Quote
"main khud saaqi huun apnaa mere pahlu mein hai paimaana vo paimaana ki khud miinaa bhi hai aur khud hi mai-khaana agar sham-e-haqiqat ki ziyaa-baari nahin har-su takhayyul ko kahaan se aa gae aadaab-e-parvaana par-e-parvaaz bakhshe mujh ko mere ishq-o-masti ne haqiqat se jabhi dilchasp-tar hai meraa afsaana maqaam-e-haif-o-hairat hai ki us ko hi masal Daalaa numu sidra ki apne siine mein rakhtaa thaa jo daana vahi is bazm-e-hasti se surur-andoz hote hain nigaahein jin ki hon bebaak aur atvaar mardaana mujhe ahl-e-nazar ki aankh hi pahchaan sakti hai ki surat to hai rindaana magar sirat hakimaana 'amin' hai daad ke qaabil vasi'-ul-mashrabi meri ki farzaanon mein farzaana huun divaanon mein divaana"







