SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzeez Adil(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tum kabhi aable pairon pe sajaa kar dekho aagahi milti hai sahraaon mein jaa kar dekho arsa-e-khvaab ke asraar khuleinge tum par apni aavaaz mein kuchh soz rachaa kar dekho shaakh-dar-shaakh qayaamat kaa fughaan uTThegaa phuul par baiThi hui titli uDaa kar dekho kis qadar hotaa hai taaraaj sukun-e-gulshan phuul se tu zaraa titli ko giraa kar dekho rad nahin hoti kabhi sunte yahi aae hain chaandni raat mein milne ki duaa kar dekho muntazir kaun khaDaa kaun paDaa hai dar par tum laTakti hui chilman ko haTaa kar dekho ban bhi saktaa hai mohabbat kaa fasaana 'aadil' tum use rakhnaa sadaa dil mein chhupaa kar dekho"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"sukh ki bohtaat hai zindagi zakhm de meraa dukh baanT kar phir koi zakhm de justuju phir koi dil mein rasta banaa phir se naakaamiyon kaa vahi zakhm de raushni ho nazar-dar-nazar raushni ik kami hai kami-dar-kami zakhm de gum-shuda chaahaton kaa vazifa paDhaa bolte manzaron ki gali zakhm de tu mujhe zindagi kaa qarina sikhaa mujh pe ehsaan kar dil-lagi zakhm de dard kaa zaaiqa bhuul baiThaa huun main aisaa kar tu mujhe is ghaDi zakhm de nutq-e-'aadil' ki shirini kam ho zaraa talkhi-e-hijr ki bekali zakhm de"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"haalaat ki masnad se utar jaaeinge ik din arzaani-e-vahshat mein hi mar jaaeinge ik din yuun diid ko apni hamein tarsaao na varna mar jaaeinge mar jaaeinge mar jaaeinge ik din ye aas bahut hai ki tire dast sitam se jitne bhi mile ghaav hain bhar jaaeinge ik din har shaam jo aa jaate hain mahfil ko sajaane ye dost hamaare bhi bikhar jaaeinge ik din ye phuul jo gulshan mein tar-o-taaza khile hain patjhaD ki havaaon se bikhar jaaeinge ik din ham ahl-e-mohabbat sabab-e-shaam-o-sahar hain ham dil se zamaane ke utar jaaeinge ik din ham khvaab-nigaaraan hain sadaa zinda raheinge kahne ko agar jaan se guzar jaaeinge ik din"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"ziist kaa khel rachaane ki zarurat kyaa hai rote lamhaat sajaane ki zarurat kyaa hai yaad jab mujh ko tire saare karam hain jaanaan phir ye ehsaan jataane ki zarurat kyaa hai ishq se ishq zaruri hai magar jaan-e-aziz sab ko ye baat bataane ki zarurat kyaa hai ek mauhum sahaaraa hai guzaare shab ke baar is kaa bhi uThaane ki zarurat kyaa hai main gae vaqt ko aavaaz nahin de saktaa yuun bhi aavaaz lagaane ki zarurat kyaa hai phuul joDe mein sajaane ke liye hote hain phuul paani mein bahaane ki zarurat kyaa hai us kaa chehra nazar aa jaae ki 'aadil' vo shakhs jaantaa bhi hai zamaane ki zarurat kyaa hai"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"mukhtasar shab ki tavaalat nahin ki jaa sakti kam kisi taur aziyyat nahin ki jaa sakti ham ne to ek pari-vash se mohabbat ki hai log kahte hain mohabbat nahin ki jaa sakti laakh hote huun sabab tark-e-sukunat ke magar shahr-e-jaan se kabhi hijrat nahin ki jaa sakti mere naadaan mat is ko miri fankaari samajh khud pe taari kabhi vahshat nahin ki jaa sakti vasl par dil hi kisi kaa na ho maail jab tak hijr ki puuri zarurat nahin ki jaa sakti shart mat rakh ki rah-e-ishq-e-butaan mein 'aadil' vaqt ki ru se baghaavat nahin ki jaa sakti"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"rozaana koi kaasa gadaai kaa uThaa kar kuche se guzar jaataa hai aavaaz lagaa kar ye kaisaa sitam hai ki dikhaai na de mujh ko vo shakhs jo niklaa nahin siine mein samaa kar dil kis ki tasalli ke liye jalne lagaa thaa dil kis ke liye raakh huaa khud ko jalaa kar ik aaina-bardaar ke maathe pe likhaa thaa sach bol magar jhuuT ki shirini milaa kar duniyaa kaa har ik saahab-o-mukhtaar bhi tujh saa insaan hai insaan ko banaayaa na khudaa kar ye hijr-e-musalsal rahaa aain-e-mohabbat is dard ki talkhi se pareshaan na huaa kar 'aadil' ye sar-e-shaam kahaan jaane lagaa hai tu suut ki dastaar mein paivand lagaa kar"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"be-mehri-e-vafaa ne puchho na kyaa diyaa hai aah-e-vidaa-e-shab ne siina jalaa diyaa hai naalaa-kanaan hain bulbul bhanvaron mein be-dili hai ab ke vo bijliyon ne gulshan jalaa diyaa hai baazi pe apne sar ki ik husn-e-be-badal se ham ne mohabbaton kaa naara lagaa diyaa hai andhi mohabbaton ne har saahab-e-vafaa ko dariyaa dikhaa diyaa hai sahraa dikhaa diyaa hai phirte idhar udhar hain logo makaan-ba-sar hain muddat se chain apnaa ham ne ganvaa diyaa hai lahrein uchhal paDin hain ik naaznin ne apne paani mein paanv rakh kar mahshar uThaa diyaa hai jis ko bhi saunp Daalaa 'aadil' nizaam dil kaa mushkil usi ne meraa jiinaa banaa diyaa hai"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"kabhi dhire kabhi ujlat se kiyaa jaataa hai kaam hijrat kaa suhulat se kiyaa jaataa hai ye vadiat huaa jazba hai ataa hai rab ki ishq bhi koi zarurat se kiyaa jaataa hai itnaa khud-sar na huaa kar mire marjaan sifat kuchh kinaaraa bhi adaavat se kiyaa jaataa hai yahi duniyaa kaa chalan jaan kar ai jaan-e-ghazal rang khud par bhi zarurat se kiyaa jaataa hai aakhir-e-shab ki khamoshi se yahi mujh pe khulaa hijr mein saamnaa vahshat se kiyaa jaataa hai marhala-vaar mohabbat kaa safar ho 'aadil' tai ye rasta ki riyaazat se kiyaa jaataa hai"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"banaa kar saaneha koi tamaashaa ye karaataa hai falak maasum logon ko bahut aansu rulaataa hai main dil ki laash par nauha-kunaan huun aur tu zaalim bulaa kar shahr-daaron ko miraa chehra dikhaataa hai are had ho chuki bas be-hisi ye ahl-e-masnad ki sar-e-baazaar laashon ki koi boli lagaataa hai yahaan chaltaa hai mere shahr mein qaanun jangal kaa yahaan har memana koi darinda kaaT khaataa hai tujhe maalum bhi hai ye nagar hai zulm-zaadon kaa hai anqaa adl yaan zanjir kis khaatir hilaataa hai use aati faqat hai masnad-e-jaan par khud-aaraai vo faarigh baiTh kar bas khaali taqrirein banaataa hai mire maulaa mire bachchon ko rakh apne amaan mein tu ki 'aadil' vaqt kaa haalat pe meri muskuraataa hai"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"jab tak dar-e-aivaan jalaayaa nahin jaataa tab tak kisi haakim ko jagaayaa nahin jaataa zaalim ke sitam se ho agar khalq-e-khudaa tang duniyaa use kyaa maar giraayaa nahin jaataa piraan-e-ajam kijiye tadbir abhi aap dil se to mire karb kaa saayaa nahin jaataa maqdur agar ho to vo pahunchaanaa suhulat jamhur ko ungli pe nachaayaa nahin jaataa haalaat badal sakte hain karvaT kisi lamhe ho jang to ghoDe ko sadhaayaa nahin jaataa 'aadil' jo kamaayaa huaa hai daagh-e-mohabbat ye daagh zamaane ko dikhaayaa nahin jaataa"
Azeez AdilAzeez Adil
Quote
"alam zindagi mein kamaa kar to dekho nazar aansuon se sajaa kar to dekho khaDe honge shaana-ba-shaana tumhaare hamein tum kabhi aazmaa kar to dekho tumhaari gali mein lagi raunaqein hain sar-e-baam ik baar aa kar to dekho tumhein bhi javaaban mohabbat milegi mohabbat se dil mein samaa kar to dekho main aaina huun sach kahungaa hamesha mujhe meri rah se haTaa kar to dekho mujhe raushni kaa sahaaraa bahut hai mujhe zulmato tum miTaa kar to dekho pahan li hai 'aadil' ne dastaar-e-ulfat zaraa haath us ko lagaa kar to dekho"
Azeez AdilAzeez Adil