Quote
"dil ko koso jo chaahtaa hai main ne kyaa aap kaa liyaa hai kyaa hanste ho mere rone par tum dil kaa aanaa buri balaa hai jitnaa chaaho jalaao ham ko tum bhi kitne ho dekhnaa hai maashuq manaaein tum ko 'jauhar' ye bhi ik qudrat-e-khudaa hai"
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
"dil ko koso jo chaahtaa hai main ne kyaa aap kaa liyaa hai kyaa hanste ho mere rone par tum dil kaa aanaa buri balaa hai jitnaa chaaho jalaao ham ko tum bhi kitne ho dekhnaa hai maashuq manaaein tum ko 'jauhar' ye bhi ik qudrat-e-khudaa hai"
"barsaat kaa mazaa tire gesu dikhaa gae aks aasmaan par jo paDaa abr chhaa gae aae kabhi to saikDon baatein sunaa gae qurbaan aise aane ke kyaa aae kyaa gae sun paai meri aabla-paai ki jab khabar chaaron taraf vo raah mein kaanTe bichhaa gae ham vo nahin sunein jo buraai huzur ki ye aap the jo ghair ki baaton mein aa gae main ne jo takhliya mein kahaa haal-e-dil kabhi munh se na kuchh javaab diyaa muskuraa gae"
"kunj-e-qafas se pahle ghar apnaa kahaan na thaa aae yahaan to hausla-e-aashiyaan na thaa tujh ko samajh ke khvaab mein pahunchaa main jis jagah dekhaa jo aankh khol ke to kuchh vahaan na thaa ik ik qadam pe ab to qayaamat ki dhuum hai aage to ye chalan kabhi ai jaan-e-jaan na thaa Thahri jo vasl ki to hui subh shaam se but mehrbaan hue to khudaa mehrbaan na thaa kyunkar qasam pe aaj mujhe e'tibaar aae kis din khudaa tumhaare mire darmiyaan na thaa toDaa jo phuul bulbul-e-shaidaa ke saamne kyaa tere dil mein dard kuchh ai baaghbaan na thaa"
"but-kade mein na tujhe kaabe ke andar paayaa donon aalam se judaa ham ne tiraa ghar paayaa yuun to duniyaa mein qayaamat ke pari-ru dekhe sab se baDh kar tujhe ai fitna-e-mahshar paayaa apni apni hai ye taqdir sabhi the saail ek ko shisha milaa ek ne patthar paayaa be-khudi ne mujhe didaar dikhaayaa teraa tujh ko paayaa to magar aap ko kho kar paayaa chashma-e-faiz hai kyaa zaat mire saaqi ki ek qatre ko kahaa jis ne samundar paayaa khush-nasib aap bhi duniyaa mein hain kyaa ai 'jauhar' muntazir yaar ko pahle hi se dar par paayaa"
"haram mein muddaton DhunDaa shivaalon mein phiraa barson talaash-e-yaar mein bhaTkaa kiyaa main baar-haa barson mahinon haath joDe ki khushaamad baar-haa barson inhein jhagDon mein mujh ko ho gae ai bevafaa barson maaaz-allaah is aazurdagi kaa kyaa Thikaana hai jo puchhaa yaar se kab tak na bologe kahaa barson ghanimat jaan jo din zindagi ke aish mein guzrein kisi kaa bhi nahin rahtaa zamaana ek saa barson vahi khun-e-shahid-e-naaz ab barbaad hotaa hai rahaa ban kar jo tere haath mein rang-e-hinaa barson hamaari be-qaraari kaa zaraa tum ko na dhyaan aayaa mahinon muntazir rakkhaa dikhaayaa raastaa barson zamaane mein hamesha har mahine chaand hotaa hai tiraa jalva nazar aataa nahin ai mah-laqaa barson vahin par le chali be-taabi-e-dil vaah-ri qismat phiraa ki sar paTakti jis jagah meri duaa barson adaa ho shukr kyun-kar be-kasi o naa-umidi kaa rahi hain saath furqat mein yahi do aashnaa barson na aayaa ek din bhi vo but-e-be-rahm ai 'jauhar' uThaa kar haath kaabe ki taraf maangi duaa barson"
"hote khudaa ke us but-e-kaafir ki chaah ki itni to baat mujh se hui hai gunaah ki soz-e-darun kiyaa jo miraa shama ne bayaan jal kar zabaan kaaT li mere gavaah ki bhartaa hai aaj khuub taraare samand-e-naaz qumchi hai un ke haath mein zulf-e-siyaah ki dekhaa huzur ko jo mukaddar to mar gae ham miT gae jo aap ne maili nigaah ki furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visaal ik aah bhar ke jaanib-e-gardun nigaah ki sunsaan kar diyaa mire pahlu ko le ke dil zaalim ne luuT kar miri basti tabaah ki vo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhnaa sab taaD jaaeinge sar-e-mahfil jo aah ki ham vo the dil hi dil mein kiyaa zabt-e-raaz-e-ishq sadme uThaa ke mar gae munh se na aah ki afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar kharaab tum ko khabar na ho mire haal-e-tabaah ki 'jauhar' khudaa ke fazl se aisi ghazal kahi shohrat mushaaire mein hui vaah-vaah ki"
"kaun hote hain vo mahfil se uThaane vaale yuun to jaate bhi magar ab nahin jaane vaale aah-e-pur-soz ki taasir buri hoti hai khush raheinge na gharibon ko sataane vaale kucha-e-yaar mein ham ko to qazaa laai hai jaan jaaegi magar ham nahin jaane vaale ham ko kyaa kaam kisi aur pari se tauba aap bhi khuub hain be-par ki uDaane vaale jis qadar chaahiye biThlaaiye pahre dar par band rahne ke nahin khvaab mein aane vaale kyaa qayaamat hai ki rulvaa ke hamein ai 'jauhar' qahqahe maar ke hanste hain rulaane vaale"
"taa-dasht-e-adam aah-e-rasaa le gai mujh ko jab khaak huaa main to havaa le gai mujh ko koson mai-e-gulgun ki havaa le gai mujh ko ye laal pari ghar se uDaa le gai mujh ko muddat se na milti thi kahin raah adam ki us shokh ke kuche mein qazaa le gai mujh ko thaa zoaf mein saudaa kisi sahraa-e-junun kaa vahshat mire ghar aa ke bulaa le gai mujh ko 'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanaan jo gayaa main kyaa jaane kidhar ki ye havaa le gai mujh ko"
"shauq se dil ko tah-e-tegh-e-nazar hone do jis taraf us ki tabiat hai udhar hone do dil ki kyaa asl hai patthar bhi pighal jaaeinge ai buto tum mire naalon mein asar hone do ghair to rahte hain din raat tumhaare dil mein kabhi is ghar mein hamaaraa bhi guzar hone do naaseho ham to kharideinge mataa-e-ulfat tum ko kyaa faaeda hotaa hai zarar hone do valvale agli mohabbat ke kahaan se laaein aur paidaa koi dil aur jigar hone do chheDne ko mire darbaan kahaa karte hain Thahro jaldi na karo un ko khabar hone do kyuun mazaa dekh liyaa dil ki kashish kaa tum ne ham na kahte the mohabbat mein asar hone do ai shab-e-vasl-o-shab-e-aish-e-javaani Thahro main bhi hamraah tumhaare huun sahar hone do ranj o raahat hai bashar hi ke liye ai 'jauhar' vo bhi din dekh liye yuun bhi basar hone do"
"bu-e-gul sungh kar bigaDte hain ye pari-ru havaa se laDte hain kyuun javaani ke pichhe paDte hain bhaagte ko nahin pakaDte hain ek din vo zamin dekheinge ai falak aaj ko akaDte hain mal rahe hain vo apne ghar mehndi ham yahaan eDiyaan ragaDte hain naama-bar naa-umid aataa hai haae kyaa sust paanv paDte hain jis ke hain us ke hain ham ai jauhar yaar ban kar kahin bigaDte hain"
"us kaa mizaaj puchho jo har vaqt paas hai us ki balaa se dil jo hamaaraa udaas hai poshaak se badan ki tajalli hai aashkaar faanus-e-sham-e-tur tumhaaraa libaas hai dil toD kar vo nashshe mein kahte hain naaz se kis kaam kaa rahaa hai ye TuuTaa glass hai farmaaiye mizaaj-e-mubaarak hai kis tarah kuchh khair to hai kis liye chehra udaas hai muddat ke baad aaj to tanhaa mile huzur us par bhi puchhte hain ki kyaa iltimaas hai talvaar ki hai qadr-shanaasi ke dam ke saath 'jauhar' ko jaantaa hai jo jauhar-shanaas hai"
"kaisaa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi nikli jo baat munh se to phaili jahaan mein sach sach kaho ye baat banaanaa nahin pasand kyaa kah rahe the ghair abhi chupke se kaan mein puchhaa hai haal-e-zaar to sun lo khataa-muaaf kuchh baat mere honTon mein hai kuchh zabaan mein aashiq se puchhiye na sar-e-bazm haal-e-dil parde ki baat sunte hain chupke se kaan mein furqat mein kyaa bataaun ki din hai ki raat hai aankhon ko sujhtaa nahin rone ke dhyaan mein qasr-e-jahaan hai tere faqiron kaa jhonpaDaa mahlon se baDh ke chain hai apne makaan mein do din ki zindagi mein jo chaahe koi kare rah jaati hai bhalaai buraai jahaan mein"
"baara mahine hijr ke guzre malaal mein laakhon hi ranj ham ne sahe ek saal mein laate nahin faqir kisi ko khayaal mein allaah vaale mast hain apne hi haal mein taklif-e-qaid-e-zulf mire dil se puchhiye khaaliq kahin phansaaen na machhli ko jaal mein sun kar savaal-e-vasl vo 'jauhar' se kahte hain kuchh baat ho to aae hamaare khayaal mein"
"dein jise chaahein dil hamaaraa hai is mein kyaa aap kaa ijaaraa hai bahki bahki jo karte ho taqrir sach kaho dil kahaan tumhaaraa hai jaan dete hain sabr karte hain vaah kyaa hausla hamaaraa hai siine se lipTo yaa galaa kaaTo ham tumhaare hain dil tumhaaraa hai paani talvaar kaa na piine diyaa sukhe ghaaT aap ne utaaraa hai"
"fariyaad kare kis se gunahgaar tumhaaraa allaah bhi haakim bhi taraf-daar tumhaaraa kaabe ki to kyaa asl hai us kuche se aage jannat ho to jaae na gunahgaar tumhaaraa dard-e-dil-e-aashiq ki davaa kaun karegaa sunte hain masihaa bhi hai bimaar tumhaaraa 'jauhar' tumhein nafrat hai bahut baada-kashi se barsaat mein dekheinge ham inkaar tumhaaraa"
"ye vaaiz kaisi bahki bahki baatein ham se karte hain kahin chaDh kar sharaab-e-ishq ke nashshe utarte hain khudaa samjhe ye kyaa sayyaad o gulchin zulm karte hain gulon ko toDte hain bulbulon ke par katarte hain dayaa dam nazaa mein go aap ne par ruuh chal nikli kisi ke rokne se jaane vaale kab Thaharte hain zaraa rahne do apne dar pe ham khaana-ba-doshon ko musaafir jis jagah aaraam paate hain Thaharte hain na aa jaayaa karo aghyaar ki ulfat jataane mein vo tum par kyuun bhalaa marne lage faaqon se marte hain har ik mausam mein kisht-e-aarzu sarsabz rahti hai taraddud ghair ko hogaa yahaan to chain karte hain ye joDaa kholnaa bhi hech se khaali nahin un kaa ulajh jaataa hai dil jab baal shaanon par bikharte hain samajh lenaa tumhaaraa ai raqibo kuchh nahin mushkil khudaa jaane ye kis kaa khauf hai ham kis se Darte hain takalluf ke ye maani hain samajh lo be-kahe dil ki mazaa kyaa jab hamin ne ye kahaa tum se ki marte hain"
"thoDaa hai jis qadar main paDhun khat habib kaa dekhaa hai aaj aankhon se likkhaa nasib kaa ham mai-kashon ne nashshe mein aise kiye savaal dam band kar diyaa sar-e-mimbar-khatib kaa sayyaad ghaat mein hai kahin baaghbaan kahin saaraa chaman hai dushman-e-jaan andalib kaa apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa aankhein safed ho gaiin jab intizaar mein us vaqt naama-bar ne diyaa khat habib kaa qismat Dubone laai hai dariyaa-e-ishq mein ai khizr paar kijiye beDaa gharib kaa vo be-khataa hain un se shikaayat hi kis liye 'jauhar' ye sab qusur hai apne nasib kaa"
"naubat-e-giriya o be-taabi-o-zaari aai baDe hangaame se kal yaad tumhaari aai nazaa mein bhi vo yahaan tak nahin aane detaa ai khudaa ghair ko aa jaae hamaari aai un ko tashbih masihaa se jo di vo bole aaj maalum huaa maut tumhaari aai kis taraf aae kidhar bhuul paDe khair to hai aaj kyaa thaa jo tumhein yaad hamaari aai naala-e-bulbul-e-shaidaa to sunaa hans hans kar ab jigar thaam ke baiTho miri baai aai"
"pae-gul-gasht sunaa hai ki vo aaj aate hain phulon ki bhi ye khushi hai ki khile jaate hain bahr-e-taskin-e-dil ahbaab ye farmaate hain aap kahiye to abhi jaa ke bulaa laate hain gudgudi kar ke hansaate hain jo ghash mein ahbaab kis ke rumaal se talve mire sahlaate hain aap ke hote kisi aur ko chaahun tauba kis taraf dhyaan hai kyaa aap ye farmaate hain meri hi jaan ke dushman hain nasihat vaale mujh ko samjhaate hain un ko nahin samjhaate hain bulbulo baagh mein ghaafil na kahin ho jaanaa har taraf ghaat mein sayyaad nazar aate hain khuub pahchaan liyaa ham ne tumhein dil de kar sach kahaa hai ki jo khote hain vahi paate hain mujh ko baavar nahin sach sach ye bataa de hamdam tu ne kis se ye sunaa hai ki vo aaj aate hain kyaa dil o diida bhi harkaare hain subhaan-allaah laakh pardon mein koi ho ye khabar laate hain dekh achchhaa nahin 'jauhar' kahin maail honaa jab bhi samjhaate the ab bhi tujhe samjhaate hain"
"aa gayaa dil jo kahin aur hi surat hogi log dekheinge tamaashaa jo mohabbat hogi dil-lagi tark-e-mohabbat nahin taqsir muaaf hote hote mire qaabu mein tabiat hogi un ke aane ki khabar sun ke to ye haal huaa jab vo aaeinge to phir kyaa miri haalat hogi TukDe kar Daale koi us ke to main bhi khush huun dil na hogaa na miri jaan mohabbat hogi vo chhupaayaa karein is baat se kyaa hotaa hai aap sar chaDh ke pukaaregi jo ulfat hogi ye na farmaao shab-e-hijr kaTegi kyunkar tum ko kyaa kaam jo hogi miri haalat hogi maar Daalaa mujhe be-maut baDaa kaam kiyaa khuub taarif tiri ai shab-e-furqat hogi ai dil-e-zaar maza dekh liyaa ulfat kaa ham na kahte the ki is kaam mein zillat hogi ye bhi kuchh baat hai phir vasl na ho ai 'jauhar' ranj raahat se huaa ranj se raahat hogi"
"kyaa yaad kar ke rouun ki kaisaa shabaab thaa kuchh bhi na thaa havaa thi kahaani thi khvaab thaa ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahaan vo din havaa hue jo pasina gulaab thaa mahmil-nashin jab aap the lailaa ke bhes mein majnun ke bhes mein koi khaana-kharaab thaa teraa qusur-vaar khudaa kaa gunaahgaar jo kuchh ki thaa yahi dil-e-khaana-kharaab thaa zarra samajh ke yuun na milaa mujh ko khaak mein ai aasmaan main bhi kabhi aaftaab thaa"
"fasl-e-gul aate hi vahshat ho gai phir vahi apni tabiat ho gai kyaa bataaun kis tarah dil aa gayaa kyaa kahun kyuun kar mohabbat ho gai dekhiye pukhta-mizaaji yaar ki ho gai jis par inaayat ho gai intihaa-e-naa-umidi dekhiye jo tamannaa thi vo hasrat ho gai"
"tere ghar khvaab mein gayaa thaa ghair apni aankhon se ham ne dekhaa hai kis qadar hai mizaaj mein garmi shoala hai aag hai bhabhukaa hai ai buto kaabe kaa karo kuchh paas dil na toDo ye ghar khudaa kaa hai chup raho kyuun mizaaj puchhte ho ham jiein yaa marein tumhein kyaa hai us gul-e-tar ke aane se 'jauhar' khaana-e-dil tamaam mahkaa hai"
"dil miraa khvaab-gaah-e-dilbar hai bas yahi ek sone kaa ghar hai zulfein munh par hain munh hai zulfon mein raat bhar subh shaam din bhar hai chashm-e-insaaf se nazaara kar ek qatra yahaan samundar hai bahut iizaa uThaai furqat ki ab nahin ikhtiyaar dil par hai dekh kar chaand saa tumhaaraa munh aaina meri tarah shashdar hai dil milaaun main kyaa tire dil se ek shisha hai ek patthar hai"