Shayari
specialist pain-killer de to kaun saa?
''saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai''
specialist pain-killer de to kaun saa?
''saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai''
ye sust hai to phir kyaa vo tez hai to phir kyaa
native jo hai to phir kyaa angrez hai to phir kyaa
rahnaa kisi se dab kar hai amn ko zaruri
phir koi firqa haibat-angez hai to phir kyaa …
musibat kaa ye lamha kaaTnaa hai
mujhe auron se achchhaa kaaTnaa hai
daraanti fikr ki paini karungaa
mujhe misre ko thoDaa kaaTnaa hai …
ye canvas pe jo zard chehra banaa rahe hain
tumhein khabar ho khizaan kaa naqsha banaa rahe hain
ajiib ghar hai jo tiliyon se banaa huaa hai
ham is mein miTTi se ik parinda banaa rahe hain …
ruThe hue ki apne zaraa ab manaae zulf
pyaaraa hai dil to naaz bhi dil ke uThaae zulf
dar-guzre dil ki yaad se ham jaan to bachi
pichhe paDi hai jaan ke ab kyuun bulaae zulf …
kiye mujh pe vaar tu ne kai paintare badal ke
ki yahaan se tu bhi rahnaa mire vaar se sanbhal ke
tire sar ko main kuchalne kaa hunar bhi jaantaa huun
tu javaan huaa hai aakhir miri aastin mein pal ke …
rang-o-ras ki havas aur bas
masala dastaras aur bas
yuun buni hain ragein jism ki
ek nas Tas se mas aur bas …
'ishq ke markaz mein jaanaa ho gayaa
muskuraae ik zamaana ho gayaa
jab se aankhein 'aashiqaana ho gaiin
shahr mein zaahir divaana ho gayaa …
tiri hansi mein rang bhar rahi thi main
ki chaandni ko paint kar rahi thi main
badan ki lau mein dasht-e-shab ubuur kar
vo kah rahaa thaa aur kar rahi thi main …
aa gae kaise 'ajab din raushni ke
hain charaagh-e-raah khaadim tirgi ke
chaal us ki jab kabhi main bhaanp paayaa
paintare fauran hi badle zindagi ke …
na ahl-e-dil hain na fikr-o-nigaah vaale hain
hamaare shahr mein sab khaanqaah vaale hain
jo guftugu hai vo khaalis ghinaa-o-faqr ki hai
jo paintare hain faqat hubb-e-jaah vaale hain …
bakhsh de kuchh to e'tibaar mujhe
pyaar se dekh chashm-e-yaar mujhe
raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe …
saaTh painsaTh baras ke baa'd aayaa
'ishq mujh ko havas ke baa'd aayaa
saare hi zindagi ke fasaane badal gae
mausam ki tarah dost puraane badal gae
siskaa hai ghar ki chhat pe parinda bhi raat bhar
khaae jahaan nivaale gharaane badal gae …
haath mein aaftaab pighlaa kar
raat bhar raushni se khelaa kar
yuun khule sar na ghar se niklaa kar
dekh buDhon ki baat maanaa kar …
sinchi hain main ne kitni zaminein nai nai
phuTin sukhan ke peD se shaakhein nai nai
pahle bhi kam nahin the nigah-daar damdame
uThti hi jaa rahi hain fasilein nai nai …
naujavaan log pajaame ko buraa kahte hain
painT phaT jaae to qismat kaa likhaa kahte hain
apne ashaar mein juma ko jumaa kahte hain
aise ustaad ko fakhrushshuaraa kahte hain …
guzishta shab yuun lagaa ki andar se kaT rahaa huun
main is aziyyat mein saaTh-painsaTh minute rahaa huun
tu mujh ko rone de yaar shaane pe haath mat rakh
main giile kaaghaz ki tarh chhune se phaT rahaa huun …