SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mire vahm-o-gumaan pe raat din chhaai udaasi hai pahan kar khvaahishon kaa ye badan aai udaasi hai parinda jism ke pinjre mein aayaa to bahut khush thaa magar us ne sahar se shaam tak paai udaasi hai koi batlaae ki ab kis tarah paaun sukun-e-dil mere is jism ke pinjre mein dar aai udaasi hai chaman be-rang afsurda kali har phuul be-khushbu bahaaron ki fazaa bhi is baras laai udaasi hai nazar aayaa nahin mujh ko miraa gul-rang chehra jab kahaa aaine ne hazrat ye tanhaai udaasi hai har ik su shahr-e-dil-aaraam mein jashn-e-bahaaraan thaa fazaa mere hi ghar aangan ki kahlaai udaasi hai ghaTaa chhaate hi jaise dhuup chhaT jaati hai aangan ki tujhe aate zaraa dekhaa to sharmaai udaasi hai"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"aap baiThein bhi hain aise ke huaa kuchh bhi nahin us ke jaane se mire paas rahaa kuchh bhi nahin haae kyaa shakhs thaa phulon mein gulaabon ki tarah ab na jaane kahaan kaisaa hai pata kuchh bhi nahin tum mujhe dekh to sakte ho magar dhyaan rahe meri aankhon mein hai ab gham ke sivaa kuchh bhi nahin us ne chup rah ke mire saare bharam toD diye boltaa main hi rahaa us ne kahaa kuchh bhi nahin jis ke hone se thaa patjhaD mein bahaaron kaa samaan na rahaa vo to chaman mein bhi bachaa kuchh bhi nahin aap dekho mujhe yuun ghaur se dekho 'arpit' phir kaho mujh se mohabbat mein rakhaa kuchh bhi nahin"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"udaas raatein udaas mausam rulaa rahe the to tum kahaan the hamaare zakhmon ko ham hi marham lagaa rahe the to tum kahaan the bichhaD rahe the jo ham se tum yuun suno ye binaai ghaT rahi thi ham ek muddat se khaak-e-sahraa uDaa rahe the to tum kahaan the har ek qatra hi le rahaa thaa ye naam teraa udaas shab mein hamaare aansu ye haal dil kaa sunaa rahe the to tum kahaan the hamein bulaane ab aa rahe ho jo koh-o-sahraa ke ho gae ham vo sard raatein judaai ke gham sataa rahe the to tum kahaan the bichhaD rahe ho to jism se tum nikaal pheinkun ye ruuh meri tamaam raatein hi jaag kar yuun bulaa rahe the to tum kahaan the tumhaari yaadon kaa saaraa dariyaa ye saari kashti ye saare mausam ubalte ashkon se saaraa dukh jab bataa rahe the to tum kahaan the hamein khizaan raas aa gai hai to ab bahaaron kaa kyaa kareinge ham apni tanhaai duur karne bulaa rahe the to tum kahaan the tamaam shab intizaar karnaa falak ke taare shumaar karnaa gham-e-judaai mein jashn-e-furqat manaa rahe the to tum kahaan the bataao 'arpit' puraani baaton ko yaad kar ke hai kaisaa ronaa tamaam hi 'umr yaad mujh ko tum aa rahe the to tum kahaan the"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"ye havaaein aur ye baadal sab mire qaabu mein hai maan le ye baat paagal sab mire qaabu mein hai tu yahaan se to chalaa jaaegaa ai khaana-ba-dosh ye havaa ye aag jal thal sab mire qaabu mein hai tujh ko main ne jo dikhaai vo thiin saari bastiyaan ab dikhaaungaa main jangal sab mire qaabu mein hai main jo chaahun to use majbur kar duun 'ishq mein us ki saansein us kaa har pal sab mire qaabu mein hai ye rahe hain peD pakshi ye rahi aadam ki zaat aur zaraa ab saath mein chal sab mire qaabu mein hai ye jahaan aur vo jahaan donon hai meri daasiyaan saath kis ke hogaa kyaa kal sab mire qaabu mein hai vo to kahtaa hai ulaT saktaa hai saari kaaenaat puchho to kahtaa hai paagal sab mire qaabu mein hai main huun sailaab-e-ravaan 'arpit' kabhi miTTi kaa Dher ye samundar aur ye daldal sab mire qaabu mein hai"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"jo khuun roti hai aankhein saaraa manzar chikh uThtaa hai bichhaD kar mujh se koi mere andar chikh uThtaa hai kyaa us kaa dard hai kyaa gham hai koi us se puchhe to ek aisaa shakhs hai raaton ko uTh kar chikh uThtaa hai use hai khuub dard-e-dil ki gahraai kaa andaaza ye aansu dekh kar meraa samundar chikh uThtaa hai bhari duniyaa mein tanhaa be-sahaaraa dekh kar khud ko koi maasum rotaa hai to patthar chikh uThtaa hai tere hone se divaali hai mere ghar mein har ik din har ik pal tere jaane kaa jo ye Dar chikh uThtaa hai kisi pal bhi nahin rahtaa tiri khushbu se ye khaali nahin hotaa hai tu ghar mein to ye ghar chikh uThtaa hai tu apne saath jab se le gayaa tasvir bhi apni dar-o-divaar rote hain ye bistar chikh uThtaa hai judaa ho kar bhi inshaa ki mohabbat us ke dil mein hai kisi par zulm hotaa hai qalandar chikh uThtaa hai teri yaadon ki ye baad-e-sabaa jab khuun roti hai miraa vahm-o-gumaan aur dil kaa khanDar chikh uThtaa hai jahaan hote ho tum dekho gulaabi shaam hoti hai tumhaaraa zikr hote hi november chikh uThtaa hai kisi se bhi koi shikva nahin 'arpit' mujhe phir bhi mere dil kaa ye sannaaTaa bhi aksar chikh uThtaa hai"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"puuraa na shab-e-gham kaa kabhi silsila huaa vaqt-e-sahar uThaa main duaa maangtaa huaa har har nafas mein lafz-e-mohabbat zabaan pe hai mujh mein na jaane kaun hai ye boltaa huaa paayaa nahin kisi ne bhi ye raaz-e-kaaenaat ek shakhs kho gayaa hai khudaa DhunDhtaa huaa us se chhupaa na paaegaa tu apnaa haal-e-dil aankhon kaa aaina hai abhi boltaa huaa bimaar thaa to puchhne aae nahin mizaaj mayyat pe aaj us ki hai mela lagaa huaa kal chaudhvin ki raat bhi 'arpit' tamaam raat bhaTkaa huun apne aap ko main DhunDhtaa huaa"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"hasin hain kis qadar manzar mein khud ko bhuul jaataa huun tumhaare shahr mein aa kar main khud ko bhuul jaataa huun nahin rahtaa zaraa bhi hosh mujh ko aane jaane kaa tumhaare paas mein aa kar main khud ko bhuul jaataa huun main kyaa huun kaun huun rahti nahin kuchh bhi khabar mujh ko tumhaari yaad mein aksar main khud ko bhuul jaataa huun miraa sonaa bhi kyaa hai jaagnaa kyaa intizaar-e-shab paDaa rahtaa hai ye bistar mein khud ko bhuul jaataa huun ye meraa jism meri ruuh us ko saunp di main ne koi to hai mire andar main khud ko bhuul jaataa huun ajab si khud faraamoshi hai mujh par raat-din taari mire ai dost paDh mantar main khud ko bhuul jaataa huun na main divaana farzaana na main parvaana ai 'arpit' taajjub hai mujhe kyunkar main khud ko bhuul jaataa huun"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"aaina ruuTh gayaa hai tire jaane ke baad ik andheraa saa bichhaa hai tire jaane ke baad kis qadar TuuT ke barse hain ye baadal gham ke aasmaan chikh uThaa hai tire jaane ke baad dil ke TukDe hue barsaat hui ashkon ki kyaa kahun kyaa kyaa huaa hai tire jaane ke baad zehn bhi chup hai zabaan chup hai nazar bhi chup hai ham ne bhi kuchh na kahaa hai tire jaane ke baad chikhtaa khanDar hai roti hai haveli dil ki ghar ye aaseb-zada hai tire jaane ke baad ghar mein dipak hi jalaa hai na koi sham-e-vafaa muddaton dil hi jalaa hai tire jaane ke baad aisi Thokar kabhi khaai na thi is se pahle mujh ko sadma saa lagaa hai tire jaane ke baad ye zamaana hi nahin khud se bhi 'arpit' mujh ko kuchh taalluq na rahaa hai tire jaane ke baad"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"jo meri aankh se us jism mein daakhil hui hogi vo laDki phir mire siine mein jaa kar dil hui hogi vo meri jaan-o-dil ki kaifiyat se khuub vaaqif hai vo kitni baar meri ruuh mein shaamil hui hogi na jaane kitne badle honge us ne pairahan apne to phir aakhir vo mere ishq ke qaabil hui hogi miri aankhon kaa sannaaTaa bhi kuchh to boltaa hogaa vo laDki sun na paai is qadar ghaafil hui hogi palaT kar dekhnaa aur dekh kar aansu bahaa denaa use jaane mein mujh ko chhoD kar mushkil hui hogi moattar shaam hogi aur mahakti har sahar us ki tiri zulfon ki ye khushbu jise haasil hui hogi andheron mein kisi ko kuchh nazar aataa nahin to phir andheron mein sitam ki raushni shaamil hui hogi hamein to Duub marne ke liye hai chullu-bhar paani kisi ke vaaste mauj-e-balaa saahil hui hogi mujhe is daur ke haalaat se lagtaa nahin 'arpit' kise is zindagi mein zindagi haasil hui hogi"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"ek samundar aansuon kaa bhar chukaa kamre mein vo apni barbaadi kaa maatam kar chukaa kamre mein vo uf ye sannaaTaa ye taariki ye tanhaai kaa khauf tere bin jiite hi ji hai mar chukaa kamre mein vo mujh ko kuchh aisaa lagaa ki mar ke zinda ho gayaa apne hi saae se jaise Dar chukaa kamre mein vo ab na bolo aap kuchh aur naa hi ab bole koi vo kabhi ka mar chukaa hai mar chukaa kamre mein vo uf re tanhaai kaa ye ehsaas apne aap mein laash jaise aap apni dhar chukaa kamre mein vo khud-kushi 'arpit' ki koi zikr ke qaabil nahin jo bhi karnaa thaa use ab kar chukaa kamre mein vo"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"kahne lagi hai mujh se havaa kuchh huaa to hai sunne mein aa rahi hai sadaa kuchh huaa to hai mahsus kar rahaa huun zamin ki nami ko main din raat ro rahi hai havaa kuchh huaa to hai laDki uThaa ke haath falak dekhne lagi ruThaa huaa hai kyaa ye khudaa kuchh huaa to hai madhosh ho rahaa huun badan ko sambhaal tu kyaa aa rahi hai koi qazaa kuchh huaa to hai mujh ko nikalnaa aaj mere jism se paDaa main hi havaa huun mujh se judaa kuchh huaa to hai kaliyaan sisak ke rone lagi chaand raat mein aur peD de rahaa hai sadaa kuchh huaa to hai rotaa huaa jo dekhaa use dasht-gaah mein tanhaaiyon ne mujh se kahaa kuchh huaa to hai murshid hi jaantaa hai ke kyaa haadsa huaa murshid hi ne ye mujh se kahaa kuchh huaa to hai mujh ko paDaa milaa hai vo majdhaar mein to phir paani pe hai ye kis ne likhaa kuchh huaa to hai koi nahin thaa jo ki sune us ki baat ko aakhir vo boltaa