SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsghar Gondvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hai dil-e-naakaam-e-aashiq mein tumhaari yaad bhi ye bhi kyaa ghar hai ki hai barbaad bhi aabaad bhi dil ke miTne kaa mujhe kuchh aur aisaa gham nahin haan magar itnaa ki hai is mein tumhaari yaad bhi kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqi tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyaad bhi siine mein dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gayaa ab vo haalat hai ki kar sakte nahin fariyaad bhi phaaD Daalungaa garebaan phoD lungaa apnaa sar hai mire aafat-kade mein qais bhi farhaad bhi kuchh to 'asghar' mujh mein hai qaaim hai jis se zindagi jaan bhi kahte hain us ko aur un ki yaad bhi"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"ye nang-e-aashiqi hai suud o haasil dekhne vaale yahaan gumraah kahlaate hain manzil dekhne vaale khat-e-saaghar mein raaz-e-haqq-o-baatil dekhne vaale abhi kuchh log hain saaqi ki mahfil dekhne vaale maze aa aa gae hain ishva-haa-e-husn-e-rangin ke taDapte hain abhi tak raqs-e-bismil dekhne vaale yahaan to 'umr guzri hai isi mauj o talaatum mein vo koi aur honge sair-e-haasil dekhne vaale mire naghmon se sahbaa-e-kuhan bhi ho gai paani ta'ajjub kar rahe hain rang-e-mahfil dekhne vaale junun-e-'ishq mein hasti 'aalam par nazar kaisi rukh-e-lailaa ko kyaa dekheinge mahmil dekhne vaale"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"majaaz kaisaa kahaan haqiqat abhi tujhe kuchh khabar nahin hai ye sab hai ik khvaab ki si haalat jo dekhtaa hai sahar nahin hai shamim-e-gulshan nasim-e-sahraa shuaa-e-khurshid mauj-e-dariyaa har ek garm-e-safar hai in mein meraa koi ham-safar nahin hai nazar mein vo gul samaa gayaa hai tamaam hasti pe chhaa gayaa hai chaman mein huun yaa qafas mein huun main mujhe ab is ki khabar nahin hai chamak damak par miTaa huaa hai ye baaghbaan tujhko kyaa huaa hai fareb-e-shabnam mein mubtalaa hai chaman ki ab tak khabar nahin hai ye mujh se sun le to raaz-e-pinhaan salaamti khud hai dushman-e-jaan kahaan se raah-rau mein zindagi ho ki raah jab pur-khatar nahin hai main sar se paa tak huun mai-parasti tamaam shorish tamaam masti khulaa hai mujh par ye raaz-e-hasti ki mujh ko kuchh bhi khabar nahin hai havaa ko mauj-e-sharaab kar de fazaa ko mast o kharaab kar de ye zindagi ko shabaab kar de nazar tumhaari nazar nahin hai paDaa hai kyaa us ke dar pe 'asghar' vo shokh maail hai imtihaan par subut de zindagi kaa mar kar niyaaz ab kaargar nahin hai"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"aks kis chiiz kaa aaina-e-hairat mein nahin teri surat mein hai kyaa jo meri surat mein nahin donon aalam tiri nairang adaai ke nisaar ab koi chiiz yahaan jeb-e-mohabbat mein nahin daulat-e-qurb ko khaasaan-e-mohabbat jaanein chand ashkon ke sivaa kuchh meri qismat mein nahin log marte bhi hain jiite bhi hain betaab bhi hain kaun saa sehr tiri chashm-e-inaayat mein nahin sab se ik tarz judaa sab se ik aahang judaa rang mahfil mein tiraa jo hai vo khalvat mein nahin nashsha-e-ishq mein har chiiz uDi jaati hai kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin daava-e-did ghalat daava-e-irfaan bhi ghalat kuchh tajalli ke sivaa chashm-e-basirat mein nahin ho gai jam' mataa-e-gham-e-hirmaan kyunkar main samajhtaa thaa koi parda-e-ghaflat mein nahin zarre zarre mein kiyaa josh-e-tarannum paidaa khud magar koi navaa saaz-e-mohabbat mein nahin najd ki samt se ye shor-e-anaa-lailaa kyuun shokhi-e-husn agar parda-e-vahshat mein nahin"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"tu ek naam hai magar sadaa-e-khvaab ki tarah main ek harf huun magar nishaan-e-aab ki tarah mujhe samajh ki main hi asl raaz-e-kaaenaat huun dharaa huun tere saamne khuli kitaab ki tarah main koi giit huun magar sadaa ki bandishon mein huun mire lahu mein raag hai sam-e-azaab ki tarah miri panaah-gaah thi unhi khalaaon mein kahin main sath-e-aab par rahaa habaab-e-aab ki tarah main 'asghar'-e-hazin kabhi kisi ke doston mein thaa vo din bhi mujh ko yaad hain khayaal-e-khvaab ki tarah"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"raqs-e-masti dekhte josh-e-tamannaa dekhte saamne laa kar tujhe apnaa tamaashaa dekhte kam se kam husn-e-takhyyul kaa tamaashaa dekhte jalva-e-yusuf to kyaa khvaab-e-zulekhaa dekhte kuchh samajh kar ham ne rakkhaa hai hijaab-e-deher ko toD kar shishe ko phir kyaa rang-e-sahbaa dekhte roz-e-raushan yaa shab-e-mahtaab yaa subh-e-chaman ham jahaan se chaahte vo ru-e-zebaa dekhte qalb par girti taDap kar phir vahi barq-e-jamaal har bun-e-mu mein vahi aashob o ghaughaa dekhte sad-zamaan o sad-makaan o in-jahaan o aan-jahaan tum na aa jaate to ham vahshat mein kyaa kyaa dekhte is tarah kuchh rang bhar jaataa nigaah-e-shauq mein jalva khud betaab ho jaataa vo parda dekhte jin ko apni shokhiyon par aaj itnaa naaz hai vo kisi din meri jaan-e-naa-shakebaa dekhte mai-kade mein zindagi hai shor-e-noshaa-nosh hai miT gae hote agar ham jaam o miinaa dekhte"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"gum kar diyaa hai diid ne yuun sar-ba-sar mujhe milti hai ab unhin se kuchh apni khabar mujhe naalon se main ne aag lagaa di jahaan mein sayyaad jaantaa thaa faqat musht-e-par mujhe allaah re un ke jalve ki hairat-fazaaiyaan ye haal hai ki kuchh nahin aataa nazar mujhe maanaa harim-e-naaz kaa paaya buland hai le jaaegaa uchhaal ke dard-e-jigar mujhe aisaa ki but-kade kaa jise raaz ho supurd ahl-e-haram mein koi na aayaa nazar mujhe kyaa dard-e-hijr aur ye kyaa lazzat-e-visaal is se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe mast-e-shabaab vo hain main sarshaar-e-ishq huun meri khabar unhein hai na un ki khabar mujhe jab asl is majaaz o haqiqat ki ek hai phir kyuun phiraa rahe hain idhar se udhar mujhe"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"jiine kaa na kuchh hosh na marne ki khabar hai ai shobada-pardaaz ye kyaa tarz-e-nazar hai siine mein yahaan dil hai na pahlu mein jigar hai ab kaun hai jo tishna-e-paikaan-e-nazar hai hai taabish-e-anvaar se aalam tah-o-baalaa jalva vo abhi tak tah-e-daamaan-e-nazar hai kuchh milte hain ab pukhtagi-e-ishq ke aasaar naalon mein rasaai hai na aahon mein asar hai zarron ko yahaan chain na ajraam-e-falak ko ye qaafila be-taab kahaan garm-e-safar hai khaamosh ye hairat-kada-e-dahr hai 'asghar' jo kuchh nazar aataa hai vo sab tarz-e-nazar hai"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"khudaa jaane kahaan hai 'asghar'-e-divaana barson se ki us ko DhunDhte hain kaa'ba o but-khaana barson se taDapnaa hai na jalnaa hai na jal kar khaak honaa hai ye kyuun soi hui hai fitrat-e-parvaana barson se koi aisaa nahin yaa rab ki jo is dard ko samjhe nahin maa'lum kyuun khaamosh hai divaana barson se kabhi soz-e-tajalli se use nisbat na thi goyaa paDi hai is tarah khaakistar-e-parvaana barson se tire qurbaan saaqi ab vo mauj-e-zindagi kaisi nahin dekhi adaa-e-laghzish-e-mastaana barson se miri rindi 'ajab rindi miri masti 'ajab masti ki sab TuuTe paDe hain shisha o paimaana barson se hasinon par na rang aayaa na phulon mein bahaar aai nahin aayaa jo lab par naghma-e-mastaana barson se khuli aankhon se huun husn-e-haqiqat dekhne vaalaa hui lekin na taufiq-e-dar-e-but-khaana barson se libaas-e-zohd par phir kaash nazr-e-aatish-e-sahbaa kahaan khoi hui hai jurat-e-rindaana barson se jise lenaa ho aa kar us se ab dars-e-junun le le sunaa hai hosh mein hai 'asghar'-e-divaana barson se"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"husn ko vusatein jo diin ishq ko hausla diyaa jo na mile na miT sake vo mujhe muddaaa diyaa haath mein le ke jaam-e-mai aaj vo muskuraa diyaa aql ko sard kar diyaa ruuh ko jagmagaa diyaa dil pe liyaa hai daagh-e-ishq kho ke bahaar-e-zindagi ik gul-e-tar ke vaaste main ne chaman luTaa diyaa lazzat-e-dard-e-khastagi daulat-e-daaman-tahi toD ke saare hausle ab mujhe ye silaa diyaa kuchh to kaho ye kyaa huaa tum bhi the saath saath kyaa gham mein ye kyuun surur thaa dard ne kyuun mazaa diyaa ab na ye meri zaat hai ab na ye kaaenaat hai main ne navaa-e-ishq ko saaz se yuun milaa diyaa aks jamaal-e-yaar kaa aaina-e-khudi mein hai ye gham-e-hijr kyaa diyaa mujh se mujhe chhupaa diyaa hashr mein aaftaab-e-hashr aur vo shor-e-al-amaan 'asghar'-e-but-parast ne zulf kaa vaastaa diyaa"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"jo naqsh hai hasti kaa dhokaa nazar aataa hai parde pe musavvir hi tanhaa nazar aataa hai nairang-e-tamaashaa vo jalva nazar aataa hai aankhon se agar dekho parda nazar aataa hai lau sham-e-haqiqat ki apni hi jagah par hai faanus ki gardish se kyaa kyaa nazar aataa hai ai parda-nashin zid hai kyaa chashm-e-tamannaa ko tu daftar-e-gul mein bhi rusvaa nazar aataa hai nazzaara bhi ab gum hai be-khud hai tamaashaai ab kaun kahe is ko jalva nazar aataa hai jo kuchh thi yahaan raunaq sab baad-e-chaman se thi ab kunj-e-qafas mujh ko suunaa nazar aataa hai ehsaas mein paidaa hai phir rang-e-gulistaani phir daagh koi dil mein taaza nazar aataa hai thi fard-e-amal 'asghar' kyaa dast-e-mashiyyat mein ik ek varaq is kaa saadaa nazar aataa hai"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"ek aisi bhi tajalli aaj mai-khaane mein hai lutf piine mein nahin hai balki kho jaane mein hai maani-e-aadam kujaa aur surat-e-aadam kujaa ye nihaan-khaane mein thaa ab tak nihaan-khaane mein hai khirman-e-bulbul to phunkaa ishq-e-aatish-rang ne rang ko shola banaa kar kaun parvaane mein hai jalva-e-husn-e-parastish garmi-e-husn-e-niyaaz varna kuchh kaabe mein rakkhaa hai na but-khaane mein hai rind khaali haath baiThe hain uDaa kar juzv o kul ab na kuchh shishe mein hai baaqi na paimaane mein hai main ye kahtaa huun fanaa ko bhi ataa kar zindagi tu kamaal-e-zindagi kahtaa hai mar jaane mein hai jis pe but-khaana tasadduq jis pe kaaba bhi nisaar ek surat aisi bhi sunte hain but-khaane mein hai kyaa bahaar-e-naqsh-e-paa hai ai niyaaz-e-aashiqi lutf sar rakhne mein kyaa sar rakh ke mar jaane mein hai be-khudi mein dekhtaa huun be-niyaazi ki adaa kyaa fanaa-e-zindagi khud husn ban jaane mein hai"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"aalaam-e-rozgaar ko aasaan banaa diyaa jo gham huaa use gham-e-jaanaan banaa diyaa main kaamyaab-e-did bhi mahrum-e-did bhi jalvon ke izhdihaam ne hairaan banaa diyaa yuun muskuraae jaan si kaliyon mein paD gai yuun lab-kushaa hue ki gulistaan banaa diyaa kuchh shorishon ki nazr huaa khun-e-aashiqaan kuchh jam ke rah gayaa use hirmaan banaa diyaa ai shaikh vo basit haqiqat hai kufr ki kuchh qaid-e-rasm ne jise imaan banaa diyaa kuchh aag di havas mein to taamir-e-ishq ki jab khaak kar diyaa use irfaan banaa diyaa kyaa kyaa quyud dahr mein hain ahl-e-hosh ke aisi fazaa-e-saaf ko zindaan banaa diyaa ik barq thi zamir mein fitrat ke maujzan aaj us ko husn o ishq kaa saamaan banaa diyaa majburi-e-hayaat mein raaz-e-hayaat hai zindaan ko main ne rauzan-e-zindaan banaa diyaa vo shorishein nizaam-e-jahaan jin ke dam se hai jab mukhtasar kiyaa unhein insaan banaa diyaa ham us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar tum ne to muskuraa ke rag-e-jaan banaa diyaa bulbul ba-aah-o-naala va gul mast-e-rang-o-bu mujh ko shahid-e-rasm-e-gulistaan banaa diyaa kahte hain ik fareb-e-musalsal hai zindagi us ko bhi vaqf-e-hasrat-o-hirmaan banaa diyaa aalam se be-khabar bhi huun aalam mein bhi huun main saaqi ne is maqaam ko aasaan banaa diyaa us husn-e-kaarobaar ko maston se puchhiye jis ko fareb-e-hosh ne isyaan banaa diyaa"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"vo naghma bulbul-e-rangin-navaa ik baar ho jaae kali ki aankh khul jaae chaman bedaar ho jaae nazar vo hai jo is kaun o makaan se paar ho jaae magar jab ru-e-taabaan par paDe bekaar ho jaae tabassum ki adaa se zindagi bedaar ho jaae nazar se chheD de rag rag miri hushyaar ho jaae tajalli chehra-e-zebaa ki ho kuchh jaam-e-rangin ki zamin se aasmaan tak aalam-e-anvaar ho jaae tum us kaafir kaa zauq-e-bandagi ab puchhte kyaa ho jise taaq-e-haram bhi abru-e-khamdaar ho jaae sahar laaegi kyaa paighaam-e-bedaari shabistaan mein naqaab-e-rukh ulaT do khud sahar bedaar ho jaae ye iqraar-e-khudi hai daava-e-imaan-o-din kaisaa tiraa iqraar jab hai khud se bhi inkaar ho jaae nazar is husn par Thahre to aakhir kis tarah Thahre kabhi khud phuul ban jaae kabhi rukhsaar ho jaae kuchh aisaa dekh kar chup huun bahaar-e-aalam-e-imkaan koi ik jaam pi kar jis tarah sarshaar ho jaae chalaa jaataa huun hanstaa kheltaa mauj-e-havaadis se agar aasaaniyaan hon zindagi dushvaar ho jaae"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"masti mein farogh-e-rukh-e-jaanaan nahin dekhaa sunte hain bahaar aai gulistaan nahin dekhaa zaahid ne miraa haasil-e-imaan nahin dekhaa rukh par tiri zulfon ko pareshaan nahin dekhaa aae the sabhi tarah ke jalve mire aage main ne magar ai dida-e-hairaan nahin dekhaa is tarah zamaana kabhi hotaa na pur-aashob fitnon ne tiraa gosha-e-daamaan nahin dekhaa har haal mein bas pesh-e-nazar hai vahi surat main ne kabhi ru-e-shab-e-hijraan nahin dekhaa kuchh daava-e-tamkin mein hai maazur bhi zaahid masti mein tujhe chaak-garebaan nahin dekhaa rudaad-e-chaman suntaa huun is tarah qafas mein jaise kabhi aankhon se gulistaan nahin dekhaa mujh khasta o mahjur ki aankhein hain tarasti kab se tujhe ai sarv-khiraamaan nahin dekhaa kyaa kyaa huaa hangaam-e-junun ye nahin maalum kuchh hosh jo aayaa to garebaan nahin dekhaa shaaista-e-sohbat koi un mein nahin 'asghar' kaafir nahin dekhe ki musalmaan nahin dekhaa"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"ishq hai ik kaif-e-pinhaani magar ranjur hai husn-e-be-pardaa nahin hotaa magar dastur hai khastagi ne kar diyaa us ko rag-e-jaan se qarib justuju zaalim kahe jaati thi manzil duur hai le isi zulmat-kade mein us se mahrumi ki daad us se aage ai dil-e-muztar hijaab-e-nur hai lab pe mauj-e-husn jab chamke tabassum naam ho rabbi-areni kah ke chikh uThun tu barq-e-tur hai nuur aankhon mein usi kaa jalva khud nur-e-muhit diid kyaa hai kuchh talaatum mein hujum-e-nur hai aankh hai jab mahv-e-hairat to numaayaan hai vahi fikr ho jab kaar-farmaa to vahi mastur hai dekhtaa huun main ki hai bahr-e-haqiqat josh par jo hubaab uTh uTh ke miTtaa hai sar-e-mansur hai"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"zauq-e-sarmasti ko mahv-e-ru-e-jaanaan kar diyaa kufr ko is tarah chamkaayaa ki imaan kar diyaa tu ne ye ejaaz kyaa ai soz-e-pinhaan kar diyaa is tarah phunkaa ki aakhir jism ko jaan kar diyaa jis pe meri justuju ne Daal rakkhe the hijaab be-khudi ne ab use mahsus o uryaan kar diyaa kuchh na ham se ho sakaa is iztiraab-e-shauq mein un ke daaman ko magar apnaa garebaan kar diyaa go nahin rahtaa kabhi parde mein raaz-e-aashiqi tum ne chhup kar aur bhi us ko numaayaan kar diyaa rakh diye dair o haram sar maarne ke vaaste bandagi ko be-niyaaz-e-kufr-o-imaan kar diyaa aariz-e-naazuk pe un ke rang saa kuchh aa gayaa in gulon ko chheD kar ham ne gulistaan kar diyaa in buton ki surat-e-zebaa ko 'asghar' kyaa kahun par khudaa ne vaae naakaami musalmaan kar diyaa"
Asghar GondviAsghar Gondvi
Quote
"aashob-e-husn ki bhi koi daastaan rahe miTne ko yuun miTein ki abad tak nishaan rahe tauf-e-haram mein yaa sar-e-ku-e-butaan rahe ik barq-e-iztiraab rahe ham jahaan rahe un ki tajalliyon kaa bhi koi nishaan rahe har zarra meri khaak kaa aatish-ba-jaan rahe kyaa kyaa hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyaan ham iltifaat-e-khaas se bhi bad-gumaan rahe mere sarishk-e-khun mein hai rangini-e-hayaat yaa rab fazaa-e-husn abad tak javaan rahe main raazdaar-e-husn huun tum raazdaar-e-ishq lekin ye imtiyaaz bhi kyuun darmiyaan rahe"
Asghar GondviAsghar Gondvi