Quote
"baDh baDh ke bazm-e-naaz se saaghar uThaae jaa josh-e-junun mein aur zaraa laDkhaDaae jaa bahke na yuun qadam ki koi rind kah sake apni nigaah-e-naaz se mujh ko pilaae jaa baada-kashi ke baa'd huiin ne'matein tamaam naqsh-e-khayaal-e-khaam ko dil se miTaae jaa maayus ho gae hain jo is zindagi se aaj lutf-e-hayaat kaa unhein muzhda sunaae jaa tanhaaiyon ki bazm mein zinda-dili ke saath apne khayaal-o-khvaab ki duniyaa basaae jaa chhalke na dast-e-shauq se sahbaa-e-zindagi is ehtiyaat se mai-o-minaa lunDhaae jaa 'azm-o-yaqin ke saath sadaa bazm-e-naaz mein husn-e-sitam-shi’aar se daaman bachaae jaa miT jaaein zindagi ki sabhi talkhiyaan agar raqs-e-junun ke saath koi giit gaae jaa"







