Quote
"roz-o-shab ham ne ashk-baari ki intihaa hai ye be-qaraari ki meraa daaman siyaah thaa phir bhi ai khudaa tu ne paasdaari ki jaane kab kaa main mar gayaa hotaa un ki yaadon ne aabiyaari ki kostaa hi rahaa mujhe har dam qadr kyaa jaane vo bhikaari ki khaak huun khaak mein hi milnaa hai bu bhi aati hai khaaksaari ki kaam main ne kiyaa musavvir kaa main ne sheron mein dast-kaari ki main to majnun ban gayaa 'bismil' mujh pe logon ne sang-baari ki"







