Quote
"main kyaa kahun ki tiri chashm-e-iltifaat nahin hayaat-e-shauq pe taari gham-e-hayaat nahin jo dil pe guzrin mohabbat ke khaas lamhon mein hudud-e-sharh-o-bayyan mein vo vaaqiaat nahin gham-e-davaam-e-mohabbat hai tishna-e-maani fanaa ke baad agar manzil-e-hayaat nahin tire baghair bhi ehsaas-e-zist hai lekin taDap mein dard ki vo shorish-e-hayaat nahin maqaam-e-be-khudi ishq ai maaaz-allaah main us jagah huun jahaan mujh ko hosh-e-zaat nahin nigaah-e-dost tiri dil-navaaziyaan maalum khataa muaaf main khvaahaan-e-iltifaat nahin jamaal tak hi na mahdud rakh nazar 'maani' ki aashiqi ki yahi saari kaaenaat nahin"







