SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"umr-bhar ishq ke aazaar ne sone na diyaa haae haae dil-e-bimaar ne sone na diyaa khvaab mein shakl dikhaataa vo muqarrar mujh ko shauq ke taala-e-bedaar ne sone na diyaa aish ki shab bhi mire bakht ko aa jaati niind us ki paazeb ki jhankaar ne sone na diyaa mere marqad pe kahaa kis ne qayaamat hai qarib yaad aa kar tiri raftaar ne sone na diyaa rat-jage hote rahe hain ki baDhe gham ki umr ek shab dard-e-dil-e-zaar ne sone na diyaa main ne sone na diyaa shaam se us ko shab-e-vasl subh tak zid se mujhe yaar ne sone na diyaa nish-e-gham ne rag-e-mizhgaan se nikaalaa ye lahu mujh ko raaton mire gham-khvaar ne sone na diyaa mai-kasho surkh hain aankhein jo tumhaari shaayad shab tumhein saaqi-e-sarshaar ne sone na diyaa khauf thaa us ko 'shahidi' tiri bad-masti kaa shab jo ham-bazmon ko ayyaar ne sone na diyaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"dar-parda sitam ham pe vo kar jaate hain kaise gar kiije gilaa saaf mukar jaate hain kaise aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-vasl dekheinge par ab uTh ke sahar jaate hain kaise ranjish kaa miri paas nahin aap ko mutlaq barham tujhe ham dekh ke Dar jaate hain kaise ghusse mein nayaa rang nikaale hain pari-ru juun juun ye bigaDte hain sanvar jaate hain kaise us saahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh be-vajh mire baal bikhar jaate hain kaise ayyaam musibat ke to kaaTe nahin kaTte din aish ke ghaDiyon mein guzar jaate hain kaise vo vaqt to aane de bataa deinge 'shahidi' bin aae kisi shakhs pe mar jaate hain kaise"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"saamne mere na ghairon se milaataa aankhein kuchh bhi us shokh ke hoti jo hayaa aankhon mein khuun agar rouun kahun paa-e-nigaarin kis ke male aankhon se ki hai rang-e-hinaa aankhon mein ek shab dekh ke us rashk-e-pari ko raqqaas aaj tak phirti hai vo jumbish-e-paa aankhon mein rashk-e-gulnaar miri aankhon ko rakhtaa hai mudaam bas-ki ik shaahid-e-gul-rang-qabaa aankhon mein aaina dekh ke mashshaata se kahtaa hai vo shokh chashm-e-bad-dur ghazab surma ghulaa aankhon mein kyaa malaahat rukh-e-jaanaan mein hai allaah allaah aa gayaa jis ke tasavvur se mazaa aankhon mein ham ne dekhi hai tiri aankhon ke Doron ki bahaar kyaa rag-e-gul ko hai yaan nashv-o-numaa aankhon mein mardum-e-dida ko hai khilat-e-zar ki khvaahish jalva-farmaa ho tu ai mehr-laqaa aankhon mein saat parde mein agar rahne se hai shauq tujhe ye bhi ik manzar-e-paakiza hai aa aankhon mein dil-e-khun-kushta miraa mujh ko nihaayat hai aziiz siina jab chaak huaa hai isi jaa aankhon mein haq ne is vaaste aankhon mein banaae parde josh-e-girya mein tu le ashk chhupaa aankhon mein ek ishva mein kiyaa us ne 'shahidi' ko shahid khanjar-o-tegh hi bhar rakkhe the kyaa aankhon mein"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"mohabbat qata ki tum ne vo koson uD gayaa tum se dil apnaa rishta-e-ulfat kaa thaa ai gul-rukhaan baandhaa abhi jauhar karungaa apnaa varna sach bataa mujh ko tiri tegh-e-nigah ne mashvara kyaa meri jaan baandhaa ghariq-e-bahr-e-hushyaari ko har-dam fikr-e-saamaan ho kabhi yaan kashti-e-mai par na ham ne baadbaan baandhaa adaavat nim-jaan majnun se kyaa hai tujh ko ai zaalim mughilaan mein jo kHaali naaqa laa kar saariyaan baandhaa kiyaa hijraan ki shab mein koh-e-gham ne mujh ko chuur aisaa ki jarraahon ne subh aa kar miraa har ustukhvaan baandhaa banaa thaa panja-e-jarraah rashk-e-panja-e-marjaan tire zakhmi kaa jis dam us ne zakhm-e-khun-chakaan baandhaa miraa har misra-e-divaann hai ik shaakh-e-shakar goyaa lab-e-shirin kaa mazmun main ne ai shirin-zabaan baandhaa zamaan-e-nazaa dekhaa ik nazar hur-e-bahishti ko ye bohtaan apne aashiq par abas ai bad-gumaan baandhaa koi ai haamilaan-e-arsh tum se daad letaa huun sutun ik ab mire naalon ne su-e-laa-makaan baandhaa shahid is qadrdaani kaa huun TukDe kar ke aashiq ko lahad par nakhl-e-maatam yaar ne bahr-e-nishaan baandhaa mujhe ik umr se thaa motiyon ke sehre kaa armaan shab-e-furqat mein tu ne dida-e-gauhar-fishaan baandhaa rasaai ek tere baam tak us ko nahin zaalim kamand-e-aah mein sau baar main ne aasmaan baandhaa vo ganj-e-zaat kyaa kuchh hogaa yaarab main to hairaan huun hifaazat ke liye jis par tilism-e-do-jahaan baandhaa 'shahidi' kasrat-e-isyaan se mujh ko khauf aataa hai safar hai duur kaa aur dosh par baar-e-garaan baandhaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"ishq mein kamtar hanse aur beshtar royaa kiye ek shab kaa lutf barson yaad kar royaa kiye taar rone kaa na TuuTaa apne maatam-khaana mein mar gae jab ham hamaare nauhagar royaa kiye rone vaalon par thaa vaajib aashiq-e-giryaan kaa urs har baras abr aa ke meri khaak par royaa kiye zauq hai rone se yaan tak vasl ki shab mein bhi ham yaar ke paanv pe rakh kar apnaa sar royaa kiye taur ye bigDaa hai us ki bazm kaa ik dam ko ham vaan gae the aa ke pahron apne ghar royaa kiye khalq ko parda-nashin ke ishq kaa shubha huaa aankh par aksar jo ham rumaal dhar royaa kiye apne rone par jo rahm aaya use ham aur bhi us ke dikhlaane ko mal-mal chashm-e-tar royaa kiye ishq mein taasir gar rakhtaa hai kuchh abr-e-safed ham abas khun-e-dil-o-lakht-e-jigar royaa kiye un ke divaanon ko bhi kyaa zabt hai auqaat kaa do pahar hanste rahe gar do pahar royaa kiye rone mein kal raat ghaflat is qadar taari hui yaar aa kar phir gayaa ham be-khabar royaa kiye kuchh hamin giryaan nahin hain duri-e-ahbaab se hashr tak is gham mein sab jinn-o-bashar royaa kiye dil ke jaane kaa 'shahidi' haadisa aisaa nahin kuchh na roe aah agar ham umr-bhar royaa kiye"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"kyaa vaqt-e-sahar hausla baaqi ho duaa kaa jab kar ke duaa dekhte hon ru-e-sahar ham tu chaand se behtar hai ki raunaq tire munh par paate hain fuzun shaam se bhi vaqt-e-sahar ham ban-Than ke ho vo rashk-e-pari saamne jis dam kyon ghash hamein aa jaae na aakhir hain bashar ham darbaanon ki shafqat se rihaai nahin hoti barson mein kisi din use paate hain agar ham har vaza ke insaan se mulaaqaat hai un ko sab khalq mudaaraat ke qaabil hai magar ham jaate kidhar aatish-kada-e-ishq se uD kar maanind samundar ke agar rakhte bhi par ham ab chain se sonaa tah-e-aflaak hamesha ai ahl-e-zamin muzhda ho tum ko gae mar ham dekhe hain magar bikhre hue baal kisi ke kuchh aaj 'shahidi' kaa ajab haal hai darham"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"qurbaani-e-insaan kaa nahin shauq gar us ko phir eid ke din kyon mujhe zindaan se nikaalaa ahbaab ke kaandhe se giraa jaataa thaa jis dam taabut miraa gor-e-gharibaan se nikaalaa taqdir ne saahil pe kiye saikDon phere takhta na hamaaraa kabhi tufaan se nikaalaa shaana dil-e-sad-chaak ke naqsha se banaayaa aaina mire dida-e-hairaan se nikaalaa vo tifl-e-sharir aur se kab chuke hai jis ne ustaad ko do din mein dabistaan se nikaalaa lailaa bhi magar parda-e-mahmil ki thi dushman naaqa ko ragaD kar jo mughilaan se nikaalaa zid mujh se thi majnun ki hikaayat kaa phir ai jaan kyon tum ne varaq apne gulistaan se nikaalaa ab tak miri aahon mein hai sumbul ki si khushbu ik din jo dhuaan yaar ke quliyaan se nikaalaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"hai masihaa-e-ajal ko tire bimaar se naaz kis ko duniyaa mein nahin apne talabgaar se naaz naaz-bardaari-e-ranjur-e-abad mushkil hai uTh sakeinge mire kab tak kisi gham-khvaar se naaz ban gayaa yaar ki tasvir har ik naqsh-e-qadam kyaa Tapaktaa hai pari-vash tiri raftaar se naaz kyon na ushshaaq ko phir lutf-o-karam ho yaksaan naaz se pyaar hai khush-tar tiraa aur pyaar se naaz lan-taraani ki sadaa koh par ab tak hai buland in buton ko hai nahin taalib-e-didaar se naaz ab tire naaz-e-bajaa ko bhi vo samjhaa bejaa khat numaayaan hai munaasib nahin aghyaar se naaz kyon na ji bech ke khvaahaan 'shahidi' hon hazaar un kaa ek ek hai anmol kharidaar se naaz"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"mahfil se aakhir us ki nikalvaae jaaeinge shekhi se jaa to baiThe the ik baar anqarib vahshat bhare hue mire tevar ko dekh kar aataa nahin hai ab koi gham-khvaar anqarib vo din gae junun ke mudaavaa ke vaaste do-chaar roz baiThe to do-chaar anqarib jins-e-vafaa ki qadr gar izhaar kijiye kahtaa hai mujh ko yaan se hai baazaar anqarib ai bad-saliqa ye bhi qarina hai bazm kaa ushshaaq duur baiThein aur aghyaar anqarib le apne aashiyaan ki khabar jald jibrail pahunchi hamaari aah-e-sharar-baar anqarib duuri 'shahidi' apni samajh kaa qusur thaa hai shah-rag-e-gulu se bhi yaan yaar anqarib"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"ranj-o-gham main ne uThaayaa so uThaayaa tanhaa kisi aashiq ko na rakhnaa tu khudaayaa tanhaa ise kahte hain itaaat ki gayaa main be-khud yaar ne jab mujhe khalvat mein bulaayaa tanhaa khizr kaa qaafila-e-hosh jahaan par huaa gum mujhe vahshat ne vahaan raaton phiraayaa tanhaa kis zabaan se karun ai tang-dili teraa shukr ghair ko jaa na mili yaar samaayaa tanhaa maarifat ghair ke qaasid ko milaa thaa vo payaam ki mujhe vahy ke maanind sunaayaa tanhaa vasl ki raat bhi kambakht hayaa saath rahi hasb-e-khvaahish vo mire paas kab aaya tanhaa us farebi ne shab iqraar ghalat farmaa kar apne dar par mujhe taa-subh biThaayaa tanhaa dar-guzar gham na kare dushman-e-jaan meraa thaa tere hijraan mein bhi us ne mujhe paayaa tanhaa kazkul-e-rashk ne us ke varaq-e-mahfil se harf-e-bejaa ki tarah mujh ko uThaayaa tanhaa ghar ko gor aap ko murda main 'shahidi' samjhaa yaar bin bakht ne jis raat sulaayaa tanhaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"mashaam-e-bulbul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai abhi vo naam-e-khudaa hai ghuncha nasim chhu bhi nahin gai hai na ishq surme kaa ne misi kaa na shauq ghamze kaa ne hansi kaa gumaan ho gar tum ko aarsi kaa so ru-ba-ru bhi nahin gai hai balaa ko us ki khabar hai kahte hain kis ko maashuq kyaa hai aashiq hunuz kaanon mein us pari ke ye guftugu bhi nahin gai hai yaqin nahin mujh ko qais-e-giryaan ke haal se us ko aagahi ho nikal ke matlab se apne lailaa kinaar-e-ju bhi nahin gai hai 'shahidi' itni gumaan-parasti nashe mein sab bhuul baiThe hasti hui hai us se hi tum ko masti jo taa-gulu bhi nahin gai hai"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"harifo hosh mein aao ki jaam shishe kaa kisi ke lab ko hai laayaa payaam shishe kaa dilon ko mast na laTkaati zulf shaane mein kiyaa hai siine mein main ne maqaam shishe kaa yahi namaaz-e-jamaaat hai rindon ki zaahid ki jhukte hain jhuke jis dam imaam shishe kaa tujhe sifaal mayassar na ho lagaa de ok ravaan ho mai-kade mein faiz-e-aam shishe kaa nikaal mujh ko na bazm-e-sharaab se baahar ki teraa burda huun saaqi ghulaam shishe kaa ba-qadr-e-zarf mujhe de sharaab pir-e-mughaan zabaan-e-haal se ye hai kalaam shishe kaa hazaar sai kare zakhm-khurda ek gazand muhaal dil ki tarah iltiyaam shishe kaa vahi lataafat-e-surat vahi safaa-e-darun hamaare dil mein hai naqsha tamaam shishe kaa na chhuT sake tire qaabu mein aa ke ai badmast lakirein hain kaf-e-naazuk mein daam shishe kaa balaa-e-jaan thi mujhe chaal he tiri saaqi qayaamat aur bhi laayaa khiraam shishe kaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"marg-e-aashiq par jo barham ho do-aalam kaa varaq haif hai ai jaan tujhe malnaa kaf-e-afsos kaa vasl mein dushvaar niklegaa hamaare dil se gham chhoDnaa aasaan nahin hai khaana-e-faanus kaa kyaa likhe dekhe sitamgar maani-e-lafz-e-vafaa phaaD Daalaa kyon khafaa ho kar varaq qaamus kaa saamne aankhon ke lahraataa hai meraa dud-e-dil kyon tujhe baavar nahin munkir na ho mahsus kaa dam-ba-dam aataa hai akhbaar-e-darogh-o-raast sab bad-gumaani naam hai ushshaaq ke jaasus kaa kis shikaar-afgan ki aati hai savaari dasht mein muntazir ek ek vahshi hai sadaa-e-kus kaa ru-ba-ru-e-haq na ikhfaa-e-mohabbat ho sakaa subh-e-mahshar se magar parda mire naamus kaa sair kartaa huun nagin-e-dil 'shahidi' zahr se kanda is par main karungaa naam shaah-e-tus kaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"main jumbish-e-lab dekh ke samjhaa sukhan-e-mauj pur-vasf tabassum se tire hai dahan-e-mauj har dil mein tire jalva-e-vaahid kaa hai partav ik shama-e-qamar raunaq-e-sad-anjuman-e-mauj divaana tiraa band-e-ta'alluq se hai aazaad kab baandh sake aab-e-ravaan ko rasan-e-mauj vo gul jo nahaane ko sahar hauz mein utraa thaa khanda-zanaan mauj-e-chaman par chaman-e-mauj mashshaata-gari apni sabaa laakh dikhaa de pahunche kham-e-gesu ko tire kab shikan-e-mauj poshaak-e-mukallaf ki na rakh hirs 'shahidi' be-chaak utu yaan na huaa pairahan-e-mauj"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"aatish-e-mai se charaagh-e-husn raushan ho gayaa aab is tasvir se chehre ko roghan ho gayaa yaar ke nazzaara-e-rukhsaar kaa haael hai khat tira-bakhti se hamaari khizr rahzan ho gayaa dud-e-gardun shoala khur aatish shafaq akhgar nujum aalam-e-baalaa miri aahon se gulkhan ho gayaa aah vo dil jis ko labbaik-e-haram se aar thaa ishq mein ik but ke naaqus-e-barahman ho gayaa har shajar nakhl-e-shahidaan rauza-khvaan har andalib ek gul ban mujh ko maatam-khaana gulshan ho gayaa bazm-e-qaatil mein milaa thaa sar kaTaane kaa mazaa jumla-tan main shama ke maanind gardan ho gayaa kyon safar se aa ke tu ru-posh hai rashk-e-bahaar aib kyaa gar arghavaan kaa phuul sausan ho gayaa ik tire dil ko nahin taasir mutlaq ai pari varna jab aatish mein rakkhaa mom aahan ho gayaa is qadar dud-e-jigar se mere vaan kaajal jamaa band maatam-khaane kaa har ek rauzan ho gayaa naaznin-e-ruh ko kyunkar na aar aae bhalaa kis qadar mustaamal apnaa jaama-e-tan ho gayaa khaai jab Thokar tire vahshi ko dam yaad aa gayaa us ko har ik sang-e-rah sang-e-falaakhan ho gayaa sina-e-ahbaab par paDtaa hai apnaa har qadam sair ke qaabil nahin ye baagh madfan ho gayaa kal jo 'naasikh' ne 'shahidi' ko pinhaayaa pairahan naa-tavaani se garebaan tauq-e-gardan ho gayaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"hazaar martaba dekhaa sitam judaai kaa hanuz hausla baaqi hai aashnaai kaa pari uThi mire pahlu se baarhaa naakaam farefta huun tiri tarz-e-dilrubaai kaa mujhe azaab-e-jahannam ki but-parast huun main vo but bahisht mein daa'vaa jise khudaai kaa fazaa-e-baagh se hai gosha-e-qafas khush-tar gar apne dil mein na ho daghdagha rihaai kaa adab na vaadi-e-vahshat ke mujh se tark hue junun mein hosh rahaa hai barahna-paai kaa nigaah khanda taghaaful 'itaab kohna hue nikaal tarz nayaa koi dilrubaai kaa buton kaa sajda miri sarnavisht mein kab thaa ki 'azm kaa'ba ke dar par ho jubba-saai kaa uchak rahaa hai khaDaa baam-e-arsh par kam-bakht qalaq hai mujh ko 'shahidi' ki naa-rasaai kaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"dil chaak-chaak ishq mein hai siina daagh-daagh is chaak-o-daagh se ho khiyaabaan baagh-baagh kyon daagh ko na ho mire dil ki qabaa pasand sahraa-e-vahshaton se ye dil aur kulaagh daagh chaak-e-dil-o-jigar mein basaa jab se soz-e-ishq jalti hai aag ishq se aur hain ujaagh daagh furqat mein teri saaqiyaa gham kaa huun mehmaan meri sharaab khun-e-jigar hai ayaagh daagh hote hain laakh naaz rafiq-e-shafiq ko bejaa nahin hai dil se kare gar dimaagh daagh main tere dud-e-zulf se ai shama tira-roz meri shab-e-siyah se falak kaa charaagh daagh apnaa sabaq hamesha rahaa ain-o-shin-o-qaaf tahsil se hamaari hain ahl-e-dimaagh daagh rahzan tariq-e-shauq mein hai khvaahish-e-dalil gar aatish-e-talab hai zabaan-e-suraagh daagh jaan-soz-tar thaa vasl 'shahidi' firaaq se aashiq ki sair-gasht se hain baagh daagh-daagh"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"ji chaahegaa jis ko use chaahaa na kareinge ham ishq o havas ko kabhi yakjaa na kareinge ai kaash chhuTein ahd-shikan ban ke jahaan mein baaz aae vafaadaari kaa daavaa na kareinge go husn-parasti na ho khaatir se faraamosh khush-qaamaton kaa yaad saraapaa na kareinge nargis ki shab-e-tira mein luTeinge bahaarein par surmagin aankhon ki tamannaa na kareinge bahlaaeinge sair-e-gul-o-shabnam se dil apnaa us aariz-e-gul-rang ki parvaa na kareinge angaaron pe loTeinge par un shola-rukhon ke nazzaara se ham aankh bhi seinkaa na kareinge ismat kaa unhein khauf hai taqvaa kaa hamein paas ne ki hai kabhi khvaahish-e-bejaa na kareinge bakne ke 'shahidi' ke buraa maaniyo mat jaan hain aashiq-e-saadiq kabhi aisaa na kareinge"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuuTe jab tak kamar-e-qaafila-e-saalaar na TuuTe is pand se dil naaseh-e-din-daar na TuuTe but toDne mein kaabe ki divaar na TuuTe be-fikr rahe banda-e-naqaab-e-rukh-e-jaanaan ham se kabhi qufl-e-dar-e-gulzaar na TuuTe jab tak na gavaara ho tujhe nazaa ki talkhi parhez tiraa ai dil-e-bimaar na TuuTe har roz ho jab saikDon ushshaaq kaa chaurang ai shokh kahaan tak tiri talvaar na TuuTe sar paTkun jo divaar se kahtaa hai vo zaalim bas bas mire ghar ki kahin divaar na TuuTe bejaa hai tiri garmi-e-baazaar kaa shikva kyuun jins nai paa ke kharidaar na TuuTe qismat mein ho go manzil-e-maqsad kaa pahunchnaa par aabla-e-paa mein sar-e-khaar na TuuTe aasaan hai 'shahidi' ki agar dil-shikani ho par shart ye hai khaatir-e-aghyaar na TuuTe"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"aaghosh kaa haz paikar-o-dibaa ne uThaayaa bose kaa mazaa saaghar-e-sahbaa ne uThaayaa kis ke dil-e-mahzun ko sataayaa thaa ki ik umr khajlat se na sar zulf-e-chalipaa ne uThaayaa shaayad mah-e-kanaan ki nazar aa gai tasvir kahnaa hai abas ranj zulekhaa ne uThaayaa zaalim chaman-aaraa ko hai gulchin ki ijaazat kyon shor abas bulbul-e-shaidaa ne uThaayaa thaa khauf-e-khudaa dushman-e-khunkhaar ke dil mein beDaa miri iizaa kaa ahibbaa ne uThaayaa hansti thi khaDi saikDon saf roz-e-qayaamat sar khaak se jis dam tire rusvaa ne uThaayaa aghyaar kaa munh thaa mujhe mahfil se uThaate sach yuun hai tiri ranjish-e-bejaa ne uThaayaa ai dost tire dil mein kabhi rahm na aaya sau baar mujhe khaak se aadaa ne uThaayaa bimaar-e-mohabbat ko ab allaah shifaa de sunte hain ki haath us se masihaa ne uThaayaa aamin ki sadaa hazrat-e-izzat mein hai har-su kyaa dast-e-duaa aashiq-e-shaidaa ne uThaayaa hai qadr sukhan-go ki pas-e-marg 'shahidi' taabut miraa dosh pe 'saudaa' ne uThaayaa"
K
Karamat Ali Shaheedi
Quote
"khvaahaan-e-kaam-e-jaan hain tan-aasaaniyon mein ham taa-zindagi raheinge pareshaaniyon mein ham masjid mein sajda khaak karein dekhte hain ham sandal sanam-paraston ki peshaaniyon mein ham dekhaa kabhi na khaar ki daaman-kashi kaa lutf sahraa ki sair ko gae uryaaniyon mein ham do qism aadmi hain jafaakaar-o-bevafaa gar avvalon mein vo hai to hain saaniyon mein ham aab-e-baqaa khizar ko mubaarak rahe hamein kaafi hai jaam-e-zahr ki hain faaniyon mein ham jang-o-jadal rahegi 'shahidi' tamaam umr iraaniyon mein yaar hain turaaniyon mein ham"
K
Karamat Ali Shaheedi