SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHajir Dehlwi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aap kaa intizaar rahtaa hai dil bahut be-qaraar rahtaa hai ye sifat hai sharaab-e-ulfat mein zindagi bhar khumaar rahtaa hai kuchh khabar bhi hai tere kuche mein koi ummid-vaar rahtaa hai aap ke dar pe raat din haazir aap kaa jaan-nisaar rahtaa hai haal-e-dil ishq mein nahin chhuptaa shakl se aashkaar rahtaa hai dil miraa kyon na rashk-e-jannat ho is mein koi nigaar rahtaa hai zindagi se to bhar gayaa hai dil maut kaa intizaar rahtaa hai chaar hoti hain un se jab nazrein dil pe kab ikhtiyaar rahtaa hai jis ko paas-e-zabaan nahin hotaa sab ki nazron mein khaar rahtaa hai dil kahaan pheink duun kise de duun ye bahut be-qaraar rahtaa hai yaad hai vo nigaah-e-mast ab tak be-piye hi khumaar rahtaa hai phir kisi ke firaaq mein 'haajir' raat din ashk-baar rahtaa hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"vaaqif nahin hai koi hasinon ki chaal se dil kaa shikaar karte hain zulfon ke jaal se naaseh khudaa ke vaaste zikr-e-sanam na kar hotaa hai ranj aur kisi ke khayaal se aaegaa baaz tu na 'adu se mile baghair zaahir ye ho rahaa hai tiri chaal-Dhaal se us ke liye jahaan mein lutf-e-hayaat kyaa maayus ho gayaa ho jo tere visaal se ab raaz ham se khinchne kaa maa'lum ho gayaa karte ho khush 'adu ko hamaare malaal se ye bhi hai ik saliqa-e-inkaar dekhnaa chin-bar-jabin vo hote hain mere savaal se achchhaa ye 'ishq achchhi ye dil-bastagi hui aaya huun tang roz ke ranj-o-malaal se yuun to bashar ke vaaste iksir hai sharaab piinaa hai is kaa shart magar e'tidaal se dil mein agar vo khush hon to hairat kaa hai maqaam zaahir mein jo khafaa hain miri ‘arz-e-haal se kyaa kyaa guzar chuki hai mire dil pe hijr mein vaaqif nahin hain aap abhi mere haal se 'haajir' ke mo'taqid hon ye ham ko yaqin hai jaa kar milein gar aap bhi us baa-kamaal se"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"adaaein hain jo us rashk-e-pari mein na DhunDe se mileingi vo kisi mein na dekhi vo kisi ki dushmani mein jo aafat hai tumhaari dosti mein taghaaful kis qadar himmat-shikan hai nahin hai ab koi armaan ji mein taDapte hain hazaaron kushta-e-gham qayaamat hai bapaa teri gali mein banaavaT mein vo kaifiyyat kahaan hai mazaa hai jo tumhaari saadgi mein vo kab sunne lage hain shikva-e-gham khafaa ho jaate hain jo dil-lagi mein judaa jab se hue ho tum miri jaan kami kuchh aa gai hai zindagi mein vahi dil ko bachaa saktaa hai gham se kabhi jo khush nahin hotaa khushi mein bachaanaa har balaa se ai khudaa tu tiraa hi aasraa hai be-kasi mein jo dil mein bas rahaa hai kaun hai vo kise maalum hai ye be-khudi mein tumhin ko chhinti hai mujh se duniyaa mile the ek tum hi zindagi mein na bhulegi ye sair-e-baagh 'haajir' kisi ko saath le kar chaandni mein"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"adu pur-lutf hai ham par jafaa hai miri jaan kyaa yahi rasm-e-vafaa hai sitam-ijaad teri kyaa khataa hai miri taqdir hi mujh se khafaa hai ham apne haal ke qurbaan jaaein vo farmaate hain tum ko kyaa huaa hai tire dar par jabin-saai se haasil kahin taqdir kaa likkhaa miTaa hai tumhaari kaakul-e-pechaan se uljhun miraa baiThe biThaae sar-phiraa hai tasavvur ki fusun-kaari to dekho vo goyaa saamne baiThaa huaa hai abas karte ho taklif-e-mudaavaa mariz-e-gham kahin jaan-bar huaa hai vo sun kar kahte hain fariyaad 'haajir' kisi TuuTe hue dil ki sadaa hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"unhein dushman se milne ki paDi hai yahaan betaabi-e-gham har ghaDi hai kisi surat gham-e-furqat saheinge karein kyaa ab to sar par aa paDi hai bandhaa hai aansuon kaa taar gham mein vo farmaate hain saavan ki jhaDi hai chale jaao zaraa Thokar lagaa kar hamaari laash raste mein paDi hai nigaah-e-yaar sharmaai hui hai khudaa maa'lum kis kis se laDi hai nahin hai paasbaan dar par tumhaare qayaamat hai ki khud aa kar khaDi hai adaa-e-ishq se kab aashnaa the tabi'at aap hi se kuchh laDi hai taDapte zindagi bhar us ko dekhaa nazar jis par tiri jaa kar paDi hai na kyon qaail huun us sannaaa kaa main ye surat jis ne fursat mein ghaDi hai nae raste nikaale shauq ne phir tabi'at jab kabhi apni aDi hai hujum itnaa hai kyon dar par tumhaare yahaan kyaa husn ki daulat gaDi hai nahin hai dil mein ye surat kisi ki koi tasvir shishe mein jaDi hai tumhaaraa naam hai har dam zabaan par tumhaari yaad dil ko har ghaDi hai ye hai kis fitna-gar ki aamad aamad jigar thaame hue khilqat khaDi hai gham-e-furqat se kyunkar jaan chhuTe baDi mushkil mein ab ye jaa paDi hai 'ayaadat ko mariz-e-gham ki aao ki us ki maut ab sar par khaDi hai abhi se vasl kaa armaan ai dil abhi to hijr ki manzil paDi hai muqaddar ne diyaa hai saath kyaa kyaa nigah us but se haT haT kar laDi hai tumhaare lab ko kyaa nisbat kisi se gul-e-tar ki ye naazuk pankhuDi hai sanbhal kar raah-e-ulfat mein qadam rakh are naadaan ye manzil kaDi hai mohabbat mein jo dil uljhaa hai dil se nazar un ki nazar se jaa laDi hai kiyaa hai muntakhab dil ne unhin ko nazar laakhon mein un par jaa paDi hai milaa hai 'ishq mein jo ranj 'haajir' vo us zanjir ki pahli kaDi hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"sochtaa huun kabhi huron kaa khayaal achchhaa hai kabhi kahtaa huun ki us but kaa jamaal achchhaa hai mujh se kahte hain kaho 'ishq mein haal achchhaa hai chheD achchhi hai ye andaaz-e-savaal achchhaa hai na adaaein tiri achchhi na jamaal achchhaa hai asl mein chaahne vaale kaa khayaal achchhaa hai dekh kar shakl vo aaine mein apni bole kaun kahtaa hai ki huron kaa jamaal achchhaa hai jo hunar kaam na aae to hunar phir kaisaa kaam jo vaqt par aae vo kamaal achchhaa hai vo javaani vo adaa aur vo qadd-e-mauzun dekh kar bol uThaa dil bhi ki maal achchhaa hai hijr mein dil ne kahaa kucha-e-jaanaan mein chalo shauq kam-bakht ye bolaa ki khayaal achchhaa hai yuun to 'aashiq ke liye donon vabaal-e-jaan hain hijr se phir bhi har ik tarah visaal achchhaa hai aap jab hote nahin is kaa to phir zikr hi kyaa aap jab saamne baiThe hain to haal achchhaa hai jalva-afroz hon jab aap nazar ke aage vo mahina vo ghaDi aur vo saal achchhaa hai us ne jab pyaar se puchhaa ki kaho kaise ho munh se be-saakhta ye niklaa ki haal achchhaa hai lutf se khaali nahin jaur bhi un kaa 'haajir' jo hasinon se milaa hai vo malaal achchhaa hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"log kahte hain ki lailaa parda-e-mahmil mein hai qais kahtaa hai ghalat hai vo to mere dil mein hai mujh ko daa'vaa thaa ki teraa 'ishq mere dil mein hai dekhtaa huun ab tiraa charchaa har ik mahfil mein hai ik nazar dushman ki jaanib ik hamaari samt hai kuchh nahin maa'lum kyaa us be-vafaa ke dil mein hai aur bhi ik haath ai qaatil khudaa ke vaaste jaan thoDi si abhi baaqi tan-e-bismil mein hai aap puuraa kar nahin sakte mujhe maa'lum hai puchh kar kyaa kijiyegaa jo tamannaa dil mein hai raah-e-ulfat mein chalaa jaataa huun main divaana-vaar kuchh nahin maa'lum kitnaa faasla manzil mein hai ek vo din the ki jab thaa aarzuon kaa hujum ab ye haalat hai ki hasrat ki bhi hasrat dil mein hai paarsaa bhi rind ban jaate hain aa kar is jagah kuchh 'ajab taasir maikhaane ke aab-o-gil mein hai al-madad ai naakhudaa-e-bahr-e-ulfat al-madad faasla do haath kaa ab kashti-o-saahil mein hai faisla ho jaae kis ki dosti manzur hai main bhi huun maujud dushman bhi tiri mahfil mein hai aap agar anjaan ban jaaein to is kaa kyaa 'ilaaj aap ko maa'lum hai jo kuchh hamaare dil mein hai 'ishq bhi dushvaar tark-e-‘ishq bhi dushvaar-tar ye dil-e-naa-‘aaqibat-andesh ab mushkil mein hai munhasir hai marg par bimaar-e-ulfat ki shifaa chaara-gar tu kyon 'abas is sa'i-e-laa-haasil mein hai vo yahaan par khud chale aaeinge 'haajir' dekhnaa kuchh asar baaqi gar apne jazba-e-kaamil mein hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"nahin gham gar khafaa saaraa jahaan hai khudaa kaa shukr hai vo mehrbaan hai yahaan fariyaad ki taaqat kahaan hai vo naahaq apne dil mein bad-gumaan hai nahin kuchh ishq mohtaaj-e-bayaan hai hamaaraa haal surat se ayaan hai niyaaz-o-naaz ishq-o-husn dekho hamaaraa sar hai un kaa aastaan hai vafaadaari mein gar be-misl hain ham sitam mein vo bhi yaktaa-e-zamaan hai haqiqat mein sitam-ijaad tum ho abas kuchh josh par tab-e-ravaan hai vazifa hai mujhe to naam un kaa ki har-dam hijr mein vird-e-zabaan hai hamein to haal kahnaa maut Thahraa tumhaare vaaste ik daastaan hai yahaan main hijr mein ghabraa rahaa huun khudaa maalum vo is dam kahaan hai haqiqat mein nigaahein kah rahi hain nihaan jis ko samajhte ho ayaan hai nazar ke saath tum bhi phir gae ho vo pahli si mohabbat ab kahaan hai hamaare vaaste hai khel marnaa unhein gar qatl aashiq kaa ravaan hai sukun-e-dil kabhi haasil na hogaa hamaare sar pe jab tak aasmaan hai adu jhijkaa to vo kahte hain us se chale aao tumhaaraa hi makaan hai koi utraa na is ke paar ab tak ki dariyaa-e-mohabbat be-karaan hai vo kahte hain miri turbat par aa kar ye mere kushta-e-gham kaa nishaan hai qazaa aai hai jo jaaun vahaan par malak-ul-maut un kaa paasbaan hai tabiat hai vahi ab bhi hamaari magar vo aap ki ulfat kahaan hai na 'haajir' ko faqat dehli kaa samjho ki ab vo shaair-e-hindostaan hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafaa ho jaanaa sheva-e-ishq hai raazi-ba-razaa ho jaanaa vo lab-e-baam tiraa jalva-numaa ho jaanaa vo kisi kaa tiri surat pe fidaa ho jaanaa uTh ke pahlu se mire haae vo jaanaa un kaa dard kaa aur mire dil mein sivaa ho jaanaa is ko kahte hain mohabbat ki karishma-saazi lab par aate hi shikaayat kaa duaa ho jaanaa aaina dekhne ko shauq se dekho lekin apni surat pe kahin khud na fidaa ho jaanaa is se baDh kar koi duniyaa mein alam kyaa hogaa kisi maashuq se aashiq kaa judaa ho jaanaa pahle aagaah kiye dete hain tujh ko qaasid dekhnaa tu bhi na us but pe fidaa ho jaanaa is chalan par hi mohabbat kaa hai daavaa tum ko baaton baaton mein miri jaan khafaa ho jaanaa ham bhi dekhein to asar un pe na hogaa kyun-kar shart hai naala-e-furqat kaa rasaa ho jaanaa dil kisi ke kham-e-gesu mein phansaa baiThaa huun is ko kahte hain giraftaar-e-balaa ho jaanaa chain se the na mulaaqaat hui thi jab tak ho gayaa qahr tiraa mil ke judaa ho jaanaa vasl kaa aap ne iqraar kiyaa hai lekin nazar aataa nahin vaade kaa vafaa ho jaanaa kis ko ye hosh ki ahvaal sunaae apnaa dekhte hi tujhe ausaan khataa ho jaanaa aise marne ko hi kahte hain hayaat-e-jaaved khush-nasibi hai mohabbat mein fanaa ho jaanaa yaad ab tak hai javaani kaa zamaana 'haajir' pyaar karnaa miraa aur un kaa khafaa ho jaanaa"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"sivaae ishq-e-butaan aur mujh ko kaam nahin unhi kaa zikr hai lab par khudaa kaa naam nahin talaash-e-yaar mein aavaara-vaar phirtaa huun misaal-e-charkh mujhe ek dam qiyaam nahin raqib ke liye bhar bhar ke jaam aate hain hamaare vaaste piine kaa intizaam nahin suluk ghair se jo hai vo ham se hotaa hai tumhaari bazm mein tafriq-e-khaas-o-aam nahin hasin jitne hain sab maal-o-zar ke bande hain yahaan to ishq hai lekin girah mein daam nahin kisi se roz tasavvur mein baat hoti hai qasam khudaa ki mujhe haajat-e-payaam nahin na kar visaal mein un se gila dil-e-naadaan khushi kaa vaqt hai rone kaa ye maqaam nahin har ek sher mein hijraan butaan kaa ronaa hai tire kalaam mein 'haajir' khushi kaa naam nahin"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"pesh-e-nigaah jab se vo mast-e-shabaab hai har vaqt be-piye hi surur-e-sharaab hai kyaa puchhte ho 'ishq mein kyaa iztiraab hai marnaa agar muhaal to jiinaa 'azaab hai vo muntakhab hasinon mein ham ‘aashiqon mein fard un ki misaal hai na hamaaraa javaab hai muddat ke baa'd aaj hui hai du'aa qubul muzhda ai shauq-e-did ki vo be-naqaab hai mehmaan-saraa-e-dahr mein kis ko qiyaam hai jis ko bhi dekhiye vahi paa-dar-rikaab hai sharmaate hain vo aaine mein apni shakl se qurbaan is hijaab ke achchhaa hijaab hai yaa main huun yaa raqib hai mahfil mein aap ki kis ki taraf ishaara hai kis se khitaab hai jaage hain bazm-e-ghair mein shaayad vo raat-bhar chehra bhi aaj sust hai aankhon mein khvaab hai fariyaad meri sun ke vo bole raqib se shaayad ye vo hi 'haajir'-e-khaana-kharaab hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"ulTaa asar ye shikva-e-bedaad se huaa vo aur bhi khafaa miri fariyaad se huaa majnun hi se huaa na vo 'farhaad' se huaa jo kaam ishq mein dil-e-naashaad se huaa dushman ki kyaa majaal ki mujh ko buraa kahe jo kuchh huaa huzur ke irshaad se huaa us dushman-e-vafaa kaa tasavvur hai phir mudaam majbur main to is dil-e-naashaad se huaa allaah hi ab ke jaan bachaae to bach sake phir ishq mujh ko ik sitam-ijaad se huaa marne ke baad bhi na gai ishq ki khalish ye uqda hal na khanjar-e-jallaad se huaa itnaa to be-qaraar huaa thaa na dil kabhi jitnaa ki muztar aaj tiri yaad se huaa jo kaam doston se na ulfat mein ho sakaa 'haajir' vo kaam ghair ki imdaad se huaa"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"ranj mein bhi shaad rahnaa chaahiye ye maqula yaad rahnaa chaahiye hijr mein naashaad rahnaa chaahiye khasta-o-barbaad rahnaa chaahiye sun hi leinge vo kabhi fariyaad-e-gham barsar-e-fariyaad rahnaa chaahiye khud-bakhud ho jaaeinge vo mehrbaan taalib-e-bedaad rahnaa chaahiye kis liye phanstaa hai ai dil zulf mein qaid se aazaad rahnaa chaahiye khvaah sar par aasmaan bhi aa paDe aadmi ko shaad rahnaa chaahiye chhuT kar ham ne qafas se ye kahaa kuchh sitam sayyaad rahnaa chaahiye chhoD kar dil aap jaate hain kahaan ye makaan aabaad rahnaa chaahiye vaa'da to ham se kiye jaate ho tum shart ye hai yaad rahnaa chaahiye rahm aa hi jaaegaa 'haajir' unhein ishq mein barbaad rahnaa chaahiye"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"ishq mein kyaa chaaraagar paidaa kiyaa de ke dil dard-e-jigar paidaa kiyaa zulf chehre se haTaa kar aap ne jalva-e-nur-e-sahar paidaa kiyaa garche apni jaan di farhaad ne naam ulfat mein magar paidaa kiyaa is tarah us ne baDhaayaa rabt-zabt rafta-rafta dil mein ghar paidaa kiyaa haal-e-dil vo ghaur se sunne lage jazb-e-ulfat ne asar paidaa kiyaa choT khaai furqat-e-dildaar ki ham ne patthar kaa jigar paidaa kiyaa dil lagaa kar ho gae bimaar-e-gham baiThe baiThe dard-e-sar paidaa kiyaa aaj tak raah-e-khudaa mein kyaa diyaa yuun to kaafi maal-o-zar paidaa kiyaa ham ne apni aajizi se aakhirash dushmanon ke dil mein ghar paidaa kiyaa chaunk chaunk uTThe vo khvaab-e-naaz se mere naalon ne asar paidaa kiyaa husn gar tujh ko kiyaa haq ne ataa mujh ko bhi ahl-e-nazar paidaa kiyaa fitna-o-shar aadmi mein kyon na ho us ko jab haq ne bashar paidaa kiyaa mujh ko qudrat ne azal se dosto un kaa manzur-e-nazar paidaa kiyaa umr bhar 'haajir' ba-juz husn-e-kalaam kaun saa ham ne hunar paidaa kiyaa"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"maanind-e-shama-e-bazm pighalne ke vaaste paidaa huaa huun ishq mein jalne ke vaaste vo naaz kar rahe hain shab-e-vasl aur idhar armaan taDap rahe hain nikalne ke vaaste bulbul se kah do sheva-e-faryaad chhoD de aaeinge baagh mein vo Tahalne ke vaaste rone ko hijr-e-yaar mein aankhein ataa huiin bakhshaa gayaa hai dil bhi machalne ke vaaste sach puchhiye to ishq mein khud ko badal liyaa ham ne khayaal-e-yaar badalne ke vaaste 'haajir' qaraar dil ko na aaya kisi tarah kyaa kyaa kiyaa na is ke bahalne ke vaaste"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"jaagte rahte ho raaton ko baraabar kis liye kuchh na kuchh to baat hai sote ho din-bhar kis liye tum se kyaa dekhaa nahin jaataa miraa dam toDnaa jaa rahe ho varna mere paas aa kar kis liye kuchh na kuchh to ghair se rishta tumhaaraa hai zarur roz aate jaate ho us ke makaan par kis liye ye sharaarat hai khudaa maa'lum yaa izhaar-e-‘ishq dekhte ho meri jaanib muskuraa kar kis liye aur kyaa taqsir hai meri mohabbat ke sivaa hai khafaa mujh se tu ai shokh-e-sitamgar kis liye phir kisi ko daam mein laane ki tayyaari hai kyaa kaaTtaa hai baagh mein sayyaad chakkar kis liye hazrat-e-'haajir' kisi ki justuju hai aap ko maare-maare phir rahe hain aap dar-dar kis liye"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"kisi se ishq-e-dushman kaa gila kyaa nahin jab rabt to phir muddaaa kyaa har ik shai mein tujhi ko dekhte hain hamaare vaaste achchhaa buraa kyaa zarurat kyaa hai samjhe kaun zaahid ravaa kyaa hai yahaan par naa-ravaa kyaa use zaalim samajh kar dil diyaa thaa to phir ab kam-nigaahi kaa gila kyaa gham-e-duniyaa ki maanaa hai davaa ishq magar phir dard-e-ulfat ki davaa kyaa bahut pachhtaae tum se dil lagaa kar ba-juz ranj-o-alam ham ko milaa kyaa na hogi kyaa kabhi ummid puuri na hogaa mehrbaan vo be-vafaa kyaa sabhi insaan hain allah ke bande jahaan mein aashnaa naa-aashnaa kyaa faqat ik dil hai vo hai nazr teri hamaare paas hai is ke sivaa kyaa nigaah-e-naaz se dil bach bhi jaae magar ghaayal na kar degi adaa kyaa luTaa kar chal diyaa ghar-baar 'haajir' use baiThe biThaae ye huaa kyaa"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"rahtaa hai hamesha jo miri yaar baghal mein jalte hain use dekh ke aghyaar baghal mein kyaa lutf ho gar aish ke saamaan baham hon maashuq bhi ho shokh-e-trahdaar baghal mein har vaqt jo aaghosh mein rahtaa thaa hamaari ab us ko liye phirte hain aghyaar baghal mein kis tarah main samjhun ki vo karte hain mohabbat aate nahin bhule se bhi ik baar baghal mein mai-noshi kaa jab haz hai ki ho bar-lab-e-dariyaa saaghar ho agar haath mein to yaar baghal mein sab miT gai 'haajir' shab-e-furqat ki musibat khuub us ko dabaa kar jo kiyaa pyaar baghal mein"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"kaun kahtaa hai aah kartaa huun ye to ik dil mein raah kartaa huun teri rahmat kaa vaasta yaa-rab irtikaab-e-gunaah kartaa huun apni haalat pe rashk aataa hai ghair par jab nigaah kartaa huun ghair phir ghair hai daghaa degaa baar baar intibaah kartaa huun ek but ke firaaq mein ghul kar zindagaani tabaah kartaa huun ghair kyaa yunhi jaan chhiDkegaa jis tarah main nibaah kartaa huun rahmatein haath chuum leti hain jab main qasd-e-gunaah kartaa huun tang huun raazdaar se 'haajir' tark sab rasm-o-raah kartaa huun"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"ghair un ko lagaae siine se maut behtar hai aise jiine se hosh mein laa rahe hain vo mujh ko gul-e-rukhsaar ke pasine se ghair ki baat par na jaao tum kyon ulajhte ho us kamine se kitne andaaz vo dikhaate hain jab lagaataa huun un ko siine se bazm mein kis ki aamad aamad hai chizein rakkhi hain sab qarine se garmi-e-husn dukht-e-raz dekho chhalki paDti hai aabgine se ham hi the jo nibhaa chuke barson ghair aajiz hai do mahine se us jagah aur kaun baiThaa hai kyon hai inkaar tum ko piine se ruThe kab tak rahoge 'haajir' se aao ab lag bhi jaao siine se"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"be-rukhi o bevafaa achchhi nahin dil-jalon ki badduaa achchhi nahin ghair bhi to ishq kaa bhartaa hai dam sirf ham par hi jafaa achchhi nahin dekh kar ghamgin mujhe kahte hain vo kyon tabiat aaj kyaa achchhi nahin pahle hi dil un ke hain TuuTe hue jaan-nisaaron se daghaa achchhi nahin bosa lene par khafaa ho kar kahaa dekhiye aisi khataa achchhi nahin le ke dil karte ho vaapas kis liye kyaa sabab hai jins kyaa achchhi nahin phir vahi zikr-e-adu har baat mein aap ki bas ye adaa achchhi nahin kis liye karte ho parda vasl mein aise mauqon par hayaa achchhi nahin dil na maane to bataao kyaa karein ham ne maanaa iltijaa achchhi nahin bhaanp jaaegaa zamaana dekhiye is qadar ham se hayaa achchhi nahin kyaa zarurat vo kharidein kis liye kahte hain jins-e-vafaa achchhi nahin ruThnaa albatta kuchh dilchasp hai yuun to koi bhi jafaa achchhi nahin raat din 'haajir' buton kaa zikr ho koi baat is ke sivaa achchhi nahin"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi
Quote
"saans tak aataa nahin ye haal hai ishq kyaa hai jaan kaa janjaal hai fitna-e-mahshar tumhaari chaal hai har qadam par dil miraa paamaal hai hijr mein kis tarah aaegaa qaraar jab tumhaare saamne ye haal hai vo hamaare paas kyon aane lage naama-bar ki is mein koi chaal hai ishq ki jo kuchh sazaa ho dijiye ham ko apne jurm kaa iqbaal hai jis mein phans kar koi chhuTaa hi nahin vo tumhaare gesuon kaa jaal hai tu bhi zaahid un ko dekhe to kahe kyaa javaani kyaa adaa kyaa chaal hai marsiya hai ye dil-e-marhum kaa yaa hamaaraa naama-e-aamaal hai aaj se divaana hai 'haajir' koi ek muddat se pareshaan-haal hai"
Hajir DehlwiHajir Dehlwi