SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShakeel Badayuni(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"niyaaz-o-naaz ki ye shaan-e-zebaai nahin jaati hamaari khud-sari un ki khud-aaraai nahin jaati hazaaron aaine ho kar muqaabil TuuT jaate hain magar husn-e-azal ki shaan-e-yaktaai nahin jaati koi dilkash nazaara ho koi dilchasp manzar ho tabi'at khud bahal jaati hai bahlaai nahin jaati mohabbat ki haqiqat kam nahin asraar-e-hasti se samajh letaa huun lekin mujh se samjhaai nahin jaati ba-zaahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai 'shakil' is par bhi apne dil ki rusvaai nahin jaati"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"dil lazzat-e-nigaah karam paa ke rah gayaa kitnaa hasin khvaab nazar aa ke rah gayaa lab tak shikaayat-e-gham-e-dil laa ke rah gayaa un ki nadaamaton pe main sharmaa ke rah gayaa mere dil-e-tabaah kaa aalam na puchhiye ik phuul thaa jo khilte hi murjhaa ke rah gayaa manzil se duur rahrav-e-manzil thaa mutmain manzil qarib aai to ghabraa ke rah gayaa shoridgi-e-naala-e-gustaakh kyaa kahun is qalb-e-naaznin ko bhi taDpaa ke rah gayaa be-gaana-vaar jab vo guzarte chale gae kuchh be-qaraar dil mujhe samjhaa ke rah gayaa un ke huzur lab to mukarrar na khul sake rudaad-e-gham nigaah se dohraa ke rah gayaa yuun khatm daastaan-e-mohabbat hui 'shakil' jaise koi hasin ghazal gaa ke rah gayaa"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"bekaar gai aaD tire parda-e-dar ki allaah-re vusat mire aaghosh-e-nazar ki pi shauq se vaaiz are kyaa baat hai Dar ki dozakh tire qabze mein hai jannat tire ghar ki imaan ki daulat se tire husn kaa saudaa imaan ki daulat hai tiri ek nazar ki aa jaae tasavvur mein koi hashr-ba-daamaan phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki vo saamne hain phir bhi unhein DhunDh rahaa huun aakhir koi had bhi hai hijaabaat-e-nazar ki tanhaai-e-furqat mein jo aalam hai idhar kaa hangaama-e-mahfil mein vo haalat hai udhar ki kuchh sahl na paae hain mohabbat ke maraatib chhaani hai bahut khaak tiri raah-guzar ki"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"ham hain aur un ki khushi hai aaj-kal zindagi hi zindagi hai aaj-kal gham kaa har aalam nayaa hai in dinon dil ki har duniyaa nai hai aaj-kal un kaa zikr un ki tamannaa un ki yaad vaqt kitnaa qimti hai aaj-kal chaand bhi hai sogvaar-e-hijr dost phiki phiki chaandni hai aaj-kal jal rahi hai dil mein sham-e-aarzu gham-kade mein raushni hai aaj-kal tu hai aur dariyaa-dili hai saaqiyaa main huun aur tishna-labi hai aaj-kal be-qaraari karvaTon par karvaTein dil kaa aalam didani hai aaj-kal arz-e-gham par muskuraate bhi nahin barhami si barhami hai aaj-kal haasil-e-tark-e-mohabbat dekhnaa anjuman suuni paDi hai aaj-kal dil mein aur maayusiyon mein ai 'shakil' ittihaad-e-baahami hai aaj-kal"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"ye kyaa sitam-zarifi-e-fitrat hai aaj-kal begaangi sharik-e-mohabbat hai aaj-kal gham hai ki ek talkh haqiqat hai aaj-kal dil hai ki sogvaar-e-mohabbat hai aaj-kal tanhaai-e-firaaq se ghabraa rahaa huun main mere liye sukun bhi qayaamat hai aaj-kal har saans tarjumaan-e-gham-e-dil hai in dinon har aah parda-daar-e-hikaayat hai aaj-kal meri vafaa hi mere liye qahr ban gai apni vafaa pe un ko nadaamat hai aaj-kal phir chaahtaa huun ik alam taaza-tar 'shakil' phir dil ko justaju-e-masarrat hai aaj-kal"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"bas ik nigaah-e-karam hai kaafi agar unhein pesh-o-pas nahin hai zahe tamannaa ki meri fitrat asir-e-hirs-o-havas nahin hai nazar se sayyaad duur ho jaa yahaan tiraa mujh pe bas nahin hai chaman ko barbaad karne vaale ye aashiyaan hai qafas nahin hai kisi ke jalve taDap rahe hain hudud-e-hosh-o-khirad se aage hudud-e-hosh-o-khirad se aage nigaah ki dastaras nahin hai jahaan ki nairangiyon se yaksar badal gai aashiyaan ki surat qafas samajhti hain jin ko nazrein vo dar-haqiqat qafas nahin hai kahaan ke naale kahaan ki aahein jami hain un ki taraf nigaahein kuchh is qadar mahv-e-yaad huun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai qusur hai ishrat-e-guzishta kaa husn-e-taasir allaah allaah vahi fazaaein vahi havaaein chaman se kuchh kam qafas nahin hai kisi ki be-e'tinaaiyon ne badal hi Daalaa nizaam-e-gulshan jo baat pahle bahaar mein thi vo baat ab ke baras nahin hai ye bu-e-sumbul ye khanda-e-gul aur aah ye dukh bhari sadaaein qafas ke andar chaman hai shaayad chaman ke andar qafas nahin hai na hosh-e-khalvat na fikr-e-mahfil ayaan ho ab kis pe haalat-e-dil main aap hi apnaa ham-nafas huun miraa koi ham-nafas nahin hai karein bhi kyaa shikva-e-zamaana kahein bhi kyaa dard kaa fasaana jahaan mein hain laakh dushman-e-jaan koi masihaa-nafas nahin hai suni hain ahl-e-junun ne aksar khamoshi-e-marg ki sadaaein sunaa ye thaa kaarvaan-e-hasti rahin-e-baang-e-jaras nahin hai chaman ki aazaadiyaan moakhkhar tasavvur-e-aashiyaan muqaddam gham-e-asiri hai naa-mukammal agar gham-e-khaar-o-khas nahin hai na kar mujhe sharmsaar naaseh main dil se majbur huun ki jis kaa hai yuun to kaun-o-makaan pe qaabu magar mohabbat pe bas nahin hai kahaan vo ummid-e-aamad-aamad kahaan ye ifaa-e-ahd-e-fardaa jab e'tibaar-e-nazar na thaa kuchh ab e'tibaar-e-nafas nahin hai vahi hain naghme vahi hain naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale tiri samaaat se duur hain ye jabhi to naalon mein ras nahin hai 'shakil' duniyaa mein jis ko dekhaa kuchh us ki duniyaa hi aur dekhi hazaar naqqaad-e-zindagi hain magar koi nukta-ras nahin hai"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"ik ik qadam fareb-e-tamannaa se bach ke chal duniyaa ki aarzu hai to duniyaa se bach ke chal khud DhunDh legaa tujh ko tiraa munfarid maqaam raah-e-talab mein naqsh-e-kaf-e-paa se bach ke chal baaqi hai mere dil mein abhi azmat-e-vajud qatre se kah rahaa huun ki dariyaa se bach ke chal milti nahin hai raah-e-sukun khauf-o-yaas mein gulshan ki justuju hai to sahraa se bach ke chal munh jaada-e-vafaa se na moD ai vafaa-shiaar lekin hudud-e-chashm-e-tamaashaa se bach ke chal kitni hasin hain un ke sitam ki masarratein shukr-e-karam ki zahmat-e-be-jaa se bach ke chal lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal apne adab pe naaz hai tujh ko agar 'shakil' maghrib-zadaa adiib ki duniyaa se bach ke chal"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"kisi ko jab nigaahon ke muqaabil dekh letaa huun to pahle sar jhukaa ke haalat-e-dil dekh letaa huun maaal-e-justuju-e-zauq-e-kaamil dekh letaa huun uThaate hi qadam aasaar-e-manzil dekh letaa huun main tujh se aur lutf-e-khaas kaa taalib maaaz-allaah sitam-gar is bahaane se tiraa dil dekh letaa huun jo maujein khaas kar chashm-o-charaagh-e-daam-e-tufaan hain main un maujon ko ham-aaghosh-e-saahil dekh letaa huun 'shakil' ehsaas hai mujh ko har ik mauzun tabiat kaa ghazal paDhne se pahle rang-e-mahfil dekh letaa huun"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"na paimaane khanakte hain na daur-e-jaam chaltaa hai nai duniyaa ke rindon mein khudaa kaa naam chaltaa hai gham-e-ishq se hain gham-e-hasti ke hangaame judaa lekin vahaan bhi din guzarte hain yahaan bhi kaam chaltaa hai chhupe hain laakh haq ke marhale gum-naam honTon par usi ki baat chal jaati hai jis kaa naam chaltaa hai junun-e-rah-ravi-e-vaqt ki raftaar se puchho koi manzil nahin lekin ye subh o shaam chaltaa hai 'shakil'-e-mast ko masti mein jo kahnaa hai kahne do ye mai-khaana hai ai vaaiz yahaan sab kaam chaltaa hai"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"jaada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahnaa paanv jal jaaein magar aag pe chalte rahnaa jalva-e-amn tumhin se hai mohabbat vaalo mahr-e-taabaan ki tarah roz nikalte rahnaa naghma-e-ishq na ho ek hi dhun par qaaim vaqt ke saath zaraa raag badalte rahnaa zindagi ko mah-o-anjum na ujaalaa deinge tum na in jhuTe khilaunon se bahalte rahnaa hai yahi vaqt-e-amal johd-e-musalsal ki qasam be-sahaaron ki tarah haath na malte rahnaa zindagaani hai faqat garmi-e-raftaar kaa naam manzilein saath liye raah pe chalte rahnaa hai sitaaron ki tarah maail-e-parvaaz 'shakil' dushmano tum ko qasam hai yunhi jalte rahnaa"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"har gosha-e-nazar mein samaae hue ho tum jaise ki mere saamne aae hue ho tum meri nigaah-e-shauq pe chhaae hue ho tum jalvon ko khud hijaab banaae hue ho tum kyuun ik taraf nigaah jamaae hue ho tum kyaa raaz hai jo mujh se chhupaae hue ho tum dil ne tumhaare husn ko bakhshi hain rifatein dil ko magar nazar se giraae hue ho tum ye jo niyaaz-e-ishq kaa ehsaas hai tumhein shaayad kisi ke naaz uThaae hue ho tum yaa mehrbaaniyon ke hi qaabil nahin huun main yaa vaaqa'i kisi ke sikhaae hue ho tum ab imtiyaaz-e-parda-o-jalva nahin mujhe chehre se kyuun naqaab uThaae hue ho tum uf re sitam 'shakil' ye haalat to ho gai ab bhi karam ki aas lagaae hue ho tum"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"nigaah-e-naaz kaa ik vaar kar ke chhoD diyaa dil-e-harif ko bedaar kar ke chhoD diyaa hui to hai yunhi tardid-e-ahd-e-lutf-o-karam dabi zabaan se iqraar kar ke chhoD diyaa chhupe kuchh aise ki taa-zist phir na aae nazar rahin-e-hasrat-e-didaar kar ke chhoD diyaa mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thi lekin kisi ne mujh ko giraftaar kar ke chhoD diyaa nazar ko jurat-e-takmil-e-bandagi na hui tavaaf-e-kucha-e-dil-daar kar ke chhoD diyaa khushaa vo kashmakash-e-rabt-e-baahami jis ne dil o dimaagh ko be-kaar kar ke chhoD diyaa zahe-nasib ki duniyaa ne tere gham ne mujhe masarraton kaa talabgaar kar ke chhoD diyaa karam ki aas mein ab kis ke dar pe jaae 'shakil' jab aap hi ne gunahgaar kar ke chhoD diyaa"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"bahaar aai kisi kaa saamnaa karne kaa vaqt aayaa sambhal ai dil ki izhaar-e-vafaa karne kaa vaqt aayaa unhein aamaada-e-mehr-o-vafaa karne kaa vaqt aayaa baDi muddat mein arz-e-muddaaa karne kaa vaqt aayaa ravaan hain apne markaz ki taraf aasuda ummidein hujum-e-yaas ko dil se judaa karne kaa vaqt aayaa phir ik gum-karda-raah-e-zindagi ko mil gai manzil sujud-e-shukr-e-be-paayaan adaa karne kaa vaqt aayaa kabhi duuri thi lekin ab khayaal-e-khauf-e-duri hai fughaan ki saaatein guzrin duaa karne kaa vaqt aayaa kahaan tak khatm rahtaa darmiyaan par dil kaa afsaana bil-aakhir darmiyaan se ibtidaa karne kaa vaqt aayaa har ik jurm-e-mohabbat us nigaah-e-lutf ke sadqe naved-e-aafiyat le kar khataa karne kaa vaqt aayaa nigaah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-aazru hogi zabaan o lab se tark-e-iltijaa karne kaa vaqt aayaa vo aate hain 'shakil' ab apne dil se haath dho baiTho nigaah-e-naaz ki qimat adaa karne kaa vaqt aayaa"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"fareb-e-mohabbat se ghaafil nahin huun jo mast-e-junun ho vo dil nahin huun unhein azm-e-tark-e-taalluq mubaarak main un ke iraadon mein haail nahin huun tiri bazm se hai bas itnaa taalluq ki shaamil bhi huun aur shaamil nahin huun qaum aur aghyaar ke mashvaron se main aisi inaayat kaa qaail nahin huun sambhal kar zaraa ai mohabbat ki kashti main tufaan hi tufaan huun saahil nahin huun miraa soz-e-hasti hai dur-az nadaamat main parvaana huun sham-e-mahfil nahin huun"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni