Quote
"ghair-e-tavakkul nahin chaaraa mujhe apne hi dam kaa hai sahaaraa mujhe hirs-o-tama ne to Duboyaa hi thaa sabr-o-qanaaat ne ubhaaraa mujhe jo vo kahe us ko sazaa-vaar hai chun-o-charaa kaa nahin yaaraa mujhe be-adabon ki adab-aamoziyaan in ke bigaDne ne sanvaaraa mujhe koshish-e-be-sud mushavvash na kar qaar na ban jaae kinaaraa mujhe zishti-e-pindaar dilaataa hai yaad qissa-e-askandar-o-daaraa mujhe nang-e-muzillat se chhuDaa le gayaa josh-e-hamiyyat kaa haraaraa mujhe auj-e-maaali pe uDaa le gayaa tausan-e-himmat kaa taraaraa mujhe aah nahin rukhsat-e-ifshaa-e-raaz qissa to maalum hai saaraa mujhe fursat-e-auqaat hai bas mughtanim ye nahin milne ki dobaaraa mujhe"







