Quote
"tum bhi the sar-e-daar sar-e-daar thaa main bhi tum dekh to lete ki numudaar thaa main bhi ye jism rukaavaT thaa mere ishq mein shaayad aur sach hai ki is jism se bezaar thaa main bhi mumkin hai ki betaab rahaa ho kabhi tu bhi yaadon ki aziyyat mein giraftaar thaa main bhi baazaar mein laayaa gayaa yusuf ki tarah main kuchh der sahi raunaq-e-baazaar thaa main bhi khud apne taaaqub mein nikal aayaa thaa ghar se khud apni adaavat mein giraftaar thaa main bhi chehron ki jagah sirf kharaashein hain numaayaan basti mein kabhi aaina-bardaar thaa main bhi ai gardish-e-dauraan ye taghayyur nahin achchhaa tu soch kabhi saahab-e-dastaar thaa main bhi khud bechne niklaa thaa safi' khud ko jahaan mein aur bhiiD mein khud apnaa kharidaar thaa main bhi"







