SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmed Arsalan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo le ke haath mein apne tabar bhi aataa hai har ek zulm ko vo raund kar bhi aataa hai tamaam din jo bhaTaktaa hai dasht-o-sahraa mein sunaa hai shaam ko vo baam par bhi aataa hai vo ek rind jo rotaa hai teri chaahat mein usi ki aankh mein khun-e-jigar bhi aataa hai main us faqir se rakhtaa huun silsila apnaa jahaan baDe se baDaa taajvar bhi aataa hai akele mujh ko kahin jaane vo nahin detaa jahaan main jaaun vahaan ham-safar bhi aataa hai ye sukhaa peD nishaani hai ek qudrat ki khudaa ke hukm se is mein samar bhi aataa hai shikan si aati hai 'ahmad' kabhi jo maathe par main aise rotaa huun chehra nikhar bhi aataa hai"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"'aashiqi apni jagah hai dil-lagi apni jagah hans ke miltaa huun main us se dushmani apni jagah dekhne ko dekhiyegaa ye tamaashaa shauq se saahiri apni jagah hai shaa'iri apni jagah ye samajhne mein hui hai der bhi shaayad mujhe tumtaraaq apni jagah hai saadgi apni jagah kyaa haraj hai jugnuon se dosti gar ho gai raushni apni jagah hai chaandni apni jagah jugnuon se dosti par kyon khafaa hain aap log raushni apni jagah hai chaandni apni jagah kis tarah jiinaa hai 'ahmad' ye saliqa siikh lo ji ke marnaa hai kisi din zindagi apni jagah"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"vo mujh se is qadar sahmaa huaa hai khudaa jaane use ye kyaa huaa hai main tere ru-baru huun yaar phir bhi tiraa chehra bahut utraa huaa hai muqaddar hai ki phir meri khataaein ghamon ne jo mujhe gheraa huaa hai manaane ki use koshish hai jaari jo mujh se aaj-kal ruThaa huaa hai tasavvur mein basaa hai koi shaayad tabhi chehra tiraa nikhraa huaa hai koi to baat hai aisi yaqinan vo insaan aaj-kal badlaa huaa hai vo meri zindagi thi zindagi hai tabhi to shahr mein charchaa huaa hai nahin suntaa kisi ki bhi sadaa vo ye haakim qaum kaa bahraa huaa hai saliqe se ghazal likhni thi 'ahmad' magar haalaat ne jakDaa huaa hai"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"mohabbaton ki kitaab mein jo likhaa huaa hai vo shaa'iri hai yaqin maano nazar se ojhal jo ho gayaa hai vo shaa'iri hai main phuul shabnam se mil ke aayaa bahut sataae hue hain ye bhi jo zakhm kaanTon se khaae sab ne mujhe pata hai vo shaa'iri hai mujhe khabar hai mujhe pata hai du'aa se baDh kar nahin hai kuchh bhi magar main ye bhi to jaantaa huun jo ratjagaa hai vo shaa'iri hai main lauT aayaa huun qatl-gah se nahin hai koi masihaa meraa jo girte girte mujhe sanbhaale mujhe pata hai vo shaa'iri hai bhaTak rahaa huun main sahraa sahraa na jaane kis ki talaash mein ab jo mil gayaa hai nasib meraa jo rah gayaa hai vo shaa'iri hai gulaab champaa chanbeli nargis hain mograa bhi chaman mein lekin vo jis ki khushbu se saaraa 'aalam mahak rahaa hai vo shaa'iri hai jo mere hisse mein likh diyaa hai hai meraa imaan mujhe milegaa magar main kaise bataaun tum ko jo kuchh bachaa hai vo shaa'iri hai qadam qadam par jo saath mere chalaa hai us ko bataaun kaise sukhanvaron ki jo Thokaron mein paDaa huaa hai vo shaa'iri hai mujhe na daa'vaa hai shaa'iri kaa na huun main shaa'ir qasam khudaa ki jo 'mir'-o-'ghaalib' 'faraaz' 'hasrat' ne likh diyaa hai vo shaa'iri hai vo thartharaate se honT us ke ghazaal aankhon pe zulfein us ki hasin manzar ko dekh kar vo jo likh rahaa hai vo shaa'iri hai use zamaane kaa khauf kyaa ho ki jis pe 'ahmad' karam ho us kaa basaa ho jis ke khayaal mein rab mujhe pata hai vo shaa'iri hai"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"saath vahshat ho to purvaai kahaan se aae rut khizaan ki ho to raanaai kahaan se aae tu ne dekhe hi nahin ishq mein pech-o-kham jab phir tire sheron mein gahraai kahaan se aae jis ke honTon pe sadaa jhuuT rahaa kartaa hai us ke kirdaar mein sachchaai kahaan se aae mere har zakhm ki gahraai samajhne vaale sochtaa huun ki masihaai kahaan se aae jis makaan mein bhi panapti hai buraai logo us makaan mein bhalaa achchhaai kahaan se aae meri shorida-mizaaji ko parakhne vaale puchhte hain ki tamaashaai kahaan se aae zindagaani ki alaamat hai sadaaqat 'ahmad' dil hi kaalaa ho to daanaai kahaan se aae"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"mohabbat rang laati hai sanam jab dam nikaltaa hai zarurat par kisi maasum ke zamzam nikaltaa hai yahaan aabaad kiDon ki hain naslein bhi bahut saari kahaan har ek kiiDe se magar resham nikaltaa hai yahaan aane kaa matlab bas nahin jiinaa jahaan vaalo kisi din mar ke duniyaa se bani-aadam nikaltaa hai kisi ne meri ghazlon ko kiyaa hai aaj copy paste kaho shaair ke siine se kabhi ye gham nikaltaa hai mujhe lagtaa hai 'ahmad' ki tabiat hi nahin lagti tabhi to aaj-kal baahar vo ghar se kam nikaltaa hai"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"sochtaa huun koi kitaab likhun jis mein saare adhure khvaab likhun kaise TeDhe savaal puchhe hain koi batlaae kyaa javaab likhun ye jo kaanTe hain meri raahon mein tum kaho to inhein gulaab likhun itnaa tujh ko to paDh liyaa main ne tai kiyaa main ne is pe baab likhun kis qadar intishaar hai tujh mein kyon na ab tujh ko iztiraab likhun kis ko kis ko kiyaa nahin hai yaad kis kaa kis kaa bhalaa hisaab likhun 'ilm se jis kaa vaasta hi nahin kaise us ko bhalaa janaab likhun itnaa naadaan main nahin 'ahmad' jo khataaon ko bhi savaab likhun"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"sar pe aafat hai musibat hai bachaa le mujh ko laDkhaDaate hain qadam koi sanbhaale mujh ko main masaaib mein bhi jiine ki duaa maangungaa log kahte hain ki duniyaa se uThaa le mujh ko main vo gauhar huun jo siine mein dabaa huun us ke koi mallaah samundar se nikaale mujh ko main kamaataa huun magar ab bhi mazaa dete hain mere maan baap ke haathon ke nivaale mujh ko ik baDe arse se main ruuTh gayaa huun khud se ho sake garche koi aa ke manaa le mujh ko naaz aaegaa muqaddar pe mujhe tab 'ahmad' jab koi aa ke nasib apnaa banaa le mujh ko"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"dil to kahtaa hai naql-e-makaani karun naam tere main apni javaani karun jab koi she'r teri tabi'at kaa ho bhejne ki tujhe mehrbaani karun us ke bachpan ki tasvir mil jaae gar yaad taaza main phir se puraani karun vo tasavvur mein aae to pahle zaraa zikr us kaa main apni zabaani karun khvaab mein mujh se milne kaa vaa'da to kar raat main bhi to apni suhaani karun be-jhijak khaana-e-dil mein aa jaa kabhi sidq-e-dil se tiri mezbaani karun aarzu hai vo 'ahmad' mile bazm mein us ke lahje mein paidaa ravaani karun"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"mai-kade jaane ki himmat bhi nahin kar sakte ham kabhi aisi himaaqat bhi nahin kar sakte apni ghalati ko jo taslim nahin karte ham aise logon ko nasihat bhi nahin kar sakte ham jahaan jaa ke chale aaein salaamat vaapas tum kabhi itni jasaarat bhi nahin kar sakte zindagi ne hamein us moD pe laa ke chhoDaa tum se ham khul ke mohabbat bhi nahin kar sakte us ne jaate hue saunpi hai hamein vo daulat us mein ham koi khayaanat bhi nahin kar sakte itnaa uljhaa diyaa haalaat ne logon ko yahaan ek duuje ki hifaazat bhi nahin kar sakte vaqt ne kar diyaa 'ahmad' hamein masruf bahut baiTh kar saath ziyaafat bhi nahin kar sakte"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan
Quote
"khud mein ik aaftaab the abdurrashid lone yaani khuli kitaab the abdurrashid lone jis jaa vo jaate khushbu luTaanaa hi kaam thaa mahkaa huaa gulaab the abdurrashid lone kyaa kahiye ham ko ham ne na gauhar ki qadr ki jab tak ki dastiyaab the abdurrashid lone jis zaaviye se dekhiye aayaa hamein nazar har rukh se kaamyaab the abdurrashid lone aataa nahin samajh mein jo paDhne ke baavajud ulfat kaa vo nisaab the abdurrashid lone taabir-e-khvaab jis ki batlaa na sakaa koi aisaa hi ek khvaab the abdurrashid lone un ko khudaa ne bakhshaa thaa aisaa hunar ki sab kahte hain laa-javaab the abdurrashid lone jab bhi paDheinge maani nayaa de hamein koi aisaa hi ek baab the abdurrashid lone vaqt-e-vidaaa kalima-e-tayyab zabaan pe thaa maqsad mein kaamyaab the abdurrashid lone majlis mein sab ki hoti thi 'ahmad' zabaan band rakhte har ik javaab the abdurrashid lone"
Ahmed ArsalanAhmed Arsalan