SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMasood Qureshi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tulu-e-subh se kab kab zavaal-e-shab se huaa jahaan mein nuur faqat barq-e-nutq-o-lab se huaa judaa judaa the bahut nek-naam ham donon malaamaton kaa hadaf hain milaap jab se huaa mile ho tum to hui qadr dil ko lamhon ki guzar chuki hai bahut par hisaab ab se huaa har ek chaahne vaalaa banaa hai khusrav-e-gham dayaar-e-ishq mein ye inqalaab kab se huaa lahu ki dhaar ko samjhe haqir khanjar se zavaal saahab-e-jaanaan isi sabab se huaa kisi adaa ko sitam kah diyaa kisi ko karam ye ikhtiyaar dil-e-zaar tum ko kab se huaa saji hain dil mein tumhaare karam ki tasvirein idhar se gham kaa guzar bhi baDe adab se huaa"
Masood QureshiMasood Qureshi
Quote
"jab lagi aanch to shoale se sharaare TuuTe baDh gai raat ki zulmat to sitaare TuuTe ishq kaa naaz vafaa husn kaa ehsaan jafaa ham jo TuuTe to mohabbat ke idaare TuuTe ab khulaa raaz ki hain khvaab hi duniyaa ke sutun zalzale aae hain jab khvaab hamaare TuuTe vo kahin chhoD na de ye na jafaa ho jaae ek janjaal se chhuTe jo sahaare TuuTe ham ghubaaron ke sahaare to bahut auj pe the jab haqiqat ki lagi dhuup ghubaar TuuTe ab to kuchh jaan hi salaamat hai na tan hi mahfuz sab ko ujlat sabhi khud-kaar ishaare TuuTe"
Masood QureshiMasood Qureshi
Quote
"raqsaan sharaar-e-dil tiri mauj-e-sukhan se thaa tanhaai mein ye qurb tiri anjuman se thaa meraa sukhan hi thaa miraa sarmaaya-e-hayaat phir main huaa shahid bhi apne sukhan se thaa daanishvari kaa zahr na thaa mujh pe kaargar mere libaas-e-khaas khirad ke kafan se thaa luTne se bhi sivaa thaa shikast-e-yaqin kaa gham shab-khun kaa ehtimaal to thaa raahzan se thaa the yaar-e-tez-gaam bhi jaada-shanaas bhi rukh un kaa jo bhi thaa vo havaa ke chalan se thaa un se bichhaD ke huun koi aavaara ruuh main goyaa miraa vajud unhin ke badan se thaa gulchin-o-baaghbaan hi nahin vaaris-e-chaman murghaan-e-naghma-khvaan kaa bhi rishta chaman se thaa"
Masood QureshiMasood Qureshi
Quote
"sab ki zabaan pe zikr tiri tund-khu kaa thaa mere labon pe qufl tiri aabru kaa thaa main gu-magu mein hi tire dar se palaT gayaa aavaaz doston ki thi lahja adu kaa thaa chaaragaron ko fikr thi naam-o-numud ki go ehtimaam zakhm-e-jigar ke rafu kaa thaa main bahr-e-zindagi mein jazira-numaa rahaa duniyaa se ek rabt tiri aarzu kaa thaa har khub-ru se main ne kiyaa vaada-e-vafaa sab aainon mein aks mire khub-ru kaa thaa maahir huun main bhi khubi-e-guftaar kaa magar darpesh marhala sukhan-e-ru-ba-ru kaa thaa jo harf mein na saut mein izhaar paa saki sab doston mein zikr usi guftugu kaa thaa"
Masood QureshiMasood Qureshi
Quote
"azaab ham pe jo naazil huaa khudaa se na thaa ki tu razaa se muqaddar huaa qazaa se na thaa ye haal-e-zaar to aashob-e-aagahi se huaa ki gul-darida-jigar mauja-e-sabaa se na thaa khanDar to shahr-e-dil andar ke zalzalon se huaa ye zulm teri jafaa yaa tiri vafaa se na thaa bikhre gae gul-e-naazuk havaa ke jhonke se gilaa jo thaa to nazaakat se thaa havaa se na thaa dil-o-dimaagh pe thaa ikhtiyaar ham ko bhi hayaat par ye tasarruf tiraa sadaa se na thaa tiri hayaat khilaunaa bani muqaddar kaa sabab ye hai ki tiraa raabta khudaa se na thaa mujhe to jo bhi milaa aaina-ba-dast milaa main jabr-e-ghair se thaa khud-nigar anaa se na thaa"
Masood QureshiMasood Qureshi
Quote
"ghariq-e-jalva kisi jalva-gar ko kyaa dekhe jo teri dhun mein chalaa rahguzar ko kyaa dekhe sahar ke saath hi sar par chaDhaa pahaaD saa din sar-e-khamida jamaal-e-sahar ko kyaa dekhe dabe hue hain makin baar-e-sang-e-aahan se gharib-e-shahr yahaan baam-o-dar ko kyaa dekhe musaafiron ki tarah manzilein safar mein hain kidhar ko jaae koi rahguzar ko kyaa dekhe lagan hai sab ko siyaasat ki dhun hai daulat ki ab is junun mein koi khair-o-shar ko kyaa dekhe sukhi huun ghar pe lagaa kar khulus ki takhti ab aae kaun udhar mere ghar ko kyaa dekhe nae nisaab mein tir-e-nazar kaa baab nahin so chaaragar mire zakhm-e-jigar ko kyaa dekhe"
Masood QureshiMasood Qureshi