SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzal Allahabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kisi ki yaad rulaae to kyaa kiyaa jaae shab-e-firaaq sataae to kyaa kiyaa jaae jo rafta rafta gham-e-intizaar ki dimak mire vajud ko khaae to kyaa kiyaa jaae shab-e-firaaq ho yaa ho visaal kaa mausam ye dil sukun na paae to kyaa kiyaa jaae dikhaa ke chaand saa chehra vo husn kaa paikar asiir apnaa banaae to kyaa kiyaa jaae sharaab-noshi se main duur bhaagtaa huun magar koi nazar se bhulaae to kyaa kiyaa jaae mire ilaaj ko kitne tabib aae magar davaa bhi dard baDhaae to kyaa kiyaa jaae sukun miltaa hai jis ki nigaah se 'afzal' vahi nigaah churaae to kyaa kiyaa jaae"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"miri divaangi ki had na puchho tum kahaan tak hai zamin par huun magar meri rasaai laa-makaan tak hai tiraa jalva to aise aam hai saare zamaane mein vahin tak dekh saktaa hai nazar jis ki jahaan tak hai kisi ko kyaa khabar ehsaas hai lekin mire dil ko ki us ke pyaar ki barsaat mere dasht-e-jaan tak hai zaraa barq-e-sitam se puchh letaa kaash koi ye tire qahr-o-ghazab kaa silsila aakhir kahaan tak hai hamin chubhte hain kyuun kaanTon ki surat aankh mein teri fasaadi kaa nishaana kyuun hamaare hi makaan tak hai tavajjoh khaak ke zarron ki jaanib kyuun karein 'afzal' nazar apni mah-o-parvin tak hai kahkashaan tak hai"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"luTaa rahaa huun main laal-o-gohar andhere mein talaash karti hai kis ko nazar andhere mein vo jis ki raah mein main ne diye jalaae the gayaa vo shakhs mujhe chhoD kar andhere mein charaagh kaun uThaa le gayaa mire ghar se sisak rahe hain mire baam-o-dar andhere mein thaa tirgi ke janaaze pe ek hashr bapaa jo us ke aane se phaili khabar andhere mein koi hatheli pe phirtaa hai aaftaab liye bhaTak rahaa hai koi dar-ba-dar andhere mein mein koh-e-nur huun naadaan tujhe khabar bhi nahin mujhe chhupaane ki koshish na kar andhere mein musaafiron ko vo raahein dikhaaegaa 'afzal' charaagh rakh do sar-e-rahguzar andhere mein"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"ye haqiqat hai vo kamzor huaa karti hain apni taqdir kaa qaumein jo gila karti hain ret par jab bhi banaataa hai gharaundaa koi sar-phiri maujein use dekh liyaa karti hain main gulistaan ki hifaazat ki duaa kartaa huun bijliyaan mere nasheman pe giraa karti hain jaane kyaa vasf nazar aataa hai mujh mein un ko titliyaan mere taaaqub mein rahaa karti hain teri dahliz se nisbat jise ho jaati hai azmatein us ke muqaddar mein huaa karti hain kyuun na gul-buTon ke chehron pe nikhaar aa jaae ye havaaein jo tiraa zikr kiyaa karti hain apni nazron mein jo rakhtaa hai tire naqsh-e-qadam manzilein us ke taaaqub mein rahaa karti hain chain ki niind mujhe aae to kaise aae meri aankhein jo tiraa khvaab bunaa karti hain us ki rahmat ke diye jo bhi hain raushan 'afzal' aandhiyaan un ki hifaazat mein rahaa karti hain"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"apni tanhaaiyon ke ghaar mein huun aisaa lagtaa hai main mazaar mein huun tu ne puchhaa kabhi na haal miraa muddaton se tire dayaar mein huun teri khushbu hai meri saanson mein jab se main teri rahguzaar mein huun mujh pe apnaa hai ikhtiyaar kahaan main to bas tere ikhtiyaar mein huun mujh ko manzil se aashnaa kar de main tiri raah ke ghubaar mein huun jab se teri nigaah-e-lutf uThi chaand taaron ki main qataar mein huun mujh ko duniyaa se kyaa gharaz 'afzal' main to Duubaa khayaal-e-yaar mein huun"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"ghazal kaa husn hai aur giit kaa shabaab hai vo nasha hai jis mein sukhan kaa vahi sharaab hai vo use na dekh mahaktaa huaa gulaab hai vo na jaane kitni nigaahon kaa intikhaab hai vo misaal mil na saki kaaenaat mein us ki javaab us kaa nahin koi laa-javaab hai vo miri in aankhon ko taabir mil nahin paati jise main dekhtaa rahtaa huun aisaa khvaab hai vo na jaane kitne hijaabon mein vo chhupaa hai magar nigaah-e-dil se jo dekhun to be-hijaab hai vo ujaale apne luTaa kar vo Duub jaaegaa hasin subh kaa rakhshanda aaftaab hai vo vo mujh se puchhne aayaa hai meraa haal 'afzal' jise bataa na sakun dil mein iztiraab hai vo"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"ghamon ki dhuup mein milte hain saaebaan ban kar zamin pe rahte hain kuchh log aasmaan ban kar uDe hain jo tire qadmon se khaak ke zarre chamak rahe hain falak par vo kahkashaan ban kar jinhein nasib hui hai tire badan ki nasim mahak rahe hain zamin par vo gulsitaan ban kar mein iztiraab ke aalam mein raqs kartaa rahaa kabhi ghubaar ki surat kabhi dhuaan ban kar miri sadaaon ko ab to panaah mil jaae tujhe pukaar rahaa huun tiri zabaan ban kar main is zamin ki vusat pe sair kartaa huun falak ke chaand sitaaron kaa raaz-daan ban kar masarraton ki fazaa mein sadaa vo rahte hain jo gham ke maaron se milte hain mehrbaan ban kar unhin ko shaan-e-chaman ye zamaana kahtaa hai chaman ko luuT rahe hain jo baaghbaan ban kar main harf harf jise paDh chukaa huun ai 'afzal' varaq varaq pe vo bikhraa hai daastaan ban kar"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"yaadon ke nasheman ko jalaayaa to nahin hai ham ne tujhe is dil se bhulaayaa to nahin hai kaunain ki vusat bhi simaT jaati hai jis mein ai dil kahin tujh mein vo samaayaa to nahin hai har shai se vo zaahir hai ye ehsaan hai us kaa khud ko miri nazron se chhupaayaa to nahin hai zulfon ki siyaahi mein ajab husn-e-nihaan hai ye raat usi husn kaa saayaa to nahin hai vaaqif hain tire dard se ai naghma-e-ulfat ham ne tujhe har saaz pe gaayaa to nahin hai us ne jo likhaa thaa kabhi saahil ki jabin par us naam ko maujon ne miTaayaa to nahin hai vo shahr ki is bhiiD mein aataa nahin 'afzal' phir bhi chalo dekhein kahin aayaa to nahin hai"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"jo miri aarzu nahin kartaa us ki main justuju nahin kartaa hijr-e-jaanaan mein apne ashkon se kaun hai jo vuzu nahin kartaa vo to teraa kalim thaa varna sab se tu guftugu nahin kartaa sayyad-ul-ambiyaa the vo varna sab ko tu ru-ba-ru nahin kartaa teri nisbat mili mujhe jab se main koi aarzu nahin kartaa har ghaDi jis ki baat kartaa huun mujh se vo guftugu nahin kartaa dar-ba-dar yuun nahin bhaTaktaa main jo faraamosh tu nahin kartaa ho nahin paati shaairi 'afzal' nazr jab tak lahu nahin kartaa"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"sulagti ret pe tahrir jo kahaani hai mire junun ki ik anmol vo nishaani hai main apne aap ko tanhaa samajh rahaa thaa magar sunaa hai tum ne bhi sahraa ki khaak chhaani hai ghamon ki dhuup mein rahnaa hai saaebaan ki tarah khayaal-e-gesu-e-jaanaan ki mehrbaani hai kabhi udhar se jo guzregaa kaarvaan apnaa to ham bhi dekheinge dariyaa mein kitnaa paani hai main ab bhi shaan se zinda huun shahr-e-qaatil mein mire khudaa ki yaqinan ye mehrbaani hai buraa na maano to main saaf saaf ye kah duun tumhaare pyaar kaa daavaa faqat zabaani hai andheraa rahtaa na baaqi kahin magar 'afzal' kab aandhiyon ne charaaghon ki baat maani hai"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"kar diyaa khud ko samundar ke havaale ham ne tab kahin gauhar-e-naayaab nikaale ham ne zindagi naam hai chalne kaa to chalte hi rahe ruk ke dekhe na kabhi paanv ke chhaale ham ne jab se ham ho gae darvesh tire kuche ke tab se toDe nahin sone ke nivaale ham ne teri chaahat si nahin dekhi kisi ki chaahat vaise dekhe hain bahut chaahne vaale ham ne ham-safar tu jo rahaa ham bhi ujaale mein rahe phir tire baa'd kahaan dekhe ujaale ham ne ek bhi sher guhar ban ke na chamkaa 'afzal' kitne dariyaa-e-khayaalaat khangaale ham ne"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"davaa-e-dard-e-gham-o-iztiraab kyaa detaa vo meri aankhon ko rangin khvaab kyaa detaa thi meri aankhon ki qismat mein tishnagi likkhi vo apni diid ki mujh ko sharaab kyaa detaa kiyaa savaal jo main ne vafaa ke qaatil se zabaan pe qufl lagaa thaa javaab kyaa detaa main chaahtaa thaa ki us ko gulaab pesh karun vo khud gulaab thaa us ko gulaab kyaa detaa vo jis ne dekhaa nahin ishq kaa kabhi maktab main us ke haath mein dil ki kitaab kyaa detaa mire nasib mein miTTi kaa ik diyaa bhi na thaa tiri hatheli pe main aaftaab kyaa detaa main us se pyaas kaa shikva na kar sakaa 'afzal' jo khud hi tishna thaa vo mujh ko aab kyaa detaa"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"ab to har ek adaakaar se Dar lagtaa hai mujh ko dushman se nahin yaar se Dar lagtaa hai kaise dushman ke muqaabil vo Thahar paaegaa jis ko TuuTi hui talvaar se Dar lagtaa hai vo jo paazeb ki jhankaar kaa shaidaai ho us ko talvaar ki jhankaar se Dar lagtaa hai mujh ko baalon ki safedi ne khabar-daar kiyaa zindagi ab tiri raftaar se Dar lagtaa hai kar dein maslub unhein laakh zamaane vaale haq-paraston ko kahaan daar se Dar lagtaa hai vo kisi tarah bhi tairaak nahin ho saktaa duur se hi jise manjdhaar se Dar lagtaa hai mere aangan mein hai vahshat kaa baseraa 'afzal' mujh ko ghar ke dar-o-divaar se Dar lagtaa hai"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"ashk aankhon mein liye aaThon pahar dekhegaa kaun ham nahin honge to teri rahguzar dekhegaa kaun shama bhi bujh jaaegi parvaana bhi jal jaaegaa raat ke donon musaafir hain shajar dekhegaa kaun sone aur chaandi ke bartan ki numaaish hai yahaan main huun kuza-gar miraa dast-e-hunar dekhegaa kaun jis qadar Duubaa huaa huun khud main apne khuun mein khud ko apne khuun mein yuun tar-ba-tar dekhegaa kaun har taraf maqtal mein hai chhaai hui viraaniyaan neza-e-baatil pe aakhir meraa sar dekhegaa kaun mere zaahir par nigaahein sab ki hain 'afzal' magar mere andar jo chhupaa hai vo guhar dekhegaa kaun"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"har naghma-e-pur-dard har ik saaz se pahle hangaama bapaa hotaa hai aaghaaz se pahle dil dard-e-mohabbat se to vaaqif bhi nahin thaa jaanaan tire bakhshe hue eazaaz se pahle shoalon pe chalaati hai mohabbat dil-e-naadaan anjaam zaraa soch le aaghaaz se pahle ab meri tabaahi kaa use gham bhi nahin hai jis ne mujhe chaahaa thaa baDe naaz se pahle shaahin vo kahlaane kaa haqdaar nahin hai jo su-e-falak dekhe na parvaaz se pahle ab raaz ki baatein na bataa de vo kisi se ye khauf nahin thaa kabhi hamraaz se pahle thi mir-taqi-'mir' ki nauhagari mashhur 'afzal' ki sisakti hui aavaaz se pahle"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"bulandi se kabhi vo aashnaai kar nahin saktaa jo tere aastaane ki gadaai kar nahin saktaa zabaan rakhte hue bhi lab-kushaai kar nahin saktaa koi qatra samundar se laDaai kar nahin saktaa tu jugnu hai faqat raaton ke daaman mein baseraa kar main suraj huun tu mujh se aashnaai kar nahin saktaa khudi ki daulat-e-uzmaa khudaa ne mujh ko bakhshi hai qalandar huun main shaahon ki gadaai kar nahin saktaa sifat firaun ki tujh mein hai main muusaa kaa haami huun kabhi taslim main teri khudaai kar nahin saktaa jo zindaan mein aziyyat par aziyyat mujh ko detaa hai main us zaalim se ummid-e-rihaai kar nahin saktaa jo kamtar hai baDaai apni apne munh se kartaa hai magar 'afzal' kabhi apni baDaai kar nahin saktaa"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi
Quote
"yuun ilaaj-e-dil bimaar kiyaa jaaegaa sharbat-e-did se sarshaar kiyaa jaaegaa hasrat-e-did mein binaai ganvaa baiThe jo is se kaise tiraa didaar kiyaa jaaegaa so rahaa huun main zamaane se tiraa khvaab liye niind se kab mujhe bedaar kiyaa jaaegaa TuuT jaaegaa bharam pariyon ki shahzaadi kaa jab tire husn ko shahkaar kiyaa jaaegaa khud-kushi ki khabar akhbaar ki surkhi hogi qatl mujh ko pas-e-divaar kiyaa jaaegaa main sadaaqat huun mujhe maut nahin aaegi vaise maslub kai baar kiyaa jaaegaa in charaaghon ke tabassum mein lahu hai meraa kab havaaon ko khabar-daar kiyaa jaaegaa dil ke jazbaat javaan aur bhi ho jaaeinge meri raahon ko jo dushvaar kiyaa jaaegaa honge sharminda manaadir ke kalas bhi 'afzal' kisi masjid ko jo mismaar kiyaa jaaegaa"
Afzal AllahabadiAfzal Allahabadi