Quote
"istaada hai jab saamne divaar kahun kyaa haasil bhi nahin rauzan-e-darkaar kahun kyaa lagtaa to hai kuchh diid ko naa-did ke pichhe khultaa nahin manzar koi us paar kahun kyaa huun tang zaraa jeb se ai hasrat-e-ashyaa shaamil to hai fahrist mein baazaar kahun kyaa jis baat ke inkaar kaa had-darja gumaan hai vo baat yaqin ke liye sau baar kahun kyaa main un ke javaabaat se aur ahl-e-zamaana hain mere savaalaat se bezaar kahun kyaa jis baat pe thi bahs hui bahs se khaarij ab rah gai aapas mein hai takraar kahun kyaa ham-saae ki ham-saae se pahchaan nahin hai paivast hai divaar mein divaar kahun kyaa ghaafil nahin aisaa bhi main ab apni rasad se is dil mein talab kaa hai jo ambaar kahun kyaa gulzaar saa khil uThtaa hai khushbu-e-sukhan se jaadu hai vo is kaa dam-e-guftaar kahun kyaa hai rang badan kaa lughat-e-rang mein naapaid laa-saani hai qaamat mein qad-e-yaar kahun kyaa"







