SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhawar Rizvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"baa-hama yurish-e-aalaam-o-sitam zinda huun main mushaf-e-vaqt kaa ik baab-e-darakhshanda huun main mere siine mein dhaDaktaa hai dil-e-asr-e-ravaan is zamaane kaa mufassir huun numaainda huun main main ki haq thaa huaa har daur mein maslub magar kal bhi paainda thaa main aaj bhi paainda huun main tu tamannaai hai ik jannat-e-mauuda kaa apni gum ki hui firdaus kaa joinda huun main mere zakhmon se huvaidaa hai hinaa-bandi-e-gul ik naved-e-chaman-aaraai-e-aainda huun main madh-khvaan-e-shab-e-taarik mujhe kyaa samjhe subh-e-gul-rez ke naghmon kaa navisanda huun main ye jahaan kaise faraamosh karegaa mujh ko is ke aflaak kaa ik 'khaavar'-e-taabinda huun main"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"ik khalish ik karb pinhaan meri khaakistar mein hai meraa dushman haadisa ye hai ki mere ghar mein hai kaun kis ke ashk ponchhe kaun kis kaa dukh baTaae jo hai vo mahrumiyon ke gumbad-e-be-dar mein hai zarb-e-tesha chaahiye aur dast-e-aazar chaahiye ik jahaan-e-khaal-o-khad khvaabida har patthar mein hai is zamaane mein miri saada-dili meraa khulus ek manzar hai magar be-rabt pas-manzar mein hai bech di 'khaavar' yahaan yaaron ne naamus-e-vafaa tu bhi pyaare kis bhulaave mein hai kis chakkar mein hai"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"baDheinge aur bhi yuun silsile hijaabon ke kar apni baat havaale na de kitaabon ke main shahr-e-gul kaa musaafir mare sharik-e-safar saubaton ki ye raatein ye din azaabon ke tiri nazar se ibaarat the tere saath gae vo phuul mere khayaalon ke rang khvaabon ke tamaam umr phir ik karb ki chitaa mein jale ham ek pal jo ruke shahar mein gulaabon ke haTaayaa rang kaa paudaa to zakhm zakhm thaa phuul chaman chaman the vahi silsile saraabon ke abhi vo habs hai 'khaavar' ki dam ulajhtaa hai abhi khule rakho darvaaze apne khvaabon ke"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"khvaabon ki tilsmaati guphaaon se nikal ke dekho kabhi viraana-e-jaan aankh ko mal ke har lamha hai ik aaina-e-umr-e-guzishta peshaani-e-imroz pe bhi zakhm hain kal ke tai ho na sakaa marhala-e-dasht-e-tamannaa divaar bani paanv ki zanjir pighal ke ik roz to ye dil ki taDap lab pe bhi aae ik roz to ye saaghar-e-labrez bhi chhalke dekhaa jo kabhi dil ke dariche mein simaT kar sadiyaan milein simTi hui aaghosh mein pal ke haijaan se hain gunji hui dhyaan ki galiyaan dil mein utar aae hain nigaahon ke dhundalke 'khaavar' abhi kuchh yaad ki shamein hain farozaan raushan hain dar-o-baam abhi meri ghazal ke"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"vo khud-parast hai aur khud-shanaas main bhi nahin fareb-khurda-e-vahm-o-qayaas main bhi nahin fazaa-e-shahr-e-talab hai anaa-guzida bahut adaa-shanaas-e-rah-e-iltimaas main bhi nahin main kyuun kahun ki zamaana nahin hai raas mujhe main dekhtaa huun zamaane ko raas main bhi nahin vo faisle ki ghaDi thi kaDi so biit gai bichhaD ke tujh se kuchh aisaa udaas main bhi nahin ye vaaqia ki tujhe khal rahi hai tanhaai ye haadisa ki tire aas-paas main bhi nahin huaa kare jo hai 'khaavar' fazaa khilaaf mire asir-e-halqa-e-khauf-o-hiraas main bhi nahin"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai naazaan huun main ki meraa taalluq zamin se hai vaqf-e-farogh-e-rang-nazar aur dil ba-zid pairaahan-e-hayaat darida kahin se hai sajdon ki zau nahin hai to zakhmon ke phuul hain baaqi koi to sang kaa rishta jabin se hai kyaa zikr-e-be-rukhi ki ye sheva hai husn kaa shikva mujhe tiri nigah-e-avvalin se hai main teraa baankpan huun mujhe haath se na kho angushtari ki zinat-o-qimat nagin se hai dhuul uD rahi hai dida-e-khun-naaba-baar mein qaaem ab ashk-e-gham kaa bharam aastin se hai ham bhaagte phirein ye muravvat se hai baiid jab gardish jahaan ko aqidat hamin se hai aashob-e-rozgaar ne ye haal kar dayaa baatein kahin ki hain to havaala kahin se hai 'khaavar' kisi bhi rishte ko haasil nahin sabaat juz rishta-e-vafaa jo dam-e-vaapsin se hai"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"jitnaa barham vaqt thaa utne hi khud-sar ham bhi the mauj-e-tufaan thaa agar pal pal to patthar ham bhi the kaash koi ik uchaTti si nazar hi Daaltaa chuur the zakhmon se lekin ek manzar ham bhi the gar vabaal-e-dosh thaa sar haath mein tesha bhi thaa ik taraf se to nasibe ke sikandar ham bhi the khud-shanaasi kaa bhalaa ho raakh ki chuTki hain aaj varna ik rakhshanda-o-taabinda gauhar ham bhi the sath-biin the log kyaa paate hamaari vusatein jhaanktaa dil mein koi to ik samundar ham bhi the chaDhte suraj ki parastish go thaa duniyaa kaa usuul ham kisi ko pujte kaise ki 'khaavar' ham bhi the"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"piyaa jo zahr-e-gham-e-zist angbin ki tarah nikhar gayaa huun kisi ru-e-aasmaan ki tarah mire vajud ke sahraa-e-shab-zada pe ye kaun kiran bikhertaa rahtaa hai mah-jabin ki tarah main apni zaat mein mahbus ho ke baiTh rahaa bikhartaa kaash tiri zulf-e-ambarin ki tarah hui hai khaak se meri numud mein bhi yahaan asir-e-gardish-e-haalaat huun zamin ki tarah main apne zaahir-o-baatin mein ek jaisaa huun faraakh dil bhi hai meraa miri jabin ki tarah main gham ki aag mein khaavar na jal ke raakh huaa vagarna main bhi chamaktaa kisi nagin ki tarah"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"dil-e-khud-aashnaa sohaan-e-zindagi hogaa ye sang-e-mil hai kal sang-e-raah bhi hogaa har ek moD pe pichhe palaT ke dekhtaa huun vo gard-e-rah sahi hamraah to koi hogaa hamein hamaari vafaa dasht dasht DhunDegi tumhaare husn kaa charchaa gali gali hogaa vo main nahin miri aashuftagi-e-dil hogi vo tu nahin tiraa andaaz-e-dilbari hogaa bahaar-e-jalva-e-gul to nazar mein thi kal bhi tahi thaa dast-e-talab aaj bhi tahi hogaa sunaa hai vaqt kabhi ek saa nahin rahtaa qayaam fasl-e-khizaan kaa bhi aarzi hogaa tumhaari shab hai ziyaa-baar maah-o-anjum se hamaari subh kaa manzar bhi didani hogaa ye rang-e-bazm ghaDi do ghaDi hai phir 'khaavar' kahin pe hogaa koi aur kahin koi hogaa"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"the daaman-e-hayaat pe ik daagh ham, gae lekin ye kyaa huaa tiri zulfon ke kham gae ik ehtijaaj se hain ibaarat hayaat-o-maut rote hue jo aae to baa-chashm-e-nam gae tai kar sakaa na vusat-e-dasht-e-vafaa koi daave jinhein bahut the qadam-do-qadam gae kuchh der khelte rahe mauj-e-balaa se ham kuchh duur saath saath vajud-o-adam gae Thahre hue hain barg-e-khizaan-dida ki tarah sanki havaa zaraa bhi to samjho ki ham gae ye maajraa hai kyaa ki zamin Dolne lagi ye kyaa huaa ki chalte hue log tham gae"
Khawar RizviKhawar Rizvi
Quote
"dil hi dil mein ghuT ke rah jaaun ye meri khu nahin aaj ai aashob-e-dauraan main nahin yaa tu nahin sang ki surat paDaa huun vaqt ki dahliz par Thokaron mein zindagi hai aankh mein aansu nahin shab ghanimat thi ki raushan the ummidon ke khutut din ke sahraa mein koi taaraa koi jugnu nahin chaar jaanib ye saje chehre hain yaa kaaghaz ke phuul rang ke jalve to hain lekin kahin khushbu nahin teri rahmat kaa nahin har chand main munkir magar sar pe jo chaDh kar na bole vo koi jaadu nahin maslahat hai jin kaa maslak vo mire bhaai kahaan jo na uTThein mere dushman par mire baazu nahin"
Khawar RizviKhawar Rizvi