SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAkhtar Saeed(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"miri nigaah mein hai khaak sim-o-zar kaa fusun subut-e-moajiza-e-raftagaan-e-aalam huun diyaa hai mujh ko magar be-surur hangaama milaa hai mujh ko magar vaqf-e-iztiraab-e-sukun na chaand mein hai chamak apni aur na shabnam mein karun to kis kaa zamaane mein e'tibaar karun jo dil mein baat hai alfaaz mein nahin aati so ek baat hai dil ki lagi kahun na kahun sazaa hai meri raho us dayaar mein ki jahaan garaan hai aab-e-musaffaa magar hai arzaan khuun savaal-e-aql vahi hai javaab-e-jehl vahi hazaar baar karun das hazaar baar sunun khafaa hai rang-e-gul-o-mauja-e-sabaa mujh se ki baandhtaa huun dil-e-be-qaraar kaa mazmun mujhe to apne pe ik lamha e'tibaar nahin nigaar-e-dahr tujhe garche baa-vafaa samjhun hazaar raaste pinhaan hain reg-e-sahraa mein jo dam mein dam ho to is dasht ki havaa dekhun khulaa hai aal-e-mohammad ke faiz se mujh par ki aadmi ko bhi hai ikhtiyaar-e-kun-fayakun buland baad-e-shahaadat bhi hai ye nok-e-sinaan sar-e-imaam kisi haal bhi nahin hai nigun"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"juun fauj ki maftuh ho zanjir mein aave alfaaz kaa lashkar miri tahrir mein aave ik khaas inaayat hai ki dete nahin mujh ko vo dard ki jo panja-e-tadbir mein aave yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai vo ilm ki ik arsa-e-taqtir mein aave jo chaahe bhare main ne musavvir se kahaa thaa kuchh rang-e-mohabbat miri tasvir mein aave vo baat khushaa detaa hai dil jis ki gavaahi ye kyaa ki kaho agli asaatir mein aave jo hukm tumhaaraa hai vo vaajib hai bilaa-shak jo arz hamaari hai vo taazir mein aave hai garche bahut mere liye khvaab ki duniyaa kuchh aur maza khvaab ki taabir mein aave jis paas mudaavaa nahin kuchh aab-o-havaa kaa laazim hai mire halqa-e-taqrir mein aave mumkin nahin aadam ke liye shaan-e-khudaai haan yuun ki magar aaya-e-tathir mein aave"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"khubi-e-tarz-e-maqaalaat se kyaa hotaa hai baat karte rahe ham baat se kyaa hotaa hai raat kaT jaae to phir raat chali aaegi raat kaT jaaegi ik raat se kyaa hotaa hai kisi jaanib se javaab aae to kuchh baat chale kaavish-e-husn-e-savaalaat se kyaa hotaa hai jab ki taqtir-e-rag-e-jaan se bandhi hai taqdir be-khabar zikr-o-munaajaat se kyaa hotaa hai daan diije ki mire gham kaa mudaavaa hove ranj hotaa hai hisaabaat se kyaa hotaa hai dil ki vusat se hai aasaani-e-anfaas vale vusat-e-sahn-e-mahallaat se kyaa hotaa hai saamne aao kisi roz to kuchh baat karein umr-bhar hall-e-muammaat se kyaa hotaa hai zaat hi mazhar-e-meaar-e-haq-o-baatil hai vo ghalat kahte hain ki zaat se kyaa hotaa hai jaan nikal jaaegi to faisla deinge che khuub saahibo aisi mukaafaat se kyaa hotaa hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"hamaare paas hai hikmat na raaz kyaa kiije sivaae dard-e-dil-e-jaan-gudaaz kyaa kiije inaayatein hain agarche hazaar-haa lekin bane na baat to banda-navaaz kyaa kiije na zarb-o-taar se rishta na dil-fareb-e-dam mire khayaal ko aalam hai saaz kyaa kiije ze-ru-e-fiqh jo sab se ziyaada hai maatub hamaari us se bhi hai saaz-baaz kyaa kiije jo jaante hain nahin jaante na jaane hain jo hai ayaan yahaan vo bhi hai raaz kyaa kiije jahaan guzaarish-e-ahvaal par hon taazirein sivaae jurat-e-arz-e-niyaaz kyaa kiije khulaa ik umr ki koshish se ye ki likkhaa hai hamaare naam nasheb-o-faraaz kyaa kiije buraa ho lazzat-e-takhil kaa ki rahti hai haqiqaton mein talaash-e-majaaz kyaa kiije hazaar dard hai aur jaan-e-naa-tavaan meri ilaaj hai na gale kaa javaaz kyaa kiije"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"daanaa hue buzurg hue rahnumaa hue vo din ki ham the sham-e-majaalis havaa hue un ko nahin dimaagh-e-talazzuz jahaan mein jo ibtidaa se vaqf-e-gham-e-intihaa hue khurshed ki nigaah se shabnam hai mushtahar vo aashnaa hue hain to sab aashnaa hue manzil hai shahryaari-e-aalam to dekhnaa is raah mein hazaaron qabile fanaa hue had se ziyaada ham ne khushaamad buton ki ki ye log baDhte baDhte bil-aakhir khudaa hue is kaa bhi kuchh hisaab kareinge ba-roz-e-hashr naale azal se kitne sipurd-e-sabaa hue karte rahe huzur pe takiya akhir tak ham aasare ke hone se be-aasraa hue kis din hamaaraa hirs-o-havaa se bari thaa dil kis roz ham se apne farize adaa hue"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"be-chaargi-e-dosh hai aur baar-e-garaan hai izhaar pe paabandi hai aur munh mein zabaan hai hotaa hai yahaan roz mire dard kaa saudaa ai tegh-ba-kaf roz-e-mukaafaat kahaan hai aazaad karo khuun ko baazaar mein laao sadiyon se ye mahkum ragon hi mein ravaan hai haan rang-e-bahaaraan hai magar us ke lahu se jo dast-ba-dil mohr-ba-lab dard-ba-jaan hai har samt hai baazaar khulaa hirs-o-havas kaa har shahr mein har kuche mein vaaiz ki dukaan hai kal kis ko zabaan band karoge zaraa socho kal dekhoge ham ko ki zabaan hai na dahaan hai kis shahr-e-khamoshaan mein chale aae hain ham log ne zor-e-sinaan hai na kahin shor-e-fughaan hai har dard ki had hoti hai yuun lagtaa hai jaise is dard kaa koi na zamaan hai na makaan hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"dil se armaan nikal rahe hain mere bhi din badal rahe hain varna ghar mein hai ghup andheraa yaadon ke charaagh jal rahe hain ye ajab log hain ki un ke paanv nahin pe chal rahe hain ham dar-e-shaah par savaali aaj hain aur na kal rahe hain vo hi pahuncheinge yaar tak jo girte girte sambhal rahe hain ham niko naam to hue par dil pe aare se chal rahe hain un ko aazaad kar jo ab tak zer-e-habs-e-ilal rahe hain un ko mahbus kar jo kab se qaaede sab kuchal rahe hain kah na karb-o-balaa kaa qissa lafzon ke dil dahal rahe hain"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"dil ke rahne ke liye shahr-e-khayaalaat nahin sar-ba-sar hai nafi is mein kahin isbaat nahin ranj gar vaan se to raahat bhi vahin se aave kaun kahtaa hai yahaan vahdat-e-aayaat nahin mujh se kahte hain havaaej se sarokaar na rakh meri taarif ba-juz qissa-e-haajaat nahin koi batlaao shab-o-roz pe kyaa guzri hai raat khaamosh nahin din mein koi baat nahin thi falaatun ki jo jamhur se ru-gardaani ham samajhte the khuraafaat khuraafaat nahin dil se guzre kabhi dushman ke liye fikr-e-zarar vo vatira nahin meraa mire jazbaat nahin ahd-e-be-mehr mein ik chaal mohabbat bhi chale shah mein baazi hai miri garche abhi maat nahin saahibaa dekhnaa had se na baDhe yurish-e-gham naa-tavaan dil hai miraa khema-e-saadaat nahin"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"phir sabaa guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kyaa kahnaa ab talak kaanpte hain sarv-o-saman kyaa kahnaa zarra-e-khaak huun main sail-e-havaadis ke liye aur is zarre mein dil shaah-e-zaman kyaa kahnaa jism ke hukm se aazaad ho jaan chaahaa thaa ruuh ke hukm se aazaad hai tan kyaa kahnaa shahr viraan huaa gor-e-gharibaan ki tarah us pe main aur miri rangini-e-fan kyaa kahnaa hai garaan tab-e-shahidaan pe mazaar-o-marqad jism khun-basta hai khud un kaa kafan kyaa kahnaa lek ye bhi to khule kuchh tiri niyyat kyaa hai nudrat-e-fikr aur andaaz-e-sukhan kyaa kahnaa aakhirash sahl huaa naf-o-zarar kaa matlab ab har ik chiiz pe chaspaan hai saman kyaa kahnaa ziist ik pal hai faqat dekhiye kyaa kijiye kyaa aur is pal mein bhi sad ranj-o-mehan kyaa kahnaa is qadar khauf mein huun main ki na niind aave hai kis qadar khvaab mein hain ahl-e-vatan kyaa kahnaa"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"dard ik roz koi rang dikhaae to bane ruuh gar chhoD ke tan dahr mein aae to bane nazar aaein tire chehre ke khad-o-khaal tamaam dil se uTh jaaein kabhi vahm ke saae to bane vahdat-e-dard ho qariyon mein havaa ki maanind ek ho jaaein agar apne paraae to bane vaaizaan muzhda ki jannat mein bahaar aai hai meri duniyaa se khizaan lauT ke jaae to bane dev-e-taqdir khaDaa hai mere aage har dam koi tadbir ise zahr pilaae to bane jis ko dekhaa kisi murde kaa muqallid dekhaa apni ho jaae har ik shakhs ki raae to bane sab ke dukh suntaa huun main zoaf-e-zaifi mein vale meraa dukh koi miri maan ko sunaae to bane apne aamaal ko auron se chhupaa rakkhaa hai meri niyyat ko koi mujh se chhupaae to bane main banaataa to bahut huun nahin banti lekin vo inaayat se miri baat banaae to bane"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"mabda-e-husn se kaise ye judaa hai yaksar ki zamaan aur makaan ek adaa hai yaksar ye jo di hai hamein aazaadi-e-afkaar-o-amal koi batlaao jazaa hai ki sazaa hai yaksar vaqt hai teshaa-o-shamshir kaa jis mein kab se vo hatheli abhi masruf-e-duaa hai yaksar marhabaa jashn-e-jibillat ki nahin ham paaband marhabaa ziist ki aazaad-e-hayaa hai yaksar baat kahne ko hai kuchh aur jahaan kaa mamduh baal-e-jibril nahin baal-e-humaa hai yaksar tu samajhtaa hai jise apnaa muizz-o-razzaaq ham samajhte hain vahi teraa khudaa hai yaksar aaj jo fitrat-e-aadam nazar aati hai hamein ye miri jaan zamaane ki huaa hai yaksar mamba-e-faiz se aati hai jo rahmat yaan tak ye hamein aal-e-mohammad ki ataa hai yaksar khaaliq-e-khatm-e-rusul aal-e-ebaa kaa masjud apnaa masjud magar aal-e-ebaa hai yaksar"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"duur hai baa-huzur lagtaa hai go hai mastur uur lagtaa hai aab-o-naan-o-havaa nahin kaafi tere dil mein futur lagtaa hai jaa rahe ho khudaa ke ghar yaa'ni vo tumhein khud se duur lagtaa hai garche hargiz miraa qusur nahin phir bhi meraa qusur lagtaa hai ek 'aalam pe bhi nahin raazi ye dil-e-naa-subur lagtaa hai zehn aazaad fikr hasti hai jo gunaa kaa tanur lagtaa hai ek miTTi kaa Dher hai vo to jo tumhein koh-e-tur lagtaa hai roz hotaa huun ham-kalaam us se roz yaum-e-nushur lagtaa hai khud phansaate ho khud chhuDaate ho khel koi huzur lagtaa hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"ik ajab ham ne maajraa dekhaa dard bardaasht se sivaa dekhaa dil-e-be-chain ko kahaan le jaaein ik jahaan se use lagaa dekhaa vaae akhtar khudaa ko bhuul gae jab kahin koi aasraa dekhaa zahar-e-mahrumi-e-masaa chakkhaa qahr-e-masmumi-e-sabaa dekhaa koi ummid hai to ghairon se baarhaa khud ko aazmaa dekhaa phuul gulshan mein mor jangal mein sim-e-subh-o-zar-e-masaa dekhaa nigah-e-shokh-e-surma-saa dekhi dast-e-sad turra-e-hinaa dekhaa ne sahi gar vafaa nahin dekhi ham ne yaan husn-e-be-panah dekhaa jis ne chaahaa use khudaa chaahaa jis ne dekhaa use khudaa dekhaa"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"har ghaDi fikr-e-raasti kyaa hai ik musibat hai zindagi kyaa hai ghup andheraa hai mere chaaron-or is mein thoDi si raushni kyaa hai bahut uljhaa huaa hisaab hai ye meraa khaataa hai kyaa bahi kyaa hai naam hain nafs ki parastish ke dosti kyaa hai dushmani kyaa hai shahr mein rah ke dekhiye ik din duur jangal mein raahebi kyaa hai saari baaton kaa main musannif huun mere aage likhi suni kyaa hai main ne dekhaa hai khuun ki shamon se gum-rahi kyaa hai rah-ravi kyaa hai ahd-e-piri mein apni lauh-e-zamir saaf ho gar to khusravi kyaa hai ye tazaadaat ye saraab ye dil zindagi kyaa hai aadmi kyaa hai band ashkaal mein muqayyad huun aql kis kaam aagahi kyaa hai sochtaa huun to kuchh nahin khultaa jaantaa huun magar badi kyaa hai dil mein vasvaas yaa-ali kyuun hai sar-e-mahjub yaa-nabi kyaa hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"khud se kitnaa kiyaa daghaa main ne abhi sikhi nahin vafaa main ne niklaa chuhaa pahaaD ko khodaa jo kiyaa jo kahaa sunaa main ne kholiye kyuun dukhon ke daftar ko sochnaa band kar diyaa main ne haan lagaayaa hai zikr 'azmat par zor se ek qahqaha main ne haasil-e-zist hai ki dekhaa hai sumbul-o-sabz-o-sabaa main ne zindagi zahr thaa use suqraat jur'a-jur'a magar piyaa main ne chhup ke baiThaa huun sharmsaari se kaa'be se duur li hai jaa main ne ye to tazlil hai shahaadat ki kabhi maangaa na khun-bahaa main ne jab baDhi aur sharm-e-uryaani oDh li khaak ki qabaa main ne apne dil ko to si nahin saktaa apne honTon ko si liyaa main ne khauf se bhaag niklaa majlis se jab sunaa zikr-e-karbalaa main ne"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"khaali hai zehn taaqat-e-guftaar kyaa kare hai aankh band rauzan-e-divaar kyaa kare ham 'aql dil ke saamne rakhte rahe vale dariyaa ke aage ret ki divaar kyaa kare ji meraa ab to meri bhi sohbat se tang hai har rishta yaan hai baais-e-aazaar kyaa kare har-su hai kaaenaat mein apne lahu kaa rang ho chashm-e-dil se duur to didaar kyaa kare kahtaa huun baar baar samajhtaa nahin koi bahraa ho dil to baat pe israar kyaa kare juz tegh dard-e-jaan kaa nahin koi shai ‘ilaaj khaali hai haath dida-e-khun-baar kyaa kare har falsafe se shauq hai aazaad sar-ba-sar iqraar kyaa kare yahaan inkaar kyaa kare uljhe hue hain kitne tamannaa ke silsile ai khaaliq-e-hayaat gunahgaar kyaa kare raah-e-nabi mein bachche javaan-pir sab gae kheme mein tanhaa aabid-e-bimaar kyaa kare"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"hai nasim-e-subh aavaara usi ke naam par bu-e-gul Thahri hui hai jis kali ke naam par kuchh na niklaa dil mein daagh-e-hasrat-e-dil ke sivaa haae kyaa kyaa tohmatein thiin aadmi ke naam par phir rahaa huun ku-ba-ku zanjir-e-rusvaai liye hai tamaashaa saa tamaashaa zindagi ke naam par ab ye aalam hai ki har patthar se Takraataa huun sar maar Daalaa ek but ne bandagi ke naam par kuchh ilaaj un kaa bhi sochaa tum ne ai chaaragaro vo jo dil toDe gae hain dilbari ke naam par koi puchhe mere gham-khvaaron se tum ne kyaa kiyaa khair us ne dushmani ki dosti ke naam par koi paabandi hai hansne par na ronaa jurm hai itni aazaadi to hai divaangi ke naam par aap hi ke naam se paai hai dil ne zindagi khatm hogaa ab ye qissa aap hi ke naam par kaarvaan-e-subh yaaro kaun si manzil mein hai main bhaTaktaa phir rahaa huun raushni ke naam par"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"'akhtar' ko to riye mein bhi hai 'aar kyaa kare baiThaa huaa hai der se be-kaar kyaa kare yak hujum-e-dard aur aur e tamaam dil zer par lagaae hai minqaar kyaa kare taarikh ki rahi hai ki miTtaa nahin hai zulm mukhtaar-e-kul bataa tiraa sansaar kyaa kare khinche hai sab ko dast-e-fanaa ek saa to phir ek saada-lauh kare yahaan 'ayyaar kyaa kare koi nahin hai mujh ko hunar rozgaar kaa juz khaaksaar midhat-e-sarkaar kyaa kare jo saari kaaenaat ki fitrat kaa ho amiin har tajrabe kaa jo ho kharidaar kyaa kare ji muztarib hai hiddat-e-qil-o-maqaal mein DhunDe hai koi saaya-e-divaar kyaa kare shahron mein meri khaak aDe misl-e-bu-e-gul be-shaama hai khalq-e-tarah-daar kyaa kare maulaa madad ki main huun azaadaar-e-aal-e-u aaqaa tire baghair gunahgaar kyaa kare"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"'ishq kaa shor karein koi talabgaar to ho jins baazaar mein le jaaein kharidaar to ho hijr ke sokhta-jaan aur jaleinge kitne tuur par baiThe hain kab se tiraa didaar to ho shiddat-e-dard do-pal ke liye kam hotaa ki gham ke alfaaz ke singaar mein izhaar to ho kab se ummid lagaae hue baiThe hain ham ne sahi gar nahin iqraar so inkaar to ho kufr ehraam ke parde mein chhupaa dekhaa hai ek 'aalam hai agar darpai zunnaar to ho ham ne maanaa ki sharaafat hai baDi chiiz magar kuchh zamaane ko sharaafat se sarokaar to ho khaana-e-dil mein nahin ek kiran kaa bhi guzar saari duniyaa hai agar matla'-e-anvaar to ho raazdaari hi mein hotaa hai sharifon kaa hisaab tujh ko manzur hai gar bar-sar-e-baazaar to ho"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"urdi-o-dai se pare sud-o-ziyaan se aage aao chal niklein kahin qaid-e-zamaan se aage is kharaabe mein abas hain gham-o-shaadi donon meri taskin kaa maskan hai makaan se aage aah-o-naala hi sahi ahl-e-vafaa kaa maslak ik maqaam aur bhi aataa hai fughaan se aage daar tak saaf nazar aataa hai rishta dekhein phir kidhar jaate hain ushshaaq vahaan se aage khun-aaluda kafan shaareh-e-sad-daftar-e-dil tarz-e-izhaar hai ik aur zabaan se aage fikr mafluj jo zindaani-e-aflaak rahe tiir be-kaar jo nikle na kamaan se aage thi bahut khaana-kharaabi ko hamaari ye umr ik jahaan aur bhi sunte hain yahaan se aage main ki huun haazir-o-maujud ke vasvaas mein qaid tu ki hai parda-nashin vahm-o-gumaan se aage"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed