SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySyed Amin Ashraf(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dalil-e-kun hai magar dard-e-laa-davaa nikli ye kaaenaat ajab hairat-aazmaa nikli ye maanaa sach hai koi gham sadaa nahin rahtaa khushi mili thi to vo bhi gurez-paa nikli havaa ki tarah se uD jaaungaa jahaan bhi rahun pae khabar qafas-e-rang se sadaa nikli kahaan se aai havaa is ujaaD manzar mein jo ghar se nikli to vo bhi shikasta-paa nikli vo nim-shab vo rukh-e-maahtaab-o-abr-e-siyah shikastagi thi ki chashm-e-falak-numaa nikli vo mauj-e-mai thi jo chamkaa gai udaasi ko kisi ki khanda-labi bu-e-aashnaa nikli hayaa ke saath taqaazaa-e-qahr-o-mahar bhi hai tiri nazar se tabiat miri judaa nikli"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"be-lutf hai ye soch ki saudaa nahin rahaa aankhein nahin rahin ki tamaashaa nahin rahaa duniyaa ko raas aa gaiin aatish-parastiyaan pahle dimaagh-e-laala-o-gul thaa nahin rahaa fursat kahaan ki soch ke kuchh gungunaaiye koi kahin halaak-e-tamannaa nahin rahaa unchi imaaraton ne to vahshat kharid li kuchh bach gai to gosha-e-sahraa nahin rahaa dil mil gayaa to vo utar aayaa zamin par aahaT mili qadam ki to rasta nahin rahaa girdaab chikhtaa hai ki dariyaa udaas hai dariyaa ye kah rahaa hai kinaaraa nahin rahaa miTTi se aag aag se gul gul se aaftaab teraa khayaal shahpar-e-tanhaa nahin rahaa baatil ye e'tiraaz ki tujh se lipaT gayaa mujh ko nashe mein hosh kisi kaa nahin rahaa ik baar yuun hi dekh liyaa thaa khiraam-e-naaz phir lab pe naam sarv o saman kaa nahin rahaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"ru-e-khandaan rag-e-jaan dida-e-giryaan jaise qafas-e-rang hai ye aalam-e-imkaan jaise nashsha-e-sher uDaae liye jaataa hai mujhe jaise rahvaar-e-sabaa takht-e-sulaimaan jaise aarzu hi se hai hangaama-e-aalam saaraa aarzu hi se hai dil tiflak-e-naadaan jaise aanch bhi aati hai khush-pairahni se aksar kahin roidagi-e-shoala ho pinhaan jaise shaam-e-tanhaai kalid-e-dar-e-nazzaaraa hai jaise mizhgaan-e-siyah abru-e-jaanaan jaise harf-e-saada varaq-e-nam sukhan-e-khud-rafta dil hai yaa mir-taqi-'mir' kaa divaan jaise be-ravaa be-sar-o-paa ek alam-naak sadaa zindagi qaafila-e-shaam-e-gharibaan jaise buDhe bargad ke tale soch mein gum mard-e-faqir aane vaalaa hai kahin se koi tufaan jaise"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"laraz rahaa thaa falak arz-e-haal aisaa thaa shikastagi mein zamin kaa savaal aisaa thaa kamaal aisaa ki hairat mein charkh-e-nili-faam shajar uThaa na sakaa sar zavaal aisaa thaa kisi vajud ki koi ramaq na ho jaise daraaz silsila-e-maah-o-saal aisaa thaa khilaa huaa thaa badan par jaraahaton kaa chaman ki zakhm phail gayaa indimaal aisaa thaa kabhi ye takht-e-sulaimaan kabhi sabaa raftaar nasha chaDhaa to samand-e-khayaal aisaa thaa ghire hue the jo baadal baras ke tham bhi gae bichhaa huaa thaa jo taaron kaa jaal aisaa thaa kabhi vo shola-e-gul thaa kabhi gul-e-shola mizaaj-e-husn mein kuchh e'tidaal aisaa thaa vo aankhein qahr mein bhi kar gaiin mujhe shaadaab farogh-e-baada mein rang-e-jamaal aisaa thaa kisi se haath milaane mein dil nahin miltaa talab mein shaaiba-e-ehtimaal aisaa thaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"safar ke tajrabon mein gard-e-paa bhi aa hi jaati hai magar us pech-o-kham se kuchh jilaa bhi aa hi jaati hai jo chaltaa huun falak se khuun ke favvaare baraste hain jo ruktaa huun samum-e-fitna-zaa bhi aa hi jaati hai khirad ki saans bhi ruk jaati hai tira-khayaali se tah-e-ehsaas naadida balaa bhi aa hi jaati hai jo paude sahn mein khilte hain un ko dhuup lagti hai darakhton se tar-o-taaza havaa bhi aa hi jaati hai hare rah jaaeinge jaan-daar patte zard mausam mein khizaan-bakhti mein jiine ki adaa bhi aa hi jaati hai unhin se qarya-e-jaan mein vufur-e-dard hotaa hai unhin nazron mein taasir-e-shifaa bhi aa hi jaati hai"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"shauq-e-vaarafta ko malhuz-e-adab bhi hogaa shart hai maal-e-arab pesh-e-arab bhi hogaa lab-o-rukhsaar mein hogi gul-o-mahtaab ki baat aankh mein tazkira-e-bint-e-inab bhi hogaa maan letaa hai miri baat miraa hila-taraaz aur sab vaadon mein ik vaada-e-shab bhi hogaa ishq vo shai hai ki barfile nihaan-khaanon mein sard paD jaae sharar-baar to jab bhi hogaa be-taalluq hi sahi ye magar us shakhs ke paas dil jo lagtaa hai to lagne kaa sabab bhi hogaa har gali shahr ki ghaalicha-e-ushshaaq nahin khun-e-naahaq hai to phir daad-talab bhi hogaa qahr darvesh to hotaa hai ba-jaan-e-darvesh zer-e-farmaan jo hotaa thaa so ab bhi hogaa karb ke zahr kaa maaraa huaa insaan hai ye sar pe sau bojh magar khanda-ba-lab bhi hogaa ik asaa paas na ho zoam-e-kalimi bhi ho aisaa lagtaa hai ki ye kaar-e-ajab bhi hogaa yuun to be-aab hain kheme ye jahaan tak bhi hain dil ye kahtaa hai kahin abr-e-tarab bhi hogaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"halaak-e-justuju thaa hirs kaa maaraa na thaa pahle dahi dil hai magar itnaa bhi aavaara na thaa pahle manaazir baagh-o-ban ke dil-kushaa bhi dil-shikan bhi the magar fitrat-shikan yuun vaqt kaa dhaaraa na thaa pahle jo hotaa gulshan-e-khubi to hoti shaan-e-mahbubi vahi insaan hai lekin shaakh-e-sad-paara na thaa pahle sukun thaa saaya-e-tubaa jo miThi niind sote the ki har ghar khaana-e-askandar-o-daaraa na thaa pahle chaman ke saath jalnaa hai safiraan-e-chaman ko bhi tamaazat thi magar phulon mein angaaraa na thaa pahle ye duniyaa saaebaan DhunDegi phir agle zamaanon mein ki zer-e-aasmaan ye qahr-e-nazzaaraa na thaa pahle main ju-e-nishaat-o-gham huun koh-o-baagh-o-sahraa mein ki maaraa hijr kaa thaa husn kaa maaraa na thaa pahle sitaara thaa koi jis se munavvar thi ye tanhaai nazar mein zau-fishaan ye aasmaan saaraa na thaa pahle"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"halqa-e-shaam-o-sahar se nahin jaane vaalaa dard is dida-e-tar se nahin jaane vaalaa paa-ba-zanjir nikaalegaa safar ki tadbir tantana farq-e-hunar se nahin jaane vaalaa tishna-lab ko to mayassar nahin ik jura-e-aab bul-havas luqma-e-tar se nahin jaane vaalaa munqat'a karte hain baagh-o-shajar-va-shaakh use rabt mehnat kaa samar se nahin jaane vaalaa pur-kashish bhi hai sar-afraazi-e-duniyaa bhi magar zahr ganjina-e-zar se nahin jaane vaalaa tark-e-duniyaa ho ki duniyaa ki talab ho pyaare ye vo saudaa hai jo sar se nahin jaane vaalaa is pe ek aur ghazab abru-e-khamdaar bhi hai bach ke is tegh-e-nazar se nahin jaane vaalaa saari khushbu simaT aai alif-e-qaamat ki gul-e-tar kaaf-e-kamar se nahin jaane vaalaa pairav-e-sher-e-khudaa huun asadullahi huun yaa-'ali' main tire dar se nahin jaane vaalaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"vajud ko jigar-e-mo'tabar banaate hain alam pe haath to nezon pe sar banaate hain chaman bhi ho koi amboh-e-khaar-o-khas jaise ye kaar-khaane to barg o samar banaate hain havaa kaa tabsira ye saakinaan-e-shahr pe thaa ajiib log hain paani pe ghar banaate hain qarin-e-aql hai kyaa koi sochtaa hi nahin khabar uDaane se pahle khabar banaate hain nahin ye shart ki sab tez-gaam ho jaaein jo dida-var hain unhein ham-safar banaate hain kaDi ho dhuup to do phuul pyaar ke hans kar tapida raahon mein shaakh-e-shajar banaate hain kamaal-e-kibr se kahtaa thaa chaaraagar meraa ki ham tufang o sinaan pusht par banaate hain kabhi sukun kabhi josh-e-junun kabhi hairat miraa mizaaj mire kuza-gar banaate hain kiyaa rahin-e-hunar ham ko naa-rasaai ne udaas baanhon mein shams o qamar banaate hain khayaal-e-khair hasinon mein hai ki vaqt-e-khiraam zamin ko maadan-e-laal-o-guhar banaate hain"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"ajiib shai hai tarah-daar bhi tamannaa bhi raqib-e-jaan bhi hai qaatil bhi hai masihaa bhi udaas udaas harim-e-nigaah be-manzar dhuaan dhuaan khalish-e-raaegaan se duniyaa bhi dil-o-dimaagh-o-nafas tishnagi se hain raushan isi ki aag mein jalte hain shahar-o-sahraa bhi vahi havaa-e-jahaan-taab mo'atabar hai ki jo jilaa ke chhoD gai hai charaagh-e-fardaa bhi talab mein mujh se to lamha bhi ik nahin kaTtaa isi khumaar ne kaaTe hain koh-o-dariyaa bhi tire khayaal se khalvat bhi anjuman hai mujhe tire khayaal se hon anjuman mein tanhaa bhi fazaa-e-khvaab-e-tarab ne jagaa diyaa mujh ko lagi jo aankh to hone lagaa saveraa bhi"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"khaaksaaron se qarin rahtaa hai aasmaan khaak-nashin rahtaa hai hai ajab khu-e-faqiraana bhi ik jahaan zer-e-nagin rahtaa hai vajh duniyaa bhi hai fitrat bhi hai koi khush koi hazin rahtaa hai baagh-e-gul-gasht-e-sabaa dil ko banaa nakhl-e-sarsabz yahin rahtaa hai ghar kaa saamaan nahin viraane mein shahr mein khauf-e-makin rahtaa hai aankhon aankhon mein to kaT jaati hai raat dard farkhanda-jabin rahtaa hai kaj-adaa aisaa nahin hai vo bhi bojh ik dil pe kahin rahtaa hai go koi vajh-e-taalluq bhi nahin main kahin dhyaan kahin rahtaa hai"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"ye subh-o-shaam miri hai na saaz-o-rakht miraa hai koi aur jo kartaa hai bandobast miraa dimaagh-e-sair-e-nafas soz-o-saaz-e-ranj-o-nishaat miyaan-e-bim-o-rajaa hai ye bud-o-hast miraa mujhe hai zarra-e-khaaki bhi matla-e-gardun buland-bin hai khayaal-e-buland-o-past miraa mire fasaane mein yazdaan bhi ahrman bhi magar vo DhunDhtaa rahaa unvaan-e-sarguzasht miraa ye laDkhaDaate sitaare ye ju-e-mast-e-khiraam bikhar rahaa hai khayaal-e-junun-parast miraa mire nadim-e-dil-o-jaan pe khusravi taslim shahi asaa-e-dil-aaraa ki taaj-o-takht miraa falak-numaa thaa jamaal-e-ghazaal ram-khurda usi ke saath gayaa aasmaan-e-bakht miraa na jaane kyuun use sach naagavaar guzraa hai ki dil-navaaz thaa lahja na thaa karakht miraa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"sulh-o-paikaar bhi ho aur rifaaqat bhi rahe khuun mein ajdaad ki thoDi si sharaafat bhi rahe zehn-e-khvaabida ko masruf-e-amal rakhnaa hai kyaa zaruri ki ishaaron mein saraahat bhi rahe ye to mumkin hai faqat gosha-e-tanhaai mein shor-e-baazaar na ho aur qayaamat bhi rahe raushni ke liye darkaar hai be-taabi-e-khaak chaand lekin hunar-e-shab se ibaarat bhi rahe sunte aae hain mohabbat hai ibaadat ai dost kabhi hans-bol ke baiTho to ibaadat bhi rahe shaairi naghmagari saaat-e-hairaani mein taaza-kaari ho magar paas-e-rivaayat bhi rahe"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"jo na ho dard-aashnaa vo sarkhushi kis kaam ki shaairi tamsil yaa surat-gari kis kaam ki gham jo auron kaa ho apnaa gham samajh kar lijiye varna dil kaa soz aankhon ki nami kis kaam ki ek jaise hon agar sang-o-samar kyaa dekhnaa sehn-e-yakh-basta mein koi raushni kis kaam ki khaak-daan-e-tira mein ik aalam-e-raushan bhi hai be-junun bhi ye munavvar aagahi kis kaam ki vo to ik sailaab thaa sab kuchh bahaa kar le gayaa naam ki takhti sar-e-divaar thi kis kaam ki ranj harf-e-naa-shunida aasmaan naa-aashnaa ai havaa-e-dard aashufta-sari kis kaam ki irtibaat-e-chashm-o-lab kaa bhi koi saamaan to ho varna us khaal-e-siyah ki dilkashi kis kaam ki"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"fasaad-e-qalb-o-nazar haasil-e-tamaashaa dekh savaar-e-markab-e-duniyaa ghubaar-e-duniyaa dekh tamaam kaar-e-ajal hai numud-e-past-o-faraaz navishta-e-sar-e-kohsaar-o-baagh-o-dariyaa dekh har imtihaan hai nae saanehe kaa pas-manzar dikhaai kuchh nahin detaa to raah-e-fardaa dekh vo apni tegh se khud hi lahuluhaan huaa mire badan pe to har zakhm hai usi kaa dekh ajab nahin ki ho divaar nuqta-e-mauhum makaan ho ki makin do dilon kaa milnaa dekh jo ho sake nigah-e-aib-ju utaar ke pheink kamaal-e-hairat-o-fitrat jamaal-e-zebaa dekh kabhi kabhi nigah-e-sard ho khumaar-aalud kabhi kabhi dil-e-be-mehr ko taDaptaa dekh kabhi kabhi sahi uD jaae hosh kaa daaman kabhi kabhi to ye kaifiyyat-e-nazaara dekh khayaal dil se nazar hai khayaal se naazuk zaraa sambhaal ke guldasta-e-tamannaa dekh ye vaaqia hai ki khushbu-e-mushk aati hai balaa-e-jaan sar-e-baazaar mujh ko rusvaa dekh"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"pheinki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariyaa huaa dariyaa mein ik sailaab thaa sailaab thaa umDaa huaa dil mein koi aazaar thaa vo mujh se yuun goyaa huaa aazurda-e-taasir huun dil de diyaa achchhaa huaa gaahe ba-rang-e-mehrbaan gaahe khayaal-e-bad-gumaan vo bhi to aakhir phuul hai kaanTon mein hai uljhaa huaa is tarah chashm-e-nim-vaa ghaafil bhi thi bedaar bhi jaise nasha ho raat kaa yaa subh kaa taDkaa huaa lutf-e-nazar vo shai lagi jo jis qadar thi ajnabi rasta na thaa jaanaa huaa chehra na thaa dekhaa huaa ai khaatir-e-mehr-aashnaa us ke talavvun par na jaa ye be-rukhi thi ik adaa vo sarv thaa sidhaa huaa vo 'ilm ho yaa shaa'iri vo faqr ho yaa sarvari ham jis qadar jhukte gae qad aur bhi unchaa huaa jang-o-jadal ke vaaste aakhir baDe kyuun aa gae baazicha-e-atfaal thaa jhagDaa koi jhagDaa huaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"pech-dar-pech savaalaat mein uljhe hue hain ham ajab surat-e-haalaat mein uljhe hue hain khatm hone kaa nahin maarka-e-ishq-o-havas masale saare mafaadaat mein uljhe hue hain kis khasaare mein nazar hai ki simaT jaati hai kuchh abhi daaera-e-zaat mein uljhe hue hain in mein to mujh se ziyaada hai pareshaan-nazari aaine shahr-e-kamaalaat mein uljhe hue hain is pe daa'vaa bhi ki ye kaar-e-masihaai hai saare azhaan khuraafaat mein uljhe hue hain kurra-e-khaak pe paDte hi nahin un ke qadam dida-var sair-e-tilismaat mein uljhe hue hain nur-e-mutlaq ki hai tashbih na tamsil magar ham ishaaraat o kinaayaat mein uljhe hue hain"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"bahaar aati hai lekin sar mein vo saudaa nahin hotaa har aahaT par tiri aavaaz kaa dhokaa nahin hotaa tiraa gham ho to aa jaae saliqa muskuraane kaa ki har aazaar-e-jaan shaaista-e-duniyaa nahin hotaa nishaan kunj-e-tarab kaa kohsaar-e-gham se miltaa hai bhaTak jaataa huun main jab raah mein dariyaa nahin hotaa yahi surat to har-su kucha-o-baazaar mein bhi hai jahaan vahshat barasti ho vahin sahraa nahin hotaa ik aaina bahar-surat pas-e-aaina hotaa hai jo chamke aabgine mein vahi chehra nahin hotaa use ye khushnumaa duniyaa kabhi achchhi nahin lagti kisi masraf kaa kaar-e-dida-e-binaa nahin hotaa bahaana tujh se milne kaa ye tanhaai ne DhunDaa hai sar-e-mahfil kisi ko diid kaa yaaraa nahin hotaa jo di hain neamatein yaarab to phir haqq-e-tasarruf de nazar apni dimaagh apnaa hai dil apnaa nahin hotaa zaraa kuchh shaghl-e-neko-kaar bhi 'sayyad-amin-ashraf' faqat naam-o-nasab se aadmi achchhaa nahin hotaa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf
Quote
"dil shahr-e-tahayyur hai ki vo mamlikat-aaraa kyaa saltanat-e-balkh-o-samarqand-o-bukhaaraa mubham hai tiri chashm-e-karam dekh to yuun dekh jis tarah lipaT jaae sitaare se sitaara ik chaand hai aavaara-o-betaab o falak-taab ik chaand hai aasudgi-e-hijr kaa maaraa kuchh darkhur-e-jaan hai to yahi kunj-e-mulaaqaat ye aalam-e-khaaki na hamaaraa na tumhaaraa zanjir-e-giraan-baar hai ye ishrat-e-saahil bahtaa hai to ruktaa hi nahin vaqt kaa dhaaraa juz hasrat-e-be-naam nahin gardish-e-khun ab chaandi jo hue baal milaa zabt kaa yaaraa"
Syed Amin AshrafSyed Amin Ashraf