Shayari
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
Mystical poetry of divine love — the soul yearning for the infinite.
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
vatan ki fikr kar naadaan musibat aane vaali hai
tiri barbaadiyon ke mashvare hain aasmaanon mein
dil ajab shahr ki jis par bhi khulaa dar is kaa
vo musaafir ise har samt se barbaad kare
ham se khul jaao ba-vaqt-e-mai-parasti ek din
varna ham chheDeinge rakh kar uzr-e-masti ek din
jo khushaamad kare khalq us se sadaa raazi hai
sach to ye hai ki khushaamad se khudaa raazi hai
zaraa jo ham ne unhein aaj mehrbaan dekhaa
na ham se puchhiye kyaa rang-e-aasmaan dekhaa
gavaahi kaise TuTti muaamla khudaa kaa thaa
miraa aur us kaa raabta to haath aur duaa kaa thaa
yaa rab hamein to khvaab mein bhi mat dikhaaiyo
ye mahshar-e-khayaal ki duniyaa kahein jise
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
mir-e-arab ko aai ThanDi havaa jahaan se
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
dil hi to hai siyaasat-e-darbaan se Dar gayaa
main aur jaaun dar se tire bin sadaa kiye
khudaa aabaad rakkhe mai-kade ko
bahut saste chhuTe duniyaa-o-din se
ab jafaa se bhi hain mahrum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
hakim o aarif o suufi tamaam mast-e-zahur
kise khabar ki tajalli hai ain-e-masturi
na itnaa zulm kar ai chaandni bahr-e-khudaa chhup jaa
tujhe dekhe se yaad aataa hai mujh ko maahtaab apnaa
meri ghurbat ko sharaafat kaa abhi naam na de
vaqt badlaa to tiri raae badal jaaegi
main tujh ko bataataa huun taqdir-e-umam kyaa hai
shamshir-o-sinaan avval taaus-o-raubaab aakhir
mai-khaane mein kyuun yaad-e-khudaa hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-minaa nahin hotaa
vo buton ne Daale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khudaa gayaa
vo paDi hain roz qayaamatein ki khayaal-e-roz-e-jazaa gayaa
khulegaa kis tarah mazmun mire maktub kaa yaa rab
qasam khaai hai us kaafir ne kaaghaz ke jalaane ki
aabaad karein baada-kash allaah kaa ghar aaj
din juma kaa hai band hai mai-khaane kaa dar aaj
saraapaa rehn-e-ishq-o-naa-guzir-e-ulfat-e-hasti
ibaadat barq ki kartaa huun aur afsos haasil kaa
anokhi vaza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke yaa-rab rahne vaale hain