hi rahaa kuchh huaa to hai aavaaz aa rahi hai koi chikhti hui 'arpit' nikal ke dekh zaraa kuchh huaa to hai"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"hai jaise roz divaali si duniyaa duniyaa vaalon ki hamein bhi chaar din ki zindagi milti ujaalon ki judaa gham hai judaa khushiyaan judaa din hai judaa raatein ye duniyaa hi niraali hai mohabbat karne vaalon ki zamaana khubsurat hai zamaane mein hasin laakhon magar tasvir to tum ho mire khvaabon khayaalon ki kabhi tark-e-mohabbat tum karo sochaa na thaa main ne bhulaa di ek din hi mein mohabbat tum ne saalon ki zamaane ke varaq par ab likhungaa daastaan-e-gham zabaan bhi aa gai mujh ko kitaabon ki risaalon ki chhupaa kar ek aaina rakhaa hai main ne bhi dil mein kabhi tasvir le lungaa sabhi main husn vaalon ki javaab is kaa sahi degaa koi to is ko kholungaa banaa kar ek gaThri main ne rakhi hai savaalon ki safar mein zindagi ke ham ne ye dekhaa hai ai 'arpit' zarurat paD hi jaati hai kabhi sukhe nivaalon ki"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"baare gham-e-firaaq uThaataa rahaa huun main shama jalaa jalaa ke bujhaataa rahaa huun main saare-jahaan ko dil se bhulaataa rahaa huun main bas yaad teri dil mein basaataa rahaa huun main divaar-o-dar ke dil ke nazar ke khayaal ke har aaine se khud ko chhupaataa rahaa huun main nazrein uThaa ke dekh bhi le ik nazar mujhe ai dost teri bazm mein aataa rahaa huun main baDhtaa rahe shabaab ye har roz har ghaDi aaina ban ke tujh ko sajaataa rahaa huun main is shahr-e-be-vafaa mein jafaaon ke baad bhi 'arpit' vafaa ke phuul khilaataa rahaa huun main"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"jism ke is khanDar ki tanhaai aur ye raat bhar ki tanhaai ek tasvir bhi nahin ghar mein uf ye divaar-o-dar ki tanhaai koi aahaT na koi saaya hai har qadam hai safar ki tanhaai ek aalam ko hai sameTe hue meri fikr-e-nazar ki tanhaai meri saanson mein bas gai jaise jaan-o-dil ki jigar ki tanhaai kitni bezaar hai ye mausam se samar-aavar shajar ki tanhaai dekhtaa hai nikal ke suraj roz ye mire baam-o-dar ki tanhaai raat din rote hai dar-o-divaar khaa gai mujh ko ghar ki tanhaai zindagi ke safar mein ai 'arpit' dekh li dar-ba-dar ki tanhaai"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"tu kare jo faisla aaj kar miri baat sun tu abhi na jaa mire dard-e-dil kaa ilaaj kar miri baat sun tu abhi na jaa abhi jaane jaane ki zid na kar yahaan ruThaa ruThaa hai saaraa ghar kabhi khush to meraa mizaaj kar miri baat sun tu abhi na jaa main mariz huun tire hijr kaa zaraa haath mein miraa haath le tu ghamon kaa mere ilaaj kar miri baat sun tu abhi na jaa basi rang-o-nur mein zindagi hai javaan shab to fazaa hasin mire jaan-o-dil pe tu raaj kar miri baat sun tu abhi na jaa tu chhalakte ashkon ko dekh le zaraa sun le ye miraa haal-e-dil yuun na sakht apnaa mizaaj kar miri baat sun tu abhi na jaa kyaa hasin raahguzar hai ye baDi lazzaton kaa safar hai ye na khayaal-e-takhta-o-taaj kar miri baat sun tu abhi na jaa ye duaa hai 'arpit'-e-khaas ki zaraa dekh le zaraa soch le tu zaraa zamaane ki laaj kar miri baat sun tu abhi na jaa"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"ab dil bujhaa bujhaa hai mujhe maar dijiye jiine mein kyaa rakhaa hai mujhe maar dijiye dil ke maraz kaa ab nahin duniyaa mein kuchh ilaaj ye ishq-e-laa-davaa hai mujhe maar dijiye main be-gunaah huun to yahi hai miri sazaa ye faisla huaa hai mujhe maar dijiye Dartaa huun aaine ko lagaane se haath main kahtaa ye aaina hai mujhe maar dijiye main huun vafaa-shiaar yahaan ji ke kyaa karun ye daur-e-bevafaa hai mujhe maar dijiye vallaah be-nashsha na rahi meri koi shaam ukhDaa huaa nasha hai mujhe maar dijiye ai jaan-e-dil-bahaar teri be-rukhi ke baad ab mere paas kyaa hai mujhe maar dijiye tanhaaiyon ki qaid se ghabraa ke ek shakhs aavaaz de rahaa hai mujhe maar dijiye ek baat josh josh mein sach kah gayaa huun main tum ko buraa lagaa hai mujhe maar dijiye tanhaai meri us se bhi dekhi nahin gai us ne bhi ye kahaa hai mujhe maar dijiye rashk-e-chaman banaa hai ye 'arpit' miraa vajud khushbu ko chhu liyaa hai mujhe maar dijiye"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"yak-ba-yak chhoD ke maano koi tanhaa TuuTe jaise patjhaD mein koi shaakh se pattaa TuuTe ab koi had hi nahin mere bikhar jaane ki jo mujhe dekh le vo dekh ke kitnaa TuuTe jaise saavan ki ghaTaa jam ke baras jaae hai tu mire paas mein aa jaae to aisaa TuuTe fikr-o-ehsaas ki ye gard bahut chhaai hai aankh se dhundh chhaTe tab kahin nashsha TuuTe ek muddat hui us ko nahin dekhaa main ne ek muddat hui aankhon se ujaalaa TuuTe yaa miri niind kaa ye khvaab ho paighaam-e-ajal yaa tire saamne se khvaab kaa dariyaa TuuTe teri aavaaz har ik dard bayaan karti hai tu agar saamne aa jaae to kitnaa TuuTe dil dhaDaktaa huaa mehraab-e-mohabbat ke qarib vo chalaa jaae to phir dekhiye kyaa kyaa TuuTe aisi viraaniyaan har ghar ko miTaa deti hain jaise marte hue khud ghar mein akelaa TuuTe ziist mein aisi hi ik shaam bhi aa jaae kabhi phir miri yaad mein ek dam se vo tanhaa TuuTe aasmaan aankhon kaa be-nur huaa jaataa hai main tiraa naam luun aur ek sitaaraa TuuTe main sar-e-shaam du'aa-go huun khudaa se 'arpit' vo jo aa jaae to is ghar kaa andheraa TuuTe"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit
Quote
"hai taajjub aaj tak bhi ishq kyon rusvaa nahin dard be-aavaaz saa hai gham kaa bhi saaya nahin jo huaa anjaam divaane kaa vo hotaa nahin vo samajh jaataa magar kuchh ham ne samjhaayaa nahin mere kamre ki bhi divaaron se ye puchhe koi koi kyaa jaane ki main kyon raat bhar soyaa nahin main kahin jaaun mere ham-rah us ki yaad hai tum mujhe tanhaa samajhte ho to main tanhaa nahin ho sake to aap rakhiye apne aibon par nazar dusron ki khaamiyon par tabsira achchhaa nahin kis qadar badla hai mujh ko vaqt ne haalaat ne aaina hai saamne lekin meraa chehra nahin duur tak miltaa nahin hai us mein aashiq kaa vajud ishq aisi dhuup hai jis mein koi saaya nahin shaam-e-gham so jaaun tujh ko saath le kar subh tak apne vaade par use aanaa thaa vo aayaa nahin be-khabar be-samt hi apnaa rahaa hai ye safar jaa rahe hain ham kidhar khud ko bhi batlaayaa nahin is qadar begaanagi khud se rahi hai umr bhar apne haal-e-zaar par 'arpit' kabhi sochaa nahin"
Arpit Sharma ArpitArpit Sharma Arpit