Shayari
uThte nahin hain ab to duaa ke liye bhi haath
kis darja naa-umid hain parvardigaar se
us ke ahd-e-shabaab mein jiinaa
jiine vaalo tumhein huaa kyaa hai
اس کے عہد شباب میں جینا
جینے والو تمہیں ہوا کیا ہے
उस के अहद-ए-शबाब में जीना
जीने वालो तुम्हें हुआ क्या है

uThte nahin hain ab to duaa ke liye bhi haath
kis darja naa-umid hain parvardigaar se
kaam aa sakin na apni vafaaein to kyaa karein
us bevafaa ko bhuul na jaaein to kyaa karein
kuchh is tarah se yaad aate rahe ho
ki ab bhuul jaane ko ji chaahtaa hai
bhulaa baiThe ho ham ko aaj lekin ye samajh lenaa
bahut pachhtaaoge jis vaqt ham kal yaad aaeinge
kisi maghrur ke aage hamaaraa sar nahin jhuktaa
faqiri mein bhi 'akhtar' ghairat-e-shaahaana rakhte hain
un ras bhari aankhon mein hayaa khel rahi hai
do zahr ke pyaalon mein qazaa khel rahi hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi kaa har ik gham uThaate hue
main sanbhalne lagaa laDkhaDaate hue
zulf-e-barham ki jab se shanaasaa hui
zindagi kaa chalan mujrimaana huaa
ai adam ke musaafiro hoshiyaar
raah mein zindagi khaDi hogi