SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"har saans jo aati hai sitamgaar qafas mein khinche hai miri jaan sar-e-daar qafas mein dekhe bhi to kyaa apni masihaai kaa anjaam jhaanke bhi to kyaa nargis-e-bimaar qafas mein atraaf hain taaqat ke takabbur ki salaakhein zaalim hai khud apnaa hi giraftaar qafas mein par kaaTne vaale ko ye maalum nahin hai rukte hain kahin azm ke par-daar qafas mein ye phuul hain ye sabza hai ye baad-e-sabaa hai armaan sanjo laae hain ghar-baar qafas mein aazaadi bhi haazir hai to parvaaz bhi maujud khvaabon ne lagaa rakkhaa hai darbaar qafas mein sayyaad hamein teri khudaai bhi thi taslim hotaa jo tasavvur bhi giraftaar qafas mein"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"rukte hue qadmon kaa chalan mere liye hai sayyaara-e-hairat ki thakan mere liye hai koi miraa aahu mujhe laa kar nahin detaa kahte to sabhi hain ki khutan mere liye hai tap si mujhe aa jaati hai aaghosh mein us ki vo barf ke gaale saa badan mere liye hai hain ju-e-tab-o-taab pe anvaar ke pyaase aur shaam kaa ye saanvalaa-pan mere liye hai qandhaar na kaabul na yaman mere liye hai miTTi ke ujaDne ki chubhan mere liye hai baarut mein bhunte hue alfaaz o mafaahim ab to yahi tasvir-e-sukhan mere liye hai duniyaa hi nahin khud se khafaa rahtaa huun 'arshad' jiine kaa ye andaaz hi fan mere liye hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"koi bhi shai ho miyaan jaan se pyaari kise hai jaan haari hai to ye dekhiye haari kise hai kornish gul ko kare kaliyon ko aadaab kahe hosh ye mamlikat-e-baad-e-bahaari kise hai dil bhi bas ek namuna hai ki duniyaa pe miTaa nazr zebaa thi kise aur guzaari kise hai ek khunTe se bandhe dasht-o-daman dekhe hain ab mayassar ram-e-aahu-e-tataari kise hai uD chalo muntakhab-e-khaas hain us ke ham log varna haasil ye tamannaa ki savaari kise hai ik sitaare ke liye sair-e-falak kartaa huun dosto fursat-e-sayyaara-shikaari kise hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"udaas raat ko mahkaaein koi chaaraa karein khayaal-e-yaar ko khushbu kaa istiaaraa karein balaa ki tirgi hai chashm-e-maah ko sochein shuaa-e-khvaab tarah-daar ko sitaaraa karein mahak ruton ki bulaae tasarrufon ki taraf kaTile taar magar aur hi ishaaraa karein khizaan ke din kisi piile pahaaD jaise din shaguft gul tiri ummid par guzaaraa karein hamaare ishq ke surkhaab par vo itraae havaas-jaan mein ham us ki nazar utaaraa karein tiraa hi naam nikaltaa hai har tariqe se kisi bhi tarah mohabbat kaa istikhaaraa karein ye dasht-o-khaar ye shahr-o-gulaab sab tere shabaana roz tire lutf ko nihaaraa karein"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"nafaaz-e-nazm pur-israar hai aisaa nahin lagtaa gulistaan mein koi sarkaar hai aisaa nahin lagtaa yahaan har jeb mein khvaabon ki zar-muhrein khanakti hain ye duniyaa dard kaa baazaar hai aisaa nahin lagtaa ham apni jhonk mein aage ki jaanib baDhte jaate hain hamaare saamne divaar hai aisaa nahin lagtaa sar-e-pindaar se paa-e-junun kaa rabt ghaaeb hai ye piDhi barsar-e-paikaar hai aisaa nahin lagtaa main jaise ek raah-e-sust-rau ki sair kartaa huun miri raanon tale rahvaar hai aisaa nahin lagtaa umaD ke aayaa to hai abr-e-girya matla-e-jaan se magar ye saaiqa-bardaar hai aisaa nahin lagtaa ba-yak jast-e-tasavvur bazm-e-jaanaan mein pahunchtaa hai ye 'arshad' hijr kaa bimaar hai aisaa nahin lagtaa"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"masaafaton mein dhuup aur chhaanv kaa savaal kyaa safar hi shart hai to phir uruuj kyaa zavaal kyaa firaaq-saaaton ke zakhm ruuh tak pahunch chuke mayassar aaein bhi to ab masaai-e-visaal kyaa hunar ko dhuup jangalon ki muskuraahaTon mein hai gulaab bastiyon mein hanste rahne kaa kamaal kyaa umiid hi to dil-shajar ki aakhiri asaas thi shagufa ye bhi ho gayaa khizaan se paaemaal kyaa tamaam-shahr hi havaa ke dosh par savaar hai dikhaae koi zakhm kyaa sunaae koi haal kyaa"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"mile jo us se to yaadon ke par nikal aae is ik maqaam pe kitne safar nikal aae ujaaD dasht mein bas jaae meri viraani ajab nahin ki yahin koi ghar nikal aae bas ek lamhe ko chamki thi us ki tegh-e-nazar khalaa-e-vaqt mein qarnon ke sar nikal aae machaan baandhne vaale nishaana chuuk gae ki khud machaan ki jaanib se Dar nikal aae shahid-e-ku-e-mohabbat hain kaanp jaate hain nadim khair se koi agar nikal aae darakht-e-sabr-burida sahi pe jaante hain huaa hai ye bhi ki us par samar nikal aae adu ke haath bhi tegh o tabar se khaali hain ajiib kyaa hai jo ham be-sipar nikal aae gham-e-jahaan o gham-e-yaar do kinaare hain udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aae yahaan to ahl-e-hunar ke bhi paanv jalte hain ye raah-e-sher hai 'arshad' kidhar nikal aae"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"lakir-e-sang ko anqaa-misaal ham ne kiyaa bhulaa diyaa use dil se kamaal ham ne kiyaa shuru us ne kiyaa thaa tamaasha qurbat kaa phir us ke baad to saaraa dhamaal ham ne kiyaa ulaT ke rakh diye ham ne junun ke saare usuul junub-e-dasht ko shahr-e-shimaal ham ne kiyaa farogh-e-zakhm se raushan rakhaa siyaahi ko ataa-e-hijr ko najm-e-visaal ham ne kiyaa basaa liyaa tiri khushbu ko mazra-e-jaan mein shaguft-e-gham tujhe kaisaa nihaal ham ne kiyaa ik aur mauj thi is mauj-e-aagahi se udhar so auj-e-aql ko nazr-e-zavaal ham ne kiyaa bahaana koi nahin ab safar mein rahne kaa zamin-e-khvaab tujhe paaemaal ham ne kiyaa ye be-niyaazi zaruri thi kaar-e-ulfat mein so khud kaa dhyaan na teraa khayaal ham ne kiyaa sabaa to khud hi mukhaatib thi ai fazaa-e-qafas gavaah rahiyo na koi savaal ham ne kiyaa dhanak si ban gai goyaai se samaaat tak ye kis ke rang ko juzv-e-maqaal ham ne kiyaa hamaare zakhm ki surkhi baDhaa gayaa 'arshad' vo barg-e-sabz jise dast-maal ham ne kiyaa"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"mehr o mahtaab ko mere hi nishaan jaanti hai main kahaan huun vo mari sarv-e-ravaan jaanti hai tum se ho kar hi to aai hai lahu tak mere tum ko ye surkhi-e-jaan shola-rukhaan jaanti hai kaun apnaa hai samajhti hai khamoshi shab ki ajnabi kaun hai aavaaz-e-sagaan jaanti hai dil ko maalum hai kyaa baat bataani hai use us se kyaa baat chhupaani hai zabaan jaanti hai khaak ko chhoD ke jaanaa hamein manzur nahin ham khas-o-khaar nahin ju-e-tapaan jaanti hai tu kabhi khvaahish-e-duniyaa nahin karne vaalaa mere abdaal tujhe daanish-e-jaan jaanti hai mere paas aa ke bhi rahti hai gurezaan mujh se main na Dubungaa miri mauj-e-gumaan jaanti hai is tarah ghurti rahti hai shab-o-roz mujhe jaise duniyaa mire sab raaz-e-nihaan jaanti hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"jaan kaa aazaar hai bimaari-e-duniyaa nahin zaat tak mahdud ho jaaein to kuchh khatraa nahin ab hifaazat jitni hai mahbus ho jaane mein hai khud ke baahar ghumne phirne kaa ab mauqa nahin us se milnaa aabshaaron se guzarnaa thaa magar khauf kaa vo kaun saa tufaan thaa jo aayaa nahin ab ke bichhDe kab mileinge ab ki baar ik ye savaal ham ne bhi puchhaa nahin us ne bhi batlaayaa nahin mo'atabar kitnaa bhi ho har vaasta mashkuk hai jo tasavvur mein likhaa vo khat bhi pahunchaayaa nahin mujh mein ik bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai in dinon duniyaa se us kaa mutlaqan rishtaa nahin masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai jo ghazal kaa raah-rau ho raah se haTtaa nahin"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"ashaar mein jo mere kiran justuju ki hai miraas ye bhi tere hi mohar-e-numu ki hai nazron mein ab bhi hain tire lahje ke maah-o-najm ab bhi samaaaton mein chamak guftugu ki hai teri pukaar hai ki ye bundein hain os ki aavaaz-e-naghma hai ki sadaa aab-ju ki hai divaar-e-zabt TuuT bhi sakti hai kuchh karun favvaara chhuT jaae vo haalat lahu ki hai yuun phuul to baraste na the ku-e-yaar mein ye ham guzarte hain ki savaari adu ki hai pyaason ko intikhaab ki jurat na koi haq kyaa puchhiye huzur ye kis ke subu ki hai 'arshad' vo saamne hi to hai shaakh-e-dastaras duuri bas ek jast-e-buland-aarzu ki hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"charaagh-e-dard ki sham-e-tarab pukaarti hai ik aag si lab-e-dariyaa-e-shab pukaarti hai adu se jaan bachchi hai na dost bichhDe hain ye shaam-e-giryaa hamein be-sabab pukaarti hai charaagh-e-shauq pe rah rah ke nuur aataa hai havaa ba-tarz-e-rukh-o-chashm-o-lab pukaarti hai shahid-e-aab-o-namak hain so baDhte jaate hain shikast o fath piyaadon ko kab pukaarti hai sadaaein de ke bulaati hai shaah-baanu-e-shahr faqir jis ke hain dekhein vo kab pukaarti hai main jaise din ki tab-o-taab se pareshaan huun ba-vaqt-e-shaam khushi ik ajab pukaarti hai ham aise kaun anokhe tulua hote hain jo ham ko dekh ke duniyaa ghazab pukaarti hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"tamaam shahr ki aankhon kaa maahtaab huaa main jab se us ki nigaahon mein intikhaab huaa havaa ke kaandhon ne pahunchaayaa aasmaanon tak main barg-e-sabz thaa sukhaa to aaftaab huaa palaT ke dekhun to mujh ko sazaaein detaa hai ajab sitaara rah-e-gham mein ham-rikaab huaa yuun qaus-e-chashm mein aayaa vo baarishon ki tarah ki harf-e-did kai rangon ki kitaab huaa pighal ke aa gai saari udaasi lafzon mein vufur-e-gham mire aaine mein habaab huaa main apni khvaahishein gum kar ke mil gayaa us ko khushaa vo meri mohabbat mein kaamyaab huaa"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"khamosh jaada-e-inkaar bhi hai sahraa bhi azaa mein paa-e-junun baar bhi hai sahraa bhi kahin bhi jaaein lahu ko to sirf honaa hai ki tishna kucha-e-dildaar bhi hai sahraa bhi mataa-e-zist kharidein ki teri samt baDhein hamaare saamne baazaar bhi hai sahraa bhi mujhe to saari hadon se gurez karnaa hai miraa harif to ghar-baar bhi hai sahraa bhi yahin ye dhuul yahin khushbuein bhi uDti hain ye dil ki khitta-e-gulzaar bhi hai sahraa bhi na chhoDtaa hai na zanjir kar ke rakhtaa hai tiraa khayaal ki divaar bhi hai sahraa bhi ye kyaa jagah hai jahaan donon vaqt milte hain yahaan darakht samar-baar bhi hai sahraa bhi zaraa si chuuk se paansa palaT bhi saktaa hai ki aql shahr-e-fusun-kaar bhi hai sahraa bhi"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"nazar mein sulh bhi sar par lahu bhi dekhtaa hai mujhe to rashk se meraa adu bhi dekhtaa hai main shorishon mein bhi dil ko qarib rakhtaa huun yahi to hai jo pas-e-haav-hu bhi dekhtaa hai charaagh unhin ki visaatat se jal rahaa hai magar kabhi havaaon ko ye tund-khu bhi dekhtaa hai mujhe ye moti samundar yuun hi nahin detaa vo mere hausle bhi justuju bhi dekhtaa hai ye dil asiir tire naqsh-e-paa kaa hai lekin jo chuuk jaae to phir chaar-su bhi dekhtaa hai mire junun ko donon aziiz hain jaanaan ye dasht-o-dar hi nahin aabju bhi dekhtaa hai hazaar barg-o-samar jama ho gae 'arshad' magar ye dil ki maaal-e-numu bhi dekhtaa hai"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"shart-e-divaar-o-dar-o-baam uThaa di hai to kyaa qaid phir qaid hai zanjir baDhaa di hai to kyaa ab bhi tan tegh se laD jaae to chhan boltaa hai vaqt ne is pe agar dhuul jamaa di hai to kyaa mere khusrav ne mujhe gham bhi ziyaada bakhshaa daulat-e-ishq agar mujh ko sivaa di hai to kyaa ham bhi tayyaar hain phir jaan luTaane ke liye saamne phir vahi kuufa vahi vaadi hai to kyaa mujrim-e-dil ko kahaan faisla sunne kaa dimaagh us ne bakhshaa hai to kyaa aur sazaa di hai to kyaa"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"hai Tonk arz-e-paak vahin se uTheinge ham uTThi jahaan se khaak vahin se uTheinge ham divaar-e-mai-kada ke udhar salsabil hai farzandagaan-e-taak vahin se uTheinge ham muddat se band hai jo daricha bahaar kaa ai kunj-e-naa-tapaak vahin se uTheinge ham pairaahan-e-falak pe jahaan khatt-e-nur hai daaman hai vaan se chaak vahin se uTheinge ham ham ne vahin pe chaand ko dekhaa hai multafit vo ghar hai taabnaak vahin se uTheinge ham is khaak hi ne khaak ko paalaa hai umr bhar paayaa jahaan se kaak vahin se uTheinge ham 'arshad' ham apne shahr se aa to gae magar apni vahin hai dhaak vahin se uTheinge ham"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid
Quote
"mire kheme khasta-haal mein hain mire raste dhund ke jaal mein hain mujhe shaam hui hai jangal mein mire saare sitaare zavaal mein hain mujhe rangon se koi shaghl nahin mujhe khushbu mein koi dakhl nahin mire naam kaa koi nakhl nahin mire mausam khaak-e-malaal mein hain aakaash hai qadmon ke niche dariyaa kaa paani sar par hai ik machhli naav pe baiThi hai aur sab machhuvaare jaal mein hain ye duniyaa akbar zulmon ki ham majburi ki anaarkali ham divaaron ke biich mein hain ham nargha-e-jabr-o-jalaal mein hain mire dil ke nuur se baDh ke nahin miri jaan ke surur se baDh ke nahin jo maah o mehr falak par hain jo laal o guhar paataal mein hain ik maghrib aayaa mashriq mein miri fauj ke TukDe kar Daale ab aadhe sipaahi junub mein hain aur aadhe sipaahi shumaal mein hain imaan ki chhaagal phuuT gai aamaal ki laaThi TuuT gai ham aise gallabaanon ke sab naaqe khauf-e-qitaal mein hain"
Arshad Abdul HamidArshad Abdul Hamid