SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byArsh Siddiqui(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo jis ki daastaan phaili dil-e-divaana meraa thaa zabaanein dushmanon ki thiin magar afsaana meraa thaa taDaptaa huun ki ik saaghar kisi haatim se mil jaae zavaal-e-aasmaan dekho kabhi mai-khaana meraa thaa balaa ki khaamushi taari thi har-su teri haibat se sar-e-mahfil jo gunjaa naara-e-mastaana meraa thaa kaTe yuun to hazaaron sar vafaa ki karbalaaon mein tire neze pe jo ubhraa sar-e-shaahaana meraa thaa faqih-e-shahr ko samjho ki ham pakDe gae naahaq sharaabein sab usi ki thiin bas ik paimaana meraa thaa banaa hai 'arsh' vo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe huaa hai band jo mujh par vahi viraana meraa thaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"yuun na koi tiri mahfil mein pareshaan ho jaae jaise aavaaz-e-sabaa dasht mein hairaan ho jaae muntazir hain miri aahaT ki balaaein kitni ek mushkil to nahin hai ki jo aasaan ho jaae chaak-e-daaman hi zamaane se nahin hotaa rafu aur agar siina kabhi chaak-e-garebaan ho jaae pech-dar-pech hai yuun silsila-e-zulf-e-hayaat haath lagte hi jo kuchh aur bhi pechaan ho jaae daagh-e-dil jalne lage bujh gai har sham-e-tarab yuun hai to yuun hi sahi ghar mein charaaghaan ho jaae mujh pe qadghan hai ki main bazm mein khaamosh rahun aur khamoshi hi jo rusvaai kaa saamaan ho jaae nashtar-e-shauq ke haathon gul-e-sad-barg hai dil khuub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tufaan ho jaae kyuun na phir jalne lagein rashk se viraana-o-dasth shahr jab dil ki nigaahon mein bayaabaan ho jaae dil ko saudaa hai rahe rang-e-shafaq pesh-e-nazar gham ko ik taur to bahlaane kaa saamaan ho jaae raushni shaam ki sun paae na aavaaza-e-shab mohr-e-zartaab kaa aafaaq se paimaan ho jaae baat is aankh mein poshida hai vo 'arsh' ki jo lab se nikle to mire siine pe paikaan ho jaae"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"itni havaa na vaaiz-e-din-daar baandhiye izzat sanbaaliye sar-e-dastaar baandhiye gum kijiye havaas ko tafsir-e-hosh mein daanish ko jahl jahl ko pindaar baandhiye mahrum-e-hosh soiye par diije daad-e-hosh gul ko giyaah dasht ko gulzaar baandhiye bu chhiniye gulon se ki dete hain zauq-e-fan yuun khush-navaa tuyur ki chahkaar baandhiye ab juz havaa nahin hai girah mein hamaari khaak sau baar kholiye use sau baar baandhiye bhaDki hai aag 'arsh' khayaabaan-e-bazm mein hadd-e-jalaal-e-shoala-e-guftaar baandhiye"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masaa hai har lamha miri 'umr kaa zanjir-ba-paa hai main shahr ko kahtaa hon bayaabaan ki yahaan bhi saaya tiri divaar kaa kab sar pe paDaa hai hai vaqt ki kahtaa hai rukungaa na main ik pal tu hai ki abhi baat miri tol rahaa hai main bazm se khaakistar-e-dil le ke chalaa huun aur saamne tanhaai ke sahraa ki havaa hai aavaaz kaa tesha hai na khaamosh takallum taalaa jo zabaan par thaa vo ab dil pe paDaa hai main saath liye phirtaa huun saamaan-e-halaakat rag rag mein miri zahr-e-vafaa dauD rahaa hai kyaa kyaa hain tamannaaein dil-e-khaak-basar mein ye qaafila viraane mein kyuun Thahraa huaa hai"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"didani ab safar-e-zist kaa manzar hogaa jis ne luuTaa sar-e-baazaar vo rahbar hogaa haal-e-dil kah ke hue aur giraftaar-e-alam ham na kahte the ki yuun dard fuzun-tar hogaa jite-ji ham se kabhi harf-e-vafaa kah Daalo phir ye hogaa bhi jo ehsaan to kis par hogaa tu miri jurat-e-guftaar pe hairaan kyuun hai ye tamaashaa tiri sarkaar mein aksar hogaa un ki aankhon mein chamakte hue taare dekhe ab to naaseh bhi pashemaan baraabar hogaa ham bhi ab 'arsh' nayaa baab-e-vafaa kholeinge shahpar-e-shauq mah-o-mehr kaa ham-sar hogaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"phir usi shahr kaa fasaana chheD mutriba tarz-e-aashiqaana chheD saaz-e-dil se uThaa thaa jo ik baar phir vahi raag vaalihaana chheD ghar hai taarik yurish-e-gham se aaj ik aatishin taraana chheD phir jahaan dilkashi se hai mahrum zulf-e-hasti ko misl-e-shaana chheD bazm khauf-e-fanaa se hai be-dam kuchh ba-andaaz-e-jaavedaana chheD aaj har shai se bad-gumaan hain ham mat hamein ai gham-e-zamaana chheD ai gham-e-yaar ham hain khaakistar aur mat ai rafiq-e-khaana chheD 'arsh' thi har sukun ki jo rahzan us qayaamat kaa phir fasaana chheD"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"vo jo ab dil ki rahguzar mein nahin vaqt kahtaa hai main safar mein nahin meri divaangi bhi khatm hui tere jalve bhi ab nazar mein nahin kyaa gham-e-yaar kyaa khayaal-e-bahaar aaj saudaa bhi koi sar mein nahin ham saa kyaa hogaa koi be-saamaan haae naam-e-khudaa bhi ghar mein nahin vajh-e-rusvaai hai yahaan har baat aib mein kyaa hai jo hunar mein nahin main huun tere jamaal se sozaan apnaa kuchh taabish-e-qamar mein nahin ek divaar-e-tirgi ke sivaa koi manzar bhi 'arsh' dar mein nahin"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"aah baargah-e-husn mein jalvon kaa asar dekh had se na guzar zabt mein ai zabt-e-nazar dekh mat puchh ki kyaa guzri dil-shoala-sifat par is dast-e-hinaai mein miraa daaman-e-tar dekh tu us kaa tamannaai hai mat Dar dil-e-naadaan ummid nahin phir bhi vo kahtaa hai to mar dekh ye shahr hai yaa khema hai dushman kaa sipah kaa aavaaz ke zakhmon se lahu hai miraa sar dekh kyuun bahr-e-khamoshi mein hai tu misl-e-sadaa tang hasrat koi baaqi hai to ik baar ubhar dekh shaayad tire hisse mein ho moti kaa muqaddar ai qatra-e-jaan aaj samundar mein utar dekh kyuun paanv pasaare tu paDaa hai sar-e-raahe kyaa sakht safar hai zaraa saae se idhar dekh shaayad ho idhar 'arsh' koi chashma-e-haivaan ik baar tu hasti ke bayaabaan se guzar dekh"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"gulshan kaa sanaa-khvaan huun bayaabaan mein paDaa huun taair huun magar gosha-e-zindaan mein paDaa huun huun muntazir-e-qaafila-e-misr-e-tamannaa yusuf huun abhi chaah-e-bayaabaan mein paDaa huun miltaa nahin baazaar se pairaahan-e-yusuf yaaqub huun taariki-e-kanaan mein paDaa huun aankhon pe hai ik manzar-e-kam-dida kaa parda main kab se tiri yaad ke zindaan mein paDaa huun tu hai ki mujhe duur se kartaa hai ishaare main huun ki rah-e-husn-e-gurezaan mein paDaa huun maanaa ki nahin 'arsh' koi gosh-bar-aavaaz kyaa kam hai ki main kucha-e-jaanaan mein paDaa huun"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"darvaaza tire shahr kaa vaa chaahiye mujh ko jiinaa hai mujhe taaza havaa chaahiye mujh ko aazaar bhi the sab se ziyaada miri jaan par altaaf bhi auron se sivaa chaahiye mujh ko vo garm havaaein hain ki khulti nahin aankhein sahraa main huun baadal ki ridaa chaahiye mujh ko lab si ke mire tu ne diye faisle saare ik baar to bedard sunaa chaahiye mujh ko sab khatm hue chaah ke aur khabt ke qisse ab puchhne aae ho ki kyaa chaahiye mujh ko haan chhuTaa mire haath se iqraar kaa daaman haan jurm-e-zaifi ki sazaa chaahiye mujh ko mahbus hai gumbad mein kabutar miri jaan kaa uDne ko falak-bos fazaa chaahiye mujh ko samton ke tilismaat mein gum hai miri taaid qibla to hai ik qibla-numaa chaahiye mujh ko main pairvi-e-ahl-e-siyaasat nahin kartaa ik raasta in sab se judaa chaahiye mujh ko vo shor thaa mahfil mein ki chillaa uThaa 'vaaiz' ik jaam-e-mai-e-hosh-rubaa chaahiye mujh ko taqsir nahin 'arsh' koi saamne phir bhi jiitaa huun to jiine ki sazaa chaahiye mujh ko"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"sang-e-dar us kaa har ik dar pe lagaa miltaa hai dil ko aavaara-mizaaji kaa mazaa miltaa hai jo bhi gul hai vo kisi pairhan-e-gul par hai jo bhi kaanTaa hai kisi dil mein chubhaa miltaa hai shauq vo daam ki jo rukhsat-e-parvaaz na de dil vo taair ki use yuun bhi mazaa miltaa hai vo jo baiThe hain bane naaseh-e-mushfiq sar par koi puchhe to bhalaa aap ko kyaa miltaa hai ham ki maayus nahin hain unhein paa hi leinge log kahte hain ki DhunDe se khudaa miltaa hai daam-e-tazvir na ho shauq gulu-gir na ho mai-kada 'arsh' hamein aaj khulaa miltaa hai"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"manzil-e-marg mein jiine ki adaa rakhtaa huun yaani har haal mein andaaz judaa rakhtaa huun juz havaa koi nahin munis-o-gham-khvaar magar raat-bhar kamre kaa darvaaza khulaa rakhtaa huun apni fitrat ko sikhaataa huun ghulaami teri mauj-e-aazaad ko zanjir-ba-paa rakhtaa huun gum huun qatre ki tarah vaqt ke dariyaa mein magar apni hasti kaa tilismaat judaa rakhtaa huun zer-e-paa hain mire sahraaon ke jalte maidaan sar pe aalaam ke shoalon ki ridaa rakhtaa huun bahr-e-aazaar bhi hai hadd-e-nazar tak raqsaan jazba-e-shauq agar had se sivaa rakhtaa huun meri fariyaad pe kab baab-e-inaayaat khulaa haae kis munh se kahun main bhi khudaa rakhtaa huun gham na kar tu hai agar khu-e-kharaabi kaa asiir main bhi aalaam se paimaan-e-vafaa rakhtaa huun kyuun nahin aks-e-abad mein bhi samundar jaisaa naqsh-bar-aab huun khaaliq se gilaa rakhtaa huun 'arsh' main khud huun sadaa apne sukun kaa dushman dasht-e-ummid bhi bar-dosh-e-havaa rakhtaa huun"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"dil khuun hai dil kaa haal raqam ho to kis tarah dil se qalam kaa faasla kam ho to kis tarah dil hai kahin dimaagh kahin aur ham kahin shiraaza-e-hayaat baham ho to kis tarah kyuun kahein ki dard nahin haasil-e-hayaat pesh-e-nazar jo hai vo adam ho to kis tarah dil se zabaan zabaan se chhani taaqat-e-sukhan maail idhar mizaaj-e-sanam ho to kis tarah dilkash bahut hai tark-e-taalluq kaa mashvara khud par magar ye turfa-sitam ho to kis tarah main aur mere gard ye tanhaai-e-saqar ai dil ilaaj-e-soz-e-alam ho to kis tarah kyuun zid hai shahr-e-yaar ko ai 'arsh' is qadar ye sar ki vaqf-e-daar hai kham ho to kis tarah"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"hairaan huun ki ye kaun saa dastur-e-vafaa hai tu misl-e-rag-e-jaan hai to kyuun mujh se judaa hai tu ahl-e-nazar hai to nahin tujh ko khabar kyuun pahlu mein tire koi zamaane se khaDaa hai likkhaa hai miraa naam samundar pe havaa ne aur donon ki fitrat mein sukun hai na vafaa hai shikva nahin mujh ko ki huun mahrum-e-tamannaa gham hai to faqat itnaa ki tu dekh rahaa hai main shahr-o-bayaabaan mein tujhe DhunD chukaa huun be-dard to kis hujla-e-pinhaan mein chhupaa hai uThti hain jo pahlu se mire dard ki lahrein betaab samundar koi siine mein dabaa hai ai ziist ke dozakh se guzarte hue lamho sochaa hai kabhi tum ne ki jiinaa bhi sazaa hai ham rakhte hain daa'vaa ki hai qaabu hamein dil par tu saamne aa jaae to ye baat judaa hai khush-bakht to vo hai jise tu apnaa samajh le kahne ke liye yuun to hamaaraa bhi khudaa hai main dozakh-e-jaan mein bhi rahaa mahv-e-tag-o-taaz yuun kahne ko is 'umr kaa har lamha nayaa hai har mauj-e-havaa tez fazaa taa-ba-ufuq tang dil zarra-e-sahraa hai bagulon mein ghiraa hai ai dasht-e-tamannaa mein bhaTakte hue aahu tu kaun hai kis vaqt ki rah dekh rahaa hai kyuun jaage hue shahr mein tanhaa hai har ik shakhs ye raushni kaisi hai ki saaya bhi judaa hai kis dast-e-hinaa-basta kaa zevar hai vo khanjar gham ban ke jo har shakhs ke siine mein gaDaa hai Thahraae use 'arsh' koi kaise jafaa-kash jo mujh se alag rah ke bhi hamraah chalaa hai"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"ham had-e-indimaal se bhi gae ab fareb-e-khayaal se bhi gae dil pe taalaa zabaan par pahraa yaani ab arz-e-haal se bhi gae jaam-e-jam ki talaash le Duubi apne jaam-e-sifaal se bhi gae khauf-e-kam-maaegi buraa ho tiraa aarzu-e-visaal se bhi gae shorish-e-zindagi tamaam hui gardish-e-maah-o-saal se bhi gae yuun miTe ham ki ab zavaal nahin shauq-e-auj-e-kamaal se bhi gae ham ne chaahaa thaa teri chaal chalein haae ham apni chaal se bhi gae husn-e-fardaa khayaal-o-khvaab rahaa aur maazi o haal se bhi gae ham tahi-dast vaqf-e-gham hain vahi tang-naa-e-savaal se bhi gae sajda bhi 'arsh' un ko kar dekhaa is rah-e-paaemaal se bhi gae"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"aakhir ham ne taur puraanaa chhoD diyaa us ki gali mein aanaa-jaanaa chhoD diyaa manzar bhi sab baanjh ruton mein Duub gae aankhon par bhi pahra biThaanaa chhoD diyaa khatm hui shorida-sari lab sil se gae mahfil mahfil hansnaa-hansaanaa chhoD diyaa nazron par khiDki ke paT divaar kiye darvaazon mein us kaa sajaanaa chhoD diyaa jab se huaa ehsaas diyaa hone kaa hamein tez havaa ke saamne jaanaa chhoD diyaa Dar thaa kahin kuchh apne liye bhi maang na lein ham ne duaa ko haath uThaanaa chhoD diyaa 'arsh' huaa ik lafz jo minhaa yaadon se ham ne ghar ko qufl lagaanaa chhoD diyaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"band aankhon se na husn-e-shab kaa andaaza lagaa mahmil-e-dil se nikal sar ko havaa taaza lagaa dekh rah jaae na tu khvaahish ke gumbad mein asiir ghar banaataa hai to sab se pahle darvaaza lagaa haan samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch Dubne se pahle gahraai kaa andaaza lagaa har taraf se aaegaa teri sadaaon kaa javaab chup ke changul se nikal aur ek aavaaza lagaa sar uThaa kar chalne ki ab yaad bhi baaqi nahin mere jhukne se meri zillat kaa andaaza lagaa lafz maani se gurezaan hain to un mein rang bhar chehra hai be-nur to us par koi ghaaza lagaa aaj phir vo aate aate rah gayaa aur aaj phir sar-ba-sar bikhraa huaa hasti kaa shiraaza lagaa rahm khaa kar 'arsh' us ne is taraf dekhaa magar ye bhi dil de baiThne kaa mujh ko khamyaaza lagaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"kyaa saath tiraa duun ki main ik mauj-e-havaa huun bas ek nafas arz-e-tamannaa ko rukaa huun rahtaa huun bagulon ki tarah raqs mein be-taab ai ham-nafaso main dil-e-sahraa se uThaa huun qatra huun main dariyaa mein mujhe kuchh nahin maalum ham-raah mire kaun hai main kis se judaa huun ik lamha Thahar mujh ko bhi ham-raah liye chal ai laila-e-hasti tiraa naqsh-e-kaf-e-paa huun ai zabt-e-nazar de mire imaan ki gavaahi tu hi to samajhtaa hai ki main kaun huun kyaa huun chaahe bhi to vo mujh se judaa ho nahin saktaa vo hai miri zanjir to main us ki sadaa huun main arsh-nashin bhi huun tire ghar kaa makin bhi main nikhat-e-imaan huun main bu-e-vafaa huun"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"uThaa jo dast-e-sitam qatl-e-be-navaa ke liye nigaah-e-shauq ne bose har ik adaa ke liye mahak hai tere shabistaan ki bu-e-zulf-e-sabaa chali hai baad-e-sabaa ik shikasta-paa ke liye suno ki dil ko mire eatibaar-e-zist nahin rukaa huun ek nafas arz-e-muddaaa ke liye mire khayaal ne pahnaa libaas-e-harf-o-nidaa sarir-e-khaama hai raqsaan miri navaa ke liye dayaar-e-dil to huaa vaqf-e-aahuvaan-e-javaan ab aur koi banaaeinge ghar khudaa ke liye mire khayaal ko qaid-e-makaan qubul nahin hudud-e-bahr-o-bayaabaan nahin havaa ke liye rahi nazar mein hamaare urus-e-shauq-e-mudaam fanaa-e-zist rahe ziist ki baqaa ke liye kise bataaein ki ham ne pilaa ke khun-e-jigar chaman mein phuul khilaae tiri qabaa ke liye khayaal-o-rang-o-nuqush-o-huruf-o-lauh-o-qalam bichhe hain daam jamaal-e-gurez-paa ke liye"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"dard ko ham zindagi kaa kaif-o-kam kahte rahe khaamushi ke saaz par rudaad-e-gham kahte rahe gosh-bar-aavaaz puuri bazm mein koi na thaa daastaan-e-aarzu kahne ko ham kahte rahe intihaa-e-yaas mein chalte rahe be-muddaaa dekhne vaale hamein saabit-qadam kahte rahe dil fareb-e-zindagi mein be-tarah uljhaa rahaa ishq ko aazaad patthar ko sanam kahte rahe kam-savaadon ko masihaa naa-khudaaon ko khudaa buud ko naabud hasti ko adam kahte rahe apne khuun se daastaan-e-gham raqam karte rahe lauh-e-dil ko nok-e-khanjar ko qalam kahte rahe aarzu ke kitne but-khaane the is dil mein nihaan 'arsh' jis dil ko sabhi taaq-e-haram kahte rahe"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"khuli fazaa kaa ubhartaa nahin samaan ghar mein nahin banaate parinde ab aashiyaan ghar mein jo chal rahi thiin to dahkaa kiye dar-o-divaar rukin havaaein to bharne lagaa dhuaan ghar mein saje hain farsh lahu se to dar azaabon se ugi hain sakht zaminon ki khetiyaan ghar mein sukun ki shakl ho paidaa koi to kaise ho yaqin hai sarhad-e-jaan se pare gumaan ghar mein ajiib taur se badle hain mausamon ne chalan bahaar dasht mein rahti hai aur khizaan ghar mein ulaT gae hain qaraabat ke zaabte saare sabaaein qabr pe chalti hain aandhiyaan ghar mein use hi maan liyaa ham ne bakht kaa maavaa bajaa rahaa thaa jo aaseb siTiyaan ghar mein nahin vo aankh ki ham dushmanon ko pahchaanein dabaae baiThe hain apnon ki haDDiyaan ghar mein ibaadaton ne bhi DhunDe hain ab nae maskan namaaz hone lagi dasht mein azaan ghar mein uThaa ke sar kabhi nikle to ye na yaad rahaa ki chhoD aae hain aabaa ki pagDiyaan ghar mein milaa hai baaz adaalat kaa dar pe kyaa kiije paDi hai khauf se sahmi hui zabaan ghar mein subut-e-be-gahni rah gayaa khayaalon mein rakhaa safaai kaa yaaron ne har bayaan ghar mein hai 'arsh' aaj to fitrat bhi ham-rakaab-e-qazaa ghaTaaein auj-e-falak par hain bijliyaan ghar mein"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"zanjir se uThti hai sadaa sahmi hui si jaari hai abhi gardish-e-paa sahmi hui si dil TuuT to jaataa hai pe girya nahin kartaa kyaa Dar hai ki rahti hai vafaa sahmi hui si uTh jaae nazar bhuul ke gar jaanib-e-aflaak honTon se nikalti hai duaa sahmi hui si haan hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne namnaak nigaahon mein hayaa sahmi hui si taqsir koi ho to sazaa umr kaa ronaa miT jaaein vafaa mein to jazaa sahmi hui si haan ham ne bhi paayaa hai sila apne hunar kaa lafzon ke lifaafon mein baqaa sahmi hui si har luqme pe khaTkaa hai kahin ye bhi na chhin jaae mede mein utarti hai ghizaa sahmi hui si uThti to hai sau baar pe mujh tak nahin aati is shahr mein chalti hai havaa sahmi hui si hai 'arsh' vahaan aaj muhit ek khamoshi jis raah se guzri thi qazaa sahmi hui si"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"raushni ban ke sitaaron mein ravaan rahte hain jism-e-aflaak mein ham surat-e-jaan rahte hain hain dil-e-dahr mein ham surat-e-ummid-e-nihaan misl-e-imaan rukh-e-hasti pe ayaan rahte hain jo na DhunDo to hamaaraa koi maskan hi nahin aur dekho to qarib-e-rag-e-jaan rahte hain har-nafas karte hain ik-tarfa tamaashaa paidaa ham sar-e-daar bhi tazin jahaan rahte hain aur bhi ahl-e-nazar hain kabhi dekho to sahi ham bhi is shahr mein ai kam-nazraan rahte hain dil ki dhaDkan se milaa un kaa pata kuchh ham ko kis ko maa'lum thaa varna vo kahaan rahte hain vusat-e-dasht nahin raas chaman-zaadon ko ham tire shahr ki jaanib nigaraan rahte hain ashk girte hain to kuchh dil ko sakun miltaa hai haae vo log jo mahrum-e-fughaan rahte hain zindagi-bhar kaa hai ahbaab se is dasht mein saath misl-e-jaan rahte hain ham 'arsh' jahaan rahte hain"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui