Shayari
'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
gham-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
thi aarzu ki tire dar pe subh o shaam karein
غم حیات نے آوارہ کر دیا ورنہ
تھی آرزو کہ ترے در پہ صبح و شام کریں
ग़म-ए-हयात ने आवारा कर दिया वर्ना
थी आरज़ू कि तिरे दर पे सुब्ह ओ शाम करें

'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
dast-e-pur-khun ko kaf-e-dast-e-nigaaraan samjhe
qatl-gah thi jise ham mahfil-e-yaaraan samjhe
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahein
paara-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viraan yaa is dil ko viraana kahein
bahaane aur bhi hote jo zindagi ke liye
ham ek baar tiri aarzu bhi kho dete
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai