Quote
"meri hasti ko miTaa kar dekho khaak mein khaak milaa kar dekho aag mein aag to lag jaaegi aag paani mein lagaa kar dekho vasl kaa shahd chakhaa hai tum ne hijr kaa zahr bhi khaa kar dekho sang koi bhi uThaa letaa hai aasmaan sar pe uThaa kar dekho meraa daa'vaa hai bharegaa hi nahin phuul kaa zakhm to khaa kar dekho donon 'aalam mein na sar kham hogaa sar namaazon mein jhukaa kar dekho ye bhi mumkin hai havaa ho jaae dard mein dard milaa kar dekho dhuup dahshat ki chali jaaegi amn kaa peD lagaa kar dekho rote rote bhi kabhi hans denaa dhuup mein chhaanv milaa kar dekho"







