SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIndira Varma(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tire khayaal kaa charchaa tire khayaal ki baat shab-e-firaaq mein paiham rahi visaal ki baat tum apni chaaragari ko na phir karo rusvaa hamaare haal pe chhoDo hamaare haal ki baat kamaan si abru kaa aalam ajiib hai dekho falak ke chaand se behtar hai us hilaal ki baat yahi fasaana rahaa hai junun ke sahraa mein kabhi firaaq ke qisse kabhi visaal ki baat bahaar aai to khul kar kahaa hai phulon ne ye kis ne chheD di gulshan mein phir jamaal ki baat tu apne aap mein tanhaa hai meri nazron mein kahaan se DhunD ke laaun tire misaal ki baat binaa talab ke ataa kar rahaa hai vo mujh ko labon pe mere na aae kabhi savaal ki baat"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"kabhi muD ke phir isi raah par na to aae tum na to aae ham kabhi faaslon ko sameT kar na to aae tum na to aae ham jo tumhein hai apni anaa pasand to mujh bhi shart kaa paas hai ye zidon ke silsile toD kar na to aae tum na to aae ham unhin chaahaton mein bandhe hue abhi tum bhi ho abhi ham bhi hain hai kashish dilon mein bahut magar na to aae tum na to aae ham shab-e-vasl bhi shab-e-hijr hai shab-e-hijr ab to hai mustaqil yahi sochne mein hui sahar na to aae tum na to aae ham vo jharoke pardon mein band hain vo tamaam galiyaan udaas hain kabhi khvaab mein sar-e-rahguzar na to aae tum na to aae ham usi shahr ki usi raah par the hamaare ghar bhi qarib-tar yunhi ghumte rahe 'umr bhar na to aae tum na to aae ham kabhi ittifaaq se mil gae kisi shahr ke kisi moD par to ye kah uThegi nazar nazar kyuun na aae tum kyuun na aae ham"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"dil ke bechain jaziron mein utar jaaegaa dard aahon ke muqaddar kaa pata laaegaa mere bichhDe hue lamhaat sajaa kar rakhnaa vaqt lafzon mein ghazal ban ke Thahar jaaegaa us ki har baat jafaa-pesha hui hai aksar zakhm kaa khauf kabhi us ko bhi dahlaaegaa vaqt khaamosh hai TuuTe hue rishton ki tarah vo bhalaa kaise mire dil ki khabar paaegaa shaam-e-gham aaj bhi guzri hai hasin khvaabon mein gham-e-jaanaan to mohabbat mein sitam Dhaaegaa dil miraa aaj jafaaon pe bahut naazaan hai mere honTon pe tabassum hi nazar aaegaa us ke mizraab se jab raag baneinge dipak megh chupke se mire dil pe baras jaaegaa"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"mujhe rang de na surur de mire dil mein khud ko utaar de mire lafz saare mahak uThein mujhe aisi koi bahaar de mujhe dhuup mein tu qarib kar mujhe saaya apnaa nasib kar miri nikhaton ko uruuj de mujhe phuul jaisaa vaqaar de miri bikhri haalat-e-zaar hai na to chain hai na qaraar hai mujhe lams apnaa navaaz ke mire jism o jaan ko nikhaar de tiri raah kitni tavil hai miri ziist kitni qalil hai miraa vaqt teraa asiir hai mujhe lamha lamha sanvaar de mire dil ki duniyaa udaas hai na to hosh hai na havaas hai mire dil mein aa ke Thahar kabhi mire saath umr guzaar de miri niind munis-e-khvaab kar miri rat-jagon kaa hisaab kar mire naam fasl-e-gulaab kar kabhi aisaa mujh ko bhi pyaar de shab-e-gham andheri hai kis qadar karun kaise subh kaa main safar mire chaand aa miri le khabar mujhe raushni kaa hisaar de"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"vo ajiib shakhs thaa bhiiD mein jo nazar mein aise utar gayaa jise dekh kar mire honT par miraa apnaa sher Thahar gayaa kai sher us ki nigaah se mire rukh pe aa ke ghazal bane vo niraalaa tarz-e-payaam thaa jo sukhan ki had se guzar gayaa vo har ek lafz mein chaand thaa vo har ek harf mein nuur thaa vo chamakte misron kaa aks thaa jo ghazal mein khud hi sanvar gayaa jo likhun to nok-e-qalam pe vo jo paDhun to nok-e-zabaan pe vo miraa zauq bhi miraa shauq bhi mire saath saath nikhar gayaa ho taDap to dil mein ghazal bane ho milan to giit huun pyaar ke haan ajiib shakhs thaa 'indiraa' jo sikhaa ke aise hunar gayaa"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"mohabbat mein aayaa hai tanhaa abhi rang badalne lagi hai magar zindagi rang bahaaron ke aanchal mein khush-bu chhupi hai gulon ki qabaa mein bhare hain sabhi rang tumhaare binaa sab adhure hain jaanaan sabaa phuul khush-bu chaman raushni rang jo bhule se bachpan mein pakDi thi titli surur-e-vafaa mein bhi utraa vahi rang na jaane kahaan se barasti hai baarish sajaati hai tere agar dilbari rang mile 'indiraa' meraa paighaam un ko liye hai mukammal miri shaairi rang"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"shafaq ke rang nikalne ke baad aai hai ye shaam dhuup mein chalne ke baad aai hai ye raushni tire kamre mein khud nahin aai shama kaa jism pighalne ke baad aai hai isi tarah se rakho band meri aankhein ab ki niind khvaab badalne ke baad aai hai yaqin hai ki kabhi be-asar nahin hogi duaa labon pe machalne ke baad aai hai nadi jo pyaar se bahti hai regzaaron mein ye pattharon mein uchhalne ke baad aai hai thi jis bahaar ki uljhan tamaam muddat se vo 'indiraa' ke bahalne ke baad aai hai"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"aaj phir chaand us ne maangaa hai chaand kaa daagh phir chhupaanaa hai chaand kaa husn to hai laa-saani phir bhi kitnaa falak pe tanhaa hai kaash kuchh aur maangtaa mujh se chaand khud gardishon kaa maaraa hai duur hai chaand is zamin se bahut phir bhi har shab tavaaf kartaa hai bastiyon se nikal ke sahraa mein justuju kis ki roz kartaa hai kis khataa ki sazaa mili us ko kis liye roz ghaTtaa baDhtaa hai chaand se ye zamin nahin tanhaa ai falak tu bhi jagmagaayaa hai aaj taaron ki bazm chamki hai chaand par baadalon kaa saayaa hai raushni phuuT nikli misron se chaand ko jab ghazal mein sochaa hai"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"ye mausam surmai hai aur main huun magar bas khaamushi hai aur main huun na jaane kab vo badle rukh idhar ko musalsal be-rukhi hai aur main huun taghaaful par taghaaful ho rahe hain kisi ki dil-lagi hai aur main huun tasavvur hi sahaaraa ban gayaa hai ajab tanhaai si hai aur main huun ye kaisi vaqt ne badli hai karvaT fareb-e-zindagi hai aur main huun labon pe naam chehra hai nazar mein baDi naazuk ghaDi hai aur main huun udaasi 'indiraa' itni baDhi hai hamesha shaairi hai aur main huun"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"shikasta-dil andheri shab akelaa raahbar kyuun ho na ho jab ham-safar koi to apnaa bhi safar kyuun ho kisi ki yaad mein aansu kaa rishta is tarah rakkho ki dil pahlu agar badle to chehra tar-ba-tar kyuun ho mire hamdam mire dilbar zaraa itnaa bataa denaa koi bedard ho to dard dil mein is qadar kyuun ho kabhi bhule se jo paighaam un kaa aayaa bhi ik din judaai ki taDap mein roz aisaa hi asar kyuun ho nashsha aankhon mein le kar so raho ai jaagne vaalo agar ye aankh khul jaae to khvaabon kaa guzar kyuun ho pareshaan raat mein dil hai charaagh-e-aas ki maanind shab-e-vaada na aae vo to raushan si sahar kyuun ho musalsal raat din chalnaa hai raah-e-ishq mein tanhaa kisi ke vaaste ye raah aakhir mukhtasar kyuun ho mohabbat mein sunaa hai raah dil ki dil se hoti hai agar yuun 'indiraa' taDpe to jaanaan be-khabar kyuun ho"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"kaash vo pahli mohabbat ke zamaane aate chaand se log miraa chaand sajaane aate raqs karti hui phir baad-e-bahaaraan aati phuul le kar vo mujhe khud hi bulaane aate un ki tahrir mein alfaaz vahi sab hote yuun bhi hotaa ki kabhi khat bhi puraane aate un ke haathon mein kabhi pyaar kaa parcham hotaa mere ruThe hue jazbaat manaane aate baarishon mein vo dhanak aisi nikalti ab ke jis se mausam mein vahi rang suhaane aate vo bahaaron kaa samaan aur vo gul-posh chaman aise maahaul mein vo dil hi dukhaane aate har taraf dekh rahe hain mire ham-umr khayaal raah takti hui aankhon ko sulaane aate"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"yuun vafaa ke saare nibhaao gham ki fareb mein bhi yaqin ho koi baat aisi kaho sanam ki fareb mein bhi yaqin ho ye dayaar-e-shisha-farosh hai yahaan aainon ki bisaat kyaa yahaan is tarah se rakho qadam ki fareb mein bhi yaqin ho miri chaahaton mein ghurur ho dil-e-naa-tavaan mein surur ho tumhein ab ke khaanaa hai vo qasam ki fareb mein bhi yaqin ho yahi baat kah do pukaar ke vahi silsile rahein pyaar ke isi naaz mein rahe phir bharam ki fareb mein bhi yaqin ho mire 'ishq kaa ye me'yaar ho ki visaal bhi na shumaar ho isi e'tibaar pe ho karam ki fareb mein bhi yaqin ho mire intizaar ko kyaa khabar tumhein ikhtiyaar hai is qadar mujhe do saliqa ye kam se kam ki fareb mein bhi yaqin ho jahaan zikr-e-mehr-o-vafaa mile vahin 'indiraa' kaa qalam chale ye kitaab-e-'ishq mein ho raqam ki fareb mein bhi yaqin ho"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"abhi se kaise kahun tum ko bevafaa saahab abhi to apne safar ki hai ibtidaa saahab na jaane kitne laqab de rahaa hai dil tum ko huzur jaan-e-vafaa aur ham-navaa saahab tumhaari yaad mein taare shumaar karti huun na jaane khatm kahaan ho ye silsila saahab kitaab-e-zist kaa unvaan ban gae ho tum hamaare pyaar ki dekho ye intihaa saahab tumhaaraa chehra mire aks se ubhartaa hai na jaane kaun badaltaa hai aaina saahab rah-e-vafaa mein zaraa ehtiyaat laazim hai har ek gaam pe hotaa hai haadsa saahab siyaah raat hai mahtaab ban ke aa jaao ye 'indiraa' ke labon par hai iltijaa saahab"
Indira VarmaIndira Varma