SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"nazaara-e-rukh-e-saaqi se mujh ko masti hai ye aaftaab parasti bhi mai-parasti hai khudaa ko bhuul gayaa mahv-e-khud-parasti hai tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai na gul hain ab na vo saaqi na mai-parasti hai chaman mein meinh ke 'evaz be-kasi barasti hai ye mulk-e-husn bhi jaanaan 'ajib basti hai ki dil si chiiz yahaan kauDiyon se sasti hai mah-e-siyaam mein go mana-e-mai-parasti hai magar huun mast ki har roz faaqa-masti hai ye be-sabaat bahaar-e-riyaaz-e-hasti hai kali jo chaTki to hasti par apni hansti hai bas ek raat kaa mehmaan charaagh-e-hasti hai sirhaane roegi ab sham' gor hansti hai dilaa ye gor-e-gharibaan bhi zor basti hai bajaae abr yahaan be-kasi barasti hai gayaa jo yaan se tah-e-khaak vo kabhi na phiraa zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai nahaa ke baal nichoDe to yaar kahne lagaa ghaTaa siyaah isi tarah se barasti hai bas ek haath mein do TukDe kar diyaa ham ko hamaare yaar ki ik ye bhi tez-dasti hai kiyaa hai chaak garebaan subh-e-mahshar tak ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai hamein to qatl kiyaa bas isi nazaakat ne ki vo uThaati hain tegh aur nahin ukasti hai dikhaa ke phuul se chehre ko dil liyaa khush ho jo badle gul ke mile 'andalib sasti hai ab ek tauba pe aati hai maghfirat tire haath kharid kar ki nihaayat ye jins sasti hai dikhaae jis ne ye surat hamein dam-e-aakhir usi ko dekhne ko ruuh ab tarasti hai na TuuTi shisha-e-mai meri sang-e-marqad se pas az fanaa bhi mujhe paas-e-mai-parasti hai asiir kar ke hamein khush na hoiyo sayyaad ki tu bhi yaan to giraftaar-e-daam-e-hasti hai 'ajab nahin dam-e-isaa se bhi jo gul ho jaate ki sham-e-subh hamaaraa charaagh-e-hasti hai vo maangtaa hai miri jaan ru-numaai mein yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai kiyaa hai us ne to yusuf kaa chaak daaman-e-paak na puchho 'ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai kahun main vahi hai saaqi vahi subu vahi jaam mudaam-e-baada-e-vahdat ki mujh ko masti hai 'alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukaae huun main tiri gali mein bhi zaalim bulandi pasti hai jo chaahe rahmat-e-haq 'ijz kar shi'aar apnaa ravaan udhar ko hai paani jidhar ko pasti hai safed ho gai mu-e-siyaah ghaflat chhoD hui hai subh koi dam charaagh hasti hai har ik javaan kaa qad kham huaa hai piiri se maaal-e-kaar bulandi jahaan mein pasti hai vo apni jumbish-e-abru dikhaa ke kahtaa hai ye vo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai che khush bavad ki bar aayad bek karishma do kaar sanam baghal mein hai dil mahv-e-haq-parasti hai hai khuub pahle se 'goyaa' karun main tark-e-sukhan ki ek dam mein ye khaamosh sham-e-hasti hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"jo pinhaan thaa vahi har su 'ayaan hai ye kahiye lan taraani ab kahaan hai jo pahunche haath zanjiron ko toDein garche paanv apnaa darmiyaan hai chamak laa'l-e-badakhshaan ki miTaa de tire honTon pe aisaa rang paan hai tujhe kahtaa huun sun o vahshat-e-dil vahaan le chal jahaan vo dil-sitaan hai vo hon naazuk-mizaaj ai ham-safiro rag-e-gul mujh ko khaar-e-aashiyaan hai muaa jaataa huun main tarz-e-nigah se tire lab ki masihaai kahaan hai bulaa kar us se do baatein to sun le ye kahte hain ki 'goyaa' khush-bayaan hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"duaaein maangin hain muddaton tak jhukaa ke sar haath uThaa uThaa kar huaa huun tab main buton kaa banda khudaa khudaa kar khudaa khudaa kar duaa lab-e-jaam ne bhi maangi subu ne bhi haath uThaa uThaa kar hamaari mahfil mein aayaa saaqi khudaa khudaa kar khudaa khudaa kar dikhaayaa vahdat ne apnaa jalva dui kaa parda uThaa uThaa kar karun main sajda buton ke aage tu ai barahman khudaa khudaa kar hain ashk zakhmon se mere jaari na dekhi hogi ye ashk-baari bani hain chashm-e-pur-aab qaatil ye zakhm paani churaa churaa kar kahaan vo shaklein kahaan vo baatein kahaan vo jalse kahaan vo mahfil ye sab kaa sab khvaab kaa thaa saamaan chhupaa liyaa bas dikhaa dikhaa kar ba-rang-e-saaghar milaa diyaa munh jo munh se tere khafaa na honaa kiyaa hai behosh tu ne saaqi sharaab mujh ko pilaa pilaa kar uThaayaa yaaron ne par na uTThaa zamin se hargiz hamaaraa laasha ye kis ne ham ko hai maar Daalaa nazar se apni giraa giraa kar jo pahunchein ham murgh-e-naama-bar ko to chuTkiyon mein use uDaa de agar-che vo tifl kheltaa hai par-e-kabutar uDaa uDaa kar pas-az-fanaa bhi agar tu aae karun sag-e-yaar mehmaani ki ustakhvaanon ko apne tan mein rakhaa humaa se chhupaa chhupaa kar gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe paTkun ki toD Daale main aise miine hazaaron shishe uThaa uThaa kar kabhi mire dil se karti hain bal kahi hain shaane se ye uljhtin gharaz ki zulfon ko tu ne zaalim bigaaDaa hai sar chaDhaa chaDhaa kar shikast likhtaa thaa naam dil kaa yahi thi tifli mein mashq teri banaa diyaa dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likhaa likhaa kar baDe gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikve ki dam mein tu ne hain maar Daale hazaaron murde jilaa jilaa kar pilaanaa paani kaa jaam zaahid gunaah mashrab mein hai hamaare savaab letaa nahin hai kyuun tu sharaab mujh ko pilaa pilaa kar nahin koi raazdaar ham saa kiyaa na vahshat mein tujh ko rusvaa ki daagh maanind-e-khaar-e-maahi badan mein rakhe chhupaa chhupaa kar gale hazaaron ne apne kaaTe hazaaron be-vajh ho gae khuun bahut huaa phir tu yaar naadim kaf-e-hinaai dikhaa dikhaa kar nigah ki surat phiro na har su hijaab tum mardumuk se sikho ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman uThaa uThaa kar dikhaa ke gul se ezaar tu ne kiyaa dil-e-aashiqaan ko bulbul banaa diye gosh ghairat-e-gul sadaa-e-rangin sunaa sunaa kar gunaah kartaa hai barmalaa tu kisi se kartaa nahin hayaa tu khudaa ko kyaa munh dikhaaegaa tu zaraa tu ai be-hayaa hayaa kar chalaa hai mahfil se apne saaqi dikhaaun main apni ashk-baari karun bat-e-mai ko murgh-e-aabi abhi se dariyaa bahaa bahaa kar rulaae barson hansi tu jis se dikhaae gar zulf maar rakkhe kare tu dar-parda raah dil mein jo dekhe parda uThaa uThaa kar vahi asar hai junun kaa ab tak vahi hai laDkon ko ab bhi kaavish ki meri miTTi ke roz majnun bigaaDte hain banaa banaa kar ajab nahin naama-e-amal kaa dilaa ho kaaghaz agar khataa ke khataaein kiin main ne aashkaaraa kiye hain isyaan chhupaa chhupaa kar asar hai chaah-e-zaqan ki ulfat kaa baad-e-murdan bhi aah baaqi ki khelti hain hamaari miTTi ke Dol laDke banaa banaa kar kiyaa hai poshida ishq ham ne kisi se dar-parda hai mohabbat paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupaa chhupaa kar jo khauf tufaan-e-ashk se ab nahin hai jaataa na jaae qaasid ravaan karun su-e-yaar-e-jaani khaton ki naavein banaa banaa kar tiraa saa qad ban sakaa na hargiz tiri si surat na bin saki phir agar-che saane ne laakhon naqshe bigaaD Daale banaa banaa kar udhar mizha ne lagaai barchhi idhar nigaahon ne tiir maare shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhein laDaa laDaa kar kaTi hai goyaa shab-e-javaani bas aan pahunchi hai subh-e-piri bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din khudaa khudaa kar"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"kyaa hain shaidaa-e-qadd-e-yaar darakht hain jo shabnam se ashk-baar darakht dekhein gar sarv-qad-e-yaar darakht khaak par loTein saaya-daar darakht ashk-baar un pe hain jo murgh-e-chaman pahne hain motiyon kaa haar darakht sar-kashi ki hai kyaa tire qad se kaaTe jaate hain be-shumaar darakht kyaa tire qad se duun misaal use ki hai angusht zinhaar darakht tire jalve se nakhl-e-tur bane hain jo baalaa-e-kohsaar darakht bed-e-majnun ko dekh o lailaa hai ye majnun kaa yaadgaar darakht dekh kar tujh ko bhuul jaaeinge gul khilaaenge be-bahaar darakht zindagi mein na main ne phal paayaa ho na mere sar-e-mazaar darakht faaeda bhi yahaan to nuqsaan hai sang khaate hain baar-daar darakht daagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul ham hain goyaa shagufa-daar darakht"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"kis naaz se vaah ham ko maaraa ki tirchhi nigaah ham ko maaraa sau pech mein laa ke aakhir-e-kaar ai zulf-e-siyaah ham ko maaraa khvaahinda tire the ai pari ham kyuun khvaah-na-khvaah ham ko maaraa kaabe ko jo ham chale buton ne kah kar gumraah ham ko maaraa shikva hamein kuchh nahin falak se tu ne ai maah ham ko maaraa chaah-e-zaqan-e-sanam dikhaa kar tu ne ai chaah ham ko maaraa aise hain zaiif mar gae ham jis ne par-e-kaah ham ko maaraa us ki zulf-e-daraaz ne shab qissa-e-kotaah ham ko maaraa shamshir-e-nigah se us ne be-maut khaaliq hai gavaah ham ko maaraa bose ki talab mein us ne 'goyaa' naa-karda-gunaah ham ko maaraa"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"munh Dhaanp ke main jo ro rahaa huun ik parda-nashin kaa mubtalaa huun kyaa hijr mein naa-tavaan huaa huun tinkaa na uThe vo kahrubaa huun teri si na bu kisi mein paai saare phulon ko sunghtaa huun bulbul hai chaman mein ek hamdard main bhi kisi gul kaa mubtalaa huun aaina hai jism-e-saaf us kaa kyunkar na kahe main khud-numaa huun kahtaa hai ye mushtari falak par yusuf tire haath mein bikaa huun rukhsaar vo rakh ke so gayaa thaa gul takyon ko roz sunghtaa huun khat likh ke jo hai talaash-e-qaasid maanind qalam main phir rahaa huun mar jaan kahi dekh dekh vo haath mehndi ki tarah main pis gayaa huun itni tu jafaaein kar na ai but aakhir main banda-e-khudaa huun ab to mujhe ghaib-daan kahein sab main teri kamar ko dekhtaa huun 'goyaa' huun vaqt kaa sulemaan pariyon par hukm kar rahaa huun"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"hasrat ai jaan shab-e-judaai hai muzhda ai dil ki maut aai hai tujh se maghrur ki jhuki gardan phir bhi ik shaan-e-kibriyaai hai us ne talvaar ko sambhaalaa hai dekhiye kis ki maut aai hai phir gayaa jab se vo sanam ba-khudaa ham se bargashta ik khudaai hai baat sidhi bhi vo nahin kartaa kaj-adaai se kaj-adaai hai aap ko jaantaa hai aaina saaf ye us ki khud-numaai hai tum mire kaj-kulaah ko dekho ye bhalaa kis mein mirzaai hai dil mein aataa hai raah-e-chashm se vo khuub ye raah-e-aashnaai hai male hasrat se haath dekh ke huur ai pari teri vo kalaai hai shaana us kaa hai panja-e-khurshid vaah kyaa panja-e-hinaai hai zaahido qudrat-e-khudaa dekho but ko bhi daava-e-khudaai hai haath pahunchaa na paa-e-qaatil tak taaleon ki ye naa-rasaai hai kaabe jaane se mana karte hain kyaa buton ke hi ghar khudaai hai husn ne mulk-e-dil kiyaa taaraaj hazrat-e-ishq ki duhaai hai munh hai 'goyaa' kaa us kaa bosa le baat dushman ne ye banaai hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"us ko mujh se ruThaa diyaa kis ne mere dil ko dukhaa diyaa kis ne daam-e-kaakul dikhaa diyaa kis ne murgh-e-dil ko phansaa diyaa kis ne kham-e-abru dikhaa diyaa kis ne kaaba-e-dil giraa diyaa kis ne ai falak ham to baiThe hanste the uThte uThte rulaa diyaa kis ne aaine mein dikhaa ke teri shakl tujh ko hairaan banaa diyaa kis ne ik qalam harf-e-dosti bhulaa haae us ko paDhaa diyaa kis ne main gayaa us ke ghar to kahne lagaa ghar hamaaraa bataa diyaa kis ne nahin maalum shauq-e-qatl mein kuchh sar hamaaraa uDaa diyaa kis ne na samaae kisi ki aankhon mein nazron se yuun giraa diyaa kis ne maangte hi gunaahgaar hue us se bosa liyaa diyaa kis ne kal talak dost thaa vo 'goyaa' kaa aaj dushman banaa diyaa kis ne"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"kyunkar na khush ho sar miraa laTakkaa ke daar mein kyaa phal lagaa hai nakhl-e-tamannaa-e-yaar mein chaahaa bahut vali na muaa hijr-e-yaar mein mahbub kyaa ajal bhi nahin ikhtiyaar mein mubaaf surkh kyuun na ho gesu-e-yaar mein shab-khun yaa'ni laate hain shubhaa-e-taar mein mubaaf hai kinaare kaa zulf-e-nigaar mein yaa barf kaundti hai ye abr-e-bahaar mein raahat ke saath ranj bhi hai rozgaar mein hansne pe gul ke roti hai shabnam bahaar mein pinhaan huaa hai khaal-e-khat-e-mushk-baar mein miltaa nahin hai DhunDhe se naafaa tataar mein mar jaaungaa khayaal-e-rukh-o-zulf yaar mein aa jaaegi ajal isi lail-o-nahaar mein lipTi hai choTi yaar ki phulon ke haar mein sumbul ne gul khilaae hain fasl-e-bahaar mein aauun na aap mein jo vo aae kanaar mein rakkhun main apni tarah use intizaar mein sabza tak apni qabar kaa khvaabida ho gayaa par ham ko niind aai na ik dam mazaar mein o barq-e-tur taa-ba-kujaa lan-taraaniyaan pathraa gaiin hain aankhein mire intizaar mein jaaein kab aashnaa tiri dariyaa ki sair ko ashk-e-ravaan se rakhti hain dariyaa kanaar mein ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diyaa kyaa so rahi thi chain se kunj-e-mazaar mein aayaa hai khvaab bhi shab-e-vaa'da agar hamein aankhein khuli rahi hain tire intizaar mein khaak-e-chaman se kyaa hai miraa kaalbud banaa daaghon se gul jo khilte hain fasl-e-bahaar mein baa'd az fanaa bhi husn-parasti se kaam hai aaina saan safaai hai sang-e-mazaar mein aansu bahaaun aankhon se us ko lagaa ke main moti piroun yaar ki phulon ke haar mein kyuun munh se boltaa nahin niklaa hai ab to khat darvaaza band baagh kaa mat kar bahaar mein rote hain yaad gauhar-e-dandaan mein un din moti bhare hain misl-e-sadaf yaan kanaar mein kahiye vo laa'l-e-lab khat-e-mushkin mein dekh kar paidaa huaa hai laal-e-badakhshaan tataar mein farhaad ki ye aankhein hain shirin ko DhunDhte ab dil ghazaal phirti nahin kohsaar mein muuzi hai charkh is se nahin kaj-ravi ba'id sach yuun hai raasti nahin raftaar mein tujh bin nahin ye jalva-numaa shab ko maahtaab chashm-e-falak safed hue intizaar mein to sun ke saath dauDun jo main man' bhi karun zaalim anaan-e-sabr nahin ikhtiyaar mein phulon kaa haar ban gayaa hai motiyon kaa haar aisaa khushi se phuul gayaa dast-e-yaar mein nafrat ye in gulon ko hai marne ke baa'd bhi hotaa nahin hai gul mire sham'-e-mazaar mein gesu ko us ki kuchh nahin parvaa-e-naqd-e-dil ye maal vo hai jo hai sab chashm-e-yaar mein deti hai naa-tavaani agar rukhsat-e-chaman phanstaa huun daam-e-mauj-e-nasim-e-bahaar mein kartaa hai koi turk-dilaa neza-baaziyaan dumbaala surme kaa ye nahin chashm-e-yaar mein pisegaa ustukhvaan asar-e-iztiraab-e-dil 'aalam ab aasiyaa kaa hai sang-e-mazaar mein baagh-e-jahaan mein 'aish ke fursat bahut hai kam labrez jaam-e-umr hai gul kaa bahaar mein kis maah-vash se raat ham-aaghosh ham hue 'aalam hilaal kaa hai hamaare kanaar mein masl-e-hinaa hai ghair ki haathon mire bahaar sarsabz agarche hon chaman-e-rozgaar mein aataa hai jab vo tan mein mire jaan aati hai jaane mein misl-e-umr nahin ikhtiyaar mein allaah re safaai-e-rukh-e-yaar dekhnaa hairaan hai aaina kaf-e-aaina-daar mein apne gale ke haar ke gar vo chaDhaae phuul phulaa na phir samaaun main kunj-e-mazaar mein gar peshvaa-e-khalq hai zaahid to kyaa huaa tasbih kaa imaam nahin hai shumaar mein mazmun tiri kamar kaa hai kyaa aaj banda gayaa 'anqaa phansaa hai un ki daam-e-shikaar mein jhaDti hain munh se phuul jo kartaa hai baat tu tujh saa nahin hai gul chaman-e-rozgaar mein qaasid to saaf kah di mukaddar hai mujh se kyaa likkhaa jo naama yaar ne khatt-e-ghubaar mein talvaar le jo haath mein ban jaae shaakh-e-gul sausan kaa phuul hue sipar dast-e-yaar mein ye kis ne aa ke qabr ko raundaa hai paaon se aati hai bu-e-gul miri khaak-e-mazaar mein baa'd az fanaa bhi khvaahish-e-didaar-e-yaar hai rauzan koi zarur hai mere mazaar mein jab raat hoti hai to sitaare nikalte hain afshaan zarur chaahiye the zulf-e-yaar mein kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko baahar hon apne jaame se fasl-e-bahaar mein farmaaish apni dekhne vaalon pe karti hain aankhon ke Dore hon mire phulon ke haar mein paanv se apne aaegi sahraa mein bhi bahaar chhaale hamaare phuul piroeinge khaar mein vaajib hai aab-e-tegh se kar lijiye vuzu sajda jo kijiye kham-e-abru-e-yaar mein dariyaa mein us ki tir-e-mizha kaa paDe jo 'aks suraakh ho har ik guhar-e-aab-daar mein aayaa kabhi na yaar na aayaa main aap mein apne aur us ke shikve kiye intizaar mein naasur paD gai tire daanton ke rashk se rauzan nahin hain ye guhar-e-aabdaar mein khaa khaa ke gul muaa huun jo main mere khaak ke taaus bante hain chaman-e-rozgaar mein aate hi fasl-e-gul mujhe josh-e-junun huaa zanjir-e-dar se baagh ke baandho bahaar mein karte hi saaf aaine ko khaak dekh le jauhar na puchh jo hain har ik khaaksaar mein rakhte nahin ghurur se vo paanv 'arsh par chalte hain sar ke bal jo rah-e-ku-e-yaar mein batlaaun kyaa vo kaisi hai aaraam ki jagah so jaaein paanv jaaun agar ku-e-yaar mein apne sivaa nahin hai koi apnaa aashnaa dariyaa ki tarah aap hain apne kanaar mein 'goyaa' kabhi hai yaas kabhi intizaar-e-yaar kyaa kyaa hain ranj zindagi-e-musta'aar mein"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"niim bismil ki kyaa adaa hai ye aashiqo loTne ki jaa hai ye shab-e-vasl-e-sanam vilaa hai ye bose honTon ki le mazaa hai ye dil ko kyuun paaemaal karte ho na to sabza hi na hinaa hai ye kaaT kar sar lagaaiye Thokar qatl-e-aashiq kaa khun-bahaa hai ye dud-e-dil kyuun na rashk-e-sumbul ho aatish-e-husn se jalaa hai ye zulf mein kyuun na dil rahe bedaar lailatul-qadr se sivaa hai ye aankhein us ki siyaah hain az-khud tutiyaa kis kaa tutiyaa hai ye kyaa hai naam-e-khudaa hai meraa sanam but jise kahte hain khudaa hai ye zulf mein dil mudaam rahtaa hai dekhnaa kis ke sar chaDhaa hai ye dar pe naalaan jo huun to kahtaa hai puchho kyaa chiiz bechtaa hai ye chumtaa huun main apne dil ke qadam bosa-e-yaar kaa gadaa hai ye dafn masjid mein mere dil ko karo taaq-e-abru pe mar gayaa hai ye taaq-e-abru-e-yaar ko dekhun ain kaabe mein iltijaa hai ye qad-e-jaanaan nahin qayaamat hai zulf-e-jaanaan nahin balaa hai ye go sanam murde zinde kartaa hai kaun kaafir kahe khudaa hai ye ho shahaadat nasib 'goyaa' ko fidvi-e-shaah-e-karbalaa hai ye"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"qatl ushshaaq kiyaa karte hain but kahaan khauf-e-khudaa karte hain sar miraa tan se judaa karte hain dard ki aap davaa karte hain aatish-e-gham ne magar phunk diyaa dil se shole jo uThaa karte hain jaama-e-surkh tiraa dekh ke gul pairahan apnaa qabaa karte hain khuun rote hain chaman mein bulbul ham gulon se jo hansaa karte hain kham-e-abru-e-sanam ko dekhein ham ye kaabe mein duaa karte hain apne saaqi ko shab-e-furqat mein paani pi pi ke duaa karte hain roz do-chaar kaa khuun kartaa hai dast-o-paa surkh rahaa karte hain mar gae par hadaf-e-tir hai khaak jaa-ba-jaa tode banaa karte hain dahan-e-zakhm se ham qaatil ke tegh ko chuum liyaa karte hain shor-e-mahshar se Darein kyaa aashiq aise hangaame huaa karte hain hote hain dil mein nihaayat naadim khuun jo be-jurm kiyaa karte hain mehndi malne ke bahaane qaatil kaf-e-afsos malaa karte hain evaz-e-baada gham-e-saaqi mein khun-e-dil apnaa piyaa karte hain paanv tak haath na pahunchaa us ki haath haihaat malaa karte hain jo hamein bhuul gayaa hai zaalim us ko ham yaad kiyaa karte hain naa-tavaani ne diye par ham ko jivan-e-par-e-kaah uDaa karte hain ham bane chaand ke haale 'goyaa' hain gird us mah ke rahaa karte hain"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"bhulaa hai baad-e-marg mujhe dost yaan talak sag bhi na us kaa aayaa miri ustukhaan talak go ham qafas se jaa na sake bostaan talak uD uD ke rang-e-chehra gayaa par vahaan talak bulbul hujum-e-gul hai chaman mein yahaan talak phulon se chhaa gayaa hai tiraa aashiyaan talak kab pahunchi aah zoaf se gosh-e-butaan talak sau jaa Thahar ke siine se aai zabaan talak parvaaz pesh aziin thi miri aasmaan talak ab to chaman se jaa na sakun aashiyaan talak aisaa kiyaa zaiif gham-e-intizaar ne aankhon ko meri baar hai khvaab-e-giraan talak aalim huun ilm-e-ishq kaa main kar na ham-sari ai andalib tu hai paDi bostaan talak us mah ke vasf se ye huaa martaba buland pahunchi miri ghazal ki zamin aasmaan talak paas-e-adab rahaa hai junun mein bhi is qadar aataa huun sajde kartaa tire aastaan talak us mast ke hain gesuon ke silsile mein ham saaqi murid jis kaa hai pir-e-mughaan talak rakkhein adab se paanv na ham teri raah mein baahar jab aap se hon to pahunchein vahaan talak fasl-e-khizaan mein gul kaa to aanaa muhaal hai bijli hi kaash aae miri aashiyaan talak kyunkar na sar phire miraa us tegh ke liye gardish si justuju mein hai marg-e-nishaan talak sau baar apni fikr adam se pare gai lekin na pahunchi yaar ke mu-e-bayaan talak us huur kaa makaan hai jannat se bhi pare rizvaan pahunch sake na kabhi paasbaan talak is darja fart-e-zoaf se ham pichhe rah gae pahunchi na aah bhi jaras-e-kaarvaan talak dil mein hamaare us ki mohabbat ne ghar kiyaa pahunchaa hai is makaan se jo laa-makaan talak allaah re dimaagh zaraa dekh ai humaa aayaa na be-talab sag-e-yaar ustukhaan talak us maah ne jo sar miraa Thukraayaa paanv se pahunchaa dimaagh aaj miraa aasmaan talak nakhl-e-muraad-e-yaar huaa aaj baarvar sad shukr kaT ke sar miraa pahunchaa sinaan talak phir jaae tiir aa ke vo bargashta bakht huun rukh phere dekh kar mujhe us ki kamaan talak marne ke baad hai sag-e-jaanaan kaa intizaar kah do humaa na aae miri ustukhaan talak sau baar aa ke maut bhi furqat mein phir gae bargashtagi nasib ki kahiye kahaan talak 'goyaa' ye naa-tavaani kaa ehsaan mujh pe hai aane diyaa na yaar kaa shikva zabaan talak"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"kis qadar mujh ko naa-tavaani hai baar-e-sar se bhi sargiraani hai chashm-e-tar se jo khun-fishaani hai naavak-e-ishq ki nishaani hai saare quraan se us pari-ru ko yaad ik lafz-e-lan-taraani hai jab huaa rutba-e-fanaa fillaah gham nahin gar jahaan-e-faani hai hai har ik sher yaar ki tasvir fikr apni khayaal-e-maani hai kyuun na hon aashiq-e-lab-e-jaanaan chashma-e-aab-e-zindagaani hai us ki raftaar ke likhe hain jo vasf kyaa miri taba mein aati hai naasehaa aashiqi mein rakh maazur kyaa karun aalam javaani hai kis se duun us sanam ko main tashbih kab khudaai mein us kaa saani hai na mire zakhm par rakho marham mere qaatil ki ye nishaani hai sar kaTaaeinge shama saan khaamosh gar yahi apni be-zabaani hai ham nahin shama hon jo ashk-fishaan kaar-e-ushshaaq jaan-fishaani hai munh ne ghar mein mire rakkhaa us ko ye bhi taaid-e-aasmaani hai dil bhi us se uThaa nahin sakte naa-tavaani si naa-tavaani hai qad-e-mauzun ke ishq mein 'goyaa' raat din shughl-e-sher-khvaani hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"apnaa har uzv chashm-e-binaa hai is qadar intizaar teraa hai jo hai mahbub teraa shaidaa hai yusuf aage tiri zulekhaa hai ek mah-ru baghal mein sotaa hai aasmaan par dimaagh apnaa hai khaak mein jo milaa diyaa mujh ko aasmaan ne zamin ko saunpaa hai kis ne chehre se baal sarkaae shaam ko subh aashkaaraa hai ustukhvaan tak kabhi guzar na kiyaa mere haq mein humaa bhi anqaa hai tere qadmon pe kyuun na qais gire naqsh-e-paa rashk-e-ru-e-lailaa hai in dinon ai masih-e-dam tujh par dam nikaltaa hai dam nikaltaa hai taulun us sim-tan ko nazron mein ye miraa jism-e-zaar kaanTaa hai husn-e-khubaan hilaal-o-badr ki tarah kabhi kam hai kabhi ziyaada hai us bayaabaan mein le gai vahshat maah-e-nau jis kaa ek kaanTaa hai dil mein rahtaa hai us kamar kaa khayaal kyaa ye anqaa kaa aashiyaanaa hai aao aankhon mein ek dam Thahro putliyon kaa yahaan tamaashaa hai kaf-e-paa bhi na ham ko dikhlaae barhaman haath dekh jaataa hai yaar naam-e-khudaa hai kashti mein naakhudaa aaj paar beDaa hai teraa naqsh-e-qadam zamin pe nahin aasmaan par koi sitaaraa hai ham se tum dushmani lage karne dosti ab nasib-e-aadaa hai kah rahe hain shab-e-firaaq mein ham aaj kis ko umid-e-fardaa hai khaar chubh kar jo TuTtaa hai kabhi aabla phuuT phuuT rotaa hai aankhein nargis hain rukh hai gul qad sarv tu to ai gul chaman saraapaa hai kaam poshaak se nahin ham ko aib-poshi hamaaraa sheva hai de sulaimaan ki us pari ko qasam is tarah shishe mein utaaraa hai zulf ne naqd-e-dil kiye hain jama ab to ye saanp koDyaalaa hai pahunche hain gor ke kinaare ham ham se ab tak tumhein kinaaraa hai jurm 'goyaa' ke bakhshvaa denaa yaa-mohammad faqir teraa hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"tum vafaa kaa evaz jafaa samjhe ai buto tum se bas khudaa samjhe paan khaa kar jo aae maqtal mein kyaa shahidon kaa khun-bahaa samjhe sar qalam karne kaa thaa khat mein jo haal us kaa mazmun ham judaa samjhe kab vo talvon se aankhein malne de jo ki mizhgaan ko khaar-e-paa samjhe ho gayaa jab qalam hamaaraa sar apni qismat kaa tab likhaa samjhe dauDe kyaa ho ke khush su-e-maqtal us ke ham ghar kaa raasta samjhe kisi surat se ham ko aane de kaash darvaaze kaa gadaa samjhe yaad-e-dandaan mein jo bahaa aansu us ko ham durr-e-be-bahaa samjhe chaandni par vo phir rakhe na qadam ham faqiron kaa boriyaa samjhe teri abru ko jo hilaal kahaa maah-e-nau se bhi kuchh sivaa samjhe marun to vo javaab-e-naama likhe khat na aane kaa muddaaa samjhe haath uThaa kar lagaa jo kosne vo vaah re ham use duaa samjhe jo hai begaana aashnaa hai vo ham jo kahte hain koi kyaa samjhe ham ko nazron se pisti hain aap chashm-e-bad duur tutiyaa samjhe jab se us kuche mein qadam rakkhaa kimiyaa ko bhi khaak-e-paa samjhe tujh ko o naujavaan kahaa be-misl aaj maani-e-laa-fataa samjhe ham ne jab dekhi chaandni chhiTki teri utri hui qabaa samjhe kaasa-e-maah jab se dekh liyaa tab se gardun ko ham gadaa samjhe apne fahmid puchh mat 'goyaa' kuchh na samjhe ye baarhaa samjhe"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"ulfat ye chhupaaein ham kisi ki dil se bhi kahein na apni ji ki jaane vo kyaa kisi ki ji ki jis ko ulfat na ho kisi ki khvaahish na bar aai apni ji ki ham ne kis kis ki dosti ki achchhi nahin sharh aashiqi ki puchho na aji kisi ki ji ki ye roe ki naama bah ke pahunchaa ashkon ne hamaare qaasidi ki surkhi magar us ke lab ki dekhi rangat hai safed aarsi ki aashiq the vo ham ki baad apne miTTi hi kharaab aashiqi ki ai abr-e-shab-e-firaaq sach kah rote kaTti hai shab kisi ki dil zulf-e-rasaa talak to pahunchaa itni bakhton ne rahbari ki bijli chamki to abr royaa yaad aa gai kyaa hansi kisi ki ham kisi ki gali ki raah bhule jo khizr ne bhi na rahbari ki dil ko mire khaak mein milaayaa dilbar ne khuub dilbari ki sozish mire dil ki dekh ai maah kar sair is burj-e-aatishi ki vo tifl-e-nusairi aae shaayad qasmein duun murtazaa-ali ki gardan-zadani thi shama-e-sarkash kyuun us ki gali se ham-sari ki bas rakh diyaa khat mein barg-e-sausan jab likh na sake sifat misi ki Thukraa ke chali jabin ko mere qismat ke likhe ne yaavari ki ye rashk hai munh jo yaar dekhe surat dekhun na aarsi ki bhulaa thaa main raah-e-ku-e-qaatil tu ne ai maut rahbari ki us ke gardan talak na pahunchaa ai dast-e-daraaz kotahi ki dil ko paalaa baghal mein tu ne goyaa dushman se dosti ki"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"ye ik teraa jalva sanam chaar su hai nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai ye kis mast ke aane ki aarzu hai ki dast-e-duaa aaj dast-e-subu hai na hogaa koi mujh saa mahv-e-tasavvur jise dekhtaa huun samajhtaa huun tu hai mukaddar na ho yaar to saaf kah duun na kyunkar ho khud-bin ki aaina-ru hai kabhi rukh ki baatein kabhi gesuon ki sahar se yahi shaam tak guftugu hai kisi gul ke kuche se guzri hai shaayad sabaa aaj jo tujh mein phulon ki bu hai nahin chaak-daaman koi mujh saa 'goyaa' na bakhiya ki khvaahish na fikr-e-rafu hai"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad
Quote
"haath se kuchh na tire ai mah-e-kanaan hogaa haath jo hogaa to meri maut kaa saamaan hogaa saaqiyaa hijr mein mai-khaana bayaabaan hogaa daur-e-saaghar bhi ram-e-chashm-e-ghazaalaan hogaa ai junun phir mujhe khush aane lagi 'uryaani ab na daaman hi rahegaa na garebaan hogaa phir chaleinge tiraa qad dekh ke gulzaaron mein phir har ik sarv-o-saman sarv-e-charaaghaan hogaa ghar mein dil phir miraa ghabraane lagaa aap se aap ai junun phir ye makaan khaana-e-zindaan hogaa phir khush aati hai mire dil ko shab-e-maah ki sair 'ishq phir chaand se mukhDe kaa do-chandaan hogaa in dinon phir tujhe 'goyaa' jo hai chupki si lagi phir iraada taraf-e-mulk-e-khamoshaan hogaa"
Goya Faqir MohammadGoya Faqir Mohammad