SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIftikhar Arif(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jabinon ko ba-sad taslim kham dekhaa gayaa hai bahut naa-mutmain aankhon mein nam dekhaa gayaa hai kahin jaa-e-namaaz-e-shukr par aansu ki ik buund usi qatre mein dajla yam-ba-yam dekhaa gayaa hai sab aashufta-saron kaa ek hi naa'ra ki ham hain ham-aavaazon ko dil kaa ham-qadam dekhaa gayaa hai bayaaz-e-khvaab-e-rafta kyaa 'ajab tartib paa jaae kitaab-e-jaan kaa shiraaza baham dekhaa gayaa hai udhar us chaand taare se zaraa mashriq ki jaanib subuk lagtaa huaa parcham 'alam dekhaa gayaa hai rafu-e-zakhm-e-derina ki ik surat to nikli jidhar dekhaa nahin thaa kam se kam dekhaa gayaa hai yahin ik manzil-e-dushvaar-o-naa-hamvaar ke biich kahin ik jaada-e-be-pech-o-kham dekhaa gayaa hai"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"sar-e-baam-e-hijr diyaa bujhaa to khabar hui sar-e-shaam koi judaa huaa to khabar hui miraa khush-khiraam balaa kaa tez-khiraam thaa miri zindagi se chalaa gayaa to khabar hui mire saare harf tamaam harf azaab the mire kam-sukhan ne sukhan kiyaa to khabar hui koi baat ban ke bigaD gai to pata chalaa mire bevafaa ne karam kiyaa to khabar hui mire ham-safar ke safar ki samt hi aur thi kahin raasta koi gum huaa to khabar hui mire qissa-go ne kahaan kahaan se baDhaai baat mujhe daastaan kaa siraa milaa to khabar hui na lahu kaa mausam-e-rang-rez na dil na main koi khvaab thaa ki bikhar gayaa to khabar hui"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"samajh rahe hain magar bolne kaa yaaraa nahin jo ham se mil ke bichhaD jaae vo hamaaraa nahin abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se abhi to qarz-e-mah-o-saal bhi utaaraa nahin bas ek shaam use aavaaz di thi hijr ki shaam phir us ke baad use umr bhar pukaaraa nahin havaa kuchh aisi chali hai ki tere vahshi ko mizaaj-pursi-e-baad-e-sabaa gavaaraa nahin samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte vaqt kisi ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahin vo ham nahin the to phir kaun thaa sar-e-baazaar jo kah rahaa thaa ki biknaa hamein gavaaraa nahin ham ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amiin hamaare paas zaminon kaa goshvaara nahin"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"azaab ye bhi kisi aur par nahin aayaa ki ek umr chale aur ghar nahin aayaa us ek khvaab ki hasrat mein jal bujhin aankhein vo ek khvaab ki ab tak nazar nahin aayaa karein to kis se karein naa-rasaaiyon kaa gila safar tamaam huaa ham-safar nahin aayaa dilon ki baat badan ki zabaan se kah dete ye chaahte the magar dil idhar nahin aayaa ajiib hi thaa mire daur-e-gumrahi kaa rafiq bichhaD gayaa to kabhi lauT kar nahin aayaa harim-e-lafz-o-maaani se nisbatein bhi rahin magar saliqa-e-arz-e-hunar nahin aayaa"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"junun kaa rang bhi ho shola-e-numu kaa bhi ho sukut-e-shab mein ik andaaz guftugu kaa bhi ho main jis ko apni gavaahi mein le ke aayaa huun ajab nahin ki vahi aadmi adu kaa bhi ho vo jis ke chaak-e-garebaan pe tohmatein hain bahut usi ke haath mein shaayad hunar rafu kaa bhi ho vo jis ke Dubte hi naav Dagmagaane lagi kise khabar vahi taaraa sitaara-ju kaa bhi ho subut-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naaz usi ki tegh se rishta rag-e-gulu kaa bhi ho vafaa ke baab mein kaar-e-sukhan tamaam huaa miri zamin pe ik maarka lahu kaa bhi ho"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"shikasta-par junun ko aazmaaeinge nahin kyaa uDaanon ke liye par phaDphaDaaeinge nahin kyaa havaaein mehrbaan thiin muntaqim kyuun ho gai hain nigah-varaan-e-saahil kuchh bataaeinge nahin kyaa koi hanstaa huaa suraj pas-e-divaar-e-taarik firozaan ho to divaarein giraaeinge nahin kyaa vahi pahli si arzaani sar-e-baazaar-e-pindaar nazar aae to ham qimat baDhaaeinge nahin kyaa savaad-e-tishnagi ke paar ik mavvaaj dariyaa ghazal-khvaan ho to phir teshe uThaaeinge nahin kyaa badalte mausamon ki dhuul hote raaston ko thake-haare musaafir yaad aaeinge nahin kyaa"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi khvaab phir bhi jaane basti basti maqtal kyuun hai shahr-e-gulaab vahshat-e-baam-o-dar kahti hai aur balaaein aaeingi ab jo balaaein aaiin to logo ran hogaa be-hadd-o-hisaab jab bhi kabhi shab-khun paDaa to ahl-e-chaman khaamosh rahe mausam-e-gul mein jis ko dekho ''meri shaakhein'' ''mere gulaab'' ham se koi puchhe to bataaein kyaa kuchh ham par biit gai kahaan kahaan gahnaae suraj kahaan kahaan Duube mahtaab aao shamein sab gul kar do kah do jaane vaale jaaein ab har din paikaar kaa din hai ab har din hai roz-e-hisaab pyaas ki baatein kahte sunte kitne mausam aae gae koi sabil-e-koh-kani bhi kab tak zikr-e-qaht-e-aab ham be-dar be-ghar logon ki ek duaa bas ek duaa maalik shahr-e-gulaab salaamat ham par jo bhi aae azaab"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"ye naqsh ham jo sar-e-lauh-e-jaan banaate hain koi banaataa hai ham khud kahaan banaate hain ye sur ye taal ye lai kuchh nahin ba-juz taufiq to phir ye kyaa hai ki ham armughaan banaate hain samundar us kaa havaa us ki aasmaan us kaa vo jis ke izn se ham kashtiyaan banaate hain zamin ki dhuup zamaane ki dhuup zehn ki dhuup ham aisi dhuup mein bhi saaebaan banaate hain khud apni khaak se karte hain mauj-e-nur kashid phir us se ek nai kahkashaan banaate hain kahaani jab nazar aati hai khatm hoti hui vahin se ek nai daastaan banaate hain khuli fazaa mein khush-aavaaz taaeron ke hujum magar vo log jo tiir o sinaan banaate hain palaT ke aae gharib-ul-vatan palaTnaa thaa ye dekhnaa hai ki ab ghar kahaan banaate hain"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"khalq ne ik manzar nahin dekhaa bahut dinon se nok-e-sinaan pe sar nahin dekhaa bahut dinon se patthar pe sar rakh kar sone vaale dekhe haathon mein patthar nahin dekhaa bahut dinon se qaatil jis ki zad se khud mahfuz rah sake aisaa koi khanjar nahin dekhaa bahut dinon se apne hi khemon par jo shab-khun na maare aisaa koi lashkar nahin dekhaa bahut dinon se shaakh-e-burida khuli fazaa se puchh rahi hai koi shikasta-par nahin dekhaa bahut dinon se zindaan ahl-e-junun ko shaayad raas aa gayaa divaaron mein dar nahin dekhaa bahut dinon se khaak uDaane vaale logon ki basti mein koi surat-gar nahin dekhaa bahut dinon se sachche saain hamaare 'hazrat-mehr-ali-shaah' baabaa ham ne ghar nahin dekhaa bahut dinon se"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"taar-e-shabnam ki tarah surat-e-khas TuTti hai aas bandhne nahin paati hai ki bas TuTti hai aarzuon kaa hujum aur ye Dhalti hui umr saans ukhaDti hai na zanjir-e-havas TuTti hai gard itni ki sujhaai nahin detaa kuchh bhi shor itnaa hai ki aavaaz-e-jaras TuTti hai munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuTti hai bu-e-gul aae na aae magar ushshaaq ke biich itni vahshat hai ki divaar-e-qafas TuTti hai zikr asmaa-e-ilaahi kaa hai faizaan ki ab dam ulajhtaa hai na tasbih-e-nafas TuTti hai"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"basti bhi samundar bhi bayaabaan bhi miraa hai aankhein bhi miri khvaab-e-pareshaan bhi miraa hai jo Dubti jaati hai vo kashti bhi hai meri jo TuTtaa jaataa hai vo paimaan bhi miraa hai jo haath uThe the vo sabhi haath the mere jo chaak huaa hai vo girebaan bhi miraa hai jis ki koi aavaaz na pahchaan na manzil vo qaafila-e-be-sar-o-saamaan bhi miraa hai viraana-e-maqtal pe hijaab aayaa to is baar khud chikh paDaa main ki ye unvaan bhi miraa hai vaaraftagi-e-subh-e-bashaarat ko khabar kyaa andesha-e-sad-shaam-e-gharibaan bhi miraa hai main vaaris-e-gul huun ki nahin huun magar ai jaan khamyaaza-e-tauhin-e-bahaaraan bhi miraa hai miTTi ki gavaahi se baDi dil ki gavaahi yuun ho to ye zanjir ye zindaan bhi miraa hai"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"khvaab dekhne vaali aankhein patthar hongi tab socheinge sundar komal dhyaan titliyaan be-par hongi tab socheinge ras barsaane vaale baadal aur taraf kyuun uD jaate hain hari-bhari shaadaab khetiyaan banjar hongi tab socheinge basti ki divaar pe kis ne an-honi baatein likh di hain is anjaane Dar ki baatein ghar ghar hongi tab socheinge maange ke phulon se kab tak rup-sarup kaa maan baDhegaa apne aangan ki mahkaarein be-ghar hongi tab socheinge biiti rut ki sab pahchaanein bhuul gae to phir kyaa hogaa gae dinon ki yaadein jab be-manzar hongi tab socheinge aane vaale kal kaa svaagat kaise hogaa kaun karegaa jalte hue suraj ki kirnein sar par hongi tab socheinge"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"vafaa ki khair manaataa huun bevafaai mein bhi main us ki qaid mein huun qaid se rihaai mein bhi lahu ki aag mein jal-bujh gae badan to khulaa rasaai mein bhi khasaara hai naa-rasaai mein bhi badalte rahte hain mausam guzartaa rahtaa hai vaqt magar ye dil ki vahin kaa vahin judaai mein bhi lihaaz-e-hurmat-e-paimaan na paas-e-ham-khvaabi ajab tarah ke tasaadum the aashnaai mein bhi main das baras se kisi khvaab ke azaab mein huun vahi azaab dar aayaa hai is dahaai mein bhi tasaadum-e-dil-o-duniyaa mein dil ki haar ke baad hijaab aane lagaa hai ghazal-saraai mein bhi main jaa rahaa huun ab us ki taraf usi ki taraf jo mere saath thaa meri shikasta-paai mein bhi"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"koi muzhda na bashaarat na duaa chaahti hai roz ik taaza khabar khalq-e-khudaa chaahti hai mauj-e-khun sar se guzarni thi so vo bhi guzri aur kyaa kucha-e-qaatil ki havaa chaahti hai shahr-e-be-mehr mein lab-basta ghulaamon ki qataar nae aain-e-asiri ki binaa chaahti hai koi bole ke na bole qadam uTThein na uThein vo jo ik dil mein hai divaar uThaa chaahti hai ham bhi labbaik kahein aur fasaana ban jaaein koi aavaaz sar-e-koh-e-nidaa chaahti hai yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke saath ab ke khud apni havaaon mein bujhaa chaahti hai ahd-e-aasudgi-e-jaan mein bhi thaa jaan se aziiz vo qalam bhi mire dushman ki anaa chaahti hai bahr-e-paamaali-e-gul aai hai aur mauj-e-khizaan guftugu mein ravish-e-baad-e-sabaa chaahti hai khaak ko ham-sar-e-mahtaab kiyaa raat ki raat khalq ab bhi vahi naqsh-e-kaf-e-paa chaahti hai"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"zaraa si der ko aae the khvaab aankhon mein phir us ke baad musalsal azaab aankhon mein vo jis ke naam ki nisbat se raushni thaa vajud khaTak rahaa hai vahi aaftaab aankhon mein jinhein mataa-e-dil-o-jaan samajh rahe the ham vo aaine bhi hue be-hijaab aankhon mein ajab tarah kaa hai mausam ki khaak uDti hai vo din bhi the ki khile the gulaab aankhon mein mire ghazaal tiri vahshaton ki khair ki hai bahut dinon se bahut iztiraab aankhon mein na jaane kaisi qayaamat kaa pesh-khema hai ye uljhanein tiri be-intisaab aankhon mein javaaz kyaa hai mire kam-sukhan bataa to sahi ba-naam-e-khush-nigahi har javaab aankhon mein"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"sitaaron se bharaa ye aasmaan kaisaa lagegaa hamaare baad tum ko ye jahaan kaisaa lagegaa thake-haare hue suraj ki bhigi raushni mein havaaon se ulajhtaa baadbaan kaisaa lagegaa jame qadmon ke niche se phisalti jaaegi ret bikhar jaaegi jab umr-e-ravaan kaisaa lagegaa isi miTTi mein mil jaaegi punji umr bhar ki giregi jis ghaDi divaar-e-jaan kaisaa lagegaa bahut itraa rahe ho dil ki baazi jitne par ziyaan baad az ziyaan baad az ziyaan kaisaa lagegaa vo jis ke baad hogi ik musalsal be-niyaazi ghaDi bhar kaa vo sab shor o fughaan kaisaa lagegaa abhi se kyaa bataaein marg-e-majnun ki khabar par suluk-e-kucha-e-naa-mehrbaan kaisaa lagegaa bataao to sahi ai jaan-e-jaan kaisaa lagegaa sitaaron se bharaa ye aasmaan kaisaa lagegaa"
Iftikhar ArifIftikhar Arif
Quote
"sajal ki shor zaminon mein aashiyaana kare na jaane ab ke musaafir kahaan Thikaanaa kare bas ek baar use paDh sakun ghazal ki tarah phir us ke baad to jo gardish-e-zamaana kare havaaein vo hain ki har zulf pechdaar hui kise dimaagh ki ab aarzu-e-shaana kare abhi to raat ke sab nigah-daar jaagte hain abhi se kaun charaaghon ki lau nishaana kare suluk mein bhi vahi tazkire vahi tashhir kabhi to koi ik ehsaan ghaaebaana kare main sab ko bhuul gayaa zakhm-e-mundamil ki misaal magar vo shakhs ki har baat jaarehaana kare"
Iftikhar ArifIftikhar Arif