SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhtamam Sadiq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tu jinhein kahtaa hai aaina-e-sahraai dikhaa main kahin huun ki nahin laa mujhe binaai dikhaa saans ruk jaae miri itni bhi taakhir na kar apne bimaar pe kuchh apni masihaai dikhaa naasehaa dil pe na guzri ho to baatein na banaa jab koi chhoD ke jaae to shakebaai dikhaa soch lo ghar se nikalte hue ab ke 'aashiq puchhte pahle hain aanchal mein tu kyaa laai dikhaa jaanne vaale nazar aae hazaaron lekin is bhare shahr mein koi na shanaasaai dikhaa yunhi to hotaa nahin 'ishq-sahifon kaa nuzul pahle gham jhel yaa phir chashm-e-tamannaai dikhaa sirf daa’von se koi baat nahin ban sakti laa ke 'saadiq' saa koi ik sar-e-saudaai dikhaa"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"kab kahaa tir-e-jigar paar buraa lagtaa hai us ki nazron kaa bhalaa vaar buraa lagtaa hai apne baare mein kahun kuchh to mujhe kahti hai gul ke pahlu mein kabhi khaar buraa lagtaa hai teri galiyon se jo guzraa huun to ab har rasta khvaah kitnaa bhi ho hamvaar buraa lagtaa hai niind ke maare hue dasht-zada khvaabon ko yaar har dida-e-bedaar buraa lagtaa hai tum nahin ho to zamaane ko buraa huun jaise aaine ke binaa zangaar buraa lagtaa hai tujh ko hai 'ilm ki ham jaise junun-zaadon ko koi ho teraa giraftaar buraa lagtaa hai itnaa khaamosh-tabi'at huun azal se 'saadiq' mujh ko har saahib-e-guftaar buraa lagtaa hai"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"ye shikasta saa jo kuchh haal mire andar hai koi to hai ki jo paamaal mire andar hai mere andar thaa tire saath guzaaraa lamha aur ab tanhaa mah-o-saal mire andar hai roz martaa hai koi bhuuk se mere andar aisaa lagtaa hai ki bangaal mire andar hai mere chehre pe koi aur nahin hai chehra mere zaahir kaa khad-o-khaal mire andar hai fikr-dar-fikr jo rah-rah ke ulajh paDtaa huun shiddat-e-gham kaa koi jaal mire andar hai kyaa kahaa jaan miri jaaegi furqat ke taiin yaa'ni vo jo hai miraa kaal mire andar hai sab luTaa kar bhi bharaa rahtaa hai daaman 'saadiq' kyaa ghani hai ye jo kangaal mire andar hai"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"teri mahfil mein jo ham dard ke maare aae ahl-e-dastaar bhi dastaar utaare aae kitni muddat pe miri jhiil ki viraani gai kitni muddat pe yahaan phir se shikaare aae jo sukun the vo samundar ne sabhi dhaar liye aur dariyaaon ke daaman mein kinaare aae us ne is baar nai tarz ki kheli baazi mere gham ab ke nae ruup ko dhaare aae ab udaasi hai na vahshat hai na gham hai na qazaa saans aae bhi to phir kis ke sahaare aae aakhiri saans talak duniyaa nahin aai samajh zindagi ke mujhe ab tak na guzaare aae raqs-e-vahshat vo kiyaa saari hadein TuuT gaiin ik zaraa dil ki taraf se jo ishaare aae is se baDh kar nahin ho saktaa mohabbat kaa subut saans-dar-saans faqat aap pe haare aae naf' nuqsaan ho 'saadiq' to karein bhi tafriq apne hisse to khasaare hi khasaare aae"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"shahron ki samt gaanv se aage nikal gae jazbaat mere paanv se aage nikal gae aaghaaz mein chale the to beTe the saath-saath kuchh duur chal ke maaon se aage nikal gae sar pe paDi jo dhuup to jaanaa ki yaar ham peDon ki sard chhaaon se aage nikal gae hotaa bhi vo ba-dast-e-du'aa kis ke vaaste jab ham hi sab du'aaon se aage nikal gae itnaa Thaharnaa paD gayaa khaamoshiyon ke saath har shakhs ki sadaaon se aage nikal gae mardud kyon na hote jin atraaf kaa thaa hukm ham log un dishaaon se aage nikal gae 'saadiq' pukaariye na inhein ab ye dasht-zaad zulfon ki nam ghaTaaon se aage nikal gae"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"dekhte hi dhaDkanein saari pareshaan ho gaiin teri aankhein ai sitamgar aafat-e-jaan ho gaiin aa gayaa palkon pe ashkon ke patangon kaa hujum jab kisi ki yaad ki shamein farozaan ho gaiin phir miri tasbih ke daane bikhar kar rah gae phir duaaein aaj un ke dar ki mehmaan ho gaiin un ke har ik lams kaa aisaa asar mujh par huaa dil ki divaarein sabhi shahr-e-nigaaraan ho gaiin ye shab-e-tanhaai 'saadiq' mujh ko Das leti magar shukr hai yaadein dar-e-dil ki nigahbaan ho gaiin"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"ye hasratein bhi miri saaiyaan nikaali jaaein ki dasht hi ki taraf khiDkiyaan nikaali jaaein bahaar guzri qafas hi mein haav-hu karte khizaaon mein to miri beDiyaan nikaali jaaein ye shaam kaafi nahin hai siyah-libaasi ko shafaq se aur zaraa surkhiyaan nikaali jaaein to bach raheingi barahna badan ki saughaatein mohabbaton se agar duriyaan nikaali jaaein mire jalaae diyon kaa bhi kuchh khayaal rahe jo is makaan se kabhi khiDkiyaan nikaali jaaein ye kaisi zid hai ki pahle badan se jaan nikle phir us ke baad sabhi siskiyaan nikaali jaaein to tum bhi meri tarah laDkhaDaane lag jaao agar tumhaari bhi baisaakhiyaan nikaali jaaein ye khun-bahaa bhi adaa kar chuki hai khvaabon kaa to meri aankh se ab kirchiyaan nikaali jaaein nikal paDegaa miraa sar bhi saath hi 'saadiq' jo mere sar se kabhi pagDiyaan nikaali jaaein"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"kaash aae sadaa 'ishq ki tashhir se pahle ye khvaab bikhar jaate hain taa'bir se pahle kuchh dard sadaa ke liye hote hain musallat kuchh jaanein nikal jaati hain zanjir se pahle ye qaid-o-qafas in ke tatabbo’ mein bane hain zindaan the kahaan zulf-e-girah-gir se pahle jab TuuT ke bikhre to ye ik baat samajh aai taskhir huaa karte hain taskhir se pahle aae to koi kaise muqaabil ki vo nazrein siine mein utar jaati hain shamshir se pahle kamre ki divaaron pe nishaan dekh rahe ho vahshat thi yahaan aap ki tasvir se pahle kyaa jaan sako tum ki hai luT jaanaa balaa kyaa puchho kabhi haare hue rah-gir se pahle likhtaa thaa main palkon pe kahaani gham-e-dil ki ashkon kaa hunar aataa thaa tahrir se pahle jab pahle utaaraa hi gayaa ho na ye 'saadiq' phir kaise ghazal-khvaan ho bhalaa 'mir' se pahle"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"is 'ahd mein bhi gham kaa taraf-daar to hogaa koi na koi aap kaa gham-khvaar to hogaa ujDegaa miraa ghar to bhi rone kaa nahin main miTTi kaa badan hai so ye mismaar to hogaa yunhi to nahin aati sadaa aah-o-fughaan ki bikhraa huaa koi pas-e-divaar to hogaa gar dekh ke chhin bhi gai binaai to kyaa gham aankhon ko magar aap kaa didaar to hogaa ye soch lagaayaa nahin pahlu mein nayaa peD tanhaai kaa maaraa hai samar-baar to hogaa jo bhi ho qafas TuuTe yaa phir ye miraa sar jaae bharpur divaaron pe magar vaar to hogaa ye aur ki tu dekhe faqat mere junun ko varna ye miraa dil hai gunahgaar to hogaa darvesh yahi soch ke nikle hain gharon se mansur-sifat koi sar-e-daar to hogaa dete chale jaate hain sadaa dasht-e-junun tak ye soch koi meraa giraftaar to hogaa 'saadiq' tiraa ik taur yahi she'r-o-sukhan kaa har shakhs yahaan aise mein bezaar to hogaa"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"miltaa huun pe khush-bakht sitaaron se bahut kam aur is pe mazid apne iraadon se bahut kam kyaa khaak mujhe milte tire naqsh-e-kaf-e-paa guzraa thaa magar dasht ki raahon se bahut kam ab vo bhi nahin puchhtaa ahvaal sabaa se meraa bhi ta'alluq hai havaaon se bahut kam Dubungaa to dariyaa ki hadon se bhi pare tak ubhrungaa to phir tere taqaazon se bahut kam vo shakhs jataataa hai har ik pal ki mohabbat hai ahm magar dusre rishton se bahut kam ab main bhi simaTne mein kiyaa kartaa huun taakhir aati hai sadaa us ki bhi baanhon se bahut kam jaan rakh ke hatheli pe yahaan chikhiye 'saadiq' ye log pighalte hain par aahon se bahut kam"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"kisi jaanib bhi miraa ‘azm-e-safar hotaa hai dhyaan mein ek faqat teraa nagar hotaa hai ab yahaan rakhtaa hai har koi faqat kaam se kaam ab kahaan koi bhi manzur-e-nazar hotaa hai jo bhi aataa hai guzar jaataa hai mujh se ho kar TuuTaa aaina kahaan 'aks kaa ghar hotaa hai is qadar shokh hai tanhaai gale lag ke mujhe kaan mein kahti hai ye vasl kidhar hotaa hai us ne chhoDaa hai mujhe tab ye huaa hai maa'lum aaj ke daur mein bhi zakhm-e-jigar hotaa hai jaane vaale ne palaT kar nahin dekhaa 'saadiq' ik zaraa baat kaa kis darja asar hotaa hai"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"chubhan se dard se qurbat baDhaa rahaa hai koi dayaar-e-dil se kahin duur jaa rahaa hai koi samundaron se kaho kashtiyaan Dubo Daalein hamaari maut ke qisse sunaa rahaa hai koi use bataao khushi der tak nahin rahti mire ghamon pe bahut muskuraa rahaa hai koi miraa hi naam nahin hai miri kahaani mein ki mujh se zaat ko meri chhupaa rahaa hai koi kisi ki yaad ke jaale hain mere hujre mein udaasiyon se miraa ghar sajaa rahaa hai koi tamaam-shahr mein ik ghar yahi thaa ulfat kaa yahaan bhi maut kaa bistar bichhaa rahaa hai koi mire lahu ko chhiDak do tamaam gulshan mein miri vafaaon pe ungli uThaa rahaa hai koi main us se baat to kar luun ruko zaraa 'saadiq' mire daron se sadaaein lagaa rahaa hai koi"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"jo ek umr hansaa thaa mujhe sataate hue vo ro paDaa hai miri daastaan sunaate hue kisi ke pyaar ki ye aakhiri nishaani hai havaa ne ye bhi na sochaa diyaa bujhaate hue tumhein bhi vaqt ki gardish nigal na jaae kahin zaraa khayaal ho meri hansi uDaate hue vo shakhs jis kaa taalluq na thaa koi mujh se ye kyaa ki rone lagaa mujh se duur jaate hue nigaah-e-naaz ki farmaa-ravaaiyaan tauba vo muskuraa bhi rahi thiin sazaa sunaate hue ilaaj apne andheron kaa aap khud kiije kumhaar thak se gae hain diyaa banaate hue ghulaa hai dard fazaaon mein is tarah 'saadiq' ki jaan jaati hai ik baar muskuraate hue"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"ab ham ko nahin dekhne ye khvaab vaghaira har samt nazar aate hain zahraab vaghaira in aankhon se piine ko mayassar hi nahin tu honaa hi nahin hai hamein sairaab vaghaira mahfil ne tiri apnaa bharam tak nahin rakkhaa kyaa khaak baratte adab-aadaab vaghaira jo dard sahe saari hisein mar gaiin shaayad ab dil miraa hotaa nahin betaab vaghaira kis samt ko hai kuuch iraada hai kahaan kaa kyon baandh ke rakkhe hain ye asbaab vaghaira chilman kaa kaho bahr-e-khudaa parda haTaa lein ab aur nahin baaqi tab-o-taab vaghaira is vaaste ye khvaab-nagar bas nahin paataa aate hain yahaan roz hi sailaab vaghaira ab dhyaan tiri samt lagaa rahtaa hai 'saadiq' ab mujh se nahin hoti koi job vaghaira"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq
Quote
"gum-gashta jab har parchhaai ban jaati hai tab ye vahshat bhi maan-jaai ban jaati hai dariyaa jaan ke mujh tak pyaase aa jaate hain vajh-e-ta’aaruf aabla-paai ban jaati hai surkh labaada oDhe shaam hai aks kisi kaa dhuup sunahri ik angDaai ban jaati hai kuchh logon ki duuri andhaa kar deti hai kuchh kurton se to binaai ban jaati hai mujh mein thoDi ghor siyaahi mil jaae to hijr-shabon vaali tanhaai ban jaati hai us ke naam pe main laDne to aa jaataa huun baat yahi us ki rusvaai ban jaati hai shaam Dhale hi gham rone ko aa jaate hain subh talak to ghar mein kaai ban jaati hai koi ik apnaa hotaa hai jis ke dukh par 'saadiq' apni pir-paraai ban jaati hai"
Ahtamam SadiqAhtamam Sadiq