Shayari
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
Memories that linger — nostalgic verses about those we miss.
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhulaa huaa huun Thokarein khaane ke baa'd bhi
baare duniyaa mein raho gham-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho
us ne goyaa mujhi ko yaad rakhaa
main bhi goyaa usi ko bhuul gayaa
fariyaad ai tasavvur-e-abru-e-dil-fareb
qible ki samt bhuul gayaa huun namaaz mein
'amir' ab hichkiyaan aane lagi hain
kahin main yaad farmaayaa gayaa huun
kaun uThaaegaa tumhaari ye jafaa mere baad
yaad aaegi bahut meri vafaa mere baad
na koi dost na hamdam na aashnaa na habib
usi se khauf ziyaada jo hai ziyaada qarib
fariyaad ko majnun ki sune kaun jahaan hon
likkhun dil-e-naalaan jaras-e-mahmil-e-lailaa
naaseh nasihatein ye kahaan yaad rahti hain
hazrat abhi kisi se tabiat lagi nahin
ik yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se
ham tujhe baad mein phir yaad na aane lag jaaein
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
main us ko bhuul gayaa thaa vo yaad saa aayaa
zamin hili to main samjhaa ki zalzala aayaa
mohabbatein to huiin aur tum se pahle bhi
magar jo tum se hui yaad karte rahte hain
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahtaa hai
miri yaadon mein ik bhulaa huaa chehraa bhi rahtaa hai
bah gae aansuon ke dariyaa mein
aap ki baat yaad hi na rahi
yaadgaar-e-zamaana hain ham log
sun rakho tum fasaana hain ham log
yunhi dil ne chaahaa thaa ronaa-rulaanaa
tiri yaad to ban gai ik bahaanaa