Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
subh ke bhule to aae shaam ko
dekhiye kab aaein bhule shaam ke
صبح کے بھولے تو آئے شام کو
دیکھیے کب آئیں بھولے شام کے
सुब्ह के भूले तो आए शाम को
देखिए कब आएँ भूले शाम के

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
raat ke lamhaat khuni daastaan likhte rahe
subh ke akhbaar mein haalaat behtar ho gae
har ek subh vazu karti hain miri aankhein
ki shaayad aaj to aa jaae vo habib nazar
ye raat yunhi basar ho gai to kyaa hogaa
tire baghair sahar ho gai to kyaa hogaa
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
kaash sotaa hi rahun main ki nahin chaahtaa dil
har sahar uTh ke rukh-e-gabr-o-musalmaan dekhun
aati hai yaad subh-e-masarrat ki baar baar
khurshid aate aate use kal uThaa to laa