SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuneer Bhopali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil mein hujum-e-shauq-o-tamannaa liye hue jaataa huun teri bazm se kyaa kyaa liye hue nairangi-e-jamaal hai jalva-gah-e-khayaal us dil mein huun main husn ki duniyaa liye hue ummid-e-zist us ko ho kyaa jis ke vaaste aae payaam-e-maut masihaa liye hue vo jalva-gaah-e-naaz ho aur chashm-e-shauq main huun kis qadar main dil mein tamannaa liye hue ye muskuraa ke kis ne nazar dil pe Daal di har har taDap hai shaan-e-tamannaa liye hue armaan ki fikr kis ko tamannaa kaa zikr kyaa dil khud hai ik nazar kaa sahaaraa liye hue Darne lage hain ab vo nazar se miri 'munir' goyaa sukut bhi hai taqaazaa liye hue"
M
Muneer Bhopali
Quote
"har musibat bhi shaadmaani thi ik balaa thi ki naujavaani thi ulfat ik kaavish-e-nihaani thi kisi surat se maut aani thi justuju ne milaa diyaa tujh se raaz-jui bhi raaz-daani thi vo the aur khvaab-e-aish ki lazzat ham the aur dard ki kahaani thi jis se taskin ho gai dil ki naama-bar ki ghalat-bayaani thi ruh-parvar thaa dard-e-dil apnaa mehmaani bhi mezbaani thi ham bhi rahte the un ki nazron mein kabhi ham par bhi mehrbaani thi kis ne khoyaa hamein zamaane se kyaa kahein kis ki mehrbaani thi us ke haathon 'munir' marnaa thaa phir to ye maut zindagaani thi"
M
Muneer Bhopali
Quote
"hamaaraa jazb-e-saadiq shauq-e-kaamil dekhte jaao yahin khinch kar chali aaegi manzil dekhte jaao vafaa-aamoz hai rashk-e-shahaadat aaj maqtal mein hazaaron honge bismil gird-e-bismil dekhte jaao dam-e-aakhir hai Thahro karb khud taskin bantaa hai hui jaati hai ab aasaan mushkil dekhte jaao jin aankhon se abhi tasvir-e-raahat tum ne dekhi hai unhin aankhon se khun-e-hasrat-e-dil dekhte jaao dilam shud khuun khuun shud ashk ashk az-dida bairun shud mohabbat kaa samar ulfat kaa haasil dekhte jaao tumhein dushman samajh kar bhi tumhin par jaan detaa huun miri himmat miri jurat miraa dil dekhte jaao koi bad-zan na ho aur khaatma bil-khair ho jaae ba-andaaz-e-taghaaful su-e-bismil dekhte jaao na gum kar de kahin vaaraftagi ai qaafile vaalo mujhe har gaam par manzil-ba-manzil dekhte jaao unhein bechain kar deingi falak ko bhi jalaa deingi 'munir' aahon kaa apni zoam-e-baatil dekhte jaao"
M
Muneer Bhopali
Quote
"ab zindagi mein hosh kaa imkaan to gayaa lekin tiri nigaah ko pahchaan to gayaa ab bhi hai ye khayaal kisi tarah dekh luun maanaa ki dil se chaah kaa armaan to gayaa maanus-e-gham hi ban ke rahein kyon na dahr mein haasil kabhi khushi ho ye imkaan to gayaa ai kaash be-khudi kaa bhi anjaam dekh luun dil ki tarah se hosh kaa imkaan to gayaa achchhaa huaa ki vaade se inkaar kar diyaa har-vaqt kaa ye haath mein quraan to gayaa us but ki ai 'munir' nigaahon mein sehr thaa go jaan bach gai magar imaan to gayaa"
M
Muneer Bhopali
Quote
"khushi ki had ghamon ki intihaa maalum hoti hai khudaa jaane mohabbat kyaa hai kyaa maalum hoti hai jahaan kaa zarra zarra yuun to zer-e-hukm-e-fitrat hai magar ye husn ki duniyaa judaa maalum hoti hai tavaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon har ik hasrat tabassum-aashnaa maalum hoti hai baDi halchal machi hai aaj dil vaalon ki duniyaa mein tiri nazron mein shaan-e-iltijaa maalum hoti hai sanaa-e-husn tausif-e-adaa taarif-e-dil-jui ye sab tamhid-e-arz-e-muddaaa maalum hoti hai ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-khudaavandi mujhe har intihaa ab ibtidaa maalum hoti hai agar maail ba-pasti hai mohabbat abd-e-aasi hai jo us ki rifatein dekho khudaa maalum hoti hai bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-aashnaa ho kar mire jazbaat se naa-aashnaa maalum hoti hai mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai kahin rahzan kisi jaa rahnumaa maalum hoti hai jigar TukDe huaa jaataa hai har aavaaz par us ki 'munir'-e-be-navaa ki ye sadaa maalum hoti hai"
M
Muneer Bhopali
Quote
"adab se shikva-e-gham ho rahaa hai zabaan khaamosh hai dil ro rahaa hai jigar betaab hai dil ro rahaa hai tamannaaon kaa maatam ho rahaa hai zamaana laakh de chhinTe pe chhinTe main kyaa jaagun muqaddar so rahaa hai samajhtaa hai vo jannat ki haqiqat tiri mahfil mein dam bhar jo rahaa hai jabin apni kisi kaa aastaan hai muqaddar ab muqaddar ho rahaa hai samajhtaa hai vo jannat ki haqiqat tiri mahfil mein dam bhar jo rahaa hai jabin apni kisi kaa aastaan hai muqaddar ab muqaddar ho rahaa hai dil-e-naa-fahm ye aansu nahin hain baDe naayaab moti kho rahaa hai mohabbat-rez fitrat ban rahi hai qayaamat-khez aalam ho rahaa hai nayaa andaaz hai uzr-e-sitam kaa mujhi se meraa shikva ho rahaa hai shab-e-gham aur sukun-e-qalb-e-muztar mujhe kuchh aur hi shak ho rahaa hai ilaahi shaan-e-sattaari kaa sadqa shumaar-e-maasiyat kyon ho rahaa hai inhi aankhon mein jannat bas rahi hai inhi aankhon mein mahshar so rahaa hai na be-paanv guzar jaae qayaamat koi barson kaa jaagaa so rahaa hai ye dard-e-dil 'munir' un kaa karam hai maqaam-e-shukr hai tu ro rahaa hai"
M
Muneer Bhopali
Quote
"mohabbat mein ik aisaa bhi maqaam aataa hai mushkil kaa jahaan khud dil hi ban jaataa hai dushman hasti-e-dil kaa nazar kaisi khayaalon se hai unchaa silsila dil kaa pata khud puchhtaa hai ishq mujh se meri manzil kaa har ik karvaT pe dard-e-ishq ki taDpaa nahin jaataa kahaan tak saath degi zindagi be-taabi-e-dil kaa miri aankhon mein maujein hain miri nazron mein tufaan hai safina meraa parvarda nahin aaghosh-e-saahil kaa miri zauq-e-khalish ik mustaqil duniyaa-e-raahat hai ki har ik khaar pe hotaa hai dhokaa mujh ko manzil kaa maze tanhaaiyon ke bhi kabhi aate hain mahfil mein kabhi tanhaaiyaan bhi lutf de jaati hain mahfil kaa pilaa saaghar nigaah-e-mast se bhi kaam le saaqi mujhe ehsaas kuchh hone lagaa hai haqq-o-baatil kaa agar samjho to har qatra mohabbat ki kahaani hai nahin ye ashk ik paighaam hai TuuTe hue dil kaa sadaa-e-shauq-e-nazzaara na saaz-e-be-niyaazi hai bas ik naghma fazaa mein gunjtaa hai parda-e-dil kaa tire dar par mujhe ye fitrat-e-majbur laai hai na jaane aaj kis duniyaa mein aalam hai mire dil kaa gham-e-pinhaan ke parde mein nashaat-e-kaamraani hai zamaane se alag haT kar zamaana hai mire dil kaa junun ki azmatein mujh ko 'munir' aaghosh mein leingi tavaaf apni nigaahein kar rahi hain us ki mahfil kaa"
M
Muneer Bhopali
Quote
"parda uThaa ke chashm-e-taghaaful-nigar se aap dil kaa jamaal dekhiye dil ki nazar se aap ghaafil hain husn-o-ishq khud apne asar se aap kuchh be-khabar se ham bhi hain kuchh be-khabar se aap nazrein churaa rahe hain jo ahl-e-nazar se aap aaine ko chhupaate hain aaina-gar se aap sahmi hui duaaein hain naale Dare hue maayus yuun koi na ho apne asar se aap garmaa rahi hai qalb ko ik barq-e-be-khudi jalve hamein dikhaate hain aakhir kidhar se aap har har qadam pe sajdon ke milte hain kuchh nishaan shaayad ki aaj guzre hain is rahguzar se aap har zarra-e-nazar hai gulistaan banaa huaa aai bahaar guzre hain yaa rahguzar se aap khuddaariyon kaa paas bhi ai shaan-e-munfail marub hon na chashm-e-mohabbat-asar se aap dushvaar hain rasaaiyaan daamaan-e-dost tak qatraat-e-ashk khulte nahin chashm-e-tar se aap divaar-e-laa-makaan ho ki parde hijaab ke chhupte nahin hain chashm-e-haqiqat-nigar se aap jalve bhi khud nigaah ke parde mein ai 'munir' dekhaa unhein to chhup gae apni nazar se aap"
M
Muneer Bhopali
Quote
"vo mohabbat vo dil vo khu hi nahin vaaqia hai ki tu vo tu hi nahin kab vo ifaa-e-ahd karte hain jab yahaan dil mein aarzu hi nahin iltifaat-e-sitam-numaa hai ye aaj vo tarz-e-guftugu hi nahin haae kyaa din the vo masarrat ke jab ye kahte the aarzu hi nahin zarra zarra hai partav-e-lamaat chashm-e-jalva-shanaas tu hi nahin kab vo aae hain puchhne ahvaal jab yahaan taab-e-guftugu hi nahin aankh mein phir kahaan se aataa hai jab kahin jism mein lahu hi nahin khvaahish-e-vasl khaam-kaari hai dil se nikle vo aarzu hi nahin ghaflat-e-jurat-aazmaa be-sud ki yahaan paa-e-justuju hi nahin sang-e-dar bhi rahaa hai sarf-e-jabin shaahid-e-sajda khaak-e-ku hi nahin sar na kaT kar gire to sajda kyaa khuun se jo na ho vuzu hi nahin un kaa milnaa 'munir' aasaan hai sach to ye hai ki justuju hi nahin"
M
Muneer Bhopali
Quote
"zabaan-e-nutq mein paidaa agar husn-e-bayaan kar luun chaman ke zarra-zarra ko main apnaa ham-zabaan kar luun bahut mumkin hai paidaa ishq mein dushvaariyaan kar luun magar dil ko kisi surat shanaasaa-e-fughaan kar luun nigaah-e-iltifaat us ki agar vusat-badaamaan ho zamaane bhar ke armaanon ko dil mein mehmaan kar luun main vo izaa-talab huun bar-sar-e-manzil bhaTak jaaun rah-e-aasaan mein paidaa jaan kar dushvaariyaan kar luun asir-e-nau huun main vaaqif nahin aadaab-e-zindaan se ki kab naala karun aur band kab apni zabaan kar luun maze soz-e-mohabbat ke koi dil se mire puchhe jo qaabu ho to saari hasraton ko bijliyaan kar luun dikhaa dungaa kahaan jhukte hain sar saari khudaai ke magar pahle main tere aastaan ko aastaan kar luun main khud vaaqif nahin ab tak 'munir' is raaz-e-ulfat se chhupaaun raaz-e-dil kis se main kis ko raazdaan kar luun"
M
Muneer Bhopali
Quote
"hamaaraa jazb-e-saadiq shauq-e-kaamil dekhte jaao yahin khinch kar chali aaegi manzil dekhte jaao vafaa-aamoz hai rashk-e-shahaadat aaj maqtal mein hazaaron honge bismil gird-e-bismil dekhte jaao dam-e-aakhir hai Thahro karb khud taskin bantaa hai hui jaati hai ab aasaan mushkil dekhte jaao jin aankhon se abhi tasvir-e-raahat tum ne dekhi hai unhin aankhon se khun-e-hasrat-e-dil dekhte jaao dilam shud khuun khuun shud ashk ashk-az-dida bairun shud mohabbat kaa samar ulfat kaa haasil dekhte jaao tumhein dushman samajh kar bhi tumhin par jaan detaa huun miri himmat miri jurat miraa dil dekhte jaao koi bad-zan na ho aur khaatma-bil-khair ho jaae ba-andaaz-e-taghaaful su-e-bismil dekhte jaao na gum kar de kahin vaaraftagi ai qaafila vaalo mujhe har gaam par manzil-ba-manzil dekhte jaao unhein bechain kar deingi falak ko bhi jalaa deingi 'munir' aahon kaa apni zoam-e-baatil dekhte jaao"
M
Muneer Bhopali
Quote
"maaal-e-jaur samjhe aur na anjaam-e-vafaa samjhe na un kaa muddaaa jaanaa na apnaa muddaaa samjhe tum is madhosh ko kyon shaaki-e-jaur-o-vafaa samjhe jo masruf-e-duaa rah kar na maqsud-e-duaa samjhe zamaane mein hazaaron suratein hain maut aane ki hamein kyon koi us kaa kushta-e-tegh-e-adaa samjhe vafaa kaa tazkira bhi jurm hai kyaa kyon bigaDte ho zaraa socho to kyaa main ne kahaa aur aap kyaa samjhe agar tu dasht-e-ghurbat mein miraa ho ham-safar naaseh to rahzan to kujaa reg-e-ravaan ko rahnumaa samjhe jahaan mein be-niyaazi ki use shaanein dikhaanaa hain vo kyon paaband-e-fitrat ho vo kyon achchhaa buraa samjhe kisi ki shokhi-e-barq-e-nazar kaa hai ye aaina 'munir' is iztiraab-e-dil ko mere koi kyaa samjhe"
M
Muneer Bhopali
Quote
"hoti hai tabiat hi khudaa-daad kisi ki ulfat mein vafaaein nahin ijaad kisi ki naakaam phiri arsh se fariyaad kisi ki kis dar se umidein huiin barbaad kisi ki allaah re paabandi-e-aadaab-e-mohabbat fariyaad bhi goyaa nahin aazaad kisi ki aa ai gham-e-dauraan tujhe siine se lagaa luun bhule se bhi aati nahin ab yaad kisi ki unvaan-e-mohabbat hai nigaah-e-ghalat-andaaz mustaghni-e-tamhid hai rudaad kisi ki miTte hue is tarah kisi ko nahin dekhaa jis tarah se hasti hui barbaad kisi ki afsaana-e-farhaad ki tamhid uThaai hamraaz magar kah gayaa rudaad kisi ki gustaakh tamannaaon ne kyaa chheD diyaa hai sharmaai hui dil mein hai kyon yaad kisi ki kis dard bhare dil ki 'munir' aah sadaa hai ik paikar-e-betaab hai fariyaad kisi ki"
M
Muneer Bhopali
Quote
"dil mein hujum-e-shauq-o-tamannaa liye hue jaataa huun teri bazm se kyaa kyaa liye hue nairangi-e-jamaal hai jalva-gah-e-khayaal us dil mein huun main husn ki duniyaa liye hue ummid-e-zist us ko ho kyaa jis ke vaaste aae payaam-e-maut masihaa liye hue vo jalva-gaah-e-naaz ho aur chashm-e-shauq main huun kis qadar main dil mein tamanna liye hue ye muskuraa ke kis ne nazar dil pe Daal di har har taDap hai shaan-e-tamannaa liye hue armaan ki fikr kis ko tamanna kaa zikr kyaa dil khud hai ik nazar kaa sahaaraa liye hue Darne lage hain ab vo nazar se miri 'munir' goyaa sukut bhi hai taqaazaa liye hue"
M
Muneer Bhopali
Quote
"na ibtidaa huun kisi ki na intihaa huun main taayyunaat ki had se guzar gayaa huun main jo naa-muraad-e-azal hai vo iltijaa huun main asar se duur jo rahti hai vo duaa huun main tire jamaal kaa aaina ban gayaa huun main hazaar pardon mein chhup kar chamak rahaa huun main ilaahi kis ki nigaahon se gir gayaa huun main har ek aankh ko hasrat se tak rahaa huun main tiraa karam to khudaa jaane kyaa sitam hogaa ki jab sitam pe tire jaan de rahaa huun main na baagh se mujhe matlab na baagh vaalon se bahak ke dasht se gulshan mein aa gayaa huun main tujhe khabar bhi hai o muD ke dekhne vaale tiri nigaah pe kyaa kyaa luTaa rahaa huun main miri nazar se Tapakti hai aarzu dil ki sadaa-e-qalb huun khaamosh-e-iltijaa huun main madad kaa vaqt hai ai naakhudaa-e-kashti-e-dil tajalliyaat ki maujon mein ghir gayaa huun main har ek aankh mujhe tak rahi hai hairat se 'munir' kis ki nigaahon kaa aaina huun main"
M
Muneer Bhopali
Quote
"itni bhi dil se ehtiyaat barq-e-jamaal-e-yaar kyaa shauq-e-umid-vaar dekh tarf-e-umid-vaar kyaa kaisi khushi kahaan kaa gham kaisi khizaan bahaar kyaa zindagi ek jabr hai jabr pe ikhtiyaar kyaa vaade pe koi kyon jiye vaade kaa eatibaar kyaa kashmakash-e-hayaat hai maut kaa intizaar kyaa pahle bhi dil mein dard thaa aah na thi lab-aashnaa chhuT gayaa haath se mire daaman-e-ikhtiyaar kyaa husn ki ibtidaa nahin ishq ki intihaa nahin fikr ki vusat-e-nazar qaabil-e-e'tibaar kyaa ek nazar kaa kaam hai luuT le dil ki kaaenaat ahd-e-shabaab-e-husn-o-ishq aaegaa baar baar kyaa raah-e-gham-e-firaaq mein maut kaa aasraa na DhunDh jis mein umid-e-subh ho vo shab-e-intizaar kyaa jhuum rahi hai har nazar mai-kada-e-surur mein aaj fazaa pe chhaa gai masti-e-chashm-e-yaar kyaa ek latif aks hai apne khayaal kaa 'munir' shaan-e-sukut-e-ishq kyaa jalva-e-be-qaraar kyaa"
M
Muneer Bhopali
Quote
"be-niyaaz-e-har-tamannaa ho gayaa ishq mein ab husn paidaa ho gayaa dard-e-dil khud hi masihaa ho gayaa mar gayaa bimaar achchhaa ho gayaa dil mein koi to adaa-e-khaas thi jalva khud mahv-e-tamaashaa ho gayaa ai nigaah-e-lutf parda chaahiye soz-e-dil saaz-e-tamannaa ho gayaa meri khaamoshi fasaana ban gai khud lab-e-khaamosh goyaa ho gayaa paaemaali mein nihaan thi zindagi dil miTaa miT kar tamanna ho gayaa saamne hain aur nazar aate hain jalva khud aankhon kaa parda ho gayaa is adaa se aaj uTThi vo nazar main bhari mahfil mein rusvaa ho gayaa muskuraa kar tum ne kyon dekhaa mujhe bijliyon ko ik bahaana ho gayaa is tarah jalva dikhaate hain kahin har tamaashaai tamaashaa ho gayaa ho gai khaamosh sham-e-zindagi khatm sab dil kaa fasaana ho gayaa jo giraa daaman pe aansu ai 'munir' aaina-daar-e-tamanna ho gayaa"
M
Muneer Bhopali
Quote
"allaah re ye garmi-e-baazaar-e-mohabbat khud husn-e-azal bhi hai kharidaar-e-mohabbat ye qalb kahaan aur kahaan baar-e-mohabbat kyaa aur na thaa koi sazaa-vaar-e-mohabbat dil yunhi rahegaa jo ziyaa-baar-e-mohabbat chhaa jaaeinge kaunain pe anvaar-e-mohabbat duniyaa se gharaz us ko na kuchh diin se matlab aazaad-e-do-aalam hai giraftaar-e-mohabbat saaqi tiri in mast-nigaahon ki qasam ab apne se bhi begaana hai sarshaar-e-mohabbat jannat bhi pareshaan hai jahannum bhi hai larzaan vo barq hai ye aah-e-sharar-baar-e-mohabbat kuchh ashk ke qatre hain kuchh uljhi hui saansein mohtaaj-e-karam ab nahin bimaar-e-mohabbat ik aatish-e-khaamosh hai kaliyon kaa tabassum sad-naar-ba-aaghosh hai gulzaar-e-mohabbat vo vaqt bhi aaegaa kabhi daur-e-zamaana khud aarzu ho jaaegi jab baar-e-mohabbat ik shoala-e-betaab hai har barq-e-tajalli kyaa husn ke parde mein hain anvaar-e-mohabbat ye gardish-e-dauraan hai nigaahon ke ishaare vaabasta-e-qismat nahin sarkaar-e-mohabbat betaab hui jaati hain khud husn ki nazrein kyaa sehr hai ye chashm-e-nigun-saar-e-mohabbat us chashm-e-pashemaan ki hain daaman pe nigaahein bas bas are o dida-e-khun-baar-e-mohabbat ye zardi-e-rukh dida-e-tar naala-e-paiham kis munh se kare ab koi inkaar-e-mohabbat ik aarzu kyaa khaak mein duniyaa ko milaa dein dekhe hain kahaan aap ne khuddaar-e-mohabbat har aankh 'munir' us ko jagah deti hai dil mein khud husn ki nazrein hain parastaar-e-mohabbat"
M
Muneer Bhopali
Quote
"khataa betaabiyon ki qalb par bedaad karte hain kise barbaad karnaa thaa kise barbaad karte hain yahaan din-raat jin ki yaad mein fariyaad karte hain chaman vaale bhi ai sayyaad ham ko yaad karte hain ilaahaa shaan-e-khuddaari ye istighnaaiyaan kab tak tire bande buton ke saamne fariyaad karte hain tujhe dil muft dete hain hamaaraa ye kaleja hai ki apnaa ghar luTaa kar teraa ghar aabaad karte hain adaa-e-be-niyaazi chhaa rahi hai saare aalam par haram ke rahne vaale but-kade aabaad karte hain saraapaa paikar-e-masti mujassam shaan-e-raanaai kisi ko dekhte hain aur khudaa ko yaad karte hain chaman bhi aae lene ko qafas se ham na jaaeinge rihaa ye kaun hotaa hai kise aazaad karte hain mohabbat hai unhin ajzaa-e-majburi kaa majmua bhulaate hain jinhein dil se unhin ko yaad karte hain na vo bu-e-vafaa gul mein na vo nazrein hain ghunchon ki chaman ko chhoD kar ab bai'at-e-sayyaad karte hain inhin zarraat-e-betaabi se dil ki zindagaani hai yahi zarraat-e-betaabi hamein barbaad karte hain fareb-e-aarzu kaa naam vasl-e-yaar rakhaa hai vufur-e-gham mein dhoke de ke dil ko shaad karte hain vahi baazu vahi taaqat vahi parvaaz hai ab bhi qafas ki tiliyaan kyaa khaatir-e-sayyaad karte hain sukut-e-dil nahin khaamoshi-e-lab ai 'munir' ik din dikhaa deinge ye ahl-e-zabt yuun fariyaad karte hain"
M
Muneer Bhopali
Quote
"mohabbat hai to phir andaaza-e-shauq-e-vafaa kyon ho shikaayat dard ki kyon ho jafaaon kaa gila kyon ho kisi ke kaan tak pahunche vo meri iltijaa kyon ho bar aanaa jis kaa mumkin ho vo meraa muddaaa kyon ho ye raah-e-ishq hai ai dil maaal-andeshiyaan kaisi junun hai dastgir apnaa koi zanjir-e-paa kyon ho hayaat-e-aarzu parvarda-e-aaghosh-e-tufaan hai jise ho fikr saahil ki vo meraa naakhudaa kyon ho na ye fariyaad hogi phir na ye aahein na ye naale dil-e-naadaan mohabbat mein haqiqat-aashnaa kyon ho vo nazrein khaak mein jin ko milaanaa bhi nahin aataa unhin nazron se vaabasta hamaaraa muddaaa kyon ho hudud-e-shash-jihat se maavaraa jab us ke jalve hain to parvaaz-e-mohabbat taa-ba-hadd-e-do-saraa kyon ho khudaa ke yaad aane kaa baDaa achchhaa zariya hai shanaasaa-e-karam vo baani-e-jaur-o-jafaa kyon ho muhit-e-arsh-o-kursi jab khudaa kaa zill-e-rahmat hai 'munir' apni khataa-koshi ki koi intihaa kyon ho"
M
Muneer Bhopali
Quote
"bakht ko royaa kiye aur aashiyaan dekhaa kiye bijliyaan girti rahin ham be-zabaan dekhaa kiye iltifaat-e-yaar shakl-e-dushmanaan dekhaa kiye raat bhar mahfil mein su-e-asmaan dekhaa kiye kar diyaa sayyaad ne qaid-e-qafas to kyaa huaa ham asiri mein bhi khvaab-e-gulsitaan dekhaa kiye patte patte se khizaan ne khinch li jaan-e-bahaar gulsitaan luTtaa rahaa aur baaghbaan dekhaa kiye ghair us ki bazm mein aate rahe jaate rahe ham baDi hasrat se ru-e-paasbaan dekhaa kiye rafta-rafta jaan bhi nazr-e-alam karni paDi har masarrat jab nasib-e-dushmanaan dekhaa kiye miTne vaalon ke liye asbaab ki haajat nahin kyaa kahein ham kyon kisi kaa aastaan dekhaa kiye bakht ne kab ek haalat par hamein rahne diyaa umr bhar ham inqilaabaat-e-jahaan dekhaa kiye un ki aankhon un ke dil ko aafrin sad-aafrin dost ban kar jo miri barbaadiyaan dekhaa kiye vajh kuchh ho ham ne jab se aankh kholi hai 'munir' roz-o-shab barbaadi-e-hindostaan dekhaa kiye"
M
Muneer Bhopali
Quote
"zamaane mein fasaana ban gai divaangi meri tire parda ne ki parda-nashin parda-dari meri tu hi ai be-khudi-e-shauq kar kuchh rahbari meri usi markaz pe lekin aaj tak hai be-khudi meri har ik parda uThaa degi kisi din be-khudi meri ki jaan-e-manzil-e-maqsud hai gum-gashtagi meri vahi be-taabiyaan jin ko balaa-e-jaan samajhtaa thaa vahi betaabi-e-paiham bani hai zindagi meri na sahraa hai na gulshan hai na rasta hai na manzil hai khudaa jaane kahaan le jaa rahi hai be-khudi meri tire jalve har ik shai mein nazar aane lage lekin yahin mahdud ho kar rah na jaae be-khudi meri hudud-e-be-niyaazi tak to mujh ko khinch laai hai na jaane ab kahaan le jaaegi vaaraftagi meri tiri surat nigaahon se kabhi ojhal nahin hoti karishme hain tire jalvon ke yaa surat-gari meri nigaahein multafit lab par tabassum kaif aankhon mein Thahar jaae isi markaz pe yaarab zindagi meri falak paa-bos hotaa hai malaaek sajda karte hain kahaan le aai mujh ko aaj shaan-e-bandagi meri naim-e-khuld to badla hai jaan kaa mil gayaa lekin bahaa-e-dard-e-dil aur qimat-e-divaangi meri hijaabaat-e-mohabbat khud-bakhud tai hote jaate hain nigaah-e-kufr-saamaan kar rahi hai rahbari meri 'munir' ik din zamaane ko zamaana main banaa dungaa kahaan tak raaegaan jaaegi aakhir be-khudi meri"
M
Muneer Bhopali
Quote
"kin uljhanon mein chhoD gai justuju mujhe main aarzu ko DhunDhtaa huun aarzu mujhe ummid ne bhi haath se daaman chhuDaa liyaa kyaa haal ho jo aise mein mil jaae tu mujhe maqsud-e-dil kuchh aur hai zauq-e-nazar kuchh aur kis kashmakash mein Daal gai aarzu mujhe qurbaan be-khudi ke kiyaa sab se be-niyaaz apni talaash hai na tiri justuju mujhe larzaan thi jis khayaal se duniyaa-e-aarzu aalam vo aa rahaa hai nazar hu-ba-hu mujhe har ik nafas hai saaz-e-mohabbat banaa huaa bakhshi hai soz-e-ishq ne vo aabru mujhe ik markaz-e-jamaal hai meri nigaah-e-shauq pahunchaa diyaa hai kis ne tire ru-ba-ru mujhe shaayad 'munir' ishq ki takmil ho gai baar-e-garaan hai aaj har ik aarzu mujhe"
M
Muneer Bhopali
Quote
"khushi ki had ghamon ki intihaa maalum hoti hai khudaa jaane mohabbat kyaa hai kyaa maalum hoti hai jahaan kaa zarra zarra yuun to zer-e-hukm-e-fitrat hai magar ye husn ki duniyaa judaa maalum hoti hai tavaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon har ik hasrat tabassum-aashnaa maalum hoti hai baDi halchal machi hai aaj dil vaalon ki duniyaa mein tiri nazron mein shaan-e-iltijaa maalum hoti hai sanaa-e-husn tausif-e-adaa taarif-e-dil-jui ye sab tamhid-e-arz-e-muddaaa maalum hoti hai ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-khudaavandi mujhe har intihaa ab ibtidaa maalum hoti hai agar maail ye pasti hai mohabbat ahd-e-aasi hai jo us ki rifatein dekho khudaa maalum hoti hai bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-aashnaa ho kar mire jazbaat se naa-aashnaa maalum hoti hai mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai kahin rahzan kisi jaa rahnumaa maalum hoti jigar TukDe huaa jaataa hai har aavaaz par is ki 'munir'-e-be-navaa ki ye sadaa maalum hoti he"
M
Muneer Bhopali