SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJameel Malik(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zabaan mile to hazaar baatein kahaa karein ham sadaa kaa rishta hi TuuT jaae to kyaa karein ham ye shahr-e-shisha to shahr-e-naa-aashnaa hai pyaare kise pukaarein yahaan kise aashnaa karein ham agar khudaa tak pahunch sake harf-e-naa-rasaai to arsh tak bhi buland dast-e-duaa karein ham yahaan masihaa ke kaam hi jab duaa na aai duaa karein ab to kis ki khaatir duaa karein ham ab un ke haathon kafan kaa ehsaan bhi kyon uThaaein shahaadaton ke lahu se rangin qabaa karein ham koi kisi ko na de sake taan-e-naa-rasaai jo qarz-e-jaan hai vo mar ke vaada vafaa karein ham ham apnaa qaatil khud apne hi aaine mein dekhein agar kabhi apni zaat kaa saamnaa karein ham mahak uThe karbalaa se apne vatan tak aae kuchh aise zinda vo qissa-e-karbalaa karein ham vo jis ki khushbu abad abad tak rahe salaamat ik aisaa naama raqam safir-e-sabaa karein ham vo jis adaa se urus-e-fardaa ko tu ne chumaa nisaar us par har ik adaa khush-adaa karein ham 'jamil' sab se azim-tar is sadi kaa gham hai sabhi ko ab is ke ishq mein mubtalaa karein ham"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"vo aaeinge to khileinge nashaat-e-vasl ke phuul shab-e-firaaq mein un ki sakhaavaton ko na bhuul yahi hai kyaa tiri taqsim-e-gulsitaan kaa usuul kisi ko phuul milein aur kisi ko khaar babul zamin kaa rang to ham-rang-e-daam hotaa hai bhaTak na jaaein kahin meri chaahaton ke rasul tumhaare paas to sim-sim kaa ism-e-aazam hai ye kyaa ki band hai apne liye hi baab-e-qubul kisi kaa dida-e-khunin bhi rang laa na sakaa kisi ke shola-e-tan se pighal gae hain usuul bujhaaein pyaar mohabbat ke shabnamistaan se na baiTh jaae gul-e-jaan pe nafraton ki ye dhuul bhari bahaar mein jaise phuvaar paDti hai kuchh is tarah mire dil par hai shaairi kaa nuzul ulajh gae kabhi sangin haqiqaton se 'jamil' kabhi kisi ke tasavvur se ho gae hain malul"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"kaun hamaaraa dard baTaae kaun hamaaraa thaame haat un ke nagar mein jagmag-jagmag apne des mein raat hi raat niile niile ambar par vo chaand vo kirnon ki barsaat ham donon khoe khoe se haae vo mast-manohar ghaat tu gulshan gulshan iThlaae main sahraa sahraa bhaTkun dil kaa ye saudaa hai varna teraa aur meraa kyaa saat sab duniyaa-daari ki baatein dil mein aur zabaan par aur tujh se pyaar baDhaa kar aakhir jaan gae teri auqaat chaahe ab is ko apnaao chaahe naaz se Thukraao aaj se apnaa dakhl nahin hai dil ki Dor tumhaare haat duniyaa kaa manshaa hai pyaare ham ghuT ghuT kar mar jaaein dil ki dhaDkan ye kahti hai ik din badleinge haalaat ek anokhi lai se main ne sab ke dil pighlaae hain duniyaa ko ye vahm ki mere honTon par hai apni baat"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"ye aur baat hamein surat-e-gulaab lage 'jamil' zakhm lage aur be-hisaab lage tumhaare baad na takmil ho saki apni tumhaare baad adhure tamaam khvaab lage main kaise tujh ko pukaarun kahaan se laaun tujhe tire baghair agar zindagi azaab lage main jitni baar paDhun kaise kaise rang bharun tiraa gulaab saa chehra mujhe kitaab lage har ik savaal pe to muskuraa ke rah jaae hamein to ek hi jaisaa tiraa javaab lage dikhaai de kabhi mahtaab mein tiri surat kabhi tu din ke ujaale mein aaftaab lage 'jamil' khvaab haqiqat-numaa bhi hote hain vahi qarib-e-rag-e-jaan hai jo saraab lage"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"mahfilein khvaab huiin rah gae tanhaa chehre vaqt ne chhin liye kitne shanaasaa chehre saari duniyaa ke liye ek tamaashaa chehre dil to parde mein rahe ho gae rusvaa chehre tum vo bedard ki muD kar bhi na dekhaa un ko varna karte rahe kyaa kyaa na taqaazaa chehre kitne haathon ne taraashe ye hasin taaj-mahal jhaankte hain dar-o-divaar se kyaa kyaa chehre soe patton ki tarah jaagti kaliyon ki tarah khaak mein gum to kabhi khaak se paidaa chehre khud hi viraani-e-dil khud hi charaagh-e-mahfil kabhi mahrum-e-tamannaa kabhi shaidaa chehre khaak uDti bhi rahi abr barastaa bhi rahaa ham ne dekhe kabhi sahraa kabhi dariyaa-chehre yahi imroz bhi hangaama-e-fardaa bhi yahi pesh karte rahe har daur kaa naqsha chehre diip jalte hi rahe taaq pe armaanon ke kitni sadiyon se hai har ghar kaa ujaalaa chehre khatm ho jaaein jinhein dekh ke bimaari-e-dil DhunDh kar laaein kahaan se vo masihaa chehre daastaan khatm na hogi kabhi chehron ki 'jamil' husn-e-yusuf to kabhi ishq-e-zulekhaa chehre"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"munh-band hasraton ko sukhan-aashnaa karo toDo sukut saaz-e-ghazal ibtidaa karo laao kahin se sang-e-malaamat hi kyuun na ho yaaro shikast-e-shisha-e-dil ki duaa karo maasum laghzishon ki bahut daad mil chuki ab aashnaa-e-ghair ke taane sunaa karo haare hue khulus pe sharmindagi hai kyuun kis ne nahin kahaa thaa ki dil kaa kiyaa karo naadaan ho jahaan kaa chalan dekhte nahin rasm-e-jafaa ko aam ba-naam-e-vafaa karo phir koi jaan-navaaz bahaana taraash lo phir koi dil-fareb achhuti khataa karo mil jaaegaa 'jamil' koi zakhm koi phuul aao na tum bhi kucha-e-dil mein sadaa karo"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"kis ki mahfil se uTh ke aayaa huun apne ghar mein huun aur tanhaa huun tu miri zindagi ki shaam na ban main tiri subh kaa ujaalaa huun chaand mein bastiyaan basaa lenaa mujh ko DhunDho ki main bhi duniyaa huun jaan-e-imroz raunaq-e-fardaa koi samjhe mujhe to kyaa kyaa huun kaise jhuTlaaegi mujhe duniyaa main ki haalaat kaa taqaazaa huun meri khushbu se bas rahe hain chaman main har ik shaakh-e-gul se paidaa huun ye jahaan mazra-e-tamannaa hai aur main haasil-e-tamannaa huun"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"khushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimaagh aai shab-e-firaaq to gul ho gae charaagh dil ki lagi bhaDak ke nigaahon tak aa gai palkon pe shaam-e-vasl jalaae hain dil ke daagh us chashm-e-mai-farosh se hangaam-e-naav-nosh phuTaa vo sail-e-nur ki lau de uThe ayaagh vo gul khilein ki jin ki mahak laa-zavaal ho is ek din mein ham ne sajaae hain kitne baagh aakhir khulaa ki tu hai mire ghar ki raushni yuun to tire baghair bhi jalte rahe charaagh jab chashm-o-dil bujhe to shabistaan-e-shauq mein ham ne hatheliyon pe jalaae hain shab charaagh jo vaadi-e-jamaal mein gum ho gae 'jamil' apni talab ke saath hi un kaa bhi kuchh suraagh"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"falak kaa har sitaaraa raat ki aankhon kaa moti hai jise shabnam sahar ki shokh kirnon mein piroti hai vahi masti miri dhaDkan hai mere dil ki joti hai jo teri nilgun aankhon mein gahri niind soti hai zamin-e-dard mein chaahat vafaa ke biij boti hai to kyaa kyaa jaavedaan lamhaat ki takhliq hoti hai taDapti hai mire siine mein aise aarzu teri koi jogan ghane jangal mein jaise chhup ke roti hai ye meri soch har zarre mein suraj ki tamannaai ye dil ki raushni ko lamhe lamhe mein samoti hai gae vaqton ki pahnaai chhalak jaati hai aankhon se andheri raat mein jab qatra qatra os roti hai kahaan milti hai vo raahat nae yakh-basta chehron mein puraane doston se mil ke jo taskin hoti hai"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"surkhi-e-shaam ne yuun phuul bikhere dil mein jaise chupke se utar aae savere dil mein ham to sadiyon se yuun hi gosh bar-aavaaz rahe jaane vo kaun hai kyaa raaz hain tere dil mein paas shab bhar koi khurshid-sifat rahtaa hai din to taare se utar aate hain mere dil mein pyaar ki lu se munavvar hai shabistaan-e-visaal aaj to aan mile shaam savere dil mein ham musaafir hain mohabbat ki kaThin raahon ke thak bhi jaate hain to karte hain basere dil mein kyuun bhaTaktaa hai idhar aa ke zaraa sustaa le is taraf dhuup hai baadal hai ghanere dil mein apnaa sarmaaya-e-fan phir bhi salaamat hi rahaa kitni hi baar 'jamil' aae luTere dil mein"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"jo khayaal aayaa tumhaari yaad mein Dhaltaa rahaa dil charaagh-e-shaam ban kar subh tak jaltaa rahaa ham kahaan rukte ki sadiyon kaa safar darpesh thaa ghanTiyaan bajti rahein aur kaarvaan chaltaa rahaa kitne lamhon ke patange aae aa kar jal-bujhe mein charaagh-e-zindagi thaa taa-abad jaltaa rahaa husn ki taabaaniyaan meraa muqaddar ban gaiin chaand mein chamkaa kabhi khurshid mein Dhaltaa rahaa jaane kyaa guzri ki farzaane bhi divaane hue main to shaaer thaa khud apni aag mein jaltaa rahaa"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"doston ke darmiyaan bhi ham ko tanhaa dekhte tum kabhi aate sar-e-mahfil tamaashaa dekhte aaina-khaanon mein kyaa rakkhaa hai hairat ke sivaa kucha-o-baazaar mein khun-e-masihaa dekhte maut ko bhi ham banaa lete mataa-e-zindagi qatl yuun hote ki sab daanaa o biinaa dekhte qais ki maanind kyuun tasvir ban kar rah gae parda-e-mahmil uThaa kar ru-e-lailaa dekhte mein tumhaare husn kaa be-saakhta izhaar huun apne aaine mein meraa bhi saraapaa dekhte DhunDne nikle hain tujh ko maavaraa-e-aab-o-gil umr guzri yam-ba-yam sahraa-ba-sahraa dekhte kyaa ye kam hai farsh se taa-arsh ho aae 'jamil' chaar din ki zindagi mein aur kyaa kyaa dekhte"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"DhunDte phirte hain zakhmon kaa mudaavaa nikle is bhare shahr mein koi to masihaa nikle uf ye amboh-e-ravaan haae miri tanhaai kahin rasta nazar aae koi tum saa nikle chaand se chehron pe pathraai hui zard aankhein koi batlaao ye kis shahr mein ham aa nikle pas-e-divaar khaDaa hai koi tanhaa kab se tu na nikle tire ghar se tiraa saaya nikle jin pe sau naaz kare anjuman-aaraai bhi ghaur se dekhaa to vo log bhi tanhaa nikle ye sitaaron ke taDapte hue simin paikar jaane kab raat Dhale nuur kaa dariyaa nikle chaand suraj se bhi taariki-e-dauraan na gai dekhiye parda-e-akhliq se ab kyaa nikle"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"dil ki dil ne na kahi yuun to kai baar mile ham shanaasaa the magar surat-e-aghyaar mile us se kahnaa ki na ab aur vo itraa ke chale dosto tum ko agar yaar-e-tarah-daar mile bevafaa ham hain to ai jaan-e-vafaa yunhi sahi DhunD lenaa jo tumhein koi vafaadaar mile ham to dil de ke bhi duniyaa mein akele hi rahe jo havas kaar the sab un ke taraf-daar mile dil ki qimat to mohabbat ke sivaa kuchh bhi na thi jo mile surat-e-zebaa ke kharidaar mile ham ne kaanTon ko bhi siine se lagaa rakkhaa hai khaar bhi ham se ba-rang-e-gul-e-gulzaar mile duriyaan faasle ho jaate hain tai aakhir-e-kaar sar-e-gulzaar jo bichhDe the sar-e-daar mile"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"tiri justuju mein nikle to 'ajab saraab dekhe kabhi shab ko din kahaa hai kabhi din mein khvaab dekhe mire dil mein is tarah hai tiri aarzu khiraamaan koi naaznin ho jaise jo khuli kitaab dekhe jise meri aarzu ho jo kharaab-e-ku-ba-ku ho mujhe dekhne se pahle tujhe be-naqaab dekhe jise kuchh nazar na aayaa ho jahaan rang-o-bu mein vo khilaa gulaab dekhe vo tiraa shabaab dekhe do-jahaan ko laa Duboe vo zaraa si aabju mein tiri chashm-e-surmagin ko jo koi pur-aab dekhe yuun Thahar Thahar ke guzri shab-e-intizaar yaaro ki sahar ke hote hote kai ham ne khvaab dekhe mujhe dekhnaa ho jas ko mire haal par na jaae miraa zauq-o-shauq dekhe miraa intikhaab dekhe"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"yaaron ne apne apne gharon ko basaa liyaa ik tum ki apni zaat ko zindaan banaa liyaa gumraah to hue the magar khud ko paa liyaa apne hi aaine se tumhaaraa pata liyaa in naa-tavaaniyon pe bhi the itne khud-nigar ye zindagi kaa koh-e-giraan bhi uThaa liyaa aankhon se motiyon kaa hai taantaa bandhaa huaa Duube hain is tarah ki samundar churaa liyaa bas ik shu'ur-e-raah-navardi thaa aas-paas kyaa kyaa na raaston mein luTeron ne aa liyaa Duube hain ham to biich bhanvar mein magar bataa saahil pe jaa ke tu ne bhi kyaa naa-khudaa liyaa khud bhi to imtihaan-e-vafaa se guzar ke dekh tu ne to laakh baar hamein aazmaa liyaa is daur-e-be-hunar mein hain donon girafta-dil kyaa de sake hain ham bhi tumhein aur kyaa liyaa ham ne to chaahaton ke khazaane luTaa diye duniyaa ne pattharon ko gale se lagaa liyaa me’yaar-e-dosti hai ki baazaar-e-dosti saudaa mohabbaton kaa kiyaa raastaa liyaa aage nikal gae the bahut ham-safar 'jamil' ham ne bhi manzilon pe magar un ko jaa liyaa"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"kyaa kyaa ba-dast-e-ghaib sabhi ne liyaa na thaa lekin miri vafaa kaa koi bhi sila na thaa aavaaza-e-raqib se uljhe hain baar baar tujh se shikaayaton kaa magar hausla na thaa us ki navaazishon pe na itraao dosto mujh par karam vo thaa ki kisi par huaa na thaa lete hain baar baar vo aise khudaa kaa naam duniyaa mein jaise aur kisi kaa khudaa na thaa raste dayaar-e-dil ke bhi kitne ajiib the sab raah-rau the koi yahaan rahnumaa na thaa dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru dil thaa munaafiqat se kabhi aashnaa na thaa shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li aankhein thiin us ke paas magar dekhtaa na thaa naadida manzilon ke musaafir the kitne log chalnaa thaa jin kaa kaam magar aasraa na thaa kyaa bujh gae the mere hi ghar ke sabhi charaagh yaa shahr bhar mein koi diyaa bhi jalaa na thaa ham ne bhi khun-e-dil se jalaai hain mishalein har chand apne paas koi moajiza na thaa taqsim ho gai thi nazar rang-rang mein dekhaa jo ghaur se koi kaanTaa buraa na thaa us gul kaa aab-o-rang hi thaa ru-kash-e-bahaar jo gul darun-e-shaakh thaa lekin khilaa na thaa qaatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard mein tujh saa magar 'jamil' koi dusraa na thaa"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"raah ko jo aasaan banaa de vo manzil kyaa manzil hai har manzil se aage yaaro apne shauq kaa haasil hai jis ko dard kaa darmaan samjhaa vo bhi dard bharaa dil hai itne dard pe bhi ye duniyaa kitne pyaar ke qaabil hai baahar se aavaaz ye aae tum hi masihaa ho apne mere andar shor bapaa ho dil hi apnaa qaatil hai kuchh manzil par jaa sustaae kuchh raahon mein baiTh gae koi kisi kaa bhed na jaane apni apni manzil hai ham ko insaan aur khudaa ke farq pe kitni vahshat thi dekhaa to is doraahe par apni zaat hi haael hai naa-daanon ko de deti hai duniyaa farzaanon kaa naam vo hi divaana kahlaae jo bhi 'ishq mein kaamil hai rang-e-mohabbat rang-e-abad hai phuul huun main mahkaar hai tu daaim qaaem raunaq-e-hasti teri meri mahfil hai tufaanon se Dar jaaein to saahil se tufaan umDein maujon ko patvaar banaa lein to har mauj hi saahil hai mushkil ko aasaan samajh ke ham har 'uqda kholeinge apni fikr 'jamil' karein vo sahl bhi jin ko mushkil hai"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"vo apne chaahne vaalon ke darmiyaan se uThaa vahaan se baat na aage chali jahaan se uThaa vo dusron ke liye apni jaan kyuun detaa na apnaa dard bhi jis yaar-e-mehrbaan se uThaa ham apni aag mein jal bujh ke raakh ho bhi chuke vo aaj puchh rahe hain dhuaan kahaan se uThaa tiraa 'itaab-e-nazar ham to sah gae lekin zamin kaanp gai shor aasmaan se uThaa bahut dinon se jo kahnaa thaa un se keh aae balaa kaa bojh thaa jo aaj jism-o-jaan se uThaa ham aap apni nigaahon mein ho gae rusvaa thaa ik hijaab kaa parda so darmiyaan se uThaa har ek baiTh gayaa apne apne saae mein na baar-e-ham-safaraan mir-e-kaarvaan se uThaa ye soz-e-'ishq bhi hai dard-e-mushtarak hi nahin jalaa hai koi dhuaan mere aashiyaan se uThaa har ek chiiz puraani dikhaai dene lagi makin 'jamil' jab apne nae makaan se uThaa"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"raat kitne naa-taraashida guhar bhi laaegi naa-taraashida si zau lekin sahar bhi laaegi jagmagaa uTTheinge shaakhon par gulaabon ke charaagh jab bahaar aai to apne baal-o-par bhi laaegi aaj tak lauTe nahin naadida shamon ke safir jugnuon ki raushni un ki khabar bhi laaegi jab mili aavaargi ko manzil-e-khud-aagahi dasht mein khoe huon ko apne ghar bhi laaegi khaak se takhliq hogi aatish-o-aab-o-havaa zindagi khud apnaa saamaan-e-safar bhi laaegi taa-ba-kai chhup kar karoge meraa sar tan se judaa dekhnaa kal ki gavaahi meraa sar bhi laaegi jab bujhegi aag to apne hi naghmon se 'jamil' zard aandhi baarish-e-barq-o-sharar bhi laaegi"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"kin mausamon mein aaegi ikkisvin sadi kyaa kyaa hamein dikhaaegi ikkisvin sadi kitne nae charaagh jalaane ke vaaste kitne diye bujhaaegi ikkisvin sadi sukhe hue labon pe jo sadiyon ki pyaas hai kyaa pyaas vo bujhaaegi ikkisvin sadi har ik sadi ke khvaab nae aur nae azaab kyaa khel ab rachaaegi ikkisvin sadi ye bisvin sadi to qayaamat se kam na thi kyaa hashr ab uThaaegi ikkisvin sadi sab ke dilon mein guunj hai jis inqalaab ki vo guunj kyaa sunaaegi ikkisvin sadi jitne savaal dil mein hain shoala-fishaan 'jamil' sab kaa javaab laaegi ikkisvin sadi"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"raah-e-talab mein aaj ye kyaa moajaza huaa khvaab-e-adam mein jo bhi gayaa jaagtaa huaa maidaan mein haar jiit kaa yuun faisla huaa duniyaa thi un ke saath hamaaraa khudaa huaa barson ki dosti kaa chalan kyaa se kyaa huaa kis munh se ham mileinge agar saamnaa huaa sadiyon kaa dard vaqt ki aavaaz ban gayaa phir se bapaa vo maarka-e-karbalaa huaa laayaa hai rang khun-e-shahidaan ba-faiz-e-shauq nazron ke saamne hai gulistaan khilaa huaa patthar bane hue the zabaan de gayaa hamein ehsaas ki ragon mein lahu boltaa huaa raahein simaT simaT ke nigaahon mein aa gaiin jo bhi qadam uThaa vahi manzil-numaa huaa aankhon mein mishalein hain firozaan davaam ki dil mein hai teri yaad kaa kaanTaa chubhaa huaa tu manzil-e-hayaat se aage nikal gayaa main aa rahaa huun teraa pata puchhtaa huaa jaan nazr ki to donon jahaan mil gae hamein tai marg o zindagi kaa har ik marhala huaa yuun dil mein aaj nuur ki baarish hui 'jamil' jaise koi charaagh jalaa de bujhaa huaa"
Jameel MalikJameel Malik
Quote
"kal tak kitne hangaame the ab kitni khaamoshi hai pahle duniyaa thi ghar mein ab duniyaa se ru-poshi hai pal bhar jaage gahri niind kaa jhonkaa aayaa Duub gae koi ghaflat si ghaflat madhoshi si madhoshi hai jitnaa pyaar baDhaayaa ham se utnaa dard diyaa dil ko jitne duur hue ho ham se utni ham-aaghoshi hai sab ko phuul aur kaliyaan baanTo ham ko do sukhe patte ye kaise tohfe laae ho ye kyaa barg-faroshi hai rang-e-haqiqat kyaa ubhregaa khvaab hi dekhte rahne se jis ko tum koshish kahte ho vo to lazzat-koshi hai hosh mein sab kuchh dekh ke bhi chup rahne ki majburi thi kitni maani-khez 'jamil' hamaari ye be-hoshi hai"
Jameel MalikJameel Malik