SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"raat din gardish mein hain lekin paDaa rahtaa huun main kaam kyaa meraa yahaan hai sochtaa rahtaa huun main baahar andar ke jahaanon se milaa mujh ko faraagh tisri duniyaa ke chakkar kaaTtaa rahtaa huun main ek be-khaufi mujhe le aai saahil ke qarib aa ke ab nazdik saahil ke Daraa rahtaa huun main jaane kaisi raushni thi kar gai andhaa mujhe is bhayaanak tirgi mein bhi bujhaa rahtaa huun main kar diyaa kis ne miraa aaina-e-dil gard gard aks huun kis kaa havaa se puchhtaa rahtaa huun main ek jangal saa ugaa hai mere tan ke chaaron or aur apne man ke andar zard saa rahtaa huun main ek nuqte se ubharti hai ye saari kaaenaat ek nuqte par simaTtaa phailtaa rahtaa huun main raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl ik khalaa paDtaa hai jis mein ghumtaa rahtaa huun main saans ki lai par thirakti hai koi azli tarang rang-e-'saani' dekh kar hairat-zada rahtaa huun main"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"raasta jangal shajar darvesh hai yaa'ni mujh mein jalva-gar darvesh hai jism ik sahraa hai sahraa ke darun ek dariyaa chashm-e-tar darvesh hai khalq khaali sipiyaan hain dahr mein dahr mein koi guhar darvesh hai maavaraa maujud se dekhegaa kaun vo koi saahab-nazar darvesh hai jaane kis fursat mein phirtaa hai vo shakhs is tarah to dar-ba-dar darvesh hai us ko kis manzil ki baabat sochiye khaali-khaali ik safar darvesh hai ek sapnaa saare 'aalam par muhit ik haqiqat lamha-bhar darvesh hai"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"ye teraa khvaab mujhe ek khvaab kar ke rahegaa magar ye 'ishq mujhe kaamyaab kar ke rahegaa main khud ko kitnaa chhupaaun bachaaun us se bahar-haal vo meraa 'ishq miraa intikhaab kar ke rahegaa bikhar gayaa hai miri ruuh mein vo khaar ke maanind vo gul-badan mujhe shaayad gulaab kar ke rahegaa main laakh rok lagaaun hazaar baandh banaaun vo sail-e-hijr mujhe zer-e-aab kar ke rahegaa main apnaa bakht agar sone ke qalam se bhi likhvaaun vo meri zindagi phir bhi kharaab kar ke rahegaa"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"niind se khaali niind hui hai khvaab se khaali khvaab in aankhon ne dekh liye kin aankhon ke mahtaab dekhte-dekhte dil ki haalat kaisi badal gai kaise chehron mein tahlil hue hain surkh gulaab saahil ki miTTi ho kar bhi bujhi na apni pyaas dariyaa koi upaae ki jis se ham hovein sairaab manzar aur pas-manzar apni apni asl mein the tum hi apni aankhein kar ke baiThe rahe kharaab sukhaa huaa darakht vujud mein ek numud hi hai aise hi 'saani'-e-sahraa ko jaano shaadaab"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"pattiyaan apni giraa kar raat bhar royaa darakht shaam ki sar-sar havaa mein us ne jab khoyaa darakht raat bhar jaagaa kisi ki yaad mein girya kiyaa subh suraj sar pe aa pahunchaa to phir soyaa darakht khvaahishon ki dhuup ne jhulsaa diyaa saaraa badan main ne apni ruuh mein ik sabr kaa boyaa darakht jin ruton mein aag barsi thi usi mein ek roz main numu hotaa gayaa barsaat mein goyaa darakht us ki shaakhon par khushi ki phungiyaan aane ko hain raat bhar rahmat ne 'saani' is qadar dhoyaa darakht"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"zamin par qahr Dhaayaa jaa rahaa hai falak par ghar banaayaa jaa rahaa hai khudaa kaa naam le kar har taraf se khudaa kaa naam uThaayaa jaa rahaa hai mujhe sahraa se naddi ke safar tak kai qiston mein laayaa jaa rahaa hai faraavaani ko meri kyaa huaa ye mujhe kyon kam saa paayaa jaa rahaa hai nahin hai raqs mein dilchaspi us ko mujhe phir bhi nachaayaa jaa rahaa hai jo pahle bhuuk thi ab hai vo 'aadat so apnaa maans khaayaa jaa rahaa hai kahin jaane ki tayyaari hai 'saani' baDi jaldi nahaayaa jaa rahaa hai"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"ek ghar mein rahte hain dusre ki chaahat mein mashghala hai yaaron kaa aaj-kal mohabbat mein saans-saans marte hain us ko yaad karte hain kyaa kuchh aur hotaa hai saalik-o-riyaazat mein dekhiye to sab duniyaa mast-alast lagti hai jaaniye to har insaan mubtalaa hai dahshat mein shaam ke charaaghon se raushni ke baaghon se ham kahaan nikal aae ik udaas hairat mein zindagi ki arzaani marg ki faraavaani aadmi ki naadaani ruuh hai musibat mein kitne kaam karne hain imtihaan guzarne hain ji rahe ho tum 'saani' kis fareb-e-fursat mein"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"jahaan bhi jaataa huun main tujh ko saath rakhtaa huun baraabari kaa ye haq mujh ko bhi to haasil ho ye kaise ajnabi logon mein rahnaa paDtaa hai kahin hamaare liye bhi to koi mahfil ho main tirgi ke samundar mein Duub jaaungaa mire charaagh mire saamne na dhumil ho mujhe to maut bhi manzur mere dariyaa ki mire safar mein agar tu hi meraa saahil ho makaan-e-laa mein khule hain hazaar darvaaze makin soch rahaa hai kahaan se daakhil ho vo aaina tiraa barson se intizaar mein hai ai us ke 'aks use jaa ke mil muqaabil ho sivaae rizq nahin chaahiye badan ko kuchh magar ye bhuuk miri ruuh mein na shaamil ho"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"tire gumaan ko makaan kar ke main so rahaa thaa yuun dhuup mein saaebaan kar ke main so rahaa thaa main jaagriti ki 'ajab 'ajab manzilon se guzraa ki raat jab teraa dhyaan kar ke main so rahaa thaa zamin aur aasmaan ke jhagDon mein kaun paDtaa so khud ko ik darmiyaan kar ke main so rahaa thaa tiri sadaaon pe thaa mukammal yaqin mujh ko havaaon ko baadbaan kar ke main so rahaa thaa khushi ki jin manzilon se ab main guzar rahaa huun ye tai hai dukh kaa nidaan kar ke main so rahaa thaa niyaaz-mandi se jaagriti ko huaa main haasil khushi-khushi ji kaa daan kar ke main so rahaa thaa"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"kahaan aap ko bhi gavaara thaa main nahin jis ghaDi tak tumhaaraa thaa main fanaa ho gai mujh mein ik khaanqaah kabhi ek raushan idaara thaa main nahin ab kisi bhi zamin ko qubul kabhi teri aankhon kaa taara thaa main havaa ke nagar mein diye ki bisaat tire shahr mein be-sahaaraa thaa main bahaa kar mujhe le gai ik nadi jise zo'm thaa vo kinaara thaa main kisi lafz-e-kaamil ko pahunchaa nahin safar-dar-safar isti'aara thaa main miTe yuun miri zaat ke sab nishaan ki jaise koi abr-paara thaa main zamin-dar-zamin aur falak-dar-falak zaraa saa yuun hi kitnaa saaraa thaa main"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"koi mujh mein ye aksar puchhtaa hai mujhe aakhir kahaan rakkhaa huaa hai hai saaraa khel in aankhon ke ghar mein haqiqat mein jo baahar dikh rahaa hai khuli hai ek khiDki si badan mein vahin se ye nazaara ho rahaa hai barahna peD bhi poshaak mein hain tumhein dikhtaa nahin har su havaa hai rukaavaT raaste mein kuchh nahin hai yuun hi kuchh der manzar dekhnaa hai na hi dariyaa samundar aabju se hamein to apne jal se vaasta hai isi Thahraav mein ye chal chalaao agar dekho to rasta mil gayaa hai ham apni hijraton mein mar rahe hain vo apni qaid mein kaise jiyaa hai ye duniyaa hai ise paanaa nahin hai ise bas dekhnaa hai dekhnaa hai kisi 'aadil kisi ‘masto’ ke dil mein chale aao yahi qaabil jagah hai"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"jaagte mein raat bhar vo jalva-e-mahtaab dekho aankh lag jaae to phir us maah-ru kaa khvaab dekho jaan jaao asl ki maujudgi kaa bhed saaraa dhyaan se bahti hui gangaa kaa Thahraa aab dekho dekh lo tum hi to ho maujud kaise baahar andar dil ko dariyaa kar ke khud ko is mein kar gharqaab dekho mat Daro 'ghaalib' ki niyyat hi mein koi chor hogaa meri maano paanv us simin-badan ke daab dekho jism ki lazzat nahin hai ruuh ki lazzat se khaali jism ko bhi dekhne ke hain magar aadaab dekho shaa'iri ujDe makaan kaa aaina hi to hai 'saani' is mein basne vaale logon ko kahaan shaadaab dekho"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"dekhun tujhe main jab bhi to pur-malaal dekhun tujh be-khayaal ko bhi mahv-e-khayaal dekhun aankhon se sochtaa huun aur chhu ke dekhtaa huun us khvaab-e-khvaab ko main kaisaa kamaal dekhun kohsaar se utarti nadiyon saa haal meraa ab kyaa 'uruj sochun aur kyaa zavaal dekhun aayaa hai yak-ba-yak ye kaisaa khayaal mujh ko vo bhi javaab dekhe gar main savaal dekhun rokun use main kyunkar jaae to jaa rahe vo vo hijr dekhtaa hai aur main visaal dekhun kis darja chaahte hain jaan mujh pe vaarte hain ye log jin ko 'saani' main ik vabaal dekhun"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"divaar-e-khvaab mein koi dar kar nahin sake ham log shab se aage safar kar nahin sake ik shaam ke chale hue pahunche miyaan-e-shab bhaTke kuchh is tarah ki sahar kar nahin sake shaayad abhi rihaai nahin chaahte the ham so us ko apni koi khabar kar nahin sake ham kaar-e-zindagi ki tarah kaar-e-'aashiqi karnaa to chaahte the magar kar nahin sake aankhon pe kis ke khvaab kaa parda paDaa rahaa ham chaah kar bhi khud pe nazar kar nahin sake tum se bhi pahle kitnon ne khaai yahaan shikast duniyaa ko fath tum bhi agar kar nahin sake"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"us ne izhaar kiyaa apni pareshaani kaa main ne shikva jo kiyaa be-sar-o-saamaani kaa apni miTTi pe yuun naazaan nahin honaa achchhaa zor dekhaa hai kahaan tum ne abhi paani kaa DhunDh kar dekh le vo paa na sakegaa khud ko zo'm kitnaa thaa use apni faraavaani kaa lijiye khud se mulaaqaat kaa ab lutf ki aap shukriya kijiye is dasht ki viraani kaa she'r kah kar dil-e-muztar ko qaraar aayaa to masala phir vahi darpesh hai hairaani kaa lafz-dar-lafz use DhunDhte 'umrein bitin ranj hotaa hai bahut aaj to be-dhyaani kaa use alfaaz mein baandhaa hi nahin jaa saktaa phir to bekaar huaa she'r har ik 'saani' kaa"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"mile hue hain ik muddat se khud ko kho kar dekhein bhi apne hi dil mein dubaara apni khvaahish bo kar dekhein bhi apne pairaahan ki saj-dhaj mein ham bhule gard ki maar andar andar utar gai hai mail use dho kar dekhein bhi apni sadaaqat ko manvaanaa bhi to jabr pe hai israar dusre ki sachchaai ke saamne jhuTaa ho kar dekhein bhi ye vahdat kis kaam ki jis mein donon ke naam-o-nishaan na rahein aao ham ik-dusre ko ab ek se do kar dekhein bhi rone vaalaa jaantaa hai kyaa hansnaa hai kyaa ronaa hai phir bhi kisi ke dukh mein 'saani' aankh bhigo kar dekhein bhi"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani