Shayari
is kaar-e-numaayaan ke shaahid hain chaman vaale
gulshan mein bahaaron ko laae the hamin pahle
ishq phir ishq hai aashufta-sari maange hai
hosh ke daur mein bhi jaama-dari maange hai
عشق پھر عشق ہے آشفتہ سری مانگے ہے
ہوش کے دور میں بھی جامہ دری مانگے ہے
इश्क़ फिर इश्क़ है आशुफ़्ता-सरी माँगे है
होश के दौर में भी जामा-दरी माँगे है

is kaar-e-numaayaan ke shaahid hain chaman vaale
gulshan mein bahaaron ko laae the hamin pahle
main kis tarah tujhe ilzaam-e-bevafaai duun
rah-e-vafaa mein tire naqsh-e-paa bhi milte hain
pareshaan ho ke dil tark-e-taalluq par hai aamaada
mohabbat mein ye surat bhi na raas aai to kyaa hogaa
vo haadse bhi dahr mein ham par guzar gae
jiine ki aarzu mein kai baar mar gae
aap se chuuk ho gai shaayad
aap aur mujh pe mehrbaan kyaa khuub
miri samajh mein aa gayaa har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe choT paD gai to duur tak nazar gai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik samt ghar ke log hain ik samt 'ishq hai
ai naujavaan laDki himaaqat ki baat hai
jin se mil kar zindagi se ishq ho jaae vo log
aap ne shaayad na dekhe hon magar aise bhi hain
mere taaviz mein jo kaaghaz hai
us pe likkhaa hai mohabbat karnaa
dekhaa hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke avaamil hamein maayub rahe hain