Quote
"izhaar-e-sadaaqat mein asar kyon nahin hotaa ab meri taraf un kaa guzar kyon nahin hotaa khushbu kaa ye bikhraav bhi tauhin-e-chaman hai ehsaas tujhe baad-e-sahar kyon nahin hotaa kyon fikr se mahrum hain is daur ki naslein pahlaa saa zabaanon mein asar kyon nahin hotaa jo baat idhar hai vo udhar kyon nahin jaati jo karb idhar hai vo udhar kyon nahin hotaa is shahr-e-zabun-haal mein takhrib kaa ehsaas honaa to zaruri hai magar kyon nahin hotaa fankaar isi kashmakash-e-vaqt mein gum hain baazaar kharidaar-e-hunar kyon nahin hotaa allaah ko karte hain musibat mein sabhi yaad ye vird magar shaam-o-sahar kyon nahin hotaa khud-bin hain sabhi aur ye bataane se hain maa’zur aaine se nuqsaan-e-nazar kyon nahin hotaa peshaani-e-kohsaar pe suraj kaa hai milaad vaadi mein magar shor-e-sahar kyon nahin hotaa ho jis ke payambar kaa guzar ‘arsh-e-barin par ummat kaa sitaaron mein safar kyon nahin hotaa hairaan huun ki 'iqbaal' ki taa'lim kaa 'daanish' is shahr ke logon pe asar kyon nahin hotaa"







