Quote
"ek dhokaa hai ye shab-rang saveraa kyaa hai ye ujaalaa hai ujaalaa to andheraa kyaa hai tu mire gham mein na hansti hui aankhon ko rulaa main to mar mar ke bhi ji saktaa huun meraa kyaa hai zarre zarre mein dhaDakti hai koi shai jaise tiri nazron ne fazaaon mein bikheraa kyaa hai dard-e-duniyaa ki taDap dil mein mire rahne de tu to aankhon mein bhi rah sakti hai teraa kyaa hai tang hai 'shaad' mire zauq ki vusat ke liye halqa-e-zulf hai aafaaq kaa gheraa kyaa hai"







