SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byDattatriya Kaifi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zindagi kaa kis liye maatam rahe mulk bastaa hai miTe yaa ham rahe dil rahe piiri mein bhi teraa javaan aakhiri dam tak yahi dam-kham rahe chaahiye insaan kaa dil ho ghani paas maal o zar bahut yaa kam rahe kyaa isi jannat ki ye tahris hai jis mein kuchh din hazrat-e-aadam rahe vasl se matlab na rakh tu ishq kaa dam bhare jaa dam mein jab tak dam rahe laag ik din ban ke rahti hai lagaav haan lagaavaT kuchh na kuchh baaham rahe ishq ne jis dil pe qabza kar liyaa phir kahaan us mein nashaat o gham rahe sharq se jab nuur chamkaa to kahaan barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe husn ki duniyaa kaa hai daaem shabaab hashr tak us kaa yahi aalam rahe hai surur-e-husn 'kaifi' laa-yazaal dar-khur-e-zarf us mein besh o kam rahe"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"yaa ilaahi mujh ko ye kyaa ho gayaa dosti kaa teri saudaa ho gayaa dosti kyaa ham-sari kaa dhyaan hai qaid se aazaad itnaa ho gayaa kaisi aazaadi asiri chiiz kyaa jab fanaa rang-e-tamannaa ho gayaa jab tamannaa aur Dar jaataa rahaa to har ik shai se mubarraa ho gayaa yuun mubarraa ho gai jab koi zaat band phir naghma sifat kaa ho gayaa jab huaa ausaaf se koi bari aib kyunkar us mein paidaa ho gayaa khud-parasti is ko yaa jo kuchh kaho ab to ye aalam hamaaraa ho gayaa be-khudi ne mahv-e-hairat kar diyaa aap mein apnaa tamaashaa ho gayaa jis ko dekhaa aap hi aayaa nazar rang ab 'kaifi' ye apnaa ho gayaa"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"kyuun kar chubhe na aankh mein gul khaar ki tarah bhaai hai dil ko ek trahdaar ki tarah haalat talaash-e-yaar mein ye ho gai miri jaataa huun baiTh baiTh dil-e-zaar ki tarah kyaa dil mein khaar rashk-e-rukh-e-yaar kaa chubhaa bigDi hui hai kyuun gul-e-gulzaar ki tarah hai kuchh na kuchh vahaan bhi asar dard-e-ishq kaa aankh un ki bhi hai is dil-e-bimaar ki tarah ai kaash mere taar-e-rag-e-jaan ko toD de qaatil ki tegh yaar ke iqraar ki tarah 'kaifi' biThaaein aankhon pe kyuun aap ko na log chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"hai yaad-e-yaar se ik aag mushtail dil mein ajab hai khuld-o-jahannam hain muttasil dil mein jo chupke chupke hamein kuchh kahe vo ap sune paDe usi ko jo kosegaa ham ko dil dil mein karoge ab bhi buraai mai-e-mughaan ki shaikh na kahiye munh se magar hoge to khajil dil mein gae vo paani to multaan ab gino maujein kahaan vo josh ab ai ashk paa-ba-gul dil mein ulu ye khuub huaa aap tum chale aae main kahtaa hi thaa ki aaj un se jaa ke mil dil mein pakaD jo kal liyaa chuski lagaate zaahid ko bataaun kyaa ki huaa kaisaa munfail dil mein"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"parda-daar hasti thi zaat ke samundar mein husn khuub khul khelaa is sifat ke manzar mein husn 'ishq mein hai yaa 'ishq husn mein muzmar jauhar aaine mein yaa aaina hai jauhar mein ishq-e-mahshar-aaraa ki tuur par giri bijli husn-e-lan-taraani ki rah sakaa na chaadar mein dekh ai tamaashaai gul hai rang-o-bu bilkul imtiyaaz naa-mumkin hai arz se jauhar mein gul mein aur bulbul mein kaun jaane kyaa guzri chashm-posh masti thi is barahna manzar mein upchi banaate hain husn ko sukhan go kyuun kaaT in adaaon kaa kab hai tegh-o-khanjar mein fart-e-soz-e-ulfat mein dekh kar sakun dil kaa bijliyaan machalti hain baadalon ke mahshar mein chaaragar ko hairat hai irtiqa-e-vahsaht se paanv mein jo chakkar thaa aa rahaa hai vo sar mein hasrat aarmaan ki ho kahnaa se gunjaaish hai vahi mire dil mein hai vahi mire sar mein hon vo rind yaa suufi mast us ki dhun mein hain jaane kitne mai-khaane bhar diye hain kausar mein charkh kyaa utar aayaa aaj farsh-e-geti par rind bhi hain chakkar mein mai-kada bhi chakkar mein mai vo hosh par afgan aur nazar vo sahbaa-paash mast kyuun na ho 'kaifi' ek do hi saaghar mein"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko haae jis vaqt nahin taab-e-takallum mujh ko khaak ho kar bhi vahi hasrat-e-paa-bos rahi ho gai mauj-e-sabaa mauj-e-talaatum mujh ko zoaf se haal ye patlaa hai rah-e-ulfat mein sail-e-girya pe bhi haasil hai taqaddum mujh ko kahte hain zikr-e-shab-e-vasl pe kyaa jaaniye kyuun kabhi sharm aur kabhi aataa hai tabassum mujh ko moajiza hazrat-e-isaa kaa thaa be-shubah durust ki main duniyaa se gayaa uTh jo kahaa qum mujh ko sail-e-girya ki badaulat ye huaa ghar kaa haal khaak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hoti hai taare aankhon ke na kyuun hovein ye anjum mujh ko hai gazi gaaDhaa hi 'kaifi' kaa shiaar aur visaar nahin darkaar hai ye atlas-o-qaaqum mujh ko"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"duniyaa mein baqaa nahin kisi ko marnaa ik roz hai sabhi ko vo kaun hai jo hai aib se paak kyaa koi buraa kahe kisi ko maalum hai vaade ki haqiqat bhulaa lete hain apne ji ko khud nur-e-khudaa ho tum mein paidaa dil se kho do agar khudi ko sau aibon kaa ek aib hai ye iflaas khudaa na de kisi ko mushkil nahin koi kaam lekin himmat laazim hai aadmi ko sach kah de ki hai qusur kis kaa munsif main ne kiyaa tujhi ko maanaa ki sharaab chhoDi 'kaifi' aisaa to kaho na mai-kashi ko"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"lab-e-saaghar se sun lo zaahido taqrir-e-mai-khaana shikast-e-tauba hi hai yaa nai taamir-e-mai-khaana azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho raqam hai khatt-e-jaam-e-baada mein taqdir-e-mai-khaana to kyaa ai zaahid-e-khushk us ki azmat jaan saktaa hai qalam se mauj-e-kausar ke khichi tasvir-e-mai-khaana ye mai-sajjaada rangin-kun garat pir-e-mughaan goyad ki daanaa-e-rumuz-e-do-jahaan hai pir-e-mai-khaana milaa paaoge is kaa silsila tasnim-o-kausar se bahut tul-o-tavil ai shaikh hai zanjir-e-mai-khaana banaa hai shisha-e-mai sar-ba-sar aaina-e-mahshar bari zohd-o-riyaa se hai javaan-e-pir-e-mai-khaana tu saari umr ab maathaa ragaDtaa rah kaDaa ke kar na Taale se Tale ai shaikh ye taazir-e-mai-khaana dahaai saaqi-e-kausar ki ye hain nafs ke bande jo vasl-e-hur ki khaatir karein tahqir-e-mai-khaana habaab-e-khat-e-jaam-o-qulqul-e-minaa se saabit hai vo hai tasbih-e-mai-khaana ye hai takbir-e-mai-khaana giraa jo khisht-e-khum par sar lab-e-kausar ne chumaa hai ki hai taqsir-e-mai-khaana hi mein tauqir-e-mai-khaana na kyuun har qatra-e-mai mehr ki aankhon kaa taaraa ho ki barq-e-tur ki hai ik chamak tanvir-e-mai-khaana paDi hai ik nazar jis par vo be-khud ho gayaa 'kaifi' nigaah-e-mast-e-saaqi mein hai kyaa taasir-e-mai-khaana"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"kis se ThanDak hai ki ye sab hain jalaane vaale naale aahon se sivaa aag lagaane vaale baad murdan to huaa soz-e-mohabbat paidaa vo miri qabr pe hain shama jalaane vaale koThe par chaDh ke uDaayaa na karein aap patang Dore Daalein na kahin yaar uDaane vaale kyunki maashuqon ke vaadon pe hayaa karte the bhole-bhaale the bahut agle zamaane vaale uDti chiDiyaan koi kyaa pakDegaa un ke aage achchhe-achchhon ko hain chuTki mein uDaane vaale ham jo kahte hain ki marte hain to farmaate hain aise dekhe hain bahut jaan se jaane vaale le ke dil aankh bhi to ham se milaate vo nahin the mire dil ki tarah din bhi ye aane vaale"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"surat-e-haal ab to vo naqsh-e-khayaali ho gayaa jo maqaam maa-sivaa thaa dil mein khaali ho gayaa mumtanaa jo thaa vo hai zeb-e-badaahat qalb ko jo yaqini amr thaa vo ehtimaali ho gayaa chhoDi khud-bini to ab har shai mein husn aayaa nazar dida-e-haq-bin jalaali se jamaali ho gayaa zauq-e-nazzaara ye hai aankhon par ab rakhtaa huun main zarre zarre ko jo nazar-e-paaemaali ho gayaa zoam aur pindaar kaa haq-ul-yaqin se hai badal vo gharonda ab to faanus-e-khayaali ho gayaa aankh uTh kar husn-e-qudrat se jo apne par gai sab khudi kaa rang rang-e-infiaali ho gayaa pahle is mein sar thaa ai samsaam ishq aur jaan thi kyunki miltaa tujh se aa ab haath khaali ho gayaa ghairat-e-dil-daada-o-dil-daar ki jaati rahi ab to jo honaa thaa ai aaqaa-e-aali ho gayaa vajah-e-ilm-e-zaat ho kyunkar na irfaan-e-sifat kyaa arz ki shaan jab jauhar se khaali ho gayaa jo rahaa khuddaar hone par khudi se duur duur vo dayaar-e-ishq o dil-sozi kaa vaali ho gayaa hai khataa us ko agar aashiq kaho tum jis kaa ishq khatm jab us ne muraad ik apni paa li ho gayaa jazba-e-isaar kyaa quvvat amal ki phir kahaan jab shuur insaan kaa sarf-e-laa-ubaali ho gayaa ai qadaamat-kesh sun ye aalam-e-ijaad hai naam jiddat kaa azal mein laa-yazaali ho gayaa chhoD kar lutf-e-sukhan maghz-e-sukhan se kaam lo kyaa huaa 'kaifi' jo garam-e-khush-maqaali ho gayaa"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"dil kho gayaa hamaaraa kisi se milaa ke haath ho dastaras to kaaTiye duzd-e-hinaa ke haath ik tasma rah gayaa hai rag-e-jaan kaa lagaa huaa jhuTaa paDaa hai aah kahaan un kaa jaa ke haath haathon pe ham ko naag khilaane ki mashq hai chhute hain ham jabhi tire gesu baDhaa ke haath phailaa le paanv khol ke dil ai shab-e-firaaq baiThe hain ham bhi ziist se apni uThaa ke haath kyuun haath-paaon mere khushi se na bhuul jaaein ungli chubove haath mein jab vo milaa ke haath vo aaDe haathon luun ki akaD saari bhuul jaae munh ki na khaanaa shaikh-ji ham se milaa ke haath sarson jamaani haathon pe yuun siikh le koi dil se milaa liyaa hai dil un se milaa ke haath ye bekasi ke haathon huaa hai hamaaraa haal paighaam bhejte hain ham un ko sabaa ke haath 'kaifi' na naazuki pe tum is but ki bhulnaa dekhe nahin abhi kisi naazuk-adaa ke haath"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"bataaein kyaa amal ishq-e-haqiqi kaa kahaan tak hai zamin kyaa aasmaan tak hai makaan kyaa laa-makaan tak hai taayyun se bari ho gar hai laa-mahdud kaa taalib ki hadd-e-mulk-o-duniyaa to vahin tak hai jahaan tak hai na ho aazaad daur-e-charkh ki halqa-ba-goshi se tiraa markuz dil-e-maao-shumaa aur in-o-aan tak hai to bismillaah ke gumbad mein kyaa hai moatakif zaahid sukun-e-khaatir-e-muztar havaason se amaan tak hai pahunch saktaa hai kab sachchi khushi ko aish-e-nafsaani ki vo to aab-e-ruknaabaad va ju-e-muliyaan tak hai hai shaikh-o-barahman ke diin ki had dair-o-kaaba tak savaad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makaan tak hai yaqin se aur amal se pukhtagi paai aqidat ne pahunch teri to ai naadaan bas vahm-o-gumaan tak hai haqiqat husn ki aaina tujh par kyunki ho jaati nazar teri to zulf-o-khaal-o-abru-e-butaan tak hai jo hain mast-e-alast un ko khumaar-o-sukr kaa Dar kyaa nigaah-e-tishna-kaam-e-ishq hi dast-e-mughaan tak hai hasir-e-ishq ko kab dakhl is mahfil mein hai 'kaifi' bisaat us ki faqat bain-o-bukaa aah-o-fughaan tak hai"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhalaa ye ahd-e-visaal kyaa hai ho vaada iifaa ki tark-e-ulfat ye roz-marra ki Taal kyaa hai zabaan bigDi hai aap hi ki hamaaraa nuqsaan kyaa hai is mein zaraa tumhin puchhun dil se apne bhalaa ye tarz-e-maqaal kyaa hai jo maangaa ik bosa main ne un se to bole kyaa tu saDi huaa hai zaraa ye baatein suno to logo javaab kyaa hai savaal kyaa hai unhein sar-e-rah akelaa paa kar ye bolaa chhaati se main lagaa kar ki ab to farmaa dein banda-parvar visaal mein qil-o-qaal kyaa hai hain tark-e-ulfat mein ham bhi raazi ye kah do be-khaTke us sanam se buton kaa is hind ki zamin par khudaa ki rahmat se kaal kyaa hai kaDaa rakhe aadmi jo dil ko to jhel le har kaDi ko aasaan bandhi hui ho jo apni himmat to kaam koi muhaal kyaa hai ye kaisi hain ThanDi saansein 'kaifi' kahin to aayaa hai aap kaa dil ye munh nikal aayaa kyuun zaraa saa bataaiye to ki haal kyaa hai"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"jo dil mein hai vo kah Daalo lihaaz-e-in-o-aan kab tak rahe izhaar-e-haq mein maslahat mohr-e-dahaan kab tak junun-e-saakhta par laa-shu'uri kaa gumaan kab tak raTe jaaoge ye 'ishq-o-vafaa ki daastaan kab tak zamaane ne to karvaT li hai aur rang-e-jahaan badlaa magar dekhein badalte hain hamaare mehrbaan kab tak zaraa jaancho tum apne dil ko parkho apne vaa'don ko tum apnaa imtihaan lo dusron kaa imtihaan kab tak idhar aao mai-e-hubb-e-vatan ki chaashni chakkho sadaa 'kaifi' ki hai ye khvaahish-e-jaam-e-fughaan kab tak"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"aah vo shoala hai jo ji ko bujhaa ke uTThe dard vo fitna hai jo dil ko biThaa ke uTThe aap ki yaad mein ham ai sanam-e-ghaflat-kesh aise baiThe ki qayaamat hi uThaa ke uTThe ek duzdida-nazar se miraa dil chhin ke vaah tum kidhar ko miri jaan aankh bachaa ke uTThe arsa-e-hashr tak ik lag gayaa taantaa un kaa murde qabron se jo tere shohdaa ke uTThe ramazaan kyunki baras-bhar ko samajh baiThein ham aae din ke bhi kisi se ye kaDaake uTThe dil-nashin rahmat-e-haq jab se hui hai 'kaifi' daghdaghe dil se mire roz-e-jazaa ke uTThe"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"paani siyaane dete hain kyaa phunk phunk kar dil soz-e-gham ne khaak kiyaa phunk phunk kar chhiDkaav aab-e-tegh kaa hai ku-e-yaar mein paanv is zamin pe rakhiye zaraa phunk phunk kar dekhaa na aankh-bhar ke nazar ke khayaal se lete hain ham to naam tiraa phunk phunk kar hogaa na saaf jhuTi havaa-khvaahiyon se dil yuun dil kaa kab ghubaar uDaa phunk phunk kar baad-e-nafas se daagh-e-dil-e-sard jal uThe ham ne jilaa diyaa hai diyaa phunk phunk kar ulTaa hai kyaa is aah-e-sharar-baar kaa asar dil hi bujhaa diyaa hai miraa phunk phunk kar piiri mein aaegi na kabhi taaqat-e-shabaab ai piir laakh paare ko khaa phunk phunk kar shaitaan kaa dhokaa zaahid-e-pur-fan pe kyuun na ho piitaa hai chhaachh dudh-jalaa phunk phunk kar aatish-bayaani-e-lab-e-'kaifi' ne bazm mein dushman ke dil ko khaak kiyaa phunk phunk kar"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi
Quote
"kyaa huaa markaz-e-hasti agar insaan na huaa aabru khaak hai qatre ki jo tufaan na huaa sakht mushkil hai ki himmat ye hui sahl-pasand ghair-mumkin rahaa vo kaam jo aasaan na huaa sharm bhi aati hai ye kahte aur afsos bhi hai aadmi yuun to sabhi kuchh huaa insaan na huaa jaama pahne rahaa parvaanon ki jaan-baazi kaa sho'la faanus ke parde mein bhi uryaan na huaa kar gayaa aankhon ko khira vo farogh-e-jalva kis liye nur-e-hudaa parde mein pinhaan na huaa khel samjhaa kiye 'aalam ke karishmon ko ham dil-e-khud-rafta kisi baat se hairaan na huaa phir 'ajab kyaa hai 'adam se jo hui dilchaspi darkhur-e-vus'at-e-dil ‘aalam-e-imkaan na huaa hain mire dil mein vo aahein na banein jo bijli meri aankhon mein vo qatra hai jo tufaan na huaa hausla kis ko hai dil chiir ke dikhlaaun kise vo sharar is mein hai jo sang mein pinhaan na huaa gham rahaa un ko jo dozakh mein paDe jalte hain mere khush hone kaa jannat mein bhi saamaan na huaa do jagah dair mein yaa daar pe tum 'kaifi' ko kaafir-e-‘ishq kabhi dushman-e-imaan na huaa"
Dattatriya KaifiDattatriya Kaifi