai hamein vaada nibhaane ki paDi hai ye duniyaa chaand par pahunchi hui hai tujhe lahore jaane ki paDi hai zaraa dekho idhar main jal rahaa huun tumhein aansu chhupaane ki paDi hai fasaana hi haqiqat ban gayaa hai haqiqat ko fasaane ki paDi hai abhi jo sher likkhaa bhi nahin hai abhi se vo sunaane ki paDi hai tire mehmaan vaapas jaa rahe hain tujhe mehmaan-khaane ki paDi hai vo tere dil mein aa baiThaa hai 'momin' tujhe divaar Dhaane ki paDi hai"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"ab kisi par nazar nahin jaati ek surat magar nahin jaati ye sadaa-e-faqir us dil tak jaane kyaa soch kar nahin jaati vo guzarti zarur hai dil se par vo dil se guzar nahin jaati chhoD aae hain vo gali lekin vo gali chhoD kar nahin jaati ek lamha kabhi nahin aataa ik ghaDi 'umr-bhar nahin jaati saath chalti hai saath chalne tak Therne par Thahar nahin jaati ek aavaaz ek hi aavaaz jo kabhi be-asar nahin jaati 'ishq ke saath 'aql bhi 'momin' ab kisi aur dar nahin jaati"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"jo hai vo kyuun hai aur jo nahin hai vo kyuun nahin ye jaan luun abhi mujhe aisaa junun nahin main kyaa huun aur kyuun huun mujhe is se kyaa gharaz is se bhi kyaa gharaz mujhe huun bhi ki huun nahin main chaahtaa huun maut jo aae miri taraf main maut ko gale se lagaa luun marun nahin jiine ki aarzu mujhe le aai hai yahaan main varna ek pal bhi yahaan par rahun nahin jis par hai kaaenaat kaa har raaz aashkaar vo kah rahaa hai haan to main kaise kahun nahin 'momin-miyaan' ye kaam nahin hai ye ishq hai kyaa soch mein paDe ho karun yaa karun nahin"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"kafan ki jeb bhi khaali nahin hai ye bad-hali hai khush-haali nahin hai to kyaa ye phuul khud hi khil gayaa thaa jo kahtaa hai koi maali nahin hai unhein mat dekh khush rahne de un ko tiri khaatir ye divaali nahin hai tiri tasvir jhuTi hai musavvir mire shahron mein hariyaali nahin hai vo ghar girne lagaa hai jis ki ham ne abhi buniyaad bhi Daali nahin hai to kyaa mujh ko sazaa degaa vo jis ne miri ik baat bhi Taali nahin hai tire baare mein jab sochaa to dekhaa ye raat aisi bhi ab kaali nahin hai na kar 'momin' yahaan koi tamaashaa ye duniyaa dekhne vaali nahin hai"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"bhalaa ab aur kahaan zindagi nazar aae tumhaare baa'd hamein kyaa koi nazar aae talaash jis ki hai bas vo nazar nahin aataa ye aur baat nazar ko vahi nazar aae ye hoshiyaar tujhe hoshiyaar samjheinge inhein kahaan tiri divaangi nazar aae guzar to aae hain teri gali se ham lekin jahaan bhi jaaein tiri hi gali nazar aae ye rah-guzar jo mire saath saath chalti thi tiri gali mein Thaharti hui nazar aae nazar gai thi hamaari jab aaine ki taraf use lagaa ki hamein bhi hami nazar aae vo to nahin thaa to phir kaun saath thaa mere koi to hogaa magar kab koi nazar aae tujhe dikhaai nahin de rahi magar 'momin' kalaam kar ki tujhe khaamushi nazar aae"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"aap ne jab kahaa ki khush huun main mujh ko aisaa lagaa ki khush huun main aaina dekhtaa huun hairat se khush hai ye aaina ki khush huun main laakh samjhaa rahaa huun main dil ko dil nahin maantaa ki khush huun main jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se main ne bhi kah diyaa ki khush huun main dil to ye chaahtaa thaa vo bhi kahe main hi kahtaa rahaa ki khush huun main khush huun main jis ke lauT aane se vo nahin jaantaa ki khush huun main ab vo tujh se agar miraa puchhe tu bas itnaa bataa ki khush huun main aur kyaa chiiz hai khushi 'momin' khush hai mujh se khudaa ki khush huun main"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"aaj phir us dil-nashin par aa gayaa hai dil jahaan thaa phir vahin par aa gayaa hai ek shahzaade khudaa ke aasare par kufiyon ki sarzamin par aa gayaa hai sar nigun jab se kiyaa hai tere aage aasmaan meri jabin par aa gayaa hai vo jo kal tak haan mein haan kartaa thaa meri aaj to vo bhi nahin par aa gayaa hai khvaab mein iblis ne aa kar bataayaa aadmi aadam ke diin par aa gayaa hai tujh se pahle bhi makaan khaali nahin thaa tu magar is ke makin par aa gayaa hai mujh se 'momin' kaa pata kyaa puchhte ho aankh kholo vo yahin par aa gayaa hai"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"raasta ye bataa rahaa hai mujhe ve bahut DhunDhtaa rahaa hai mujhe paas rah kar na paas aayaa to duur se kyaa bulaa rahaa hai mujhe jhaank kar dekh apni aankhon mein chhup ke tu dekhtaa rahaa hai mujhe bhuul baiThaa huun us ki sab baatein ve magar yaad aa rahaa hai mujhe kyaa bataaun chhupaa hai mujh mein kaun kaun mujh mein chhupaa rahaa hai mujhe main ne chaahaa sunaaun kuchh dil ko dil bhi apni sunaa rahaa hai mujhe main jahaan bhi gayaa tujhe paayaa tu bhi kyaa yuun hi paa rahaa hai mujhe kuchh nazar mein nahin rahaa 'momin' hijr kyaa kyaa dikhaa rahaa hai mujhe"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"ab vo pahli si shiddat kahaan hai hijr mein ve tamaazat kahaan hai ham to Thahre sadaa ke gadaagar tu bataa teri daulat kahaan hai dekh kar chaand jaltaa thaa jis ko aaj vo khubsurat kahaan hai saans khud hi chali aa rahi hai saans lene ki fursat kahaan hai aaina main ne dekhaa to dekhaa saare 'aalam ki hairat kahaan hai ab to bas ek dil hi bachaa hai aur vo bhi salaamat kahaan hai aadmi to nazar aa rahe hain haan magar aadmiyyat kahaan hai DhunDne se jo mil jaae 'momin' DhunD lenaa mohabbat kahaan hai"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"vaqt saakin hai main guzar rahaa huun main to is aagahi se mar rahaa huun bol kar jo mujhe dabaa rahaa hai us ki aavaaz se ubhar rahaa huun aaina mujh ko dekh kar chup hai jaane main kis se baat kar rahaa huun main ye samjhaa thaa vo Thahar rahaa hai ve ye samjhaa thaa main Thahar rahaa huun ik parinda banaayaa kaaghaz par aur ab us ke par katar rahaa huun us ne vaada nahin liyaa mujh se aur kahtaa hai main mukar rahaa huun teri tasvir naa-mukammal hai main abhi is mein rang bhar rahaa huun jo tujhe jaantaa nahin 'momin' vo samajhtaa hai tujh se Dar rahaa huun"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"jab dekho chhup jaataa hai tu mujh se kyaa sharmaataa hai tu tere yaar hain tere jaise khud ko kaisaa paataa hai tu main ne us ko bhi dekhaa hai jis ki qasmein khaataa hai tu haan mujh ko maalum nahin hai meri ghazlein gaataa hai tu dil to apne aap mein gum hai ab kis ko taDpaataa hai tu khvaab mein hi jab milnaa hai to aankhein kyuun khulvaataa hai tu kaise kaise main bhulaa huun kaise yaad aa jaataa hai tu aisaa bhi kyaa chhupnaa 'momin' DhunDo to mil jaataa hai tu"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"is ki aankhon pe vaar dein aankhein ik nazar hi mein haar dein aankhein dil mujhe us ne be-qaraar diyaa aur be-ikhtiyaar diin aankhein pahle chehra chhupaa liyaa us ne baad mein ishtihaar diin aankhein dil vahin rah gayaa jahaan ham ne sarsari si guzaar diin aankhein khvaab mere churaa liye us ne jis ko main ne udhaar diin aankhein main ne aankhon mein jhaanknaa chaahaa us ne dil mein utaar diin aankhein main to khaamosh hi rahaa lekin vaqt-e-rukhsat pukaar diin aankhein tu bhi 'momin' kamaal kartaa hai tu ne suraj se chaar diin aankhein"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"main apne aap ko pahchaan hi nahin paayaa isi liye main tujhe jaan hi nahin paayaa ye dekh kar vo pareshaan hai teri mahfil mein kisi ko us ne pareshaan hi nahin paayaa abhi se tujh ko paDi hai visaal ki miri jaan abhi to hijr ne unvaan hi nahin paayaa vo ek lamha miri zindagi pe taari hai jo ek lamha abhi aan hi nahin paayaa khushi khushi tiri duniyaa ko chhoD aae ham khushi kaa jab koi saamaan hi nahin paayaa javaaz mil na sakaa mujh ko apne hone kaa so apne aap ko insaan hi nahin paayaa ajiib hijr kiyaa ham ne hijr mein 'momin' visaal-e-yaar kaa armaan hi nahin paayaa"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin