Quote
"gham-e-nashaat do-'aalam se maavaraa saa lagaa vo jhurriyon se bharaa chehra aaina saa lagaa tilism lutf-o-'inaayat kaa TuTtaa saa lagaa tumhaaraa ruuTh ke jaanaa baDaa bhalaa saa lagaa vo kyaa hai kaise bataaein bas is qadar samjho kabhi badan kabhi khushbu kabhi khalaa saa lagaa main jis kaa naam pata puchhtaa rahaa sab se vo ajnabi to mujhi mein chhupaa huaa saa lagaa koi to baat yaqinan thi us ke chehre mein jise ragon kaa lahu jhaanktaa huaa saa lagaa ye meraa vahm sahi lekin aisaa vahm bhi kyaa har ek shakhs mujhe khud se kuchh khafaa saa lagaa jo naam vird-e-zabaan aaj tak rahaa 'hairat' vo naam aaj achaanak nayaa nayaa saa lagaa"